'' Dilli ke Autoo '' ... /annu/

by annu_genis on July 20, 2011, 06:40:26 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1188 times)
annu_genis
Guest
Reply with quote
Dilli Ke Auto

Hum roj ghar se apne office ko nikalte hai, har chourahe par auto ki raah takte hai,
Bheed me unke aage-peeche bhaagte hai, namakool fir bhi ladies - ‘first preference’ kehke nikal  jaate  hai,
Yeh auto subah-subah hamaara band bajaa dete hai

Koshish karte hai roj jaldi office pahunchane ki, zindagi ki daud me sabse aagey nikalne ki,
Par auto-waale girl friends ki tarah intezaar karwate hai ..aur office me hum Boss ke saamne thagey se khare reh jaatey hai,
Yeh auto jagah-jagah hamaara band bajaa dete hai

Kabhi  mod pe, raahon me, haseen dost mil jaatey hai, aur naina do se chaar hone lag jaatey hai,
Sakoon milta hai hume kuch pal unke saath ka, par auto aatey dekh woh bhi hume choona laga jaate hai,
Yeh auto roj-roj hamaara band bajaa dete hai

Kismat se kabhi, kabhi majboori me kissey ho jaatey hai, jab auto me saath female co-passenger aa jatey hai
Hum man hi man muskuraa ke kuch arz karne ko hote hai ..tabhi wo apne intro me apna ‘Relationship status’ update kara jaatey hai
Yeh auto samay-samay par hamaara band bajaa dete hai

Aksar raaste me, mere auto ko neecha dikhaate hue koi ladki apni adaa me overtake karke - humko impress karti hai,
Tabhi aagey signal pe wo cigarette peete hue fir milti hai, aadhi to hamari wahi dhuan ho jaati hai aur baki beedi ke dhue me sulag jaati jai
Yeh auto tarah-tarah se hamaara band bajaa dete hai

Jab shaam ko thake-haarey hum ghar ko nikalte hai, meelo chalane ke baad koi auto pakadte hai,
Wo kiraaye me maano poori dushmani nikak lete hai, shayad galti se hume Tata-Birla ki aulaad maan  lete hai
Yaaro  .. dilli ke auto waale shaam ko bhi humaara band bajaa dete lete hai
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Dilli ka Anubhav ek Kavi ki jubani by clicksahil in SMS , mobile & JOKES
*Dilli-6* by Roja in Movies, TV and Entertainment
!!!dilli!!! by pritam tripathi in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Dilli in ghuspaitho ke karan hi bimaar hui by kavyadharateam in Occassion Specific Poetry
Mohtaj DiLLi by Saavan in Shayri-E-Dard
ParwaaZ
Guest
«Reply #1 on: July 20, 2011, 11:54:54 AM »
Reply with quote
Aadaab Janab Usual Smile

 Applause Applause Applause
bahut khoob behad achche tajurbe share kiya hai aapne.. tongue3
Aapke in tajurboN par dil se daad O mubarakbaad hazir hai.. Usual Smile


Likhate rahiye... Aate rahiye.. Usual Smile
Khush O aabaad rahiye..
khuda Hafez Usual Smile
Logged
annu_genis
Guest
«Reply #2 on: July 20, 2011, 12:44:28 PM »
Reply with quote
Aadab huzoor!!
Parwaaz jee ..hauzlaa afzaayee ka bahut-bahut shukriyaa.
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 04:21:59 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.106 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer