DULHE KE JAZBAAT..............(GHAYEL)

by sajid_ghayel on November 15, 2008, 09:07:55 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 3843 times)
sajid_ghayel
Guest
Reply with quote
Shadi ke baad dulhe ke kya tas_surat hote hain uski ek jhalak aap hazraat ke aage pesh kar raha hu ummeed kartu hu sare mard meri baat se sehmat hoge aur jo na bhi ho main unke dil me apni apni begum ka dar samaj sakta hu.

Jo dekhi thi humne shadi se pehle woh tadbeer kitni haseen thi
Mera humsafar hoga lakho me yeh khayale takdeer kitni haseen thi

Dulhan ne jo dhoya apna muh hum dar gaye tuta har khwab
Kal raat jo gunghat me dekhi thi woh tasweer kitni haseen thi

Tang kapdo ka dosh nahi unhe to dheele bhi tang ab hote hain
Jo banayee thi humne apni ghazlo me who tameer kitni haseen thi

Main ranjha banuga unka woh dil tham ke sunege GHAYEL ki shayri
Lafz kapte hain kaise likhu begum mere khwabo ki heer tumse ziyada haseen thi

Jo dekhi thi humne shadi se pehle…………………… Crying
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
JAZBAAT by soni_nice1 in Shayri for Khumar -e- Ishq
JAZBAAT by soni_nice1 in Shayri for Dard -e- Judai
MERE JAZBAAT by ANKIT RAO in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2  All »
~~~~~******JAZBAAT-E-LAFZ******~~~~~~ by fidaa in Shayri for Khumar -e- Ishq
Dulhe or dulhan ki shadi ka din - shikha by Shikha sanghvi in Miscellaneous Shayri
Shikha12
Guest
«Reply #1 on: November 15, 2008, 10:01:12 AM »
Reply with quote
Ha ha ha... Sahi Hai Sahi Hai..  Laughing hard

Ghar ki Murgi bhi Daal Barabar hoti hai... Kisi ne sach hi kaha hai..
Kyon Sajid ji.. Theek kaha hai naa.. ??
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #2 on: November 15, 2008, 10:11:07 AM »
Reply with quote
Ha ha ha... Sahi Hai Sahi Hai..  Laughing hard

Ghar ki Murgi bhi Daal Barabar hoti hai... Kisi ne sach hi kaha hai..
Kyon Sajid ji.. Theek kaha hai naa.. ??
haslo haslo hamare armano ka gala ghot ke tum aurto ko hasne me bohat maza aat hain arey daal bhi tazi ho to aadmi kam chala le par basi daal ka kya kare  Crying
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #3 on: November 15, 2008, 04:00:22 PM »
Reply with quote
 DOH DOH   

Logged
Pooja
Guest
«Reply #4 on: November 17, 2008, 11:57:00 PM »
Reply with quote
 Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard

bahoot khoob SG ji!! sahi kaha!!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #5 on: November 18, 2008, 12:05:00 AM »
Reply with quote
Ek koshish ki hai apki shyri parr kar kuch likhne ki, pahle socha yah is thread ke title se match nahi karti to new thraed main likhu. magar yah shayad yahi jayada achi lage, sopost kar rahi hu

Jo dekha shadi se pahle, wo khwab kitna rangeen tha
Mera humsafar hoga lakhon main ek, yah khawab kitna sangeen tha

Dulhe ne jaisa he naam pukara, sh ki jagah wo s bada gumgeen tha (Haryana ke log yahi karte hai, s ko sh or sh ko s)
Khul kar jab wo hansa, wo drishye bada bhayebheen (darawna)  tha

Kapra koi bhi kaise saje, shohar humara seekh se bhi maheen tha
Heer socha tha khud ko, magar yah Ranjha, Ma ki ek awaz per kampeen (kamp kappa jaane wala) tha

Na jaane kitani shayri likh di shadi se pahle khawabo main
Ab to uska khayal bhi, Jurm ek sangeen tha!!!
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #6 on: November 18, 2008, 02:38:29 AM »
Reply with quote
Ek koshish ki hai apki shyri parr kar kuch likhne ki, pahle socha yah is thread ke title se match nahi karti to new thraed main likhu. magar yah shayad yahi jayada achi lage, sopost kar rahi hu

Jo dekha shadi se pahle, wo khwab kitna rangeen tha
Mera humsafar hoga lakhon main ek, yah khawab kitna sangeen tha

Dulhe ne jaisa he naam pukara, sh ki jagah wo s bada gumgeen tha (Haryana ke log yahi karte hai, s ko sh or sh ko s)
Khul kar jab wo hansa, wo drishye bada bhayebheen (darawna)  tha

Kapra koi bhi kaise saje, shohar humara seekh se bhi maheen tha
Heer socha tha khud ko, magar yah Ranjha, Ma ki ek awaz per kampeen (kamp kappa jaane wala) tha

Na jaane kitani shayri likh di shadi se pahle khawabo main
Ab to uska khayal bhi, Jurm ek sangeen tha!!!


 Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard
Logged
Pooja
Guest
«Reply #7 on: November 18, 2008, 05:26:19 AM »
Reply with quote
shukaria Bekarar ji
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #8 on: November 18, 2008, 07:46:17 AM »
Reply with quote
Ek koshish ki hai apki shyri parr kar kuch likhne ki, pahle socha yah is thread ke title se match nahi karti to new thraed main likhu. magar yah shayad yahi jayada achi lage, sopost kar rahi hu

Jo dekha shadi se pahle, wo khwab kitna rangeen tha
Mera humsafar hoga lakhon main ek, yah khawab kitna sangeen tha

Dulhe ne jaisa he naam pukara, sh ki jagah wo s bada gumgeen tha (Haryana ke log yahi karte hai, s ko sh or sh ko s)
Khul kar jab wo hansa, wo drishye bada bhayebheen (darawna)  tha

Kapra koi bhi kaise saje, shohar humara seekh se bhi maheen tha
Heer socha tha khud ko, magar yah Ranjha, Ma ki ek awaz per kampeen (kamp kappa jaane wala) tha

Na jaane kitani shayri likh di shadi se pahle khawabo main
Ab to uska khayal bhi, Jurm ek sangeen tha!!!

Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Chalo aaj tumne bhi apna dard humse baat hi liya  Giggle
Logged
Pooja
Guest
«Reply #9 on: November 18, 2008, 05:45:08 PM »
Reply with quote
Apse jawab ke intzaar main thi SG app to hans kar chal diye!!
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #10 on: November 18, 2008, 06:57:42 PM »
Reply with quote
Apse jawab ke intzaar main thi SG app to hans kar chal diye!!
ladte hue aurto se mard achche nahi lagte DOH
hamari fitrat hi kuch aisi hain hum aurto ke muh nahi lagte Giggle
Logged
Pooja
Guest
«Reply #11 on: November 18, 2008, 07:46:15 PM »
Reply with quote
ladte hue aurto se mard achche nahi lagte DOH
hamari fitrat hi kuch aisi hain hum aurto ke muh nahi lagte Giggle



Pine se pahle he kar liya karo apni sari shayri
pine ke baad jo likhe shair, wo hume ache nahi lagte   DOH

lada hai kon yaha, hum ko to koi najar nahi ayya
raai ko banaya pahar, yah pahar hume ache nahi lagte  Shocked Even More

Fidrat hai kaya apki yah to ab hum bhi samjhne lage
lo kah diya hum ne ajj app hume bilkul bhi ache nahi lagte (j/k) NaNaNa

Likhna hai to likho dulhe ke zajbaat yaha per
ghayal ke zajbaat yaha per hume suche nahi lagte  Laughing hard
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 10:06:34 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.103 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer