The real story of “WATER” (PAANI)
Aankho me pade chale, chalon se baha pani
Is dour ke registan me, dhunde na mila pani!
Dunia ne kasouti pe taumra kasa pani
Banwas se louta tho sholon pe chala pani!
Parwat ki juban phuti ek shor utha pani
Manjar pe bana manjar pani pe gira pani!
Logon ne aisa kabhi dekha na suna pani
Pani me bahi basti basti me baha pani!
Sailab ne har ghar ki tasvir badal di
Rukne ko kisi ghar me pal bhar na ruka pani!
Dariya se juda hokar bajar me aa pahuncha
Badal jo na ban saka botal me bika pani!
Bande se khuda bante dekha he unhe hamne
Jo log karate he pani se juda pani!
Mandir ho ki masjid ho girija ho ya gurudvara
Nirmal rahe jab tak lagta he bhala pani!
Phulo se laga lene ab kaam bamon ka bhi
Is darje siyasat ke ankhon me bhara pani!
Kantihin na the itne dour-e-ghulami me bhi
Batlaye koi jyotish kis desh gaya pani!
Dekha he in ankhon ne ek jalte huye bam ko
Rahta he un ankho me har waqt hara pani!
Har or muqabil thi bas dhup ki talwar
Par aakhri katre tak registan me lada pani!
Jab pyaas andhero ke ghar beth gai jakar
Ek dip jale jaise registan me jala pani!
Us paar hare k yug me mahiwal ka dera tha
Kaccha tha ghada jiska kate na kata pani!
Viraan ham itne the jungal na koi hoga
Ek sham pahnane ko yadon me buna pani!
Har lafj ka pani se rishta he bahut gahra
Hamne tho likha badal unhone pada pani!
Ham jab bhi mile use har bar huye tazaa
Bathe huye dariya ka har pal he naya pani!
Ghar chodke nikle tho nirvad mile hamko
Kab dhup ko pahne bin banta he hawa pani!
Ek mom ke safar me dhage ka safar chun liya
Apne hi gale lagkar rone ki saja pani!
Jannat thi kadmo me magar jhukkar na uthani thi
Kandho per aha chehra chehro per aha pani!
Har ek sikandar ka anjam yahi dekha
Mitti se mili mitti pani se mila pani!
Aankho me pade chale chalon se baha pani
Pani me bahi basti basti me baha pani basti me baha pani!
Or write to me on
loversboy777@gmail.com