hathon me jam aaya

by bekarar on July 10, 2008, 08:32:59 AM
Pages: 1 [2] 3 4 5 6
ReplyPrint
Author  (Read 5244 times)
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #15 on: July 11, 2008, 07:54:00 AM »
Reply with quote
be-imaniyon ke taaz, wafadariyon ka sila hai
ta-umr-imandaari, fir isme mera naam aaya,
na gum raha ab koi, na khushi rahi hai baaaqi,
tere tasvooron me, kaisa makam aaya
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Pyar aaya ishq aaya,Aur aaya intzaar by pankaj_pups in Shayri for Khumar -e- Ishq
baduwa ke liye uthe hathon.................. by jochahohojayein in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Khoon hathon se.. by Kohinoor in Shayeri for Dard -e- Bewafai
hathon ki lakeeron by saahill in Miscellaneous Shayri
mere hathon se by soudagar in Miscellaneous Shayri
Rajbir
Guest
«Reply #16 on: July 11, 2008, 08:06:44 AM »
Reply with quote
Sanjeev bro

Raat ki pee ka suroor abhi takk lagta hai Usual Smile

Very nice Applause
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #17 on: July 11, 2008, 08:35:36 AM »
Reply with quote
shukriya raj bhai

Sanjeev bro

Raat ki pee ka suroor abhi takk lagta hai Usual Smile

Very nice Applause

 Laughing hard
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #18 on: July 11, 2008, 10:58:53 AM »
Reply with quote
saaaki ne mujhko choda fir maine piyale tode,
madhoshi ka har baar mujhi pe ilzaam aaya,
kyun dekhte hain sab mujhko azab nazar se,
mere dar pe wo, aaj khule aam aaya
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #19 on: July 11, 2008, 11:29:46 AM »
Reply with quote
Kahne lage sharaabi, jo bekhudi me choor hain
Is dour-e-jindagi me, ye kaisa mukam aaya
Touba kai baar kee, fir tera khayal aaya,
Din dhala, shaam hui, haathon me jam aaya..

Dour-e-mufalisi bhi badi sogwar guzri,
Jise thokron me rakha, wo patthar hi kaam aaya,
Apni samajh pe ab mai, hairaan ho raha hun,
Fahrist-e-dushmano me yaaron ka naam aaya,

Taklifen uthai, dar-badar bhi bhatka,
Insaniyat ka rasta, kisko hai raas aaya
Jhooth kaha, dhokhe diye, duniyadari nibhai,
Tumne jo sikhaya, wo hunar hi kaam aaya

Ta jindagi tarsa kiye jinki nazar ke liye
Ab khak ho chuke aur unka salam aaya
Bakhabr anjam se tha, fir bhi gaya aagosh me
Lo fir se is shama pe, parwana kaam aaya

Likhne ke karobaar se touba hazar ki
Ban gai khudbkhud gazal, jo samne tera kalaam aaya
Baarishon ka mousam, wo roothna-manana
lo aaj fir yaad wo, kissa tamam aaya

dour-e-jindagi me ye kaisa mukam aaya
din dhala, sham hui, haathon me jaam aya


bekaraar ji,

bahut jyaada baar yeh kavita mut padhiyega...ishq ho jaayega khud se aapko!!...aur shaayad bhabhi se pitai ho jaaye..ki khud se ishq karte ho!!

ek sampurn rachna..gehri aur umda alfaazon ke saath. bahut bahut badhai.

kuch seekha do janaab...gyaan baatne se badhta he...

Prateek

Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #20 on: July 11, 2008, 11:35:31 AM »
Reply with quote
touba zanab...ab nahi pdhunga ise mai to sirf aapki hi tippani ka talabgaar tha....
shukriya dost
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #21 on: July 11, 2008, 11:59:30 AM »
Reply with quote
din dhala,shaam hui,haathon mein jaam aaya
aise chahne waalon pur mujhe gussa tamaam aaya
jaam pur koi karza nahi surya ki kirano ka
kyon saza dete ho usey ghar rehti dulhano sa
jinhe intzaar rehta he andhere ka karne ko pyaar
bhala kaise na pukaaru main unhe gunehgaar
kari he jaam se mohhabat- to nibhao poori
jaam subah-shaam...na ho koi majboori
fir gungano yeh panktiyaan
din UGA ya shaam hui,haathon mein jaam aaya
todne mera bhram kabhi mehboob to kabhi raam aaya
pur meri wafa pur mere pyaale ko naaz he
usey mere haathon ki pakad ka andaaz he
in hothon pur kabhi nahi shikan ka koi naam aaya
din uga ya shaam hui ,haathon mein jaam aaya
surya ki tapish ,ya chndni ho raat
bus jaam ka thaa saath,hur baar kaam aaya!!

Prateek

Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #22 on: July 11, 2008, 12:19:14 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause
mujhe andesha nahi tha ki is thread me aapki ye adbhut kavita janm lenewali hai........bas filhaal to yahi kahunga .....ki lajawab hun mai....
kuch der sochne me lagegi....
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #23 on: July 11, 2008, 12:47:08 PM »
Reply with quote
peene ke liye hosh me aana jaroori hai,
patjhad ki kya bisat, jo bahar nahi hoti
deepak jalane ko bhi, andhera jaroori hai
jeetne ka kya maza, gar jo haar nahi hoti

mohabbat me koi saboot, koi raaz nahi hota
har chahne wala bana de taaz, nahi hota,
maikade se muhabbat ye jatane ke liye,
subah shaaam haath me jaam, nahi hota.

sanjeev
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #24 on: July 11, 2008, 01:03:12 PM »
Reply with quote
Bekarar ji,

Sub aapke maarg darshan ka nateeja he.shukriya ki aapko pasand aa gayi.

Prateek

saaaki ne mujhko choda fir maine piyale tode,
madhoshi ka har baar mujhi pe ilzaam aaya,
kyun dekhte hain sab mujhko azab nazar se,
mere dar pe wo, aaj khule aam aaya



saaki ne chhoda saath
to pyaale gira diye
haala ke aashiyaan ko
tukadon me bikhra diye
kya mohhabat he tumhaari
khudgarz aur kamzor si
kisi ne chingaari dikhai
to uskey ghar jala diye!
vaise theek hi kiya tumne
raahe-wafa ke silsiley mein
dastoor poora hey nibhaaya
mohhabaton ke is safar mein
ub nahi miltey DIWAANE
jo mit jaaye aur uff na ho
zehar si hur baat he ub
har gali aur hur shehar mein!!

Prateek
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #25 on: July 11, 2008, 01:11:44 PM »
Reply with quote
koi "we care" team wala gar moujud hai to is thread ko "parstish-e-mai" me move kar do bhai aaj prteek ji mujhe tab tak nahi chodne wale jab tak mai subah shaam na peene lagun..

Bekarar ji,

Sub aapke maarg darshan ka nateeja he.shukriya ki aapko pasand aa gayi.

Prateek


saaki ne chhoda saath
to pyaale gira diye
haala ke aashiyaan ko
tukadon me bikhra diye
kya mohhabat he tumhaari
khudgarz aur kamzor si
kisi ne chingaari dikhai
to uskey ghar jala diye!
vaise theek hi kiya tumne
raahe-wafa ke silsiley mein
dastoor poora hey nibhaaya
mohhabaton ke is safar mein
ub nahi miltey DIWAANE
jo mit jaaye aur uff na ho
zehar si hur baat he ub
har gali aur hur shehar mein!!

Prateek

Logged
Pooja
Guest
«Reply #26 on: July 11, 2008, 01:18:30 PM »
Reply with quote
koi "we care" team wala gar moujud hai to is thread ko "parstish-e-mai" me move kar do bhai aaj prteek ji mujhe tab tak nahi chodne wale jab tak mai subah shaam na peene lagun..


Moved in Kaifiyaat-ae-maye !!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #27 on: July 11, 2008, 01:19:11 PM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

bahoot khoob Sanjeev ji and Prateek ji!!
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #28 on: July 11, 2008, 01:19:25 PM »
Reply with quote
peene ke liye hosh me aana jaroori hai,
patjhad ki kya bisat, jo bahar nahi hoti
deepak jalane ko bhi, andhera jaroori hai
jeetne ka kya maza, gar jo haar nahi hoti

mohabbat me koi saboot, koi raaz nahi hota
har chahne wala bana de taaz, nahi hota,
maikade se muhabbat ye jatane ke liye,
subah shaaam haath me jaam, nahi hota.


sanjeev


janaab bekaraar ji,

aapki kalam bauht durust likhti he...mujhe yakeenan anand hota he.

Prateek.


subah shaam jaam
 haath mein na ho
samajh  aata he
pur mera yaar
subah kahi aur
shaam kisi aur
ki sharan mein
jub jaata he
to mujhe aisi
wafa pur sawaal
kayi baar aata he!

Prateek
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #29 on: July 11, 2008, 01:24:41 PM »
Reply with quote
requesting pooja ji to come here and post some reply......mai kuch der ke liye offline ho raha hun
Logged
Pages: 1 [2] 3 4 5 6
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 10:38:59 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.109 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer