Delhi Ki Yaaden ...

by NewYorker on October 19, 2005, 07:51:46 PM
Pages: 1 2 [3] 4
ReplyPrint
Author  (Read 12590 times)
NewYorker
Guest
«Reply #30 on: October 20, 2005, 08:26:51 PM »
Reply with quote
well said NH & Chilkan

hai woh shaharon main ek shahar
hur mausam hi machhata tha wahan kahar  :lol:
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
dhundli yaaden by samnoj in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2  All »
Bikhri yaaden... by Pundreek in Shayri for Dard -e- Judai
maa ki yaaden by ranjana in Occassion Specific Poetry
YAADEN.................... by jay091081 in Shayri for Dard -e- Judai
Delhi Gangrape----pls forward this...Delhi Gang Rape by kavyadharateam in Miscellaneous Shayri
NewYorker
Guest
«Reply #31 on: October 25, 2005, 10:07:31 PM »
Reply with quote
Delhi ke puraane washinde
nahi abb karte yahan post
shayad ye bhool gaye hain woh
best hote hai puraane hi dost ..
Logged
Pooja
Guest
«Reply #32 on: October 25, 2005, 10:37:54 PM »
Reply with quote
nahi bhoole hum delhi ki baaty
wo dhoop bhare din, wo chandini raaten
Logged
Chilkan2005
Guest
«Reply #33 on: October 25, 2005, 10:49:40 PM »
Reply with quote
ab dilli ki yaadein dheeli pad rahi hai,
kahi aur ki yaadein bhaari pad rahi hai..

dilli tho waise dilwalon ki kahlaegi,
hum kahi bhi rahe aadhe dilliwale kahlaenge..

kaise bhoole, palika bazaar mein shopping karna,
kaise bhoole, paras mein cinema dekhna,
kaise bhoole, lotus temple dhyan mein baitna,
kaise bhoole, navraathri mein kaalkaaji mein ghoomna,
kaise bhoole, kaise bhoole, kaise bhoole..

kabhi kabhi yeh dilli ki yaad thandi padne lagti hai,
phir koi garmi denese, phirse garam ho jaathi hai..
Logged
Pooja
Guest
«Reply #34 on: October 26, 2005, 03:37:16 PM »
Reply with quote
Dear park ki subah aor Mandir ki wo shame
kaise bhool jaau, wo sahliyion dosto ke sung khane!!
Green Park ki masati, ever green ke gol guppy
Pithu ki ball and rassi per kudaty tuppe!!!
Bijali jaane per wo chupan  chupai ka khail
rah gai bas yaanden, na jaane kab hoga sab bachpan ke dosto se meil!!!
Logged
Chilkan2005
Guest
«Reply #35 on: October 26, 2005, 05:15:10 PM »
Reply with quote
rah gai bas yaanden, na jaane kab hoga sab bachpan ke dosto se meil,
rah gai bas yaanden, na jaane kab hoga sab bachpan ke dosto se meil,

ab mushkil hoga milna, ab karte raho bus chat and mail....
Logged
Pooja
Guest
«Reply #36 on: November 01, 2005, 08:15:07 PM »
Reply with quote
Diwali per Delhi ki bhir yaad aai
bachpan ki yaandon ki barsaat lai
mil kar wo patakho ki dheri banana
phir ek jaise patakho ko alag alag bichana
apne apne ghar pooja kar ke, park mai anna
ek sath mil kar bhir wo der raat tak pttakhy chalana!!!
Logged
NewYorker
Guest
«Reply #37 on: November 01, 2005, 08:23:57 PM »
Reply with quote
bahoot acche .....Bahoot acchee

Sahi kaha, diwali ki woh yaaden
diyon aur mithaiyon ke lagti thi saugaten
pathako ke shor main,  aur jawan hoti raaten
diwali ki woh yaaden, diwali ki woh yaaden
Logged
Pooja
Guest
«Reply #38 on: November 01, 2005, 08:37:59 PM »
Reply with quote
yahan per na Delhi jaise koi baat hai
na patakhy na dosto ki baraat hai
Bin pataakho ke bas diye jalaty hai
pooja ke baad bath kar, bhoolo bisari yaanden sajaty hai!!
Logged
NewYorker
Guest
«Reply #39 on: November 01, 2005, 08:53:58 PM »
Reply with quote
Hum dost,
yahan milte hain shaam ko
Pooja ke baad,
lete hain hathon main jaam ko

he he .. Usual Smile
Logged
Pooja
Guest
«Reply #40 on: November 01, 2005, 08:56:27 PM »
Reply with quote
jaam ki to hume bhi manahi nahi hai
magar kisi bhi jaam mai, wo baat nahi hai
dosto ki sung, khailne mai jo nasha tha
kayun nahi waqat hamesha ke liye, wahin kharra tha!!
Logged
NewYorker
Guest
«Reply #41 on: November 01, 2005, 09:04:34 PM »
Reply with quote
Jaam ke baad
lagati hai taash (teen-patti) ki bisaat
Dekhate hi dekhate
Na jaane kaise kut jaati hai raat .. Usual Smile
Logged
Pooja
Guest
«Reply #42 on: November 01, 2005, 10:03:22 PM »
Reply with quote
Tash ki game ke waqat mummy ka pakore banana
pakora utha kar chatani laga kar bhag jana
koi bhi jeety hamara taali bajana
dosto ke sung wo ho halla muchana!!
Logged
NewYorker
Guest
«Reply #43 on: November 01, 2005, 10:30:16 PM »
Reply with quote
Raat bhar chali hai chai ki dukaan
banaane waale ho jaate hain pareshaan
jub aate hain apne paas teen ekke
tub bana dete hain subhi doston ko hum $$$ se anjaan ..Usual Smile
Logged
Chilkan2005
Guest
«Reply #44 on: November 01, 2005, 11:10:50 PM »
Reply with quote
teen patho game tho kamaal ka hai,
kabhi paisa aatha hai, kabhi jaatha hai..

Diwali pe hum hamesh teen pathe khelthe te,
aur record raha hai, hamesha hum paisa bana lethe te...
Logged
Pages: 1 2 [3] 4
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 03:48:14 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.088 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer