Maine sharaab pee hain.....(Ghayel)

by sajid_ghayel on April 17, 2009, 07:36:10 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2965 times)
sajid_ghayel
Guest
Reply with quote
Ajeeb mayusi si nazar aayee mehfil me,
Socha chalo khud ko badnaam karte hain
Jise dekh mere dosto ke lab pe hasee aaye
Aisa koi kam karte hain.......


Baad muddat ke maine sharab pee hain
Maf karna dosto thodi nahi behisaab pee hain

Koi q mere kirdaar pe ungli uthaye
Yaha kaun hain jisne sharifo si zindagi jee hain

Khud ko mukamal kehne walo pe hasi aati hain
Meri tarah mehfil me har shaks me kami hain

Maine mana mera pesha mohabbat hain
Kya isse behtar tumne koi kamaiee ki hain

Khamosh hu main lekin gunahgaar nahi hu
Tumse hazar gunah behtar Ghayel ki bandagi hain

Baad muddat ke maine sharab pee hain
Maf karna dosto thodi nahi behisaab pee hain....

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Maine mana to.........(Ghayel) by sajid_ghayel in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan « 1 2  All »
Ghayel samajhta hain......(Ghayel) by sajid_ghayel in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2 ... 7 8 »
Dhaaltey hain sharaab khaak key paikar mein ham! by abdbundeli in Ghazals
Gerche Ahle sharaab hain hum, na kaho ki kharaab hai humlog. by R.M. Dixit in Kaifiyaat-ae-maye
Aankhein hain jaise puraani sharaab.............................IFTAKHAR by Iftakhar Ahmad in Ghazals « 1 2  All »
dead heart
Guest
«Reply #1 on: April 17, 2009, 09:53:28 PM »
Reply with quote
Bahaut khoob Sajid Saheb... Applause
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #2 on: April 17, 2009, 09:58:40 PM »
Reply with quote
Bahut Khoob Ghayel Ji
Logged
NETRAPAL
Guest
«Reply #3 on: April 18, 2009, 03:48:26 AM »
Reply with quote
Ajeeb mayusi si nazar aayee mehfil me,
Socha chalo khud ko badnaam karte hain
Jise dekh mere dosto ke lab pe hasee aaye
Aisa koi kam karte hain.......


Baad muddat ke maine sharab pee hain
Maf karna dosto thodi nahi behisaab pee hain

Koi q mere kirdaar pe ungli uthaye
Yaha kaun hain jisne sharifo si zindagi jee hain

Khud ko mukamal kehne walo pe hasi aati hain
Meri tarah mehfil me har shaks me kami hain

Maine mana mera pesha mohabbat hain
Kya isse behtar tumne koi kamaiee ki hain

Khamosh hu main lekin gunahgaar nahi hu
Tumse hazar gunah behtar Ghayel ki bandagi hain

Baad muddat ke maine sharab pee hain
Maf karna dosto thodi nahi behisaab pee hain....


wah kamaal kar diya aapne aaj to........jitnee kee jaye kam hai..

netra..
Logged
NETRAPAL
Guest
«Reply #4 on: April 18, 2009, 04:02:34 AM »
Reply with quote
badee muddkat ke bad toone
jo do ghoot pee hai

mat kar afsos iskaa
badee muddat ke baad tune
jindgee jee hai.



netra...
Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #5 on: April 18, 2009, 05:00:05 AM »
Reply with quote

  ALFAAZ MAIN NASHAA HAI.....

(K_A)
 
Logged
SARVESH RASTOGI
Guest
«Reply #6 on: April 18, 2009, 06:28:00 AM »
Reply with quote
Baad muddat ke ye ghadi aayee
Ghayal ne pee aur ek sunder ghazal wazood main aayee

Very nice Sajid
SARVESH RASTOGI
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #7 on: April 18, 2009, 06:50:19 AM »
Reply with quote
sajid bhai.....bahoot dino baad pee?? kyun jhooth bol rahe ho bhai.......ama kal hi to ek hafte se dopno saath me pee rahe hain....tum bhi yaar tull ho jaane ke baad sab bhul jaate ho.. Winking Winking

apart from joke bahoot achchi rachna hai daad kabool karen Applause Applause Applause Applause yoindia par likhi hui meri ek rachna yaad aa gai fir se likh raha hun....

kya khoya kya paaya ab tak, bhulane do hisaab mujhe,
bahoot hua ashqon ko peena, peene do sharab mujhe,

fir yaad teri ne ghera hai, fir dard utha hai seene me
hosh abhi tak baaqi hai, aur do sharab mujhe,

hosh rahe to mai bhi, baaten jhoothi si kahata hun
mai dhoott nashe me kaha gaya, jo baaten lagi kharab tujhe,

Nasha ishq ka, talab husn ki, aur naya shikaar koi,
kyun kisi ke dil se khele, kya mayyasar nahi sharab tujhe

jee bhar ke pee hai aur hosh me aaya hai "bekarar"
jhuth laga jo kahte ho, ye karti hai barbaad mujhe
Logged
lovepeace
Guest
«Reply #8 on: April 18, 2009, 07:11:46 AM »
Reply with quote
sajid bhai jaan arz hai:

na bhooloon kabhi mein tujh ko ya rab ke anjaam se dar lagta hai
banney jo teri narazgi ka sabab, iss ghayel ko uss jaam se dar lagta hai

 
Logged
SARVESH RASTOGI
Guest
«Reply #9 on: April 18, 2009, 07:22:30 AM »
Reply with quote
Nice addition by Bekarar Ji
SARVESH RASTOGI
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #10 on: April 18, 2009, 08:34:53 AM »
Reply with quote
Bahoot khoob Sajid Ji.

Nice addition Netrapal Ji, Sarvesh Ji, Bekarar ji , & lovepeace.

Gud job All..Winking
Logged
jannatjahan
Guest
«Reply #11 on: April 18, 2009, 10:02:11 AM »
Reply with quote
Kya baat ho gayee dear sab kuch thik to hai na.. Is it SO!
Waise Bahut Bahut Bahut achha likha hai aapne Applause Applause Applause

Kyun mere dost aaj tune itni pee..
kam ho gaya dostana ya jee chuke zindagi
chalo ye bhi achha hai dil ki baat jubaan par aayee
Aapki ye ada bhi hume dil se hai bhayee... Usual Smile
Logged
Tanha(Saurabh)
Guest
«Reply #12 on: April 18, 2009, 02:24:03 PM »
Reply with quote
Ajeeb mayusi si nazar aayee mehfil me,
Socha chalo khud ko badnaam karte hain
Jise dekh mere dosto ke lab pe hasee aaye
Aisa koi kam karte hain.......


Baad muddat ke maine sharab pee hain
Maf karna dosto thodi nahi behisaab pee hain

Koi q mere kirdaar pe ungli uthaye
Yaha kaun hain jisne sharifo si zindagi jee hain

Khud ko mukamal kehne walo pe hasi aati hain
Meri tarah mehfil me har shaks me kami hain

Maine mana mera pesha mohabbat hain
Kya isse behtar tumne koi kamaiee ki hain

Khamosh hu main lekin gunahgaar nahi hu
Tumse hazar gunah behtar Ghayel ki bandagi hain

Baad muddat ke maine sharab pee hain
Maf karna dosto thodi nahi behisaab pee hain....


bohat khoob Sajid bhai! bahot achchha kaha, umda...
 Applause Applause Applause

boaht khoob Netrapal ji, Sarvesh ji, Bekarar ji, lovepeace ji aur jannat ji. Clapping Smiley
Logged
pandit
Guest
«Reply #13 on: April 19, 2009, 04:25:08 AM »
Reply with quote
WAAH GHAYAL JEE....
DIL JEET LIYA AAPNE.........
Logged
syednaami
Guest
«Reply #14 on: April 19, 2009, 09:46:44 AM »
Reply with quote
Wah kya baat hai Ghayel Saheb...
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 07:46:31 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.152 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer