kabhi larkiyon ki adaaon mai martay hain larke
kabhi college to kabhi school kegate par khare miltay hain larke
ek waqt main das girl friends rakhte hain ye larke
baray hi dill phaink hote hain ye larke
kabhi jo murawat main bhi mur kar daikh lo in ki taraf
to qadmon mai lot partay hain ye larke
kabhi aankhon ko ghazal to kabhi chaihray ko chaand
larkiyon ki tareefain karte thaktay nahi ye larke
jo mill jaaye qismat say us main kabhi khush nahi raihte
kabhi yahan to kabhi wahan moonh marte hain ye larke
khud ko shahrukh ya kabhi salman khan samajh kar
har larki say izhaar-e- muhabbat karte hain ye larke
paihlay larkiyon ko meethay meethay khawab dikhaate hain
phir kisi aur larki ko miltay hi sab bhool jaatay hain ye larke
paihle kaihte hain ke main tumhare bina ji nahi sakta
zeher ye zindagi ka pee nahi sakta
tum jo mill jaao to mairi qismat sanwar jaayegi
baad mai apne har qol har wade ko bhula daite hain ye larkay
suno larkiyon ye larke sirf larkiyon say time paas k liye karte hain dosti
bhanwray ki tarah daal daal mandlate hain ye laarke
laakh booraaiyan kar lain ye larkiyon ki magar
phir bhi larkiyon ke peechay dum hilate nazar aatayhain ye larke
ishq ke dong ne kiya hay in ko tabah yaaron ye duniya jaanti hai
kabhi nahi sudhraingay is qom ke larke ye dunia manti hai
~roshni~
pehle to apni adaaon se bechare ladkon ko phasati hain yeh ladkiyan
phir college school bus stop per milne ko bulati hain yeh ladkiyan
ek do ladkon se to inka guzara chal hi nahi sakta
isiliye das das ladkon ko phansa ke rakhti hain yeh ladkiyan
kabhi mur mur ke dekhti hain kabhi hansti hain chupke se
ladkon ko phasane ke na jaane kitne hunar rakhti hain yeh ladkiyan
chahe jitna bhi inki aankho ko ghazal ,chehre ko kamal kaho dosto
phir bhi naginon ki tarah dasna nahi chodengi yeh ladkiyan
shakal ko apni aainey main dhang se dekhti nahi
aur madhuri ,aishwarya banna chahti hai yeh ladkiyan
pehle to meethi meethi baaton se naye naye khuwab dikhati hain
phir thoda jiyada paise waala mila to becharon ko chor jati hain ye ladkiyan
pehle to saath jeene saath marne ki jhooti kasmein khati hain
paise khatam hote hi naye murge ki talash main lag jati hain yeh ladkiyan
suno dosto yeh sirf paison ke liye karti karti hain dosti
agar miljayen bike wale to phoole nahi samati yeh ladkiyan
doston main aap sab ko ek hi deta hun salah
na padna chakeron main chahe kitni bhi bholi bane yeh ladkiyan
doston khao kasam humein yeh zamane ko dikhana hai
inki jagah hai thokron main inhein wahi pahunchana hai
nice Roshni sis..........Sameer...... accha jawab diya......... Sabaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaassssssssssssss :lol: