Sunil Malhotra
Guest
|
Uttrakhand ki tabahi jinhone apni akhon se dekhin hai unki aapbeeti, unke dard ko apne shabdon me bayan karne ki naakam koshish kar raha hoon kyun ki main janta hoon jo takleef, jo dukh unhone saha hai use shabdon me dhaalna bewkoofi hai. Phir bhi ek koshish ki hai taaki desh ke behre neta kuch seekh sakein, kuch samajh sakein.
Char dhaam ki yatra pe chale the hum, Paap taap apne karne ko kum. Zindagi ki bhag daud me bhool gaye the jise, Chale the us bhagwan ko manane hum.
Uttrakhand me rudra prayag jahan base hain khud bhole nath, Kehte hain shiv ki nagri ise, naam hai Baba Kedarnath.
Yaad rahegi wo mangal ghari jab humne mandir prangan me kadam rakha, Kaise harte hain bhole bhakton ke dukh, khud apni aakhon se dekha.
Ki parikrma garabh grah ki, nandi ko sheesh nawaya. Kar darshan bhole baba ke jeewan ye dhanay paya.
Mana rahe the khushiyaan baba ke dar pe, Ayi achanak vipda bhakton ke sir pe.
Lage barsne umad-umad ke kale megha, Vismayit naino se sabne bhole ko krodhit dekha.
Jhamajham pani barse, bijli ne bhi machaya shor. Laba-lab paani-hi-paani dikhne laga chahun aur.
Girne lagi chattanein tootne, Lage log pani me doobne. Prakriti ne bhi rosh dikhaya, Har aasra pani me dubaya.
Jahan dekho bas pani hi pani, Pani ne na bakshi koi zindgani.
Bachhe, bade, boodhe sab beh gaye, Jo the mandir me wo hi bache reh gaye.
Dekhte hi dekhte mandir praangan bhi beh gaya, Jal samadhi ne nigla sab kuch, Baki peeche maha jyotirling hi reh gaya.
Is maha parlay me main bhi beh chala, Takraya sir kisi pathar se, hosh bhi mera sath chodd chala.
Jane kitne samay me aankh khuli, Machi thi charon aur bas khalbali.
Dekh tabahi kaleja munh ko aaya, Khud ko maine khoon se lathpath paya.
Jahan dekho bas cheetkar tha, Har tarf mritak deh ka ambaar tha.
Lashon ko kutte noch rahe the, Insan bhi janwar ban kar, Insano ko hi loot rahe the.
Jahan karni chahiye thi niswarth sewa, Wahan insan ne apna swarth dekha.
5 rupye ka biscuit 50 rupye me, 10 rupye ka pani 100 rupye me.
Kaun kehta ye insaniyat hai, Ye insan ki haiwaniyat hai.
Arey bure samay me paraye bhi apne ho jate hain, Dekh zakham insaniyat ke dushman bhi marham lagate hain.
Yahan to apno ne hi loota hai, Har insan se ab bharosa mera choota hai.
Jane main kaise jeewit reh gaya, Jisam mera kaise ye parlay seh gaya.
Shayad dena tha kuch sandesh mujhe hukumrano ko, Sunani thi prakriti ki guhaar netaon ke behre kaano ko.
Mat karo prakriti se khilwad, Prakriti hi sabka paalan poshan karti hai, Deti hai anmol jeewan sabko, Har pal sabka bhala karti hai.
Roko andhadhund pedon ki katayi, Najayaj mat karon parwaton ki katayi.
Jo karna hi hai vikas desh ka, Apne se samajhdar ki bhi baat suno. Neta ho tum to kursi pe bethna hi kaam nahi tumhara, Aam nagrik ki bhi peeda suno.
Kyun karte ho chedkhani prakriti ke sath, Kyun bulate ho khud hi prithvi ka vinash.
Hath jod RAAJ kare yahi vinti barambaar, Karo satkar prakriti ka, isi se milta hai jeewan ka sunder uphar.
|