AAO PHIR BAZM SAJE, SAAZ BAJE, JAAM CHALE

by F.H.SIDDIQUI on June 04, 2011, 04:51:06 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2125 times)
F.H.SIDDIQUI
Guest
Reply with quote
Aao phir Bazm saje, Saaz baje, Jaam chale ,
Raat bhar Maikade mei.n Saaqi tera naam chale

Dekhiye, Aaj ki shub kitni hai rangee.n bunti,
Jaanib-e-shamma hai.n Parwaane sar-e-shaam chale

Aur ho.nge wo, Mohabbat hai jinhei,n  raas  aayi,
Hum to iss Bazm se Lekar dil-e-nakaam  chale

Aaj phir jaanib-e-toofaa.n  hai rawaa.n  Kashti-e-Hind,
Le ke Khud-gharzi ki patwaar  hai.n  Hukkaam chale

Rindo, Ta'meer karo  Maikada aisa  ki  jahaa.n ,
Jaam Khushiyo.n  ke  bu.ntei.n , Daur  sar-e-aam  chale

Jaane kya baat hai Unn Shokh  Nigaaho.n  mei.n  'Hasan',
Shaikh bismil huve , Zaahid  bhi  jigar  thaam  chale

Rindo, Ta'meer
 
Logged
MANOJ6568
Khaas Shayar
**

Rau: 31
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
42 days, 19 hours and 59 minutes.

Astrologer & Shayer

Posts: 12017
Member Since: Feb 2010


View Profile
«Reply #1 on: June 04, 2011, 05:44:12 AM »
Reply with quote
khub
Aao phir Bazm saje, Saaz baje, Jaam chale ,
Raat bhar Maikade mei.n Saaqi tera naam chale

Dekhiye, Aaj ki shub kitni hai rangee.n bunti,
Jaanib-e-shamma hai.n Parwaane sar-e-shaam chale

Aur ho.nge wo, Mohabbat hai jinhei,n  raas  aayi,
Hum to iss Bazm se Lekar dil-e-nakaam  chale

Aaj phir jaanib-e-toofaa.n  hai rawaa.n  Kashti-e-Hind,
Le ke Khud-gharzi ki patwaar  hai.n  Hukkaam chale

Rindo, Ta'meer karo  Maikada aisa  ki  jahaa.n ,
Jaam Khushiyo.n  ke  bu.ntei.n , Daur  sar-e-aam  chale

Jaane kya baat hai Unn Shokh  Nigaaho.n  mei.n  'Hasan',
Shaikh bismil huve , Zaahid  bhi  jigar  thaam  chale

Rindo, Ta'meer
 
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #2 on: June 04, 2011, 07:41:01 AM »
Reply with quote
F.H Siddiqui Sahaab Aadaab!

Masha Allah kia kalaam laye hai janab... behad
khub andaaz e bayaan aur umdaa ahsaas O khayal
se buni kalaam par humari dil se daad O mubarakbad kabul kijiye... Usual Smile

         



Aao phir Bazm saje, Saaz baje, Jaam chale ,
Raat bhar Maikade mei.n Saaqi tera naam chale

Kia baat hai janaab Bahut umdaa aur behad achcha matla kaha hai daad .... Usual Smile Aik matla humari taraf se is unwaaN par Usual Smile         


Key maheNgi jab se sharaab huyi
Meri raateN tab se kharaab huyi         



Dekhiye, Aaj ki shub kitni hai rangee.n bunti,
Jaanib-e-shamma hai.n Parwaane sar-e-shaam chale

Kia baat hai janab bahut khoob... Jaanib e shamma hai parwaane " waah kia kahne... Usual Smile         

Aur ho.nge wo, Mohabbat hai jinhei,n  raas  aayi,
Hum to iss Bazm se Lekar dil-e-nakaam  chale

Kia kahne janab.. waah bahut khoob daad daad daad Usual Smile         

Aaj phir jaanib-e-toofaa.n  hai rawaa.n  Kashti-e-Hind,
Le ke Khud-gharzi ki patwaar  hai.n  Hukkaam chale

Kia khub sher kaha hai janab daad .. behad gehra aur nasihat denewala sher kaha hai.. aur waqai sach kaha hai aapne daad daad daad Usual Smile         

Rindo, Ta'meer karo  Maikada aisa  ki  jahaa.n ,
Jaam Khushiyo.n  ke  bu.ntei.n , Daur  sar-e-aam  chale

Haa haa bahut khoob daad Usual Smile 


SekadoN maikadoN ki bunyaadeN hai maikash
Dil thaam lo zarra taameer e kaam chale         



Jaane kya baat hai Unn Shokh  Nigaaho.n  mei.n  'Hasan',
Shaikh bismil huve , Zaahid  bhi  jigar  thaam  chale

Kia kahne janab aapke is sher ke aik khubsurat sa behad dilkash sher kaha hai janab hazaroN daad Usual Smile

         


Rindo, Ta'meer
 

Is umdaa kalaam par dil se daad O mubarakbad kabul kijiye janab...
HaaN aik puchna tha hume ke kia " Hasan " aapka taqallus hai ?

Aate rahiye...
Khush rahiye..
Khuda Hafez .. Usual Smile           

Logged
nirala
Guest
«Reply #3 on: June 04, 2011, 08:00:08 AM »
Reply with quote
bht khub……
Logged
SURESH SANGWAN
Guest
«Reply #4 on: June 04, 2011, 08:54:39 AM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
bahut khoob siddiqui ji.
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #5 on: June 04, 2011, 02:31:23 PM »
Reply with quote
Manoj ji,Himmat afzai ke liye shukriya.Apne tabsiron se nawazte rahiye ga.FHSiddiqui
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #6 on: June 04, 2011, 02:33:36 PM »
Reply with quote
Shukriya,Nirala ji.Ummeed karta hoo.n aap aage bhi hausla afzai karte raheinge.FHSidiqui
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #7 on: June 04, 2011, 02:36:36 PM »
Reply with quote
Suresh Sangwan ji,Mashkoor hoon ki aap ne hausla afzai ki.aayenda bhi apni qeemti rai se nawazte rahiye ga.FHSiddiqui
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #8 on: June 04, 2011, 02:53:19 PM »
Reply with quote
Parwaaz saheb,Kis zubaan se aap ka shukriya ada karoo.n ki aap ne meri adna takhleeq ke liye itna waqt nikala,uska tafseeli mutaala kiya aur sher ba sher tabsiron se nawaza. Jub se Yoindia join kiya hai mujhe bahut khushi hai ki aise dosto.n se ,ghaibana hi sahi, mulaqat hoti rehti hai jo na sirf Khud achhe funkaar hain bulki auron ki hammat afzai mein bhi bahut faraakh dil hain.Iss naacheez ki himmat afzai isska suboot hai.Guzarish hai ki aap aur deegar yaaraan-e-Yoindia issi tarah apna khuloos qayem rakheinge.
 Aap ke sawaal ke jawaab mein arz hai ki 'Hasan' mere naam Fazlul Hasan ka hissa hai aur yahi mera takhallus bhi.khush rahiye.FHSiddiqui     
Logged
mamta bajpai
Guest
«Reply #9 on: June 04, 2011, 04:27:33 PM »
Reply with quote
Siddiqui Saaheb! aap ko pahale baar paRhaa.....or mutaasir hue banaa  naa rah sake....fun e shairy kaa ye chamaktaa sitaaraa aasmaaN me shams oqamar ban ke chamke...inhee duaaoN ke saath .......

Mamta Bajpai
Logged
Satish Shukla
Khususi Shayar
*****

Rau: 51
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
25 days, 6 hours and 16 minutes.

Posts: 1862
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #10 on: June 04, 2011, 07:44:59 PM »
Reply with quote


Waah..bahut khoob..Hasan Sahab kya ghazal kahi hai
dil se hazaron daad..qubool karen.

Satish Shukla 'Raqeeb'
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #11 on: June 05, 2011, 06:49:33 AM »
Reply with quote
Satish Sshukla Saheb,Aapki purkhuloos daad aur himmat afzai ke liye tah e dil se shukraguzaar hoo.n.Ummeed hai ki aap aayenada bhi apne tabsiro.n se mahroom nahi.n kareinge..Hasan
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #12 on: June 05, 2011, 06:57:46 AM »
Reply with quote
Mamta ji, Bahut mashkoor hoo.n ki aap ne iss naacheez ki adna si koshish per nazar daali,usse saraha aur apni nek khwahishaat se nawaaza.Aap jaise achhe likhne waalo.n se daad e tahseen mil jaaye to bahut hausla milta hai.Guzarish hai ki  aayenda bhi  apni raai se nawaazti rahei.ngi. Ek baar phir shukriya.FHSidiqui 
Logged
adil bechain
Umda Shayar
*

Rau: 161
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
31 days, 18 hours and 24 minutes.

Posts: 6552
Member Since: Mar 2009


View Profile
«Reply #13 on: June 05, 2011, 07:02:19 AM »
Reply with quote
Aao phir Bazm saje, Saaz baje, Jaam chale ,
Raat bhar Maikade mei.n Saaqi tera naam chale

Dekhiye, Aaj ki shub kitni hai rangee.n bunti,
Jaanib-e-shamma hai.n Parwaane sar-e-shaam chale

Aur ho.nge wo, Mohabbat hai jinhei,n  raas  aayi,
Hum to iss Bazm se Lekar dil-e-nakaam  chale

Aaj phir jaanib-e-toofaa.n  hai rawaa.n  Kashti-e-Hind,
Le ke Khud-gharzi ki patwaar  hai.n  Hukkaam chale

Rindo, Ta'meer karo  Maikada aisa  ki  jahaa.n ,
Jaam Khushiyo.n  ke  bu.ntei.n , Daur  sar-e-aam  chale

Jaane kya baat hai Unn Shokh  Nigaaho.n  mei.n  'Hasan',
Shaikh bismil huve , Zaahid  bhi  jigar  thaam  chale

Rindo, Ta'meer
 


janaab maqta bahut khaas rahaa waise poori ghazal behtreen hai. daad qabul karein siddiqui sahab
Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
annu_genis
Guest
«Reply #14 on: June 05, 2011, 07:16:50 AM »
Reply with quote
huzoor apne to aashiqui ka nasheela maahaul bana diyaa
..waah-waah Siddiqui ji!!
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 25, 2025, 01:18:40 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.207 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer