BAZAAHIR TO WOH ZAALIM ........................... HASAN

by F.H.SIDDIQUI on January 21, 2013, 09:04:19 AM
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 1882 times)
F.H.SIDDIQUI
Guest
Reply with quote

Ba-zahir  to  woh   zaalim   sub’h   ka  akhbaar  dekhe  hai  ,
Bacha  kar  baap  ki  nazreiN  hameiN  sau  baar  dekhe  hai


Bahut  gahri  lakeereiN  haiN  mere  hathoN  meiN  shadi  ki  ,
Nujoomi   meri   barbaadi  ke   jald   aasaar   dekhe   hai

  
Woh  rishta   dhoondhne  aayi   hai   apni  moti   didi  ka  ,
Kabhi  ghoore  hai  woh  mujhko  ,  kabhi  ghar baar  dekhe  hai


Milaayi  yaar   se   Mehbooba   apni  ,  le   uda   kambakht  ,
’Hello’  kar   ke  badi   be-sharmi  se  Ghaddar  dekhe  hai


Bhari  mehfil  meiN  hai  majboor , lekin  Jaan-e-Man  humko  ,
Tumhara   Dad   nazroN   se   badi   khunkhwar   dekhe   hai


Badi   hasrat  se    agle   saal   dekhe  ga   kunwaaroN  ko  ,
Khushi  se  ho  ke , jo  Doolha , abhi  sarshaar  dekhe  hai


Qasam  lay  hai  woh  aksaar , munh  na  dekhe  ga  ’Hasan’  mera ,
Gharaz  padne   pe   lekin   munh   mera  das   baar   dekhe  hai

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Zaalim...... by Ghayal in Shayeri for Dard -e- Bewafai
ZAALIM......(K_A) by khamosh_aawaaz in Ghazals « 1 2  All »
zaalim.............A.B by adil bechain in Miscellaneous Shayri
Aye zaalim..........................................................IFTAKHAR by Iftakhar Ahmad in Ghazals « 1 2  All »
zulm aur zaalim by saahill in Miscellaneous Shayri
masoom shahjada
Guest
«Reply #1 on: January 21, 2013, 09:55:31 AM »
Reply with quote
Wow Hasan bhaai aaapne to kamaaal kar diyaaaaaaa.
Logged
sbechain
Guest
«Reply #2 on: January 21, 2013, 10:00:18 AM »
Reply with quote

Ba-zahir  to  woh   zaalim   sub’h   ka  akhbaar  dekhe  hai  ,
Bacha  kar  baap  ki  nazreiN  hameiN  sau  baar  dekhe  hai
meri complaint ko aakhir sher mein utaar hi liya. abb to sudhar jaao icon_flower icon_flower icon_flower

Bahut  gahri  lakeereiN  haiN  mere  hathoN  meiN  shadi  ki  ,
Nujoomi   meri   barbaadi  ke   jald   aasaar   dekhe   hai
haath hi apna katwa lo main kahti hoon. barbaadi se inshaallah bach jaao ge tongue3 tongue3 tongue3 tongue3 tongue3 tongue3
  
Woh  rishta   dhoondhne  aayi   hai   apni  moti   didi  ka  ,
Kabhi  ghoore  hai   mujhko  ,  kabhi  ghar baar  dekhe  hai
haan ghar baar to dekhna hi padta hai na. per main to eklauti hoon meri koi bahan nahin hai. haan pados ki aunty ka tum pe dil aa gaya tha unhon ne hi mujh se request ki ke main unka rishta tum se propose karon samjhe icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower

Milaayi  yaar   se   Mehbooba   apni  ,  le   uda   kambakht  ,
’Hello’  kar   ke  badi   be-sharmi  se  Ghaddar  dekhe  hai
mauqa parst logon ki kami nahin hai.isliye her muamle mein hoshiyaar rahna chahiye. icon_silent icon_silent icon_silent icon_silent icon_silent icon_silent

Bhari  mehfil  meiN  hai  majboor , lekin  Jaan-e-Man  humko  ,
Tumhara   Dad   nazroN   se   badi   khunkhwar   dekhe   hai
haan ji ladki ka baap apni beti ko protect to kare ga hi. kisi aire ghaire ke saath to nahin bhej de gaa. isliye ab mujhe ghooorna bund karo aur ghazal likho Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard

Badi   hasrat  se    agle   saal   dekhe  ga   kunwaaroN  ko  ,
Khushi  se  ho  ke , jo  Doolha , abhi  sarshaar  dekhe  hai
beete hue waqt ko yaad kar ke koi faayda nahin. dulha ban na tumhaari chaah hai.
majboori nahin. shadi nahin hogi to opareshan hui to pareshan. kuch nahin ho sakta tumhara
icon_scratch icon_scratch icon_scratch icon_scratch icon_scratch icon_scratch

Qasam  lay  hai  woh  aksaar , munh  na  dekhe  ga  ’Hasan’  mera ,
Gharaz  padne   pe   lekin   munh   mera  das   baar   dekhe  hai


aaj ke logon ki qasam ki koi value nahin. waise bhi qasam khana buri baat hai icon_flower icon_flower icon_flower


kya kahne fazal sahab................!
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #3 on: January 21, 2013, 10:00:36 AM »
Reply with quote
Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard



Siddiqui Sahaab Aadaab!


Masha Allaah janab kia kahne... kia umda aur khoob mazahiyaa kalaam kahi
hai aapne... Usual Smile

MaiN to soNch raha huN ke kahaaN kahaaN se khayaal aa jate hai aapke zahen
meiN.... Usual Smile
Behad khoobsurat aur umdaa gazal rahi janab.. sabhi ashaar aik se badhkar
aik rahe... Usual Smile

Is umda kalaam par hazaaroN dili daad O mubbarakbad kabul kijiye...

Likhate rahiye... bazm meiN aate rahiye...
Shaad O aabaad rahiye...

Khuda Hafez... Usual Smile
Logged
Shabbirabbas
Guest
«Reply #4 on: January 21, 2013, 10:17:54 AM »
Reply with quote
waah waah  love4
Logged
azad mishra
Guest
«Reply #5 on: January 21, 2013, 10:31:07 AM »
Reply with quote
 Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
shara63
Guest
«Reply #6 on: January 21, 2013, 10:37:25 AM »
Reply with quote
 laughing4 bahut khoob Hasan sb,...great sense of humour !! Laughing hard aur ab is umr me jo mil jaae wohi ghaneemat jaaniye...khaamoshi se qubool kar hi leN !!  mubaarakbaad with daad dene ko hum hain na !! bas dheroN dher qubool kijiye !!

Logged
aqsh
Guest
«Reply #7 on: January 21, 2013, 11:56:49 AM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Applause Applause Applause Applause Applause
bahut bahut khoob hasan jee. dheron daad qubool kare .
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #8 on: January 21, 2013, 02:18:28 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard
Logged
adil bechain
Umda Shayar
*

Rau: 161
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
31 days, 18 hours and 24 minutes.

Posts: 6552
Member Since: Mar 2009


View Profile
«Reply #9 on: January 21, 2013, 05:02:17 PM »
Reply with quote

Ba-zahir  to  woh   zaalim   sub’h   ka  akhbaar  dekhe  hai  ,
Bacha  kar  baap  ki  nazreiN  hameiN  sau  baar  dekhe  hai


Bahut  gahri  lakeereiN  haiN  mere  hathoN  meiN  shadi  ki  ,
Nujoomi   meri   barbaadi  ke   jald   aasaar   dekhe   hai

 
Woh  rishta   dhoondhne  aayi   hai   apni  moti   didi  ka  ,
Kabhi  ghoore  hai   mujhko  ,  kabhi  ghar baar  dekhe  hai


Milaayi  yaar   se   Mehbooba   apni  ,  le   uda   kambakht  ,
’Hello’  kar   ke  badi   be-sharmi  se  Ghaddar  dekhe  hai


Bhari  mehfil  meiN  hai  majboor , lekin  Jaan-e-Man  humko  ,
Tumhara   Dad   nazroN   se   badi   khunkhwar   dekhe   hai


Badi   hasrat  se    agle   saal   dekhe  ga   kunwaaroN  ko  ,
Khushi  se  ho  ke , jo  Doolha , abhi  sarshaar  dekhe  hai


Qasam  lay  hai  woh  aksaar , munh  na  dekhe  ga  ’Hasan’  mera ,
Gharaz  padne   pe   lekin   munh   mera  das   baar   dekhe  hai



mazahiya kalaam khoob raha 2nd sher zayada khaas raha Applause Applause Applause Laughing hard Laughing hard
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #10 on: January 22, 2013, 05:09:26 AM »
Reply with quote
masooom saheb , bahut shukriya aur duaaein.Hasan
Wow Hasan bhaai aaapne to kamaaal kar diyaaaaaaa.
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #11 on: January 22, 2013, 07:22:43 AM »
Reply with quote
Correction : 3rd sher mein doosre misre mein ghalti se eik lafz chhoot gaya hai. Misra is tarah hai :

Kabhi ghoore hai woh mujhko , kabhi ghar baar dekhe hai.

 Saini saheb ka shukriya jinhon ne
ghalti poit out ki. HASAN
Logged
lovely_charan
Guest
«Reply #12 on: January 22, 2013, 07:38:32 AM »
Reply with quote
hahaha.. awesome.... loved it...

kahin din .. khain raatein .. kahin barsaat dekhi hain..
humne aisi magar likhat, jo hai umda, nahi ek baar dekhi hai..
kahan se laaye hain khamoshi ki hansi zara humko bhi batle dein..
humne aaj aapki in baaton mein ajab mithaas dekhi hai..

bahut hi sundar.. just too good.. ek rau apke liye sir Usual Smile
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #13 on: January 22, 2013, 10:55:09 AM »
Reply with quote
bahut  bahut   shukriya  ,  Sheba  ji . khush  rahye .
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #14 on: January 22, 2013, 04:31:13 PM »
Reply with quote
Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard


Siddiqui Sahaab Aadaab!


Masha Allaah janab kia kahne... kia umda aur khoob mazahiyaa kalaam kahi
hai aapne... Usual Smile

MaiN to soNch raha huN ke kahaaN kahaaN se khayaal aa jate hai aapke zahen
meiN.... Usual Smile
Behad khoobsurat aur umdaa gazal rahi janab.. sabhi ashaar aik se badhkar
aik rahe... Usual Smile

Is umda kalaam par hazaaroN dili daad O mubbarakbad kabul kijiye...

Likhate rahiye... bazm meiN aate rahiye...
Shaad O aabaad rahiye...

Khuda Hafez... Usual Smile

PARWAAZ  SAHEB , ADAAB. BAHUT BAHUT SHKRGUZAR HOON .
KHUSH RAHYE.DUAON MEIN YAAD RAKHYE.HASAN
Logged
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 28, 2025, 02:34:23 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.145 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer