Woh Kaun Thi? ✍️ By Asif Biswas (2014 Re-written horror suspense story)

by ASIF on December 30, 2023, 12:32:10 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 871 times)
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 1 hours and 25 minutes.
Posts: 187
Member Since: Feb 2021


View Profile
Saal 2014 ye woh waqt tha jab asal kamyabi mujhe mili thi, main taqreeban 5 saal se kahaniya likhte jaa raha tha mujhe wo break nahi mil raha tha jiski mujhe talash thi, ye talash oosi saal khatam huyi jab main kamyabi ke moqam par tha aur maine back 2 back kayi safal horror kahaniya likh daali aur sirf horror hi nahi erotica writing mein bhi meri kahaniya zabardast popular ho rahi thi meri pehchaan logo mein badhti jaa rahi thi, ek choti si kahani "haunted Bungalow" se jo Kamyabi mujhe milane lagi wo bas chalti gayi, isi khushi mein ek follower ne Facebook par ek mera khud ka ek group page bana diya "bhoot pret ki duniya" jisse main taqreeban 1 saal tak juda raha,

Oosi dauran ye wo kahani thi jo maine tamaam 2014 mein likhi yoindia platform par kahaniyo ke baad ek ye alag se group page par likhi thi, par afsos mere pichle Facebook I'd delete ke ho jaane ke wajah se ye kahani bhi delete ho gayi, yun to meri kahaniyan forum band ho jaane ki wajah se khatam ho chuki hai ya fhir jinhone bhi oose copy Kiya oose kahi na kahi kisi aur naam se chori kar share kar diya, jiska malumat mujhe baad mein pata chala main to yahi dua karunga ki yoindia platform aise hi mere mehnat ko aur tamaam lekhako ki mehnat ko barso tak salamat rakhe, ye kahani 2014 ki likhi mere fb group page ki horror story thi jise aaj main dobara likhkar aap sabke saamne prastut kar raha hu,

Umeed karta hu aapko pasand aaye kyunki jinhone bhi is kahani ka original version padha hai unse mujhe kaafi positive feedbacks mile they, aasha karta hun ki main wohi storyline wohi concept ko dhyaan mein rakhkar jo kahani dohra raha hun wo aapko pasand aaye kirdar ke naam ya ek aad scene us waali kahani se thode alag honge main pehle keh deta hu aur iske liye maanfi bhi mangta hun kyunki wo 2014 ki likhi kahani ko recover kar paana ab bilkul bhi mumkin nahi hai warna maine oose dhundhkar aap sabke saath yu hi share kar deta, jis tarah haunted Bungalow aur baaki ki pichli kahaniya maine share ki hai, umeed karta hu ye horror daastan bhi apko behad pasand aaye
✍️

Ye kahani kaalpanik hai aur is kahani se jude bataye jagah aur kirdar puri tarike se kaalpanik hai


Siddharth apni gaadi mein thaka haara apne business meeting aur pure dinbhar ki office ki thakaan se churr hokar aakhirkar farig huye Ghar ki taraf laut raha tha, wo sylhet jaise hill station ke ghani aabadi se dur ghati ke paas mountain valley naam ke ilaake mein rehta tha jaha oosi ka ikaluta milkiyat tha, kyunki wo jagah insaani aabadi se dur thi aur waha sheher khatam hokar fhir ghane pahad aur uske baad jungle shuru ho jaata tha, uska makaan kaafi aalishan tha kyunki wo ek Ameer ghar se taluq rakhta tha uske makaan mein uske niji privacy ke tehet ek khaana banane wala naukar tha aur din mein saaf safai aur kapde dhone waali ek alag naukrani thi jo dopaharbaad hi sheher ki taraf laut jaati thi sirf uska naukar hi tha jo Siddharth ki raah dekhkar oose dinner deke wo bhi apne ghar ki taraf laut jata tha,

Siddharth hi janta tha ki oose waha naukar chakar rakhne mein kitni mashakkat karni padi thi kyunki chote sheher ke log utna dur kaam karne ko jaldi raazi nahi ho rahe they, Siddharth bachpan se hi akela palha bada tha uska koi dost nahi tha padhai puri ho jaane ke baad wo apne baap ke business ko puri tarah sambhaalne laga tha, uske parivar waale uske waha akele rehne ke khilaf they wo ye bhi chahte they ki wo shaadi kar le, lekin siddharth unke kisi bhi faisle se razamand nahi tha aur na kabhi hone wala tha, parivar ke aapasi jhagde aur sukoon ki talash mein Siddharth ne yaha Ghar kharida tha wajah aur bhi thi kyunki uska Naya business is sheher mein kaafi fhal fhul raha tha isliye Siddharth ne socha ki yaha ki khubsurat wadiyo ke beech aisi khaamoshi mein sukoon dhundh paana kaafi aasan tha isliye wo wohi tabse basa hua tha,

Waha akele rehne ki oose aadat ho chuki thi toh kabhi dair raat aana uska shagal ban sa gaya tha lekin us shaam wo kaafi jaldi office se farig hokar Ghar laut raha tha, dinbhar ka khushnuma Mausam achanak karwate badalne laga aur dheere dheere pura aasman kaale badalo se ghir gaya, gaadi mein radio station ke gaane baj rahe they jaha khabar prasaran hone lagi ki aaj sylhet aur bahari ilaako mein musalsal baarish aur tufaan ke aasar aane waale they tabhi gaadi ke sheesho par halki halki bunde barasne lagi, badal ki gargarahat kaano mein padte hi Siddharth ki gaadi ne raftar tej pakdi, kyunki wo janta tha ki mountain valley ke ghati ki taraf jaane waali sadak aksar landslide ki chapait mein aa jaati thi jiska matlab tha na koi us taraf jaa sakta tha aur na koi sheher ki taraf aa paata, Siddharth ki gaadi ab dhalan si uthi pahadi ki us iklauti sadak par guzar rahi thi, kuch hi dair mein gaadi aur ghani aabadi piche chutti jaa rahi thi aksar Siddharth piche palatkar ya rear view mirror se is nazaare ko dekha karta tha, kyunki wo janta tha ki jaha uska ghar tha waha dur dur tak na koi insaani aabadi thi aur naa hi koi raah guzarti gaadiya dikhti thi, wo ghati sheher ke ulte taraf pahadi par basa tha jaha siwaay khubsurat khaai aur ghati ke siwah sirf ghana jungle tha jaha paas mein kaafi bari jheel thi, aur oosi jheel aur ghane jungle se hi kuch faasle dur Siddharth ka makaan tha,

Wo aksar samay bitaane oosi jheel ke paas bhi jaaya karta tha, Siddharth apni soch se jab bahar aaya tab tak shaam puri tarah se dhal chuki thi, wo ek lamba gol chakkar sa ghaira kaantkar theek apne ghar ke saamne compound par aakar ruka, pure Ghar ki battiya jal rahi thi aadatan uske naukar ne wo kaam andhera hote hi kar diya tha,

Siddharth gaadi se bahar nikla tabtalak baarish hona shuru ho chuka tha, darwaja khula tha wo janta tha naukar ne uski gaadi Aati dur se hi dekh li hogi, apne 2 maala ke bane aalishan bungalow mein aate hi usne apna adhbheega coat utaara toh naukar kaka ne kareeb aakar uska coat thaam liya jise unhone paas ke shelf pe taang diya,

"Aaj jaldi aa gaye chote sahab"

"Haan kaka aaj office ka naam jald hi nipat gaya main to bahut thak gaya hoo pichle kuch Roz se khair ab jee bharke aaram karunga kal waise bhi ravivar hai"

"Aapke liye hot water tub mein kar diya hai aap thoda fresh ho jaiiye main dining table pe khaana laga deta hun"

Tabhi oosi waqt bijli jor se kadki aur uski tej roshni ek jhalak andar dakhil huyi aisa laga jaise aasman mein vispot hua ho, naukar kaka fikarmand dikhne lage Siddharth ne unse unka kaaran pahucha

"Darasal chote sahab main chahta tha ki ab main ghar laut jau darasal gharwali bahut bimar hai aur mera ladka Ghar par nahi hai"

"Toh aap pehle chale jaate abhi to Mausam bahut zyada kharab hone laga hai kahi beech sadak par aap fass na jaaye"

"Main aapke intejar mein tha main chahta tha ki pehle aap aa hi jaaye aur dekhiye aap jald hi aa gaye main kal tak aa jaunga"

"Koi dikkat nahi kahe to main aapko Ghar tak chodh aau"

"Nahi nahi main cycle se chala jaunga aap fikar na kare"

"Par aisi baarish mein nahi mere paas gaadi hai kaka zidd mat kijiye"

Lekin naukar kaka kaafi Swabhimaani shaksiyat ke they unhone madad lene se inkar kar diya aur hasste muskurate vidaa liye waha se ruksat ho gaye, siddharth unhe jaate dekhta raha Siddharth ko fikar thi isliye usne unhe apna keemati barsaati odha diya tha,

Siddharth na jaane kyu Aaj khud ko waqayi akela mehsus kar raha tha wo mann hi mann nahi chahta tha ki aisi bigadi barsat ki raat mein wo akela rahe, lekin waise bhi naukar kaka ki duty utni hi thi haalaki wo unhe ruk jaane kehta to wo Ruk bhi jaate par aisa karna Siddharth ko gawara na laga kyunki unka bhi toh ek parivar tha,

Khair sabkuch bhulaaye Siddharth dining hall mein baitha akele akele dinner kar raha tha, beech beech mein bijliya zor zor se kadak rahi thi, tamaam diwaar aur chatt par bane sheesho par paani gir raha tha andhere mein bahar kuch bhi nahi dikh raha tha, khaane se farig hokar Siddharth ne khud hi apne jhoote bartan sink mein le jaa rakhke, wo abhi mudkar kitchen se bahar jaa hi raha tha ki tabhi pure Ghar ki lights chali gayi,

Pure Ghar mein gup andhera aur khaamoshi chaa gayi ab bahar ki sard ho ho karti hawaao ki awaz aur reh rehkar bijli ka kadakta shor charo taraf sunaai de raha tha, apne kismat ko Kosta Siddharth waapis kitchen ke covered mein mombatti talashne laga

"Uff yahi toh rakhki thi kahan gayi? Ek to ye andhera uff na jaane kyu Aaj itni ghutan si lag rahi hai?"

Tabhi ek jhinjodh dene wala bijli kadka jiski tej roshni ek second ke liye pure kitchen ko ujaala kar gayi, aur tabhi usi pal Siddharth ko laga ki usne us palbhar ki roshni mein bahar kisi saaye ko dekha tha, Siddharth hadbadaaye sheeshe se bahar jhaakne laga, charo taraf khula maidan jaisa tha aur pahad aur charo taraf paid se dhaka ghana jungle dekha jaa sakta tha lekin us waqt andhere mein wo manzar kaafi darwana lag raha tha paid aise lehra rahe they maano daaye aur baaye naach rahe ho aasman ekdum badalo se ghira hua tha, lekin kaun ho sakta tha itni raat gaye? Yaha to aas paas koi ghar bhi nahi hai aur us taraf to jungle aur ghati jaane ka rasta tha fhir itni raat gaye kaun hota?

Abhi gas on kiye Siddharth ne mombatti jalaayi hi thi ki bahar oose kayi jungli siyaar ki rone ki awaz sunai dene lagi hawwww hawww karte wo roye jaa rahe they, kaafi bhayanak vatavaran hote jaa raha tha, ek toh bijliyo ki kadakti shor bheeshan hawao ka tufaan aur ab jungli janwaro ka rona jise aksar manhusiyat sa maana jata hai,

"Ye to jungle hai yaha to jungli janwar hona aam hai main kyu Darr raha hoo? Afterall this is not the first time I'm living here lekin na jaane kyu? Aaj mahoul kuch azib sa hai naa jaane kyu ye raat teher si gayi hai"

Apne se badbadata hua Siddharth jalayi mombattiyo ko liye ek waha rakhkar bahar living hall ki taraf aaya aur waha usne ek mombatti rakhki fhir ek jaakar apne bedroom mein rakhki, wo wohi bistar par baithkar laptop liye uspe apne adhure kaam pura karne laga, isse uska mind kuch pal ke liye idhar udhar ki cheezo se alag ho gaya,

Naukar kaka ko gaye kayi waqt guzar chuka tha, bhaari baarish badti jaa rahi thi aisa lag raha tha jaise Aaj ye thamne wali nahi thi, kamre mein typing ki awaz gunz rahi thi, lekin siddharth ka dhyaan ab laptop par tha achanak Siddharth ne ek awaz suni wo awaz darwaze pe dastak ki thi, Siddharth ekdum se kaanp utha usne laptop band kiya aur fhir ghari ki taraf dekha, ghari ki suyi 12 par aakar teherne waali thi,

"Aadhi raat ko itni raat gaye kaun aa sakta hai?"



Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 1 hours and 25 minutes.
Posts: 187
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #1 on: December 30, 2023, 12:33:47 PM »
Bhaag 2

Koi darwaje par dastak diye jaa raha tha, dhadh dhadh dhadh ab awaz pure Ghar mein gunz rahi thi, aisa lag raha tha jaise ab wo darwaje ko na khulne se Peet raha tha, Siddharth hadbadaya ahetiyat se kamre se bahar nikla apne haath mein kaanch mein dhake mombatti ko liye wo us saaye ko dekhne laga jiska aks reh rehke darwaje ke dono ke taraf ke dhundhle sheesho par dikh raha tha koi tha waha, ye awaz bheeshan tufaan se kanpkapati darwaje ki nahi thi, balki waqayi koi itni dair raat gaye dastak diye jaa raha tha,

Siddharth nidar tha isliye wo ghabraya ek baar ke liye zarur par usne apne bechaini aur ghabrahat pe kaabu paate huye theek darwaje ke kareeb aake khada hua,

"Kaun hai bahar?"...Siddharth ne kadakkar pucha

"D..dekhiye main bahut bheeg chuki hoo pls darwaja kholiye ssss warna main thand se marr jaungi"

Siddharth ne pehli baar kisi ki fariyad karti janana awaaz suni, usne fauran darwaje ko khola ek hawa ka tej jhoka uske chehre se takraya toh uska maano pura jism sirhan ki leher se daud utha,

Siddharth ne mombatti ki roshni mein uske chehre ki taraf dekha uske baal bheege huye they honth kaanp rahe they aur aankho mein lagi kajal shayad bheegne se chehre pe fail si gayi thi, wo waqayi thand se thithur rahi thi,

"Itni raat gaye aap yaha kya kar rahi hai? Yaha to aas paas koi ghar bhi nahi hai"

"J..jii darasal meri gaadi kharab ho gayi hai wo.."

Siddharth ne uske lambe nakhun bhari ungliyo ko dekhte huye jis taraf ka ishara tha us taraf usne jhaankkar dekha, dur bijli ki roshni mein oose kacchi sadak par ek kaali gaadi khadi dikhi

"Gaadi start nahi ho rahi thi aur mujhe check karne ka itna tajurba nahi main ghati ki taraf dopahar ko gayi thi waha ki khubsurat wadiyo aur puraane jheel ko dekhne kab shaam ho gayi pata nahi chala? Jab laut rahi thi to meri gaadi kharab ho gayi baarish tej thi aur main saari raat gaadi mein guzaar nahi sakti thi madad ki imdaad mein mujhe aapka ye ghar dikha to main yaha chali aayi"

Siddharth na jaane kyu? Uske chehre ko ektak dekh raha tha aisa lagta tha jaise usne oose kabhi pehle dekha tha lekin kab ye yaad nahi aa raha tha?

"D..dekhiye waise toh main ajnabiyo ki madad nahi karta!"

"Dek..khiye pls aaj ki raat ka sawaal hai aap dariye nahi main tufaan thamte hi chali jaungi"

"Arre nahi nahi mere baat ka galat matlab na nikaliyega I am really sorry if I said anything wrong wo kya hai ki? Ki is ilaake mein mera hi ek ikaluta ghar hai aur main akele rehta hoo is wajah se u know I have be very cautious"

"I can understand ur thoughts, aware hona bhi zaruri hai na jaane kab kaun si aafat ka saamna ho jaye"

"Excuse me"....Siddharth kuch samajh na paaya uske us rahasmayi baat ko sunkar

"Hahahaa I am sorry I was just kidding if u don't mind may I come on in?"

"Arre Haan aaiye jaldi aaiye andar"

Uske andar aate hi Siddharth ne darwaja laga diya jisse ab bahar ki sard hawa aur awaz andar dakhil hona kuch had tak band ho gayi, us ladki ne charo or dekha ghar mein mombatti ki fiki lau ki roshniya bikhri huyi thi jisse andhera kaafi hadtak kam ho chuka tha,

Is baar living hall mein saje mombattiyo ki roshni mein Siddharth ne us ladki ko ache tariqe se dekha wo ek bheegi huyi top pehni huyi thi aur waisi hi jeans jo puri tarah se bheegi huyi thi adhunik tarike se Baal Kate huye they jabki uski rangat gori thi wo Bala ki khubsurat thi lekin apne personality se wo ache ghar ki lag rahi thi, Siddharth janta tha ki kabhi kabhi ajnabi log lootero ke gehron se taluq rakhkar akela paake ghaat lagate hai lekin us ladki ko dekhne ke baad Siddharth ko aisa bilkul bhi nahi lag raha tha ki wo koi looteri ya badmash geroh se taluq rakhti koi pehrupiya thi,

Siddharth ne palbhar mein wardrobe se ek Mota tauliya aur ek kapro ka joda laakar us ladki ko diya, haalaki usne kabhi socha nahi tha ki wo kapde wo kisi ajnabi ko kabhi pehenne dega,

"Y..ye kapde?"....us ladki ne hairat se pucha

"Don't worry aap bahut zyada bheeg chuki hai aap apne geele kapde wohi bathroom mein rakh dijiye aur inhe pehen lijiye warna aapko pneumonia ho sakta hai ye sardi ke mausam ki baarish hai so pls ye kapde actually mere kisi close ke hai"

"Unhe koi objection!"

"Ji nahi wo darasal ab mere zindagi mein nahi hai"

Itne mein bijliya kadak uthi jisse wo siham uthi, fhir usne muskurakar kapde liye aur bathroom mein chali gayi,

Siddharth dinner kar chuka tha fhir bhi us ajnabi ladki ke liye wo khaane ki arrangment karne laga kya malum wo bhooki ho? Abhi wo apni kashmakash mein ghira tha tabhi ek thande hawa ka jhonka oose apne gardan par mehsus hua, usne hadbadakar piche mudkar dekha to paaya wo ladki muskuraye uske piche na jaane kabse khadi thi

"Aa.p kab mere piche aaye m..mujhe aahat bhi nahi lagi"

"Andhera bahut hai aur upar se hawao aur bijliyo ka shor se shayad aapko pata na chala ho"

"Ho sakta hai accha maine aapka to Naam bhi nahi pucha aaiye baithiye"

Siddharth uske liye kursi aage kiye saamne wali kursi par jaakar baith gaya wo dining table ke aamne saamne baithe huye they, dining table par rakhki tamaam mombatiya charo taraf ke andhero ko roshan kar rahi thi,

"Mera naam ranjana hai"

"I am Siddharth bytheway aap mujhe is sheher ki to nahi lagti"

"Actually I came from tangail"

"Oh great main bhi Dhaka se yaha kuch hi saal huye hai base huye waise aap akeli yaha ghumne aayi thi"

"Actually yes mere zyada koi dost nahi aur naa main is sheher se utni waqif hoo bas ghumne ka Mann hua tha aur jab yaha aayi toh mountain valley ka naam suna toh socha yaha ghumne chali aau"

"But that's not safe to go all alone there waha par bahut zyada jungli janwar hai ghane junglo mein jo shikar ki talash mein aksar ghati ke aas paas bhi ghumte hai last year to waha maine suna ki tiger dekha gaya tha but that was all hoax kisi ne afwah hi udaai ho"

Itne dair mein achanak waha kayi saare siyaaro ki ek saath rone ki awaaz aane lagi, wo pal kaafi bhayavah sa lag raha tha, ranjana ektak Siddharth ko ghurr rahi thi aur mombatti ki paas rakhki roshni mein wo waqayi kaafi rahashmayi si lag rahi thi,

"Raat bahut ho chuki hai isliye shayad ye log bhatak rahe hai aksar bhatakte huye bungalow ke compound mein bhi ghuss jaate hai isliye kitchen aur tamaam darwaje main lock hi rakhta hun aur upar se akele rehta hoo toh that's why"

"Aap apne parivar ko yaha kyu nahi le aate?"

"Wo aana nahi chahte aur sach pucho to main chahta hi nahi ki koi mere saath rahe mujhe akele mein sukoon milta hai"

"Sahi kaha aapne jo sukoon akele mein hai wo kahi nahi, lekin ghutan si ho jati hai aur yahi ghutan bechain karti rehti hai aatma ko"

"Isliye to har kisi ke bas ki nahi hoti akele rehna waise main to Ghar par kam hi hota hun bas raat ko hi ghar aa paata hun anyway ranjana tum chaho toh apne gharwalo ko phone kar sakti ho"

Itne mein Siddharth ne jab apna phone check Kiya to network mauzud nahi tha shayad bheeshan tufaan se network kharab they, ghar pe pada telephone bhi 2 hafte se kharab pada tha, jab ye baat Siddharth ne ranjana ko bataya to wo fikarmand hone ke bajaay wo muskurayi

"Koi baat nahi Siddharth waise bhi mere parivarwalo ko malum nahi ki main yaha aayi huyi hoo aur is tufaan ke thamte hi main chali jaungi"

"Lekin fhir bhi mujhe jannewalo se haalat ka jayeza lena padega kyunki sheher jaane waali jo iklauti sadak hai wo aksar land sliding mein fass jaati hai aise mausam mein anyway aaj ki raat yahi stay kar lo main kal tumhe khud sheher chodh aaunga"

"That's so sweet of u"

Itne mein Siddharth ne ranjana ko un kapdo mein dekha jo usne oose pehnne ko diye they wo waqayi oose kisi ki yaad dila rahe they aise hi toh sunhere baal they uske,

"Waise ye kapde kiske hai tumne bataya nahi?"

"Darasal ye dress meri ek khaas dost ke they I mean my ex-fiance saumya hamari shaadi hone waali thi hum ekdusre se bahut pyaar karte they but ek din I had caught her with someone and"

Kehte kehte Siddharth gambhir ho gaya wo ek ajnabi ladki ko apni zyadti zindagi ke baarein mein bata raha tha haalaki ranjana se baat karte karte wo kab usse itna free ho gaya ki oose malum hi nahi chala, Siddharth ne oosi waqt saumya se break up kar liya tha kasoorwar Siddharth khud ko manta tha kyunki saumya ko time na de paane se aur hamesha jhagda aur ladai ki wajaho se saumya usse dur hoti jaa rahi thi itni dur ki wo kisi aur shaks se dil lagane lagi haalaki ye baat wo Siddharth ko keh dene wali thi lekin siddharth ko pehle hi malum chal gaya aur yahi wajah se dono ki mangni aur ek lambe samay ka rishta Tut Gaya

"I am really sorry for u if I asked u about ur past"

"Arre nahi balki mujhe bataakar halka mehsus ho raha hai mera bhi koi dost nahi hai aur main aksar business mein hi apna mind divert karta rehta hu is wajah se main aur akela rehna pasand karta hu"

"Tumne mujhe aaj ki raat yaha panaah deke mujhpar bahut bada ahesan kiya hai"

"Arre koi baat nahi ismein shukriya kaisa? anyway tum kuch khaogi maine to pucha hi nahi ki tumhe bhook lagi hai ya nahi?"

"Nahi main kuch nahi khaana chahti"

Siddharth hairan tha ki usne ek glass paani ki bhi abhitak maang nahi ki thi, tamaam samjhaane ke bawajud bhi ranjana ne kuch bhi khaane se saaf inkar kar diya, Siddharth kuch aur dair ranjana se baat karta raha uske zyadti zindagi ke baarein mein janne ki koshish karta raha ranjana ne sirf oose itna hi bataya ki wo banglore se thi aur apne maa baap ki Siddharth ki tarah ikaluti aulaad thi, baatein baatein karte raat aur bhi gehri hoti jaa rahi thi tufaan aur bhi tej ho utha tha ab aasman mein sirf bijliya kadak rahi thi barish tham chuki thi,

Siddharth ne mehsus kiya oose ab neend aa rahi thi lekin ek anjaan shaks ke ghar par hone se wo sone jaane mein muskil mehsus kar raha tha, jab aankhe waqayi bhaari hone lagi to usne ranjana se pucha

"Anyway raat bahut ho chuki hai aapko main apka kamra dikha deta hun shayad aap bhi safar se thak gayi hongi aur mujhe bhi bahut neend aa rahi hai"

"Okay"

Siddharth ne ranjana ko guest room mein kamra de diya, jise ghurrte huye ranjana fhir sidharth ke mukhatib huyi

"Acha main chalta hun gudnight kal baat karte hai okay"

Ranjana ne koi jawab nahi Diya, bas muskuraya aur jaise ishare mein hi sehmati zaahir ki, naa jaane kyu Siddharth ko wo kuch azib si mehsus ho rahi thi, lekin koi khaas baat to usmein aisi thi nahi, lekin fhir bhi ek anjaan ladki ko apne ghar mein panaah deke so jaana Siddharth ko gawara nahi ho raha tha wo sidiyo se apne kamre mein aakar darwaja lagaye bistar par lait to gaya lekin dimaag reh rehke yahi krh raha tha ki kisi gair pe bharosa karna theek nahi, kya malum is raat kab kya ghat jaaye?, Kahi waqayi wo koi badmash giroh se taluq rakhti ladki to nahi agar aisa sach tha to Siddharth janta tha ki oose panaah deke usne bahut badi galti kar di thi aur jaane anjaane mein usne apne baarein mein oose bahut kuch bata diya tha,

Siddharth ne faisla kiya ki wo aaj raat nahi soyega, wo har harqat par nazar rakhega lekin fhir oose apne dil mein ye sab karna bachkana lagne laga, ek masum ladki toh thi  jo akeli besahara madad ki imdaad mein uske dar par aayi thi, itna bhi Shaq karna theek nahi? Shayad aisa pehli dafa hua tha jis wajah se sidharth itna zyada soch raha tha, Siddharth yahi sab sochte sochte kab neend mein dub gaya oose malum bhi nahi chala,

Ghadi ki suyi uske kaano mein reh rehkar pad rahi thi aur bahar kadakti bijli ki gunz bhi reh rehkar sunai diye jaa rahi thi, achanak usne kuch mehsus kiya bahut kareeb aati us awaz ko, koi kadmo ki awaz dhapp dhapp jaise koi bhaari kadmo se theek sidiyo se upar ke maale par aa raha tha, Siddharth ki aankh gehri neend ki bawjud ekdum se khul gayi..
Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 1 hours and 25 minutes.
Posts: 187
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #2 on: December 30, 2023, 12:34:59 PM »
Bhaag 3

Wo kadamo ka shor theek sidiyo par chadhta dheere dheere upar aa raha tha tha, uske baad jaise wo tehera aur ab bina ruke wo kadmo ki awaz sidha uske kamre se guzarti huyi theek darwaje ki taraf aakar teher gai, is beech Siddharth jaag chuka tha na jaane kyu Aaj oose ghabrahat si ho Rahi thi, jabse wo ladki ranjana ko usne Ghar mein aane Diya tha tabse oose kuch toh khatak raha tha, wo ladki hassti muskurati hone ke bawjud kayi raaz ko apne bheetar chupaaye huyi thi,

Siddharth ab intejar karne laga ki shayad wohi thi jo sidiyo se shayad upar aayi thi uske paas, lekin naa koi harqat nahi huyi wo kafi dair baitha raha lekin darwaje pe kisi ne dastak nahi di, lekin usne saaf suna tha ki koi upar aaya Siddharth ne razai ek or faikhi aur dabe pao darwaje ke kareeb aakar usne haule se darwaja khola bahar sannata tha galiyare mein koi bhi nahi tha, to kya uske kaano ne jo saaf dhapp dhapp kadmo ki awaz suni thi wo kya mehez dhoka tha?

Is baar sidharth ne mombatti ki roshni se charo taraf jhaaka galiyare mein koi nahi mauzud tha usne aage badhkar sidiyo par nigaah daudaayi waha bhi koi nahi tha, naa jaane load shedding kab theek ho payegi ya shayad bhari tufan ke chalte hi kahi bijli ka khamba gira tha jis wajah se light nahi aa rahi thi,

Siddharth ne socha ki sone se behtar ek baar niche jaakar ranjana ka malumat kar liya jaaye aur isi intention ko liye wo sidiyo se niche jab mombatti leke aaya to usne paaya ki jaha jaha mombattiya rakhki thi waha andhera tha shayad mombattiya bhuk chuki thi ya fhir pighal gayi thi,

Siddharth daayi taraf guest room ke paas pahucha usne paaya ki bheetar se kayi mombatti ki roshniya aa rahi thi aur darwaja bhi khula hua tha,

"kya ye ranjana ko neend nahi aati itni raat ho gayi kaisi ladki hai yeh? Ek toh usne kuch khaane se aise inkar kar diya maano jaise maine puchkar koi gunah kar diya aur ye itni thand mein darwaja khole kamre ka kyu rakhki huyi hai?"

Siddharth ne jaise hi andar dekha to chaunk utha ranjana bistar ke theek kareeb farsh par baithi thi aur mombattiya usne jo bahar jal rahi thi un sab ko apne ird gird rakh diya tha uski nigaah jhuki huyi thi aur nazare mombatti ki lau ko aise ghurr rahi thi jaise kisi dhyaan mein ho,

"Ranjana hey ranjana are u okay? Farsh par baithi ye kya kar rahi ho?"

Ranjana ne nazare uthayi aur ghurrkar Siddharth ki taraf dekha uske chehre ne kayi rang badla jaise ekdum se muskurahat fhir gambhir nazaro ka normal ho jaana, fhir usne waise hi Siddharth ko ghure andar aane kaha

"Aao na waha kyu khade ho?"

"Tum aise farsh par kyu baithi ho? Aur ye itni saari mombattiya tum yaha uthaake kyu le aayi?"

Siddharth uske paas aake tehra aur fhir wohi baith gaya oose mehsus hua ki farsh bahut thanda tha na jaane ranjana kabse waise hi waha baithi huyi thi,

"Hahahaha"....ranjana jawab mein hassne lagi aur ek baar usne hassna shuru kiya to bas wo hassti rahi

"Arre kya hua?, Maine koi joke toh nahi sunaya are u okay?"

Ranjana ekdum se hasste hasste sanjida huyi fhir usne muskurakar kaha "darasal raat mere liye din jaisa hai aur main aksar raat ko jaagi rehti hoo aur rahi baat in mombattiyo ki to main dhyaan kar rahi thi"

"Dhyaan? Kaisa dhyaan? Okay I got it tum itni raat gaye amal kar rahi ho"

"Amal"

"Haan amal aatmao ko bulaane ke liye hi to log itni raat gaye amal wagaira karte hai isn't it"

Siddharth hass pada lekin is baar uski hassi zyada dair na tehri kyunki usne dekha ki ranjana waise hi gambhir oose dekhe Jaa Rahi thi,

Ranjana muskurayi fhir uske nazare normal huyi,

"Toh tumhe lagta hai ki main yaha baithkar amal kar rahi hoo waise ye kaali raat aur aise mausam mein aatmao ko bulaana aur zyada aasan hota hai"

Matlab Siddharth sahi soch raha tha, is baat Siddharth ne mazaak chodhkar sanjida hokar oose mana kiya oose ye baat nagawar guzri ki koi uske ghar mein ajnabi aakar raat gaye aisa kuch kare,

"Dekho ranjana main in superstitious baaton pe yakeen nahi karta aur main pasand karta hun ki tum ye sab karo main in cheezo ko napak samjhta hun"

"Toh kya tum darr gaye hahaha"

Is baar Siddharth thoda naraz ho gaya lekin ranjana ke chehre pe koi badlav nahi aaya

"Jiska koi wajud nahi usse kaisa darr? Chodho ye sab baato ko aur jao jaake so jao main bhi kaafi thak sa gaya hun"

"Tum jaakar so sakte ho par mujhe neend nahi aati waise aisi raat mein neend aa bhi kaise sakti hai?"

"Matlab?"

"Tumhe pata hai aisi raat gaye kaali taqate jaag uthti hai roohon aur aatmao ko azaadi milati hai"

"What rubbish?"….Siddharth ne mann hi mann socha ki ho sakta hai shayad wo koi prank kar rahi ho aur isi chalte usne oose akela paakar ye sab karna shuru kiya ho, ya fhir kya pata? Wo koi sanki pagal ho waise bhi uske vyavhar mein bahut kuch azib tha kaash uske baare mein Siddharth kuch jaan paata

Itne mein bijli kadki toh jaise Siddharth ka dhyan tuta, "hahaha main to khuli kitaab hu mujhe janne ki kya zarurat?"

Siddharth aasman se gira, "k..kya kaha tumne? Maine kab kaha ki main tumhare baarein mein aur kuch janna chahta hu"

Siddharth ko laga ki jaise usne uske Mann ki baat padh li thi, ranjana bas muskurayi raat gehri hoti jaa rahi thi siyaar aur bhi zyada kareeb hi ilaake mein ro rahe they, ek toh unki rone se manhusiyat aur upar se ranjana jaisi ladki ka azib vyavhar Siddharth ko aur bechain kar raha tha,

Kuch der khaamoshi ke baad ranjana ne Siddharth se kaha ki wo chahe to apne kamre mein jaake so sakta hai lekin siddharth ko kahan neend thi? Siddharth ne sawal kiya ki wo aisi kyu thi? Kyu wo rahasmayi bani huyi thi? Jiske jawab mein is baar ranjana na hasi na muskurayi aur ab wo khaamoshi se sar jhukaaye phadphadati mombatti ki lau ko teekhe nazaro se ghurre jaa rahi thi,

Kayi der baad bhi jab usne koi jawab nahi Diya toh Siddharth aaziz aakar oose mana karne hi wala tha ki tabhi dayi taraf ke kamre ki khidki achanak se khul gayi, usse Siddharth kaanp utha bahar ki ho ho karti hawaaye andar dakhil ho rahi thi, do mombattiya bhuj gayi thi aur baaki bhi bujhne ke kagaar par thi, Siddharth isse pehle hi uthkar khidki ke paas aaya aur usne khidkiya jhat se laga di shayad hawa se khidki ki dheeli lagaaye rakhne se khul gayi thi, khidki lagte hi hawaye aani band ho gayi Siddharth ne muskurakar jab ranjana ki taraf dekha to wo ghabra gaya,

Kyunki ranjana theek waise hi baithi jhuki huyi nazaro se mombatti ko ghurr rahi thi lekin uske gale se ek dohri si awaz aani shuru ho gayi thi,

"Ranjana ranjana are u okay? Hey listen, main nahi darrne wala ranjana hey listen main tumhe mana kar raha hoo ye sab harqat mat karo ranjana I said stop it bahut ho gaya mazak ki ek had hoti hai ye sab karke tum mujhe gussa dila Rahi ho, ranjana tumse keh raha hoo gardan akad jayegi tumhari aise mat jhuko ranjana arre yar what's wrong with this girl?"

Siddharth ranjana ke kareeb aakar khada ho gaya ab wo waqayi naraaz tha, usne zor zor se ranjana ko awaz di oose uthne kaha lekin ranjana waisi hi baithi aur sar jhukaaye mombatti ki lau ko ghurrte jaa rahi thi,

"Ranjana u are crossing ur limits mere ghar mein ye sab karna tumhe bhaari pad sakta hai main bahut bardasht kar liya okay fine now u have to get up and apologize"

Is baar Siddharth ranjana ko uthaane jhuka aur usne kasskar ranjana ke baazu se oose jab uthana chaha to jaise wo tharra gaya wo ghabrakar ranjana se kai faasle dur khada ho gaya ranjana ka pura shareer laash ki tarah thanda pad chuka tha aur wo is qadar bhari mehsus huyi jaise koi bhaari patthar ka bhoj jitna uska wajan ho, is baar Siddharth ko wo pagalo wali harqat karti ya mazak karti mehsus na huyi,

"Ranjana ye tumhe kya hua?"

Siddharth beech mein hi teher gaya kyunki ab ranjana khud pe khud khadi hone lagi thi uske baal uske chehre ke samne bikhare huye they aur ab wo aur bhi dohraati awaaz mein ghurra si rahi thi, Siddharth ne paaya ki uski chaal mein faraq aa gaya tha aur ab wo Siddharth ke paas aahiste aahiste aa rahi thi, apne mein himmat jutata Siddharth usse aur dur hone laga,

"Enough ranjana tum ye sab karke mujhe daraa rahi ho right?"

Koi faraq nahi agar wo waqayi acting kar rahi thi toh Siddharth oose pehchan sakta tha lekin usne saaf paaya ki wo chal nahi Rahi thi uske pao toh zameen ko chu hi nahi rahe they wo to jaise hawa mein uthe huye they kayi inch zameen se wo toh yun paas aa rahi thi jaise wo koi wo koi waqayi aatma ho,

"N..nahi nahi dur raho mujhse ran..jana what happened to u? What just happened to u? Kya hua hai t..tumhe nahi mere paas mat aana"

Siddharth bhaukhlaaye usse dur hote kamre mein idhar se udhar bhaage jaa raha tha lekin wo oosi taraf ka rukh karti jis taraf Siddharth hota,

"Huhhhhhhhh nahiii chodhungi tumhee nahii iii".....wo dohrati bhari awaz mein chillayi jaise kaan ke parde phatne ko ho pura kamra uski chillahat se gunz raha tha

Siddharth par wo jaise jhapati aur wo dahadhte huye sidha bistar aaundhe munh jaa giri Siddharth ne furati se kayi fasle se dur kudkar khud ko bacha liya tha , wo fhir hawa mein uthte huye ab panjo ke bal Siddharth ke piche bhaagi Siddharth ke paas mauka tha usne palak jhapakte khule darwaje ko thele bahar nikalte huye fauran darwaja laga diya lekin oose lock maarein hadbadahat mein kar na paaya kyunki ranjana theek uske piche thi, Siddharth girta padta sidiyo par bhaukhlaaye darre chadhta hua upari maale par pahucha, piche mudkar oose dekhne ki taqat nahi thi...

Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 1 hours and 25 minutes.
Posts: 187
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #3 on: December 30, 2023, 12:35:56 PM »
Bhaag 4

Upari maale par haafta daudta chot khaata apni nakam ukhadhti saanson ko kaabu karte huye siddharth fauran apne kamre mein pahucha aur jor se darwaja lagaya usne koi bhi lock nahi chodha tha lagane, ab wo dehshat se tharr tharr kaanp raha tha,

Wo samajh nahi paa raha tha ki jo kuch abhi hoke ghata kya wo waqayi Haqeeqat tha? Usne toh Ranjana ko normal samjha tha fhir ekdum se uski dohrati wo awaz usne kayi dafa filmo mein dekha tha aur zikar bhi suna tha ki hamari gale ke vocal cords mein badlav aane se aksar insaan kayi awaze nikaal sakta hai, lekin agar aisa tha bhi toh ranjana oose sanki pagal se zyada kuch aur mehsus ho rahi thi aise haalat tabhi uthte hai jab insaan ya toh waqayi split personality ka shikar ho ya fhir possessed,

Ye sunkar ek pal ko Siddharth yakeen karne pe mazbur ho gaya Haan ho sakta tha ki wo ladki aam nahi koi cheez uspar us ghadi sawaar ho lekin agar fhir bhi aisa tha toh wo hawa mein kaise uth sakti thi, kaise kisi tej taraar janwaro ki bhaati wo panjo ke bal daud sakti thi,

Abhi dehshat kam nahi hua tha, kyunki bedroom ka darwaja band ho jaane ke bawjud wo upar pahuch sakti thi, ab Siddharth samjh nahi paa raha tha usne apna phone talaasha lekin oose khyaal aaya ki ranjana ko phone dete waqt usne network issue dekhkar oose paas ke table pe rakh diya tha yaani phone living hall mein hi pada tha, sh#t ab wo kya kar sakta tha? Ek to wo upari maala uchaai par tha aur agar wo nikal bhi Gaya toh kaise itni bheeshan tufani raat mein sheher tak pahuch sakta tha,

Wo ache dhang se janta tha ki yaha ki raat kitni unsafe hoti thi, koi bhi jungli siyaar ya fhir koi ghatak janwar uspar hamla kar sakta tha ab wo kya kare? Ek min ko Siddharth kaan lagaaye sunne laga lekin dabi bahar ke hawao ke shorr ke khaamoshi ke siwaah kuch sunaai nahi de raha tha,

Kya ranjana upar nahi aayi thi? Ya fhir wo kahi chupkar andhere mein uske bahar nikalne ke intejar mein thi, Siddharth ne apne gale pe lagi us kharoch ko chua to uske raungte khade ho gaye usne sheeshe par jaakar dekha waha se ris ris ke khoon aa raha tha, jabki wo ranjana ke vaar se bach nikla tha ab Siddharth fhir sochne laga ki agar ranjana waqayi uspar haavi ho gayi toh uska kya hoga? Wo haulnaak manzar yaad nahi karna chahta tha, aaj wo waqayi aafat ki tarah uske ghar mein dakhil ho chuki thi,

Bijliya kadakti jaise zameen par gir Rahi thi, jiski ekdum se aati bhari awaz Siddharth ko aur zyada daraa rahi thi, kahi dur usne suna ki kayi jungli kutte ek sath ro rahe they, waqayi ye kaali raat manhus thi aaj kuch ghatne wala tha,

Jab kaafi dair tak Siddharth ko koi awaz nahin sunaai di, toh wo darwaje ke pass aaya usne kaanpte haatho se darwaje ki muth ko abhi thaama hi tha ki oose darwaje ki muth apne aap mudti dikhi yaani koi bahar tha Siddharth do kadam piche hat gaya, nahi ranjana ne itni aasani se uska picha nahi chodha tha, ab wo lohe ki muth kayi baar ghum Rahi thi upar niche, jaise koi zabran darwaje ko khol Dena chahta tha,

Aur theek tabhi dhadh dhadh ki awaz aani shuru ho gayi darwaja koi jaise todne ki koshish kar raha tha, Siddharth chilla utha

"Darwaja kholo Siddharth darwaaja kholo warna main darwaja Tod dungi"

Siddharth ne koi jawab nahi Diya balki paas rakhki bari si lamp post ko usne uthaakar darwaaje se bhidha Diya fhir wo aur bhaari cheez dhundhne laga taaki darwaja khul na paaye ab koi dahadhta darwaje ko dohri awaz mein Tod raha tha, aise lag raha tha jaise wo darwaje ko tod hi degi,

Siddharth kuch samajh nahi paa raha tha ki ab wo kya kare? Ki tabhi achanak se usne ranjana ki dobara awaz suni ekdum normal awaz

"Siddharth Siddharth darwaja kholo are u okay"

Is baar usne darwaje ko aise Peeta jaise koi aam insaan karta ho uski awaz mein Darr tha,

"Siddharth pls open the damn door mujhe yaha andhere mein bahut Darr lag raha hai Siddharth pls"

Siddharth ne tab bhi koi jawab nahi Diya ye sab kya tha? Abhi usne khud oose ranjana nahi kuch aur samjha tha aur ab wo bilkul aam insan ki tarah normally oose awaz diye jaa rahi thi kya ye koi dhoka tha?

"Siddharth pls open it"

"Nahi nahi main darwaja nahi kholunga tu..tum insaan nahi ho"

"Siddharth pls meri baaton ka yakeen maano main ranjana hoo tum darwaja pehle kholo main tumhe sab sach sach bata dungi"

"Kaisa sach?"

"Pehle ye darwaja kholo Siddharth warna wo aa jayegi"

"Wo kaun?"

"Wo..wohi wohi".....ab ranjana ro rahi thi

Siddharth kuch samajh nahi paa raha tha aakhir ek hi raat mein ye sab kya ho raha tha? Kya ranjana waqayi normal ho chuki thi? Achanak Siddharth uthkar darwaje ke kareeb aaya ranjana roye jaa rahi thi,

"Wo sab kya tha ranjana? Main janta hun wo prank ya tumhara koi mazak nahi ho sakta sach sach batao aakhir ye sab kya chal raha hai?"

"Dekho Siddharth agar tumne darwaja nahi khola to wo mujhe maar dalegi"

"Wo kaun? Jhoot mat bolo wo tum hi thi tum natak kar rahi ho main kaise maan lu?"

Siddharth kehte kehte keyhole se jab bahar jhaankta hai toh uski saansein ruk jati hai, kyunki saamne koi tha hi nahi, agar ranjana saamne hoti to wo dikhti lekin sirf uski roti awaz hi Siddharth ke kaano mein pad rahi thi, Siddharth ko wo kayi bar darwaja kholne ki guhaar lagaye jaa rahi thi darwaja peette jaa rahi thi, aur darwaja peette peette achanak uski awaz badalne lagi wo fhir dohri bhari awaz mein ghurrane lagi darwaje ko is tarah hilaane lagi ki pura kamra hi jaise kaanp uthta,

"Siddharth darwaja kholo, darwaja kholo"

Ab us awaz mein minnat ya fariyad nahi thi, ab ek tahaka lagati hassi aur gussa tha Siddharth palbhar mein saamne se hat gaya warna darwaja kaanpne se uske lagaye cheeze uspe jaa girti ek ke baad ek tamaam cheeze darwaje ko atkaane ki apne aap idhar udhar gir padi, darwaja itni zor se wo tod rahi thi ki ab bas darwaje ka hi fasla tha,

Siddharth bistar par girta padta dusri taraf pahucha usne bathroom ke paas aakar darwaja lagana chaha to paaya ki bathroom mein koi tha, Siddharth ka jism barf ki tarah thanda pad gaya, kyunki bathtub paani se bhara tha aur usmein ek jism tair raha tha wohi kapdo mein jo ranjana ne pehle pehna hua tha, uske munh se uthte bulbule upar aa rahe they, kya wo ranjana thi? Kya wo waqayi zinda thi?

Siddharth uske kareeb aane laga oose apni dhadkan apne kaano mein sunai dene lagi, pura badan kaanpein jaa raha tha dimaag sun padh chuka tha kya wo waqayi ranjana thi? Lekin ranjana uske kamre mein aayi kab? Aur agar wo ranjana thi? Toh wo aurat kaun thi? Jiske sath abhi Siddharth baitha tha aur jo ekdum se uspar hamla kar baithi, wo sab waqya kya tha?

Siddharth bathtub ke paas aaya ranjana ki aankhe pathrayi si thi, paani mein uska jism tehra hua tha aise lagta tha wo marr chuki thi, bijli ki reh rehkar kadakti roshni khidki se bathroom mein pad rahi thi, aur oosi beech uska fhak pada chehra aur nazare dekh Siddharth ek pal ko diwaar se larkharakar ja sata, bulbule ki awaz uth rahi thi, oose mare shayad zyada waqt nahi hua tha ek pal ko Siddharth ko bahar darwaje ka khyal aaya wo bahar lauta darwaja badastoor band tha aur ab koi bhi darwaja peetne ka ya kisi ki mauzdgi ka ahesas bahar nahi ho raha tha ya fhir shayad wo bhram tha? Agar ranjana bahar thi to ye andar uski laash,

Bijli ekdum se kadki to bulbulo ki awaz itni zyada oose sunaai di ki usne palatkar andar jhaaka wo chilla utha kyunki laash bani ranjana ab bathtub mein baithi thi aur uska fhak pada chehra ekdum safed pad chuka tha pura chehra zakhmi tha aur hontho se kaala kaala khoon nikal raha tha aankhe Siddharth ko ghurr rahi thi, safed syaah gulabi aankhe,


Aaaahhhhhhhh......wo dehshat se bhari awaz Siddharth ki thi wo bhaagta darwaje ke kareeb pahucha usne saare locks khol diye aur bahar andhere galiyare mein nikla waha koi nahi tha koi ranjana nahi thi, hoti bhi kaise jo andar bathroom mein bathtub mein padi thi wo bhi toh wohi thi, kya ho raha tha ye sab?

Siddharth sidiyo par gir pada, kisi tarah dum saade wo langdaaye darwaje ke paas pahucha aur theek tabhi oose ahesas hua ki darwaja usne lock kar diya tha aur uski chaabi usne upar apne bedroom mein rakhi huyi thi, dobara kamre ka rukh upari maale jaana oose nagawar guzara usne paas rakhki kursi uthaayi aur darwaaje ki aad mein bane sheeshe par kursi ko de maara khanaak se sheesha aadha Tut Gaya,

Bahar ki barish ki jhapte andar padne lagi aur hawaaye bhi, un hawao mein ek azib sa awaz tha jaise kayi log ek saath ro rahe they, Siddharth ne ghabraye piche dekha uska pura badan pasine se tarbatar tha kaano ke paas piche oose apna hi khoon bajte mehsus ho raha tha, Siddharth furati se tute sheeshe ke khule raaste se bahar jhukkar nikal hi raha tha ki oose mehsus hua ki uski peeth aur gardan tute kaanch se ragad khaane lagi dard ko Peete huye wo jaise taise bahar nikalne hi wala tha ki tabhi wo jadh sa ho gaya,

Kyunki samne manzar hi kuch aisa tha wo saare ghurrate jungli janwar bahar oose ghaire huye they unki chamkti nigaah Siddharth ki taraf uthi huyi thi, agar wo jaise taise tanha andhere bhari sadak par chal bhi leta toh wo jungli jaanwar se oose koi bacha nahi sakta tha wo oose cheedh phaadh daalte, ab Siddharth waqayi khud ko kos raha tha ki kis manhus ghadi mein usne waha Ghar chuna tha, jaha aas paas madad ke liye koi insan bhi nahi tha, kaash naukar kaka ko usne jaane hi na diya hota,

Wo log ghurrate Siddharth ki taraf aane lage hi they ki Siddharth ne fauran oosi raaste se waapis bheetar jaane ka irada kar liya aur isi mein uski gardan aur peth buri tarah zakhmi ho gayi uski dardbhari cheekh uth gayi aur wo dard se tadapta wapis Ghar ke andar aa gira isse pehle ki wo jaanwar ab andar aate, Siddharth ne uthkar saamne rakhki ek bhari sofe ko puri taqat se khiskaate huye adhkhule tute sheeshe ki jagah par jaa lagaya ek janwar andar hone ki koshish karne laga toh Siddharth ne vase uthaakar uske sar par de maara, wo cheekhta hua janwar wapis bahar ki taraf jaa bhaaga toh Siddharth ne sofey ko ache tarah us khule jagah pe lagaake us hisse ko band kar diya lekin ab musibat ye thi ki wo kare kya? Kyunki wo dobara maut ke munh mein aa baitha tha,

Usne kaanpte apne gardan par chube sheesho ko ek ek kar nikaalne ki koshish ki jo nakam thi wo zakhmi tha dard se sirhan daudh uth rahi thi, achanak Siddharth ne dekha ki koi panjo ke bal saaya niche utar Raha tha panjo ke bal sidiyo par chalta aur theek tabhi usne ranjana ko dekha wo hathyar talashne laga ab darr itna uske dimaag pe ghar kar gaya tha ki sochne samajne ki oosmein taqat hi nahi bachi thi,

Siddharth ko kuch na mila toh wo kamre mein chupne ki koshish karne laga lekin usse pehle hi ranjana uske paas aa chuki thi, ab Siddharth ke paas koi chara nahi bacha tha, ranjana pehle se bhi zyada bhayankar dikh rahi thi uske bikhre zulfo mein un janwaro ki tarah jalti do syah safed gulabi aankhe Siddharth ko ghurr rahi thi dheere dheere wo panjo ke bal diwar par chadhte huye uspar khadi hone lagi ye aisa bhayavah manzar tha jo Siddharth kabhi nahi bhulne wala tha,

Siddharth patte ki tarah kaanpein jaa raha tha, ab kaleja jaise uske munh ko aane wala tha jaise insaan zameen par chalta hai theek waise hi ranjana ulta diwar par chalte huye siddharth ke kareeb upari imarat par aa rahi thi uske baal hawa mein latak rahe they aur wo khamosh thi jaise uska shikar ab uske kuch fasle par tha,

"K .kaun ho tum? Ky.u kar rahi ho aisa? Tum kaun ho?"

Jawab dene ki jagah ranjana tehri aur usne ekdum se Siddharth par chalang laga di Siddharth ka jism jaise uske bhoj se bhaari ho utha uske gale par uske nukhile naakhun they aur uske dono pao ke panje Siddharth ke taangon ko thaamein huye se they,

Uska chehra Siddharth ke chehre se 1 inch hi ab dur tha Siddharth chahkar bhi oose khud se hata nahi paa raha tha aur itne mein ranjana ne ek muskurahat di, ek shaitani khauffnaak muskurahat uski aankho mein Siddharth dekhne ki himmat nahi laa pa raha tha, wo munh mode bas ab kisi bhi pal ek dardnaak maut paane ke intejar mein tha,

To be continued.....

Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 1 hours and 25 minutes.
Posts: 187
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #4 on: December 30, 2023, 12:36:43 PM »
Bhaag 5

Tufaani wo kaali raat jab aisa lag raha tha jaise ye bigada mausam kabhi shaant hoga hi nahi aur wohi dusri taraf ghurrate aur rote wo tamaam jungli janwaro ki awazein jo aasman ki taraf na jaane kyu dekhte huye roye jaa rahe they? Unhone Siddharth ka pura bangla ghair rakha tha, Siddharth ne abhi koshish ki thi ki nakaam wo janta tha wo bhaagkar bhi agar nikal jaata to sheher pahuchte pahuchte uske pao dukh jaate aur shayad hi wo sheher pahuch paata kyunki wo bhooke siyaar oospar nikalte hi Tut padte, Siddharth zakhmi haalat aur dehshat ke badhawasi mein jab andar waapis pahucha, toh usne sidiyo se panjo ke bal ranjana ko dobara utarte dekha jo diwaaro par chipkliyo ki tarah chalte huye aise khadi hokar chalne lagi jaise wo zameen ho, ye manzar dekhte hi Siddharth aur bhi zyada Darr Gaya,

Isse pehle wo kuch kar paata ranjana uspar kud padi, aur oose apni Geraft mein thaam liya aur ab uske lambe nakhun waale haath Siddharth ke gardan par they aur dusra haath uske seene par jabki uske pao ke panje uski dono taangon par is qadar dabe huye they jaise ek janwar apne shikar ko thaame huye tha,

Siddharth jisne aankhe mundte huye nazare fhair Li thi wo ab apni maut ke ghadi ke intejar mein tha, achanak usne ranjana ko ghurrate huye mehsus kiya, tabhi usne ranjana ki roti awaz suni, subakti huyi ranjana Siddharth ne uske chehre ki taraf dekha jin nazaro se ab aansu ki jagah khoon nikal raha tha, Siddharth jaise ekdum nam padh Gaya tha jab insaan zyada dehshat mein aata hai to jaise oose uski aadat ho jati hai waisa hi Siddharth ka haalat us waqt ho gaya tha,

"Aa..ajse kareeb 15 saal pehle main aise hi tufaan bhari raat ko yaha aayi thi panaah ke liye".....ranjana jaise beete kal ki us ghatna ko yaad kar rahi thi,

Siddharth chupchaap Sihma uski baatein sun raha tha, aur jo jo usne bataya uspar yakeen kar paana namumkin tha, 15 saal pehle us waqt toh wo Dhaka mein tha ye property liye toh oose mehez kuch saal hi huye they, toh fhir?

Ranjana ne Siddharth ko bataya ki us raat is ghar mein do log they jo party kar rahe they, unhone bheegi ranjana ko sar se pao tak dekha aur usi waqt unke dil mein ranjana ko haasil karne ki naapak iccha paida ho gayi, ranjana kyunki bholi thi aur madad ki imdaad mein us sard bhari raat mein bheegi thand mein thithur rahi thi uske paas panaah paane ke siwaah koi chara nahi tha,

Un dono ne ranjana ko fauran andar aane kaha, ranjana ne aage bataya ki uski gaadi kharab ho gayi thi aur oose gaadi check karne ka itna tajurba nahi tha, aaspaas koi insaani aabadi nahi thi jis wajah se wo garage bhi dhundh na saki, un dono ne bataya ki us jagah par siwaay veeran ghaati aur jungle ke siwaah kuch nahi tha,

Ranjana ko unhone apne kapde diye lekin ranjana insecure feel karne lagi, kyunki wo kapde mardana they, unmein se ek ne kaha

"Tum bahut bheeg chuki ho c'mon we are not like strangers tum ek kaam karo ise pehen lo aur guest room waale kamre mein chali jao okay agar raat ko tumhe kuch bhi zarurat pade awaz de Dena"

Ranjana ne unhe bhala insaan samjha lekin wo kya janti thi? Ki us raat usne bungalow mein panaah lekar kitni badi bhul kar di thi, ranjana guest room mein jaakar darwaja laga baithi,

Idhar un dono ne khub sharaab pi aur dusre shaks ne pehle waale se sawal kiya,

"Yaar maine to socha ki aaj raat bas sharab aur kabab se hi kaam chalana padega lekin uparwale ne toh shavaab bhi bhej diya yaar kya haseen Bala hai? Upar se akeli tune pakka dekh liya tha wo akeli thi"

"Haan yaar ab chodh in baato ko chal saali ko apne rang mein dhaal lete hai"

"Pagal hai kya agar koi lafda ho gaya toh"

"Abey kutte yaha aas paas koi rehta hai jo yaha dekhne aayega ki kya ho raha hai? Dekh ladki madad ki imdaad mein thi modern bhi hai thoda insist karke pilaa dete hai aur jabtak kal Nasha utarega oose kuch yaad nahi karega aur humhe kya? Apna matlab to pura ho jayega"

"Lekin agar usne drink nahi kiya toh"

"Toh ghee tedhi ungli se nikaalna mujhe aata hai"

Dono shaitani hassi hassne lage, dono ne plan banaya ki pehle ranjana ko wo peene ke liye manayenge jab wo nahi maanegi toh fhir wo uske saath zabardasti karenge, kyunki nashe mein wo itne andhe ho gaye ki apne hawas ke liye wo kisi bhi had tak jaa sakte they,

Dono jhumte larkharaate nashe mein aur churr hokar ranjana ke kamre ka darwaja khatkhatane lage, ranjana hadbadaakar jo apne bistar par baithi huyi aage ke liye soch rahi thi wo ekdum se uth khadi huyi usne jab darwaja khola to saamne oose wo dono nashe mein dhut mile unse sharab ki mehek aa rahi thi,

"Can we have a drink together c'mon akele akele baithi bore ho jaogi"

"Even we have some beverages for u kuch khaa pee lo shayad bhooki hogi"

"N...nahi mujhe kuch nahi chaiye aap log yaha se jaiye dekhiye main drink nahi karti aur mujhe bhook nahi hai"

"C'mon baby I mean c'mon friend ek sip to banta hai aaj mera birthday hai so why don't u join us? Aaj raat ki hi to baat hai dekho hum tumhe company dena chahte hai"

Ranjana ko ab unke iraade samajh aane lage they, ranjana ne darwaja lagana chaha to unhone darwaja thel ke khol diya ranjana ki pakad hati aur wo sidha farsh pe gir padi,

"Aap log hosh mein nahi hai y..ye sab kya kar rahe hai aap log?"

"Hahaha abhi toh kuch kiya hi nahi hai baby"

Ranjana ne unke Geraft mein aane se pehle usne hathapayi shuru kar di, aur unhe dhakka dete huye kamre se nikalne mein kamyab ho gayi wo jab darwaje ke paas aayi to bahar jaane ke darwaje par usne mota taala latka dekha tha, yaani wo fass chuki thi, ranjana ulte pao bhaagi is baar usne sidiya tayy ki aur upar ke maale par pahuchi wo dono tahaka lagaate hasste dost uske piche they wo jante they waha se bhaag nikalna ranjana ke liye namumkin tha kyunki main darwaja ek hi tha jispar waqt rehte un dono ne taala laga diya tha,

Aadhi raat ke paar waqt tha, bahar hawaaye tej chal rahi thi, ranjana kisi tarah us kamre ka darwaja lagaaye khidki kholkar bahar jhaakne lagi bahar ka manzar kaafi bhayavah tha, aur uchaai kafi had lambi thi ranjana ko uchaai se darr lagta tha usne ek pao bahar nikaal kar fhir bhi koshish ki lekin koi zariya nahi tha niche pahuchne ka siwaay kudne ke, isse pehle wo koi faisla le paati kamre ke darwaje ko wo dono zor zor se peetne lage, ranjana badhawas bhauklaayi sihami apne anjaam se kuch samajh nahi paa rahi thi ki wo kya kare?

Wo ulte pao kamre mein pahuchi aur usne bathroom ka darwaja lagana chaha, lekin isse pehle wo darwaja lagaa paati kamre ka darwaja todte huye wo dono jhapat kar ustak pahuch chuke they, ranjana ab unke Geraft mein thi,

"Chodho mujhe jaane do I am begging u"

"Hahaha ye toh pehle sochna chahiye tha my love"

Ranjana ne bahut minnatein ki bahut fariyad lekin wo dono nashe aur hawas mein itna andhe ho chuke they ki wo ye nahi jante they ki unke haatho se kya ghatne wala tha?

Ranjana lekin unke changul chutne ki naakam koshish karne lagi aur usi pal usne puri taqat se dono ko dhakka diya aur unki pakad dheeli hote hi usne paas rakhkha botal pehle shaks ke sar pe de maara, khanaak ki awaz ke sath shesha tutke farsh pe bikhar Gaya aur wo apne sar ke khoon se tar zakhm ko pakada wohi karhaaye zameen pe tadapne laga,

"Teri ye majaal ruk saali"....dusra aadmi baagh ki furati se ranjana pe jhapta uska saara Nasha utar chuka tha ab wo aur zyada qeher banke ranjana pe tutne wala tha

Ranjana chillate huye bhaagi lekin uski pakad se bach na paayi us aadmi ne oose aundhe munh paani se bhare bathtub mein gira diya, jis wajah se ranjana ka sar hemam ke kaggar se jaa laga aur uska matha phat gaya aur jism paani mein dub gaya

Wo dusra aadmi paani ke rang ko laal mein tabdil hote dekh usne oose hadbada mein uthaaya toh paaya uske maathe se khoon beh raha tha par wo sirf behosh huyi thi, ranjana ko kandhe par uthaate huye usne oose bistar par le jaake faika aur fhir apne ghayal dost ko uthaane laga,

"Saali behosh hai marri nahi"

"Aahh sss bloody bi##h sar se khoon beh raha hai saali ko aisi saja denge ki zindagi bhar yaad rakhegi saara Nasha utaar diya kameeni ne"

"Ab niche Jaa ghunt maar nasha chadha aur mere liye bhi sharab ki botal laa aur sun niche drawer mein first aid hai jaake theek kar khoon beh raha hai"

Ranjana ko behosh haalat mein dekh wo dono uthe, ek ne uske behte sar phate zakhm ka muana kiya

"Chot gehri hai zyada khoon baha toh!"

"Abey jyada soch mat jaa niche aur jaldi waapis aa acha hai ab iske behoshi haalat ki wajah se ye haath pao nahi maaregi aur ab toh apni chot se kamzor bhi ho gayi hai agar zyada tamasha banaya toh gala ghotke yahi maar dunga isko"

"Abey gussa mat kar waise bhi itni raat gaye is tufaani raat mein kaun iski awaz in veerano mein sunne aayega"

"Haha himmat toh thi nahi iski yaha se niche chalang lagaane ki isliye toh dhar li gayi, aur agar gir bhi jaati to apna hi nuksaan karti kahan maari maari fhirti hahaha ab chal tu nikal"

Bijliya kadak uthi uska dost apne phate peshani ko rumaal se dabaye niche chala gaya tabtalak us aadmi ne bistar pe baithe baithe ek naya cigarette sulga liya usne paas rakhke kapde ko jaakar geela kiya aur usse behosh ranjana ke maathe ko ponchne laga zakhm gehra tha aur khoon ab bhi nikal raha tha ranjana kasmasane lagi

Wo dheere dheere hosh mein aane lagi toh oose apne sar pe khade us aadmi ka nazara hua, uski aankhe khauff se bhar uthi us aadmi ne dhair saara cigarette ka dhua uske chehre pe ugal diya, ranjana khass uthi usne rote huye apne haath pao maare lekin uske mazbut pakad se wo is baar kuch na kar paayi

"Mere dost ko chot pahuchayi tune ab dekh main tera kya hashr karta hai? Ache khaase mood ko aag laga di tune ab iska hisaab chuka"

Ranjana fariyad karti reh gayi lekin wo haivaan bankar uspar puri tarah savaar tha, bas pure kamre mein ranjana ke rone aur uski tahaka lagati hassi gunz rahi thi, niche apne maathe pe Patti baandhe ghumad ko tatole larkharaye gungunaate huye upar ke kamre se aati awaaze sun wo mannn hi mann khush hota sidiya chadhta upar aaya, usne darwaja khola to tabtak usne apne saamne apne dost ko khada paaya jo baddhi hassi hasta apne shirt ko pehen raha tha,

"Chal ja tu andar farig hoke mujhse niche milna hahaha botal laaya"

Botal thamaate huye uska dost andar aaya jaha bistar par oose ranjana bure haalat mein mili wo Haivaano ki tarah gulabi aankho se ooske badan ko ghurta uske paas aane laga ranjana oose manaa karne lagi, piche se uske dost ne muskurakar darwaja jor se bhaid diya

Bahar bijli ek paid par jaa giri kahi dur jungli kutto ki ek sath rone ki awaz aa rahi thi, sidiyo se larkharaye nashe mein dhut wo aadmi apne dost ka intejar karne laga jo upar ranjana ke sath apni hawas shaant kar raha tha,

Bahar tufaan thamne ka naam nahi le Raha tha, hawaaye zoro se chal rahi thi, tabhi uska dost hadbadaya uske kareeb pahucha usne apne nashe mein dhut dost ko jhinjhoda

"Abey kya hua? Itne jaldi kyu aa gaya?"

"Bhai re uski haalat behad kharab hai"

"Toh kya hospital le jaaye oose?"

"Yar mujhe to Darr lag raha hai agar usko kuch ho gaya aur uske gharwale oose dhundhte huye aa gaye"

"Kaun janta hai ki wo yaha aayi thi? Aur sun hum oose jaante nahi isliye sochna chodh wo yaha ki lagti bhi nahi tu ek kaam kar chal mere saath"

"Kya? Tu kahi oose thikaane?"

"Wo to aise bhi marr jayegi aur agar kahi uski laash police ko mil gayi to hum fassenge"

"Theek hai waise bhi yaha paas mein ek veeran jheel hai wohi chalte hai"

Dono ne wohi Kiya jo unka plan tha, upar aakar unhone ranjana ke nange jism ka muana kiya jagah jagah kharoch aur daanton ke kaatne ke nishaan they laash milate hi police ko samajh jaana tha aur agar subah tak unka naukar aaya to aur bhaari musibat, par us waqt bhi ranjana zinda thi lekin uski haalat kharab thi, un dono ne sharaab ki botal uthaayi aur ek ne ranjana ko sar se uthaaya

"N..nahii nahiii"....badhawas marri awaz mein ranjana unhe rok na paayi

Aur unhone oose zabran sharaab pilaa di is qadar ki sharaab uske munh se aadhe se zyada behkar gir gaya, uski nazare tehri hi reh gayi, ek dost ne uske nabz ko tatola toh dusre ne uske mare jism ko chodh diya, uske honth se ek qatraa khoon nikal gaya, uski pathrayi aankho ko wo dono kuch dair tak yu hi andhere mein ghurte rahe,

Kuch dair baad ranjana ki laash ko un dono ne carpet mein mod diya, fhir us carpet aage piche se uthaaye laash ke bhoj ke saath wo sard kohre ki us tufaani raat bahar nikle, unki nigah ranjana ke kharab gaadi par huyi sabse bada sabut wo bhul hi chuke they, unhone gaadi ka muana kiya usmein petrol nahi tha unhone apni gaadi se usmein petrol bhara fhir gaadi start ki aur laash piche backseat par laita di, aur fhir jheel tak wo dono pahuche, wo jheel ke paas ek daldal ko dhundhe jiska malumat unmein se ek ko tha, ab unka kaam aur aasan tha, carpet ko kholkar unhone laash ko front seat pe baitha diya, ignition mein chaabi daale rakhi aur accelerator pe pao dabakar unhone bare chaalaki se gaadi se khud ko nikaal liya, gaadi sidha daldal mein jaa dubi aur uske baad bulbule chodhti gaadi dhasti gayi, aur uske baad unhe gaadi nazar na aayi, aur is tarah ek haulnaak qatal ko anjaam dekar unhone ranjana ki laash ko thikaane laga di,

Jab khyalo se Siddharth bahar aaya to wo waqayi ranjana ke liye bahut bura mehsus karne laga lekin wo ab bhi siham raha tha oose yakeen nahi ho pa raha tha ki ranjana marrkar bhi zinda thi,

"I am sorry ranjana b..ut tum jinki baat kar rahi ho unmein se ek is ghar ka pichla maalik tha oosi se shayad mere dad ne ghar kharida tha aur yakeen maano wo zinda nahi hai ek plane crash mein uski maut ho chuki hai kuch saal pehle hi aur main nahi janta ki uska dost ab kahan hai?"

Ranjana ghurrane lagi uska pura chehra jo surkh safed tha laal hone laga aisa maano jaise uska khoon abhi phatke nikal jayega, Siddharth buri tarah darrkar khamosh ho gaya

Uski ankhe badi badi ho gayi kyunki ranjana ne jab apna munh khola toh jaise saanp ke nukile lambe daat ooske dikhne lage, ranjana ka chehra uske behad kareeb aane laga tha behad kareeb,

Tabhi Siddharth ki ek haulnaak cheekh pure fizaayo mein gunz uthi aur sangmarmar ke un farsho par khoon fawaare ki tarah charo taraf bikhar Gaya....

Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 1 hours and 25 minutes.
Posts: 187
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #5 on: December 30, 2023, 12:38:21 PM »
Aakhri Bhaag

"Sahab ji sahab ji oh sahab sahab uthiye sahab sab khairiyat toh hai sahab ji"

Ek aurat siddharat ke bungalow ke bahar darwaje ko Peete jaa rahi thi, uski awaz bistar par so rahe pasine pasine hote Siddharth ke jab kaano mein padi to wo ek jhatke mein bhauklakar uth baitha, wo ghabrahat se bechain tha usne apne gale ko chua fhir apne kandhe aur peeth ko wo bilkul theek tha uske jism par ek bhi kharoch nahi thi,

Usne awaz ka picha kiya to oose darwaje ko peetti uski kamwali ka khyal aaya, wo hadbadake razaai faikkar utha oose yakeen nahi ho raha tha ki jo bhi guzara wo mehez uska ek khwab tha koi Haqeeqat nahi, usne bistar ke niche jhaaka fhir charo taraf ahetiyat se dekhne laga kahi kuch nahi usne bathtub mein jaake bhi jhaaka waha bhi kuch nahi,

Siddharth khidki khole kamwali ko teherne kehkar kamre se bahar nikla niche sidiyo se utara aur hadbadaye darwaja khola, kamwali bhi pareshan thi usne jab Siddharth ko ghabraya dekha toh sawalo ki usne bauchar kar di,

"Arre chote sahab subah 10 ke paar hai aur abhi tak aap aise so rahe hai pehle to kabhi aap aise gehre neend mein sote nahi they kya stress zyada ho gaya aapko?, Ya fhir kal raat soye hi nahi? Arre aap itne pareshan kyu hai ghabraye lag rahe hai?"

Uske sawal ka koi jawab diye Bina Siddharth ne darwaje ke bagal ke us sheeshe ka muana kiya jise kal raat usne todkar bhaag nikalne ki koshish ki thi, sabkuch salamat pehle jaisa tha wo vase bhi jise usne jungli janwar ko andar aane se rokne mein uske sar pe maara tha wo bhi apni jagah rakha hua tha,

Tabhi Siddharth ko khyal aaya usne guest room ki taraf jhaaka, "t..tum jaake dekho toh waha koi hai kya?"

"K..kya matlab sahab ji?"

"Arre jitna keh raha hoo utna kro na"

"Theek hai"

Kehte huye kamwali kamre ke andar gayi aur wapis lauti uske chehre par koi bhi khauff nahi tha, par sawalat zarur they, "waha koi bhi nahi hai bathroom mein bhi koi nahi hai"

"Aisa kaise ho sakta hai?"

Siddharth andar gaya usne us bathroom ka bhi jayeza liya jaha bheegi ranjana ko usne kapde deke change karne ko kaha tha waha koi bhi ranjana ka kapda nahi tha, naa hi uska diya kapda, fhir Siddharth ne jaakar almari mein unhi diye kapdo ka muana kiya to wo waha aise padi thi jaise kayi barso se wohi padi ho, Siddharth sofey pe dham se baith gaya uske kuch bhi samajh nahi aa raha tha, aakhir ek raat mein hi sab kaise badal sakta hai?

"Sahab hua kya hai aap itne bechain ghabraye kyu hai? Kya baat hai?"

Kamwali Siddharth ki purani naukrani thi aur usse kaafi ache se janti thi, Siddharth ne oose sihame sihame sari kahani kal raat jo kuch bhi ghata tha sab byaan kiya,

"Hey bhagwan aapne zarur koi bura sapna dekha hoga"

"Tum janti ho na ki pichla Malik ki maut kaise huyi thi?"

"Haan sahab ji maine suna hai kyunki hamari jannewali bua yaha kaam kiya karti thi kehti thi ki apni maut se kuch saal pehle wo pagal se ho gaye they kafi beheki beheki baatein karte they jaise koi unke sirhane mein khada hai koi unhe maar daalega aur daldal!"

"Daldal"

"Sahab mujhe to lagta hai is ghar mein koi saaya hai aur wohi pret aatma aapko bhi pareshan karne lagi hai mere jannewale ek baba hai main unse aaj hi ek tabeez leke aapko deti hoo"

"N..nahi meri baat suno tumhe ye baat kisi ko nahi bataani kabhi bhi nahi kyunki koi is par yakeen nahi karega aur waise bhi agar ye baat sach huyi yaha waqayi ek khoon hua tha toh saaf hai ki police ko ranjana ke baarein mein shayad kuch malum ho lekin mujhe iska hal khud nikaalna hoga daldal"....wo daldal ke lavz par tehra wo samajh gaya ki pehla kaam oose wo daldal dhundhna tha jaha ranjana ki laash thikaane lagai gayi thi, kaamwali saqte mein oose bas dekhe Jaa Rahi thi,

Siddharth ne kisi tarah khud ko un tamaam waqyo se nikaala aur naha dhoke tayyar hokar apne ghar se rawana hua usne gaadi rokkar ek baar bahar ka jayeza liya waha ranjana ki oose koi bhi gaadi nahi dikhi, wo bechain hota drive karte oosi purani jheel ke paas aaya jaha kisi waqt daldal hoya karta tha, kamwali ke bataaye raaste par wo waha pahucha wo ghane jungle ke thoda andar padta tha, din hone ke bawjud kohre aur safed aasman se wo jagah aur bhi bhayankar lag rahi thi aisa lagta tha waha koi aata hi na ho,

Jab Siddharth ne daldal ka jayeza lekar waha patthar faika to wo dubi nahi balki kisi saqt cheez se takraayi, Siddharth khud chalkar waha ka muana karne laga zameen thos ho chuki thi waha daldal hone ka koi sabut nahi lag raha tha charo taraf ke paid sukh chuke they jinke sahare wo khada sochne laga ki aage kya kiya jaaye,

Wo waapis bahar apni gaadi ke paas pahucha ek kudal liye wo dobara waha aaya, aur fhir usne oosne khodna shuru kiya, wo khodta gaya bas khodta gaya aur jaise jaise wo khodta gaya oose zameen dhasti mehsus huyi saaf tha daldal hi pe wo khada tha par ab wo daldal ab sukhkar kheechad ban chuka tha, kuch hi dair mein usne itna khod dala ki ab tamaam daldal ke andar ki cheeze saaf dikhne lagi, waha purane paido ke jadh aur lattad ke siwaah kuch aur bhi tha, aur wo tha wohi gaadi jo ranjana pichli raat kharab bataaye oose dikha rahi thi, ek nayi naveli gaadi saikdo saal purane sukhe daldal mein ek hi raat ko kaise pahuch sakti thi? To kya ranjana ki tarah wo bhi dhoka tha?

Siddharth ne Jung lagi us gaadi ke upar se kheechad mitti hataaya sheesha saamne ka Tut chuka tha aur andar bhi malba tha, wo driving seat ki taraf ka muana karna chahta tha aur aur jald hi uski talash khatam huyi ek kankaal par wohi kapde jo ranjana ne us raat pehne they jise utaarkar wo Siddharth ke diye kapde pehenkar aayin thi,

Siddharth janta tha ki ek bahut bare purane rahasya se parda uth chuka tha, usne oosi waqt us kankaal ko bina chuye uski tasveer kheechi aur fhir apne ek jannewaale police officer ko bhejte huye call lagaya

Siddharth ne oose laash aur us gaadi ke baarein mein aur yaha tak uske ghar ke pichle Malik aur unke kiye gunaah ke baarein mein batane laga, police waale ne usse pucha ki aakhir wo itna kuch kaise janta tha? Toh Siddharth ne jo kuch bataya wo janta tha police waale uspar yakeen nahi karne waale,

"Is ladki ka naam ranjana hai aur ye ladki tangail se taluq rakhti yaha 15 saal pehle ghumne ki niyat se purani ghati aayi thi raat zyada aur tufaan aur kharab gaadi ke chalte isne mere ghar mein panaah Li thi lekin us waqt Malik koi aur tha, usne aur uske saathi ne milke iska rape kiya aur qatal kar iski laash yaha thikaane lagaa di"

Police hairaan thi unhone gaadi ka bhi muana kiya aur kayi baar Siddharth se puchtaach bhi ki wo hargiz Siddharth ke bure sapne par wishwas nahi Lana chahte they, lekin siddharth jhoot nahi keh Raha tha kyunki medical report kankaal ki aa chuki thi aur wo oosi ladki ki thi uski umar uski maut ki wajah bhi kayi had tak malumat kar li gayi jo tamaam cheeze Siddharth ke kahe se mil rahi thi, us gaadi ka pata kiya gaya jo waqayi chori ki report mein darz thi aur 15 saal pehle ek tourist jiska naam ranjana tha oosi ne oose kiraaye pe sheher ghumne ke lehze se liya tha,

Ranjana kabhi lauti nahi jis wajah se car rental agency ke maalik ne uske khilaf F.I.R darz karwa di thi, ranjana ka huliya jab Siddharth ne sketch artist se police ke orders par banwaake diya to police ko apne hi mehekme ke officer se ek chaukaane waali baat malum chali

"Darasal ye ladki ranjana ye hubahu us tasveer se mel khaati hai jiski ghumshudgi ki report uske parivaar ne di thi, wo yaha tangail se ghumne aayi thi aur 2 mahine ho gaye they na usne apne parivaar ko koi contact Kiya aur naa hi wo hotel pahuchi uska saaman bhi wohi pada tha, main us waqt is case ka incharge tha aur mujhe bhi itna kuch nahi malum kitna malumat aapko Siddharth se pata chala"

"Hum bhi shocked hai ki Siddharth na hi sirf usne laash kahan thikane hai ye dhundh nikaala balki wo ranjana ka huliya uske baarein mein aur yaha tak uska kaise qatal aur kisne kiya tha sab janta hai? Jo ki bilkul bhi yakeen karne waali baat nahi lagti"

Police ko Siddharth par pehle bahut shaq hua unhe laga shayad guilt se qatal ke itne waqt baad wo apna gunaah ujagar kar raha tha, lekin police ko fhir yahi maat mili jab unhe malum chala ki wo toh mehez 5 saal pehle hi yaha basa tha, lekin fhir bhi wohi sawaal ki itna kuch oose kaise malum tha?

Police ne pichle Malik ka malumat kiya toh malum chala ki wo waqayi plane crash mein bahut pehle hi maara jaa chuka tha aur wo videsh apne ilaaj ke liye hi jaa raha tha wo apni maut se kuch saal pehle hi pagal ho gaya tha aur oose tarah tarah hallucinations hone lage they, wo cheekhta chillata tha saari raat kehta tha ki wo oose maar daalegi, police samajh na paayi fhir unhone uske dost ka pata karna shuru kiya,

Aur jis raat ye wardat ghati thi us raat ka malik ka jo dost tha wo bhi pagal hokar ek aspatal mein kayi saalo se bharti tha jis din wo waha pahuche wo unhe pagalkhaane mein fansi jhulta mila, unke aane se ek din pehle hi wo daure mein is qadar pagal ho gaya tha ki usne khudkhushi kar daali, police ne uski case history pata ki wo beheki beheki baatein karta tha oose hallucinations hote they, aur usne us raat ghati apni tamaam baatein ek diary mein likhkar chodhi huyi thi,

Wo diary uske ghar se baramad huyi jo hubabu Siddharth ke bataaye kahani se mil rahi thi, ab Shaq ki koi gunzaish baki nahi rahi thi wo dono kaatil pehle hi apne maut marr chuke they, Siddharth ko samajh aaya ki kyu ranjana ki aatma oose khwab mein dikhi thi, kyunki uski khwahish Puri nahi huyi thi unmein se ek tab bhi zinda tha, lekin ab uske maut ke sath shayad wo oose kabhi nahi dobara dikhegi,

Ranjana ki laash ka jald hi uske parivaar waalo ne claim karte hi police se wohi antim sanskar kar daala, uski jalti aag mein kankaal ko dekh jaise Siddharth ko badi bechaini si uth rahi thi, saath hi ek sawaal tha jo ab bhi oose khaa rahi thi,

Ki aakhir agar wo waqayi wo thi, ? Toh Kyu wo khwab mein sirf oosi raat oose dikhi? Iska sawaal bhi oose malum chala kyunki jis raat ranjana ka qatl hua tha us raat wohi tufaan tha wohi bigada mausam tha wohi waqt tha aur wohi Tariq jo qatil ke diary se mili payi gayi thi 10th January 2008 aur pichli raat ki Tariq bhi 10th January thi,

Lekin ek hi sawal barqarar tha police walo ke liye aur khud Siddharth ke liye ki aakhir wo kaun thi? Khud ranjana ya ranjana ki aatma? Ya fhir koi aur jo 15 saal pehle hi marr chuki thi uska wajud aakhir ekdum se kaise aaya?

Aakhir Wohh kaun thi?.....✍️

THE END..



Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 25, 2025, 12:35:16 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.188 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer