hathon me jam aaya

by bekarar on July 10, 2008, 08:32:59 AM
Pages: 1 2 [3] 4 5 6
ReplyPrint
Author  (Read 5245 times)
Prateek Mardia
Guest
«Reply #30 on: July 11, 2008, 01:27:51 PM »
Reply with quote
requesting pooja ji to come here and post some reply......mai kuch der ke liye offline ho raha hun


bekarar ji ka offline hona swaabhavik he ub,din dhal gaya..shaam ho gayi..aur haath khaali....
ub to sub saaf he---wafa dekho inki!!

Prateek
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Pyar aaya ishq aaya,Aur aaya intzaar by pankaj_pups in Shayri for Khumar -e- Ishq
baduwa ke liye uthe hathon.................. by jochahohojayein in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Khoon hathon se.. by Kohinoor in Shayeri for Dard -e- Bewafai
hathon ki lakeeron by saahill in Miscellaneous Shayri
mere hathon se by soudagar in Miscellaneous Shayri
Pooja
Guest
«Reply #31 on: July 11, 2008, 01:31:04 PM »
Reply with quote

bekarar ji ka offline hona swaabhavik he ub,din dhal gaya..shaam ho gayi..aur haath khaali....
ub to sub saaf he---wafa dekho inki!!

Prateek


Laughing hard Laughing hard Laughing hard
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #32 on: July 11, 2008, 01:39:36 PM »
Reply with quote
Prateek bro

Ab Sanjeev ka samay ho gaya hai kuch aisa gaane ka Winking

La pila de saakiya
Paimana paimane ke baad
Hosh ki baatein karoonga
Hosh mein aane ke baad (NM) Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #33 on: July 11, 2008, 01:54:38 PM »
Reply with quote
Prateek bro

Ab Sanjeev ka samay ho gaya hai kuch aisa gaane ka Winking

La pila de saakiya
Paimana paimane ke baad
Hosh ki baatein karoonga
Hosh mein aane ke baad (NM) Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard


Rajbir ji,

Yadi aisa he...to unki baaten to kul hi sun-ne ko milengi..jub subah hogi!

Logged
Rajbir
Guest
«Reply #34 on: July 11, 2008, 01:57:00 PM »
Reply with quote
Agar use hangover na hua to Winking Laughing hard
Logged
Pooja
Guest
«Reply #35 on: July 11, 2008, 02:13:20 PM »
Reply with quote
chali jab wafa ki baaten aur ishqon ke kisse,
tera naam yakbayak labon pe, sare aam aaya
badi shiddaton se tujhko gaali hazaar di
har baar dua-on me bhi tera hi naam aaya,



bahoot khoob Sanjeev je!! yah char line kal se kai baar padi hai... bahoot dard hai antim do lines main!!
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #36 on: July 11, 2008, 02:22:03 PM »
Reply with quote
mai sirf ye check karne ke liye hi aaya tha ki mere peeche kya kya baat ho rahi hai....prateek bhai kuch to bharam rakho dosti ka.......
aur raj bro ab to lagta hai aapke liye kuch likhna hi padega....
pooja ji ...aap to aise na the....
Logged
Pooja
Guest
«Reply #37 on: July 11, 2008, 02:23:21 PM »
Reply with quote
din dhala,shaam hui,haathon mein jaam aaya
aise chahne waalon pur mujhe gussa tamaam aaya
jaam pur koi karza nahi surya ki kirano ka
kyon saza dete ho usey ghar rehti dulhano sa
jinhe intzaar rehta he andhere ka karne ko pyaar
bhala kaise na pukaaru main unhe gunehgaar
kari he jaam se mohhabat- to nibhao poori
jaam subah-shaam...na ho koi majboori
fir gungano yeh panktiyaan
din UGA ya shaam hui,haathon mein jaam aaya
todne mera bhram kabhi mehboob to kabhi raam aaya
pur meri wafa pur mere pyaale ko naaz he
usey mere haathon ki pakad ka andaaz he
in hothon pur kabhi nahi shikan ka koi naam aaya
din uga ya shaam hui ,haathon mein jaam aaya
surya ki tapish ,ya chndni ho raat
bus jaam ka thaa saath,hur baar kaam aaya!!

Prateek




wah kaya lines hai:
din uga ya shaam hui ,haathon mein jaam aaya
surya ki tapish ,ya chndni ho raat
bus jaam ka thaa saath,hur baar kaam aaya!!



sahi kaha.... nibhani hai to dil kata raat kaya... wah!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #38 on: July 11, 2008, 02:26:25 PM »
Reply with quote
mai sirf ye check karne ke liye hi aaya tha ki mere peeche kya kya baat ho rahi hai....prateek bhai kuch to bharam rakho dosti ka.......
aur raj bro ab to lagta hai aapke liye kuch likhna hi padega....
pooja ji ...aap to aise na the....

uurrii baba maine kaya kiya!!!

Veer ji aor Prateek ji... apki wajah se dekho.. Sanjeev ji mujh per shaq kar rahe hai...

Lagta hai ab to jaam bana kar, main bhi kuch likh he du..

Din chada, job hui shuru aor yoinida per yah thread ayya
Sanjeev je ne kari shikayat aor humare hatho main jaam ayya!!
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #39 on: July 11, 2008, 02:38:09 PM »
Reply with quote

wah kaya lines hai:
din uga ya shaam hui ,haathon mein jaam aaya
surya ki tapish ,ya chndni ho raat
bus jaam ka thaa saath,hur baar kaam aaya!!



sahi kaha.... nibhani hai to dil kata raat kaya... wah!!


shukriya pooja ji-kavita ko padhne ka aur taaref ka.

Prateek
Logged
Pooja
Guest
«Reply #40 on: July 11, 2008, 02:39:21 PM »
Reply with quote
requesting pooja ji to come here and post some reply......mai kuch der ke liye offline ho raha hun

Kal se koshish kar rahi thi kuch likhu, magar halka sa masti wala.. magar yah man.. na jaane kaha se phir dard ke taraf he chal padta hai.. koi mood nahi tha.. magar appki baat taali bhi nahi ja sakti thi ... so  jo man mai ayya likhti chali gai..

teri yaadon se khud ko bachaya nahi jaata
kisi bhi haal khud ko samjhaya nahi jaata
aa jaata hai jaam, khud-b-khud hatho main
dard ka yah sailaab, thehraya nahi jaata

din beet jaata hai, idher udher ke kaamo main
sham dhale, khali makan se tera wo saya nahi jaata
pal pal aye yaad teri, deewaro se aor sir takraya nahi jaata
jaam aa jata hai khud-b-khud hatho main, dil ko aor samjhaya nahi jaata

karte hai khud se baatein phir, sun.ne ko tujhse to ayya nahi jaata
Bottle bhi kahti hai maan ja Pooja, per humko kisi se samjhaya nahi jaata
karte hai phir kis kis se na jaane kaya kaya dil-o-dard ki baatein
bin piye ab to khud ko, kuch palo ke liye bhi sulaya nahi jaata

teri yaadon se khud ko bachaya nahi jaata
kisi bhi haal khud ko samjhaya nahi jaata!!
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #41 on: July 11, 2008, 02:45:40 PM »
Reply with quote
uurrii baba maine kaya kiya!!!

Veer ji aor Prateek ji... apki wajah se dekho.. Sanjeev ji mujh per shaq kar rahe hai...

Lagta hai ab to jaam bana kar, main bhi kuch likh he du..

Din chada, job hui shuru aor yoinida per yah thread ayya
Sanjeev je ne kari shikayat aor humare hatho main jaam ayya!!


Pooja ji,

Aap bhole na bane...aapka PM jo aapne mujhe kya thaa yeh bataane ko ki sanjeev ji roz karreb kareeb is waqt-shaam hote he(din dhalne ke baad) kuch samay ke liye chale jaate he aur jub laut ke aatey he to bahut typing error karte hue likhtey he...maine unhe fwd kar diya thaa..ki kya vichaardhara he aapki unke baare mein.(ki unhe sambhhalni bhee nahi aati sharaab).
Rajbir ji aur maine to matra sahi post ko sahi jagah tuk pahuchaane ka chota sa karya kiya he.

Prateek
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #42 on: July 11, 2008, 02:50:03 PM »
Reply with quote
Kal se koshish kar rahi thi kuch likhu, magar halka sa masti wala.. magar yah man.. na jaane kaha se phir dard ke taraf he chal padta hai.. koi mood nahi tha.. magar appki baat taali bhi nahi ja sakti thi ... so  jo man mai ayya likhti chali gai..

teri yaadon se khud ko bachaya nahi jaata
kisi bhi haal khud ko samjhaya nahi jaata
aa jaata hai jaam, khud-b-khud hatho main
dard ka yah sailaab, thehraya nahi jaata

din beet jaata hai, idher udher ke kaamo main
sham dhale, khali makan se tera wo saya nahi jaata
pal pal aye yaad teri, deewaro se aor sir takraya nahi jaata
jaam aa jata hai khud-b-khud hatho main, dil ko aor samjhaya nahi jaata

karte hai khud se baatein phir, sun.ne ko tujhse to ayya nahi jaata
Bottle bhi kahti hai maan ja Pooja, per humko kisi se samjhaya nahi jaata
karte hai phir kis kis se na jaane kaya kaya dil-o-dard ki baatein
bin piye ab to khud ko, kuch palo ke liye bhi sulaya nahi jaata

teri yaadon se khud ko bachaya nahi jaata
kisi bhi haal khud ko samjhaya nahi jaata!!


bohut badhiya aur dilchasp likha he pooja ji aapne.
Prateek
Logged
Pooja
Guest
«Reply #43 on: July 11, 2008, 02:55:26 PM »
Reply with quote

Pooja ji,

Aap bhole na bane...aapka PM jo aapne mujhe kya thaa yeh bataane ko ki sanjeev ji roz karreb kareeb is waqt-shaam hote he(din dhalne ke baad) kuch samay ke liye chale jaate he aur jub laut ke aatey he to bahut typing error karte hue likhtey he...maine unhe fwd kar diya thaa..ki kya vichaardhara he aapki unke baare mein.(ki unhe sambhhalni bhee nahi aati sharaab).
Rajbir ji aur maine to matra sahi post ko sahi jagah tuk pahuchaane ka chota sa karya kiya he.

Prateek

Oh My God this is great, ki app khud yah maan gaye!!  Crying By the way.. Prateek ji, sanjeev ji ne wo msg tabhi ke tabhi wapis mujhe fwd kar diya tha.. NaNaNa . magar in sab se ek baat per yakin ho gaya ki apko dost samjh kar dil ki baat nahi batai ja sakti... Crying  pata nahi app agge kis kis ko pass kar do  DOH

Ab pata chala ki apko, apke msgs ka jawab kyun nahi mila  Giggle

Logged
Pooja
Guest
«Reply #44 on: July 11, 2008, 02:57:11 PM »
Reply with quote
bohut badhiya aur dilchasp likha he pooja ji aapne.
Prateek

dil behlane ko galib khayal acha hai... janati hu kaya likha hai sad5 

MAGAR DIL RAKHNE KE LIYE SHUKARIA!!!
Logged
Pages: 1 2 [3] 4 5 6
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 15, 2024, 01:30:20 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.121 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer