Pyar ki kashish - shikha

by Shikha sanghvi on October 09, 2015, 10:36:13 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1118 times)
Shikha sanghvi
Yoindian Shayar
******

Rau: 25
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
7 days, 14 hours and 15 minutes.

Shayari likhna or padhna humari hobby hai

Posts: 2266
Member Since: Jan 2015


View Profile WWW
Chandani  raat he. Sitaare zagmaga rahe he. Chandni apne premi chand ki pratiksha karti huyi unki yaado ko lekar pal pal bita rahi he. par har pal unke liye saalo jaisa lag raha he. Chandni apne premi chand se milne ke liye tadap rahi he. Chand ki baaho me simatne ke liye betab he. Apne chand ke bina unki har saans jaise ruki ruki si he. Chand ki judai use pagal bana rahi he...........

.Dear Shayari readers.....Ye kahani Het or Harsh ki he. Un logo ke pyar ki he. Harsh chand he to Het uski chandni he. Dono ekdusre ke bina adhure he. Aap bhi janna chahenge ...in dono ke pyar ki kahani, vishwas ki kahani....Aakhir kaise mile ye dono..............
Agar chand na hota to

Aasman itna suhana na hota,

Agar Harsh ka saath na hota to

Het ke dil me pyar na hota.


Harsh vo ladka he jo pardesh me raheta he or shadi ke liye India aaya hua he. Bhot si ladki dekhi he usne par kisi par bhi uska dil nahi lagta. Tabhi ek din achanak se isi tarah Het se uski mulakat huyi.Het bahot hi sidhi sadi si ladki he. het ne jab paheli bar Harsh ko dekha to vo sochte hi rahe gayi. Use yakin hi nahi ho raha tha apni kismat pe ki Harsh jaisa ladka bhi uski zindgi me aa sakta he........Uski mulakat Is tarah se ho gayi ki Het to jaise apne ek alag hi jahaa me kho gayi....

.Het jab apne rajkumar ka intezar karte huye apne jivan se har chuki thi, use lag raha tha ki uske sapno ka rajkumar use kabhi nahi milega...kyoki sapno ke rajkumar se mulakat to sirf kahaniyo me hoti he..haqiqat me nahi....or tab achanak se Harsh se uski mulaqat huyi. Or Harsh ne dher sari khushiyo ke saath Het ki duniya me pravesh kiya. us din un dono ke bich bahot hi thodi si idhar udhar ki baate huyi.Het to kuch soch hi nahi paa rahi thi. jab uske parents ne use puchha ki vo kya chahti he, to use samaj me hi nahi aa raha tha ki vo kya kare......par fir usne apne dil se puchha or ek ahem faisla liya ki ab uske jivan me yahi aakhri ladka hoga jisne use dekha he. Ab zindgi jini he to sirf Harsh ke saath varna vo kabhi shadi nahi karegi........Ek hi pal me usne apna dil Harsh ko de diya....

Aapko lag raha hoga ki aisa kyo....par humare india me ladke or ladke ki jo milne ki rasam hoti he usme ladki ke dil ki kya haalat hoti he ye koi janne ki koshish hi nahi karta....Ladke valo ke samne vo sharmayi huyi si gabharayi huyi si sahem jati he........ek kathputli ki tarah use sabke samne bithaya jata he..sab ke sawal ke jawab dene hote he......aaj jamana badal gaya he...par aaj bhi aisi kai jagah he jaha pe ladki ki halat ko sab nazar andaz kar dete he....

.Do-Tin din ho gaye. Vo intezar kar rahi thi, par intezar nahi ho paa raha tha, usne socha kyo vo khud hi un raho se gujrane chali jaye. or Harsh ki ek zalak dekhne ke liye vo barish me bhigti huyi un raho pe chal di jaha vo raheta tha. par vo harsh ko nahi dekh payi. Mayus hokar vo ghar lauti or dusre hi din vo bimar ho gayi...check up karane par pata chala ki use malaria ho gaya tha. or uski sari ummid pe pani fir gaya....par het ki khwaish bhot jald puri huyi. Do din ke bad Harsh ne Het se milna chaha. Het bimar thi fir bhi usse mili. or jaise bhagvanne dono ko ekdusre ke liye hi banaya tha. Harsh ki pyari si muskan, bado ka aadar karna, unki pyari si baate, or gussa to jaise usse so mile door tha, inhi baato ne usko diwana bana diya. vo bhot hi khush thi. or ek din Harsh ne Het ko apne jivansaathi ke roop me swikar kar liya or use lekar saat samunder par aa gaya.....


This is part -1 ..
Agar aap sabko kahani pasand aati hai to uske dusra part post karenge yaha pe
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 12, 2024, 07:50:12 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.123 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer