Pahechan - shikha

by Shikha sanghvi on September 09, 2017, 09:24:48 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 958 times)
Shikha sanghvi
Yoindian Shayar
******

Rau: 25
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
7 days, 14 hours and 15 minutes.

Shayari likhna or padhna humari hobby hai

Posts: 2266
Member Since: Jan 2015


View Profile WWW
Reply with quote
Apni pahechan banana har koi chahta hai. Uske liye athag parishram or mahenat bhi karta hai. Mana ki ye rah aasan nahi hoti, or sabke liye mumkin bhi nahi hota.
Pahechan ek aisa shabd hai  jise pane ki chah har kisi ko hoti hai. Bachhe jab chhote hote hai tab vo apne mata pita ke naam se pahechane jaate hai. Par vahi bachhe jab bade hote hai to vahi mata pita chahte hai ki unka bachha kuchh aisa kare ki log bole ki dekho ye inke mata pita hai. matlab ki vahi mata pita apne bachhe ke naam se pahechane jaane mai proud feel karte hai. Duniya ki is bhid mai har koi apni alag pahechan banana chahta hai. or ye bilkul galat bhi nahi hai.

Par ab sawal ye hai ki apni pahechan banane ke liye unhe kai kathin rasto se gujrana padega. baithe baithe asani se to kuchh bhi nahi milta. or jab vo nirantar apni manzil ki or badhta raheta hai or aakhir kar use apni manzil mil hi jaati hai tab tak unki aayu ke kitne varsh ho chuke hote hai jaha pe ek paripakvta hoti hai, samaj hoti hai. kya sahi kya galat vo aasani se parakh pata hai. par in sabke bich agar aapka ego aa gaya to samjo aap gir hi gaye. kyuki duniya mai aise kai famous log hai jinhone itni success payi hai life mai par fir bhi unka savbhav aisa hi nirmal hai , vinamra hai jo pahele tha.

Kaamyabi mai nasha to bahot hota hai or ye har koi janta hai jiske liye hum abhiman shabd use karte hai. abhiman or swabhiman mai bahot antar hota hai. Swabhimani hona sabke bas ki baat nahi hoti.
Apni pahechan banane ke saath saath dusri bhi bahot sari jimmedari hoti hai jise bakhubi nibhani hoti hai. chahe vo koi bhi vaykti ho. Aaj ye duniya badal gayi hai. Pahele shadi ke baad ladkiya apne husband ke naam se pahechane jaane mai Gaurav mahesus karti thi. Par aaj koi bhi kshetra ho ,ladkiyo ko bhi koi pabandi nahi hai. vo jaha jaana chahe jaa sakti hai. kyuki uske mata -pita bhi chahte hai ki uski bhi koi pahechan ho. Isiliye shadi ke baad bhi vo apni pahechan khud banati hai or usise vo jaani pahechani jaati hai.

Shikha
Logged
surindarn
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 273
Offline Offline

Waqt Bitaya:
134 days, 2 hours and 27 minutes.
Posts: 31520
Member Since: Mar 2012


View Profile
«Reply #1 on: September 12, 2017, 12:12:44 AM »
Reply with quote
Achhaa ehsaas hai.
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
Shikha sanghvi
Yoindian Shayar
******

Rau: 25
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
7 days, 14 hours and 15 minutes.

Shayari likhna or padhna humari hobby hai

Posts: 2266
Member Since: Jan 2015


View Profile WWW
«Reply #2 on: October 08, 2017, 05:52:04 AM »
Reply with quote
thanks surindarji
Logged
M.Jaani
Guest
«Reply #3 on: January 24, 2024, 12:41:35 PM »
Reply with quote
Mene Is Yoindia Me Sub Parha Hai Lekin Mujhe Maff Karna Ager Kesi Ko Reply Nhi Desaka To 
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 07:45:38 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.108 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer