RAJ IN DELHI

by NETRAPAL on November 19, 2008, 05:44:14 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 2132 times)
NETRAPAL
Guest
aaj ham kitnee tarakee kar gayee hai or education ke nam par aaj desh ke navyoovak kis tarah se apne aap par garv kar rahe hai dusree taraf ek gaon ka bhola bhala insaan sahar me padhe likhe logo ke beech apne anpad or ganvaar pan ko kaise sidh karta hai ye is kahani me maine batane kee koshish kee hai. Ye mera personal experience hee hai..

Raj nam ka ek seedha saadha aadmee Delhi sahar ek prasidh hospital All India Medical Hospital me ataa hai. Subah kareeb 5 baje ka samay Raj waha pahucha do prakar ka aalam wo waha dekhta hai kafee log futppath par gadiyo ke shorsharabe ke beech maje se so rahe the kuch anudhunik bala kam vasro me rod par tahal rahee thee wo us najare ko niharte hooe kuch agae nikal jata hai or kuch hee doore par bane Gurudware ke samane ek Tee-Stall par Cahy-peene chal jata hai or chay naste ke liye bol deta hai. whaha par kuch shabrant log bade maje se chaye ke chuskee lete hooe News Paper padh rahe the. Tabhi kuch ahat see hotee hai or chay wala jameen ke neech ka shatar khol kee teen Redimate aartee (vyaktee ko antim path pe le jane wala saadhan) nikaltaa hai or dukan ke saamne rakh deta hai raj ghabra jata kee kya hadsaa ho gaya wo ek nilee Jins kee pent pahne kisi se poochta hai:-

Raj- Bhai sahab kaya koi hadsaa hooa hai?
whyaktee: nhi bahi kya hooa
Raj- ye teen char arthee ek saath?
wo wyaktee kuch majak sa udane walee andaj me raj ko dekhta hai wor dukan ke uupar likhe Sining Board kee taraf ishara karta hai jis par likha tha Hamare Yaha Chay Panee ke saath Mota ka poora saman milta hai. Raj apnaa chay ka wale ko bin kuch khaye piye poora paisa de deta hai chay wala poochta hai kuch hooa bhai?

Raj: Dost aap yaha sabhay or educated logo ko chay pilate hao parantoo mai ek Ganwaar aadmee hoo kam se kam ek arthee ke paas baith kar, mai to chay nahi pee saktaa....


netra..... 


Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Delhi Gangrape----pls forward this...Delhi Gang Rape by kavyadharateam in Miscellaneous Shayri
DELHI kaala KAAND by bolte raho sushil in Tarruf Yoindia Sae : Give your Introduction
DELHI KAAND .......... by bolte raho sushil in Miscellaneous Shayri
Delhi Riots,. by Azeem Azaad in Shairy-E-Watan
Pooja
Guest
«Reply #1 on: November 19, 2008, 07:33:31 PM »
Netra ji apki yah story do baar parri aor hairan rah gai hu ki yah real story hai. koi shabd nahi mil raha hai ki kaya kahu..
Logged
NETRAPAL
Guest
«Reply #2 on: November 20, 2008, 11:16:35 AM »
Netra ji apki yah story do baar parri aor hairan rah gai hu ki yah real story hai. koi shabd nahi mil raha hai ki kaya kahu..

haa pooja ji ye wastav me real story hai mai delhi me shouth extention me kisee kam se gayaa tha or ye subash 5 a m ka waakyaa tha.....jise maine ek kahanee ke roop me likha....or bhee kai is tarah ke wakiye meree jindgee me aa chuke hai kabhee moka laga to jaroor yaha likhungaa.......

Netra.....
Logged
Talat
Guest
«Reply #3 on: November 20, 2008, 11:24:40 AM »
Netra Ji,

Like Pooja ji said, I am just speechless after reading your story.


Maine khud AIIMS se education khatam ki hai saal do saal pehle....aur aapki kahani ne mujhe jaise janjhorh ke rakh diya........Aankhon ke saamne kai aise scenes aa gaye jo hostel se department jaate time dekhne ko milte the....kuch itne dardnaak ki rooh kaanp jaati thi....
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #4 on: November 20, 2008, 11:50:56 AM »
Netra Ji..

Sach kahun, toh mujhe theek se nahin samajh aaya ki aap kya kehna chahte hai... Jo samajh mein aaya uske hisaab se main yehi kahungi ki -

Woh Ganwaar bahut ameer hai, jo apni marzi se jaha chahe waha chai paani, khaana le sakta hai.. Aur woh padhe likhe bahut hi gareeb jinhe kisi naa kisi Majboori ke chalte arthion takk ke paas baith kar chai nashta karna padey..

Sign board par likha tha "Hamare Yaha Chay Panee ke saath Mout ka poora saman milta hai".. Yeh baat is taraf bhi ishaara karti hai ki zindagi ka koi bharosa nahin, Kehte hai naa "There could be a slip between the cup and the lip". Maut kab aa jaaye kisey maloom...

Harr sikke ke do pehlu hote hai, is kahaani ke bhi do pehlu hai... Yeh us ganwaar ka seedhapan toh darshaati hi hai, lekin saath hi saath padhe-likhon ki majboori bhi darsha rahi hai.. Shehar mein bhaagte-daudte, hanste-khaate ye log sada maut ko apne kareeb hi paate hai... Yeh zindagi ki aakhiri sachhai unka peecha chhodti hi nahin!!!

Maine wohi kaha jo mujhe samjh aaya... Aapki story ka kuch aur matlab ho, toh please humein jaroor samjhaaiyega..
Logged
Talat
Guest
«Reply #5 on: November 20, 2008, 12:02:57 PM »
Mahiya,

Whatever Netra ji meant in his post, you have also penned down the bitter truth of life very well........!
Logged
NETRAPAL
Guest
«Reply #6 on: November 21, 2008, 03:56:47 AM »
Netra Ji,

Like Pooja ji said, I am just speechless after reading your story.


Maine khud AIIMS se education khatam ki hai saal do saal pehle....aur aapki kahani ne mujhe jaise janjhorh ke rakh diya........Aankhon ke saamne kai aise scenes aa gaye jo hostel se department jaate time dekhne ko milte the....kuch itne dardnaak ki rooh kaanp jaati thi....

theek kaha aapne jindgee mai kai kshan aise hote hai jinhe ham chahte hooe bhee nahi bhool sakte....

netra....
Logged
NETRAPAL
Guest
«Reply #7 on: November 21, 2008, 04:02:53 AM »
Netra Ji..

Sach kahun, toh mujhe theek se nahin samajh aaya ki aap kya kehna chahte hai... Jo samajh mein aaya uske hisaab se main yehi kahungi ki -

Woh Ganwaar bahut ameer hai, jo apni marzi se jaha chahe waha chai paani, khaana le sakta hai.. Aur woh padhe likhe bahut hi gareeb jinhe kisi naa kisi Majboori ke chalte arthion takk ke paas baith kar chai nashta karna padey..

Sign board par likha tha "Hamare Yaha Chay Panee ke saath Mout ka poora saman milta hai".. Yeh baat is taraf bhi ishaara karti hai ki zindagi ka koi bharosa nahin, Kehte hai naa "There could be a slip between the cup and the lip". Maut kab aa jaaye kisey maloom...

Harr sikke ke do pehlu hote hai, is kahaani ke bhi do pehlu hai... Yeh us ganwaar ka seedhapan toh darshaati hi hai, lekin saath hi saath padhe-likhon ki majboori bhi darsha rahi hai.. Shehar mein bhaagte-daudte, hanste-khaate ye log sada maut ko apne kareeb hi paate hai... Yeh zindagi ki aakhiri sachhai unka peecha chhodti hi nahin!!!

Maine wohi kaha jo mujhe samjh aaya... Aapki story ka kuch aur matlab ho, toh please humein jaroor samjhaaiyega..

aisee hee kuch ghatnaaye hamaree jindgee me hotee hai jinhe bhoolaaya nahi jaa sakaa....aap ne sahee kaha har aadmee ka alag alag swbhaav hota hai kuch dimaak ko kaam lete hai kuch dil se kaam lete hai aur mai shayad dil se sochtaa hoo is liye shayad us wakt mai kuch jyada mahsoos kar gaya waise apnee jindgee me mot ko kai bar mai bhee bahoot kareeb se dekh chuaa hoo parantoo
kisee kee arthee ke paas baith kar shayad mai abhee bhee hans nahi paayaa...

netra...
Logged
NETRAPAL
Guest
«Reply #8 on: November 21, 2008, 04:06:51 AM »
thanks clemeri ji..

netra...
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 05:35:46 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.159 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer