Delhi Ki Yaaden ...

by NewYorker on October 19, 2005, 07:51:46 PM
Pages: 1 [2] 3 4
ReplyPrint
Author  (Read 12602 times)
Pooja
Guest
«Reply #15 on: October 19, 2005, 08:38:03 PM »
Reply with quote
Dashraa per papa ke sung jaaty thy
Teer kaman, Talwaar aor gada bhi kharid laty thy
jalaty hui putlo ke sath papa kahani bhi sunaty thy
Ice cream khaty khaty, phir ghar ko wapis atty thy!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
dhundli yaaden by samnoj in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2  All »
Bikhri yaaden... by Pundreek in Shayri for Dard -e- Judai
maa ki yaaden by ranjana in Occassion Specific Poetry
YAADEN.................... by jay091081 in Shayri for Dard -e- Judai
Delhi Gangrape----pls forward this...Delhi Gang Rape by kavyadharateam in Miscellaneous Shayri
NewYorker
Guest
«Reply #16 on: October 19, 2005, 08:46:41 PM »
Reply with quote
yaar ... sehi main kya time tha ... :lol:

subah DTC main latakanaa
phir school ke toton par ataknaa
Training-Teacher ka class main mataknaa
yaad aa gaya..bin piya yun behaknaa ...  :lol:
Logged
Pooja
Guest
«Reply #17 on: October 19, 2005, 08:48:36 PM »
Reply with quote
DTC mai jab bhi hum jaaty thy
papa hamesha her rasta hume dikhaty thy
wapisi per her jagah ka naam bhool jaaty thy
phir papa se daant kha kar, mummy ko shikayat lagaty thy!!!
Logged
NewYorker
Guest
«Reply #18 on: October 19, 2005, 08:53:01 PM »
Reply with quote
ha ha ha  ........ :lol:

delhi ke baaten ho suhaani
school ke dino ki th kuch naadaani
chhayi thi aasi jawani
har ladki lagti thi pariyon ki rani ...  :wink:
Logged
Pooja
Guest
«Reply #19 on: October 19, 2005, 08:54:06 PM »
Reply with quote
PAPA Hamesha samjhaty thy
Larko ke bhed bataty thy
jab bhi atta tha koi larka
hum dekh kar use bhag jaaty thy!!!
Logged
NewYorker
Guest
«Reply #20 on: October 19, 2005, 08:56:33 PM »
Reply with quote
hmmmmmmmmm ..  :idea:

Papa ke itna samjaane ke baad bhi
kabhi to kissi se pyar hua hoga
na chahate hue bhi
koi aapke dil pe vaar zarror hua hoga ...  :lol:
Logged
Pooja
Guest
«Reply #21 on: October 19, 2005, 09:09:28 PM »
Reply with quote
Papa se hum darty thy
dada ji ke hum chahty thy
jo papa se kahty darty thy
wo dada ji se kah dety thy!!!
Logged
NewYorker
Guest
«Reply #22 on: October 19, 2005, 09:12:38 PM »
Reply with quote
ha ha ha ha ha .. :lol:

jhoot bolna paap hai  :wink:

papa se to sabhi darte hai
phir bhi padosi le ladke pe chup-cchup ke marte hai :wink:
Logged
Pooja
Guest
«Reply #23 on: October 19, 2005, 09:15:30 PM »
Reply with quote
yandeen hai delhi ki
Delhi mai hi rah jaane do
kuch hai mithy ahsaas
ahsaas ban kar hi rah jaane do!!!


Apni kaho kuch apni sunao
RK puram ki kahani hume bhi batao!!
Logged
Ladke_hain_duffer
Guest
«Reply #24 on: October 19, 2005, 09:15:49 PM »
Reply with quote
meri to bahut pitai hoti thi
papa ke mana karne per bahar kehti thi
Dadu se aapne khoob banti thi
un hi se sabki shikayet karti thi

plzz mat yaad dilao badi maar khai hai maine Puzzled !
Logged
Pooja
Guest
«Reply #25 on: October 19, 2005, 09:18:30 PM »
Reply with quote
Maar to hum bhi khaty thy
bahar larko ko maar kar atty thy
unki papa bhir shikayat lagaty thy
hum phir se shikayat kar ke unko pitwaaty thy!!!
Logged
Ladke_hain_duffer
Guest
«Reply #26 on: October 19, 2005, 09:32:00 PM »
Reply with quote
hum cricket khela karte the
ladkon ka sar bhi foad dete the
wahan se bagh kar seedha ghar aa jate the
phir papa se bahut maar khate the

Puzzled ! asusual
Logged
Pooja
Guest
«Reply #27 on: October 19, 2005, 09:39:53 PM »
Reply with quote
hum larko ke sath cricket or Hockey khailty thy
wo hamare sath ghar ghar khailty thy
Mitti ke bartan banaaty thy
into (bricks) ke bich mai rakh kar phir pakaaty thy
un per patto ka khana lagaaty thy
bachpan ke bholepan mai, kaya kaya kheil rachaaty thy!!!
Logged
Chilkan2005
Guest
«Reply #28 on: October 20, 2005, 01:10:24 AM »
Reply with quote
hi.. hum bhi hai adhe dilli wale
humne bhi gujara do saal dilli mein

Hum sarita vihar (south delhi) mein rehte te,
aur roj office Noida ko jathe te..

woh 8 no. bus mein latakna muje abhi bhi yaad hai,
aag mein ghee thi jab, diesel ki gaadi badli thi..

jyada ther sunday ki shaame hum India gate pe gujarte te,
woh rangeen logon ki khushi, hamari khushi dhoonte te...

6 mahine gurgaon mein bhi gujara hai,
wahaka tha ek ajeebo gareeb najara hai..

woh oonchi oonchi imarate aur woh multiplex,
kardeti thi ladkiya hamari dimaag ko complex...

ab kya kya yaadein bayaan kare,
kuch hum kahi se bhool gaye, kahi se hamari dilli..
Logged
nafrate_husn
Guest
«Reply #29 on: October 20, 2005, 11:33:37 AM »
Reply with quote
Wah Sab log ek se badkar ek post laga rahe hai

Aayi hai DIlli ki baat , to kuch hamari bhi sun lo
Laxminagar, RK Puram, GOL market me humne hai din gujaare
Har saturday sunday hum Apne dosto ke saath Movie dekhne ko baaghte
Night show ke hi ticket humko mil paate
Aate Aate saare Dhaabe band ho jaate
Picture dekh hum bookhe pet hi so jaate
DTC, Blue Line , Auto sab me hai humne Dhakke khaye
Garmiyo ki loo ne hamare chehre pe thapede lagaye
To Sardiyon ne hamare gaalo ko Pyaar se sahlaaye
Wo Dilli Hamari Dilli thi aur Hai
Jisko hum aaj Tak bhool na paaye
Logged
Pages: 1 [2] 3 4
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 10:42:32 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.096 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer