Raat fir khawaab*

by TOUCHY on April 17, 2006, 08:46:53 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1272 times)
TOUCHY
Guest
Raat phir khawaab main aa kar mujhse
Meri ammi ne kuchh sawaal kiye
Usse pahley mujhey duaa ye di
Khuda karey ki tu sau saal jiye
Unki aankhon main mahobbat bhi thi,
Afsos bhi tha
Ek aansu bhi tha un aankhon main
Jo chillata bhi tha, khamosh bhi tha
Mujhse poocha ki betey kaisey ho
Koi diqqat to nahin hai tumko
Phir kaha
Tumko maloom hai kya
Main badi takleef main hoon
Jab se laiti hoon so nahin payee
Tumhaari wajah se main khul ke ro nahin payee
Terey gunaah mujhko saanp banke danstey hain
Farishtey aakar har roz fiqrey kastey hain
Tumhi bataao beta mainey kya kami ki thi
Merey samjhaney main kami thi kya
Ya meri tarbiyat adhoori thi
Kyon burey kaam roz kartey ho
Kyon nahin us khuda se dartey ho
Jisney tumko ye jaan bakshi hai
Jisney tumko amaan bakshi hai
Laut kar jiske paas jaana hai
Kya usey munh nahin dikhana hai
Kya tumhein is liye padaya tha
Kya tumhein yehi sab sikhaya tha
Ki apney ilm par guroor karo
Apney nafs ko masroor karo
Jab bhi bolo to bas galat bolo
Zulm dekho to lab nahin kholo
Chodkar deen bhool kar mazhab
Apni auqaat note main taulo
Sach batao ki kya ye qissa hai
Kya ye andaaz meri tarbiyat ka hissa hai
Mujhko afsos nahin ki tu mujhey bhool gaya
Ranj ye hai ki mera jeena hi fizool gaya
Main to markey bhi roz marti hoon
Main tujhey roz yaad karti hoon
Jis tarah jeeney ka agaaz kiya hai tuney
Uskey anjaam se main darti hoon
Khuda karey ki tujhey ab bhi samajh aa jaye
Koi to aakey tujhey seedhee raah dikha jaye
Ki ikhtitaam ho teri gunah ki shaamon ka
Mujhey bhi ajr miley terey naik kaamon ka
[/color][/b]
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Kuch Unkahe Khawaab .....( Divya) by deepika_divya in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
khawaab.sheba by Sheba in Ghazals « 1 2  All »
khawaab by saahill in Shayri for Khumar -e- Ishq
Raat Ke Kuch Bhikre Hue Khawaab..!!...........Shireen Hakani by Shireen Hakani in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
ana
Guest
«Reply #1 on: April 18, 2006, 04:17:31 AM »
touchy its its very nice post... wish people could understand that there is no use of unspoken war thats happening in world.
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #2 on: April 19, 2006, 07:37:54 AM »
Gr8 Touchy .........!!!
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #3 on: April 19, 2006, 11:11:44 AM »
Really very great and very touching. Very simple way of making others understand the purpose of their lives. Too Good.
Logged
isha_verma7
Guest
«Reply #4 on: April 19, 2006, 06:37:32 PM »
NICE!!!!!!!!!!!
Logged
TOUCHY
Guest
«Reply #5 on: April 21, 2006, 10:09:03 PM »
Thanx a lot  Ana, Salma,Shikha n Isha JI!!
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #6 on: May 15, 2006, 04:20:59 AM »
touchy bahuuuuuuuuuuuuut hi achcha likha hai shayed sabse achcha yahi padha maine yoindia men its really gr8 aur bahut khoob aur aur aur lafz nahi mil rahe meri dili mubarak bad qubool karen
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #7 on: May 15, 2006, 06:48:16 PM »
bohot ache touchy ji.., keep posting!!

 :D
Logged
TOUCHY
Guest
«Reply #8 on: May 15, 2006, 07:57:21 PM »
THanx a tonne Tabassum shakeel, it's your greatness that u like that.
Thanx Meena!!! :lol:
Logged
TOUCHY
Guest
«Reply #9 on: June 08, 2006, 08:43:33 PM »
Quote from: "TOUCHY"
teri ammi ke har sawal me hain
anginat be hisab aansu bhare
aur un aansuon ke peechhe hain
behisab pyar laad tere liye
tu kaleje ka unke tukda hai
tujhse door ja ke tere pas hain vo
tere liye hi to udas hai vo
mujhe yakin hai unki doa rang laaegi
teri zindagi unki kahi hi ho jaaegi
vo khush ho jaaengi tujhse
to phir se roengi
vo tujhe pyar ke savan se
phir bhigoengi
main door hi se khadi us pal zaroor khush hongi
ye aur baat hai aansu mere bhi niklenge
par vo bhi tere liye khushi se hans denge


Thanks Tabbasum jee for this Wonderfull reply...
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 26, 2025, 07:04:32 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.123 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer