dedicated to.........larke...

by roshni246 on January 15, 2006, 01:05:39 PM
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 12
ReplyPrint
Author  (Read 12424 times)
roshni246
Guest
Reply with quote
Chund larkiyon ke peechaye, das das hazar larke
Yahan se wahan tak hain phaile beshumar larke
Parhne likhne se yeh rehte hain humesha khaaif
Hote hain maktaboon se asksar faraar larke
Girls colleges ke bahir saraapa intezar larke
Waise to samjhte hain bahut hoshyar kud ko
Magar hain bewaqoofyon ka shaahkar larke
Masoom larkiyon se karte hain flirt akser
Aise kaamon main hain bohut hunhar larke
Wafa ashar main rahkte hain
Har rooz nai larki ke peeche bandhain qataar larke
Bemari-e-ishq main mubtala bechare
Lerki se baath karne ko beqarar larke
ufffffffffff aaj kal ke larke....
[/color]:wink:

~roshni~
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Kita pyari hai woh larke jo mara dil main hai basee(persona) by muneeb in Shairi - E - Zindagi
EK larke na kaha haam sa(personal) by muneeb in Shairi - E - Zindagi
dedicated to lovers! by tinda in Shayri for Khumar -e- Ishq
Larke pe bhari larki by songwriter_123 in Share:Funny Poetry
Ladkiyon pe bhaari larke by songwriter_123 in Share:Love Poetry
tushar_4u_im
Guest
«Reply #1 on: January 15, 2006, 02:06:51 PM »
Reply with quote
kerti hai humse humari hi sikayat dekho......

kehti hai hum hai na kam na zyada hai baraber dekho.......

samajhti hai khud ko pholon ki tarah ...........

aati hai humse milne ye aakser chupker............

kare jo hum khata inke pass aane ki ..........

hoti hai barr barr behas inke nakhre uthane ki..........

aaj kal to bike hai pyar sare bazarr dekho,......kare kaise tumhara phir aaitbarr dekho...

machai kyu tauba kare ye jab kare hum  izzhar dekho....

.phir kehti hai humhai tumhare sang hai hum tumhara pyar dekho...

aagar chand ladke ho jo bewaquf to kya hum kare sanam.........

hoti hai bate kuch aaisi hi bewaquf ladkiyo ki sare aam dekho .........

naam lete hai humara hi kasam khate hai ye humesha humara sath dene ki.....

magar aaye jo aaba ka inke paigam dekho muker jati hai her wade se  ye inka pyar dekho.....

kerte hai hum pyar iss bat se bhi hume inkar nahi.............

muker jate hai wo her batt se is batt se bhi hume inkarr nahi............


ladkiya ye ladkiya ............................
Logged
roshni246
Guest
«Reply #2 on: January 15, 2006, 04:20:16 PM »
Reply with quote

Bohat hee khobsurat nazm ka aghaz kerte hain
aaj kal larke kion apna waqt berbaad kerte hain

Zara samjha kero hum ko, zara alfaaz wapis lo
Keh sharif zaade kahan, kab, aisi baat kerte hain

Kissi se “luv u” kehte hain kissi se “hug u” kehte hain
Yeh jo aap kerte hain woh kia khaq kerte hain??

Mobile de ke larkion ko inspire kerte hain
Maa baap ke paisoon ka khana kharab kerte hain

Bohat pur-josh rehte hain bohat si baatein kerte hain
Mager matlub ki baatoon ko huns ke taala kerte hain

Deen ki baatoon ko itna khud pe sawar kerte hain
Aur kuch mane ya na mane shaadi hamesha chaar kerte hain

Kahein to hard disk bhar doon inn pe likh ker
Chalein chorein aaj hum inn ko maaf kerte hain.
tongue3  tongue3  tongue3
Logged
tushar_4u_im
Guest
«Reply #3 on: January 15, 2006, 04:32:26 PM »
Reply with quote
Quote from: "roshni246"

Bohat hee khobsurat nazm ka aghaz kerte hain
aaj kal larke kion apna waqt berbaad kerte hain

Zara samjha kero hum ko, zara alfaaz wapis lo
Keh sharif zaade kahan, kab, aisi baat kerte hain

Kissi se “luv you” kehte hain kissi se “hug you” kehte hain
Yeh jo aap kerte hain woh kia khaq kerte hain??

Mobile de ke larkion ko inspire kerte hain
Maa baap ke paisoon ka khana kharab kerte hain

Bohat pur-josh rehte hain bohat si baatein kerte hain
Mager matlub ki baatoon ko huns ke taala kerte hain

Deen ki baatoon ko itna khud pe sawar kerte hain
Aur kuch mane ya na mane shaadi hamesha chaar kerte hain

Kahein to hard disk bhar doon inn pe likh ker
Chalein chorein aaj hum inn ko maaf kerte hain.
tongue3  tongue3  tongue3



hume maff kerke kya insaff aap keroge.........
hume to diljala aashiq keh ker aapne hi badnaam kiya hai ......

aare hum nahi kerte paisa kharab aa dilber..........
wo kerwati hai humse 199 nakhre dikhaker .......

hum to chahte hai paisa bachake aapne sapno ko tayiyar kerna.....
wo rehti hai firak me k kab iska sapna tayyiar ho ,,o hum jaye waha iska sapna bekaar ho.....

dhati hai hum deewano per na jane kaise kaise sitam ........
kehti hai pyar kerte hai tumnse kerti hai zulmo sitam........

humne manga jo ek katra aapne khoon pasine ki kamai ka ......
kehti hai pehle lane do face pack shehnaz ka........

hum kehte hai thoda to hume bhi paisa de do .........
kehti hai paisa le lo ya humse aashiqi kerlo...............



haiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiii iiii   rubba mai to mara hu aaise hi pyar me....
tum na lena kahi khatra mackup k bazzar me........
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #4 on: January 15, 2006, 04:49:07 PM »
Reply with quote
Shama hai suhana suhana ,
Nashe mein jahan hai ye....

Harr dil mein jaagi dekho
Muhabaat jawan hai,....


Neer............!!
Logged
roshni246
Guest
«Reply #5 on: January 15, 2006, 05:41:35 PM »
Reply with quote

Gore Gore Yeh Chore
Yeh Ishq Ishq Chilaatein Hain
Yeh Gali Gali Mand Raatein Hain
Yeh Ishq Ishq Chilaatein Hain
Yeh Gali Gali Mand Raatein Hain
Shaadi Ki Degar Na Jaaye Magar
Yeh Gore Gore Yeh Chore

Andher Se Chahe Kuch Bhi Ho
Yeh Adha Magar Hai Heero Wali
Din Raat Kitaabein Parthe Hai Yeh Ladki Ki Tasweero Wali
Kahin Jeevan Mela
Par Shaadi Jamela…
Darwaza Inhe Dikhlaon Zara

Shaadi Ki Jo Baat Karo To
Budi Yeh Haalat Karthe Hai
Bin Shaadi Sang Rehne Ki Yeh
Badi Waqalat Karte Hai
Har Ladki Pyaari…
Bin Zimivari…
Laila Ke Bina Yeh Majhnu Bane
Yeh Gore Gore Se Chore


~roshni~
Logged
urs4evasomdev
Guest
«Reply #6 on: January 15, 2006, 05:57:58 PM »
Reply with quote
tum ladko ka kya thikana, aaj yaha kal kahi aur honge!!!!
saath tho dete nahi bas jhutha vada karte raheogey!!!!

tum ladko ko humare guror se kyu nafrat hai,
aakhir aap hi ke pyaar ka tho natija hai,

humare nakhre ko uthana aap hi ka tho kaam hai,
tum nahi uthaogey, tho koi aur uthayega..aakhir harna tho aap hi ko padta hai!!!

tum ladko ko humaari khubsurti se kyu nafrat hai,
aakhir yehi tho khuda ka faisla hai,

humaare khubsurti pe tho saari duniyaan fida hai,
isse itna aitraaz kyu hai, na sambhal pau, tho haarna tho aap hi ko tho padta hai!!!
Logged
mili_genie
Guest
«Reply #7 on: January 16, 2006, 05:45:01 AM »
Reply with quote
gr8 all of u.....tongue3

lagye raho,..... tushar bhai, nirbhay, rosniji & somdevji.......:lol:
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #8 on: February 02, 2006, 03:19:21 PM »
Reply with quote
pahale muskarati hai, phir sharmati hai,
SAVDHAN ye ladkiyan aise hi MURAGE fasati hai,
bhole bhale ladake zulfon ke jaal me uljhati hai,
kadaka nikala bechara to public se pitwati hai,
paise wala hua to use kadaka banati hai,
kai barbaad hue, bahuto ki baari hai,
sabhalon bhaiyon ye naari badi bhari hai,
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #9 on: February 10, 2006, 05:53:45 PM »
Reply with quote
Quote from: "roshni246"
Chund larkiyon ke peechaye, das das hazar larke
Yahan se wahan tak hain phaile beshumar larke
Parhne likhne se yeh rehte hain humesha khaaif
Hote hain maktaboon se asksar faraar larke
Girls colleges ke bahir saraapa intezar larke
Waise to samjhte hain bahut hoshyar kud ko
Magar hain bewaqoofyon ka shaahkar larke
Masoom larkiyon se karte hain flirt akser
Aise kaamon main hain bohut hunhar larke
Wafa ashar main rahkte hain
Har rooz nai larki ke peeche bandhain qataar larke
Bemari-e-ishq main mubtala bechare
Lerki se baath karne ko beqarar larke
ufffffffffff aaj kal ke larke....
[/color]:wink:

~roshni~


hmmmmmmm    yeh  kya hia  Puzzled !   ladkon  ke  uper  iljaam diya  ja raha hia tongue3
Logged
shayar_dildaar
Guest
«Reply #10 on: February 10, 2006, 05:59:33 PM »
Reply with quote
Yeh iljaam bebuniyaad aur fizul hain,
Ladkiyon k nakhrein hazaar, tewar kamaal hain,
Propose karo toh waqt itna lenge,
Haan kehne k liye hazaaron conditions rakhenge...

Arre koi toh sambhalo inn ladkiyon ko,
Khudha bachaye inn bechare se ladko ko....
Logged
mahip
Guest
«Reply #11 on: February 11, 2006, 11:35:03 AM »
Reply with quote
bilkul sahi kaha bhai aapne,
bilkul sahi kaha bhai aapne,
practical experience hai,
in ladkiyon ke bare main.
Logged
sweet_raabii
Guest
«Reply #12 on: February 19, 2006, 06:14:17 PM »
Reply with quote

its really wonderful Roshni and minu.....
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #13 on: February 20, 2006, 01:55:44 PM »
Reply with quote
ladakiyon ne husn ko hathiyar bana rakha hai,
jawani ko ladkon ki nav ki patwar bana rakha hai,
Logged
D K
Guest
«Reply #14 on: February 20, 2006, 06:47:18 PM »
Reply with quote
aaj kal ki ladkiyaan ka to kya kehna
aaj inke to kal unke dil mein rehna

bechare ladkon ko pehle behlana phuslana
kaam nikaalne ke baad bhaiyya ka darja dena

dil mein to be-inteha laddu phootna
par khud pehle izhaar kabhi na karna

sabke saamen to khoob dosti nibhana
peeche se saheli ke bf ko apne upar senti karna

khud to pachas ladkon ko ek saath tehlana
aur ladkon ko free phokat mein badnaam karna
Logged
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 12
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 09:29:59 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.104 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer