Ishwar tujhme meri aastha
Madira tujhpe mera vishwaas
Kyon choru mein saath kisika
Mujhko he dono se aas
Tark utha-te log bohut he
Pur mere to dono he khaas
Ishwar tujhme meri aastha
Madira tujhpe mera vishwaas
Ek shikaayat bus choti si
Shayad sunle woh ardaas
Tere dar se kal seedha pohucha
Swagat -saaki-sampurn-abhaas-*
Nahi koi bhee fikra kasta
Nahi koi kehta- vanvaas*
Ishwar tujhme meri aastha
Madira tujhpe mera vishwaas
Aur wahan se dar tere fir lauta
Uthi ungaliyan kitni saath.
Meri bhakti mein masti thee
Unhe nahi aayi yeh raas
Ishwar tujhme meri aastha
Madira tujhpe mera vishwaas
Nahi gila tumse he prabhuvar
Arz yahi karti har shwaas
Unhe Pyaar jaatne ka var dedo
Jo bante he tere daas
Gyaan unhe dhyaan lagane ka kuch dedo
Samajh sake kya hoti ‘pyaas’.
Ishwar tujhme meri aastha
Madira tujhpe mera vishwaas [/color] [/color] prateek
*swagat-saaki-sampurn-abhaas—yeh jaanke ki koi iswar ka chahne waala unki sharan mein betha hein—swagat mein,maan –samman mein,mehmaannavazi mein kahi koi kami nahi ki saaki ne.
*Vanvaas---kisi ne bhee mehfil se uth jaane ka ya wahan nahi aane ka ishaara nahi kiya.
wah ji kya asth aur kya vishas mein samndh dikhaya hain, veryy nice ji
ishwar tujhmein meri astha
madira tujhmein mera vishwaas
ishwar rahtey sada dilon meain
madira milti shaam saaki saar
ishwar tujhmein meri astha
madira tujhmein mera vishwas
geeta saar yahi hain bhakton
ishwar mile dwaron-dwaar
saaki saar yahi hain yaaron
madira mile baram-baar.
ishwar tujhmein meri astha
madira tujhmein mera vishvas
kuch dikhate apni bhakti,
kuch rakhte sirf vishwas
kuch peete chupte chupate
hum toh peete sare-bazar
ishwar tujhmein meri astha
madira tujhmein mera vishwas