is shayeri (kavita) ke sabhi patr wo ghatnaye kalpanik hai. inka vastavik jeevan se koi sambandh nahi hai, ager aisa hota hai to ise matr ek sanyog kaha jayega
ji is bande ko waise to abu dawood kahte hai
bahut se maherban pyar se abdul mardood kahte hai
mere papa ramgadh ke mashoor daaku the
tihar jel ka thana mere nana ne luta tha
wo 15 kilo ka tala usi bande se toota tha
nahi tha chor koi shaher me dada ke paye ka
chura ke gher se le aaye the wo kutta visraye ka
mere mamu ke jali note america me chalte the
hazaro chor daku unki nigrani me palte the
mere mawsa ji cahte badmaash the apne zamane ke
khuda bakhshe bahut shokeen the wo jelkhane ke
mere khalu newyark me jeb katarte the
ek hi saath wo 11 aurto se ishk karte the
mere nana ke bhai nakli sona banate the
haseen bewao ko ro ro ke wo seene se lagate the
sasur saheb jhansi ki rani bhaga ke laye
meri umer ki uski teen bahno ko utha laye
chacha mere bade mashoor the fan-e-rajalat me
mukadma harker wo nange naache the adalat me
mere bhai ne ki four-twenty cheaf justice se
wo jab bigda to jala di uske moonche apni machis se
bade wo log the lekin ye banda bhi nahi kuch kum
khuda ka fazl hai mujh pe nahi mujhko bhi koi ghum
izazat ho to banda ishare hi ishare me
batade aapko kuch tafseel se apne baare me
main raja aur maharajao ki jebe bhi katarta tha
charas, ganja aur chandan ka dhanda bhi karta tha
mere mamuli shagirdo ne 14 bank lute the
meri koshish se ba izzat bari hoke wo chute the
na income tax deta hu na super tax deta hu
apni saari income pe main sarkar se tax leta hu
jo din main ne guzare shan-o-shoukat se guzare hai
zara kuch in dino hi mere gardish me sitare hai
mujhe kar le jo shamil chori aur daako me
yakeenan aap bhi kheloge do din me lakho me
ha ha ha !!!! bahoot khoob SanMoj ji!!!! bahoot sahi likha hai!!!
ajj jo parri apki kahani hai
yaad aa gai mujko to meri naani hai
parri gai hai yah kahani thori se late jaroor
magar mera nahi hai isme koi kasoor
Contact number jaladi app ab bhijwaye
hum apne secrectry se apki baat karwaye
yah chori daakko mai ab kaya rakha hai
hajaaro lakho mai ab kaya bachta hai
Nai Technology ke tarike hum apko sikhayegy
Bina bandook ke kaise banty hai paise yah batayegy!!!
naani hamari to bahoot sayani hai
usne hi sambhali yah saari neknaami hai!!! he he he