Ek larki thi deewani si…

by shafqatullah on November 12, 2008, 07:23:44 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1440 times)
shafqatullah
Guest
Reply with quote
"Ek larki thi deewani si…net use kia karti thi
Chori chori chupke chupke e-mailz likha karti thi
Messenger use karma tha usko
Password hack hone se darti thi
Jab bhi milti thi mujh se
Mujh se poochha karti thi Yeh password hack kaise hota hai
Yeh password hack kaise hota hai ……….
Aur mein srif yeh keh pata tha
Ke messenger khula ho ya ho bund
Password to hack hota hai
Kaise kahoon mein oh yaraa yeh password hack kaise hota hai ………
Aaj hi yaaron kisi ko hack karke dekhein gey hum
Hacking hoti hai kaise karke dekhiein gey hum
Kisi ke messenger mein add huye…buddies ko hum ne chura liya
Kisi ke inbox ke e-mails ko hum ne uraa diya…..
Aaye yaar net pe koi kisi ka na hota hai…..
Kaise kahoon mein oh yaraa yeh password hack kaise hota hai ………
Kia hai chatting ka jadoo…..jab koi sign in ho jata hai
Block karke sab ko….females ke peechhe TC karta hai…….
Door kahiin computers per bane hote hain larkiyaan
Kon jaane koi hacker kab kaise …kahaan mille…
Jo ASL chat per ho likha…..woh aksar hi jhoot hota hai
Kaise kahoon mein oh yaraa yeh password hack kaise hota hai ………
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Ek ladki thi deewani si...... by dhadkan in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2  All »
DEEWANI THI WOH(A DESCRIPTION) by ANKIT RAO in Shayri for Khumar -e- Ishq
AAPKI DEEWANI... by sapna396 in Shayri for Khumar -e- Ishq
Duniyaa bhi Deewani kehne lagi hai ! by deepika_divya in Ghazals « 1 2  All »
ek ladki thi deewani si by mrkapil_raj1 in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
shafqatullah
Guest
«Reply #1 on: November 12, 2008, 07:24:29 AM »
Reply with quote
"Larkiyaan aur balloons mey kuch cheezein common hoti hein;
1- phulaney sey phoolti hein,
2- aik mertaba agar haath sey nikal jaaein tu zara mushkil sey qaboo mey aati hein,
3- wiasei hi nazuk dikhti hein,
4- zara si sakhti kerney per aap per hi phut perti hein.
Logged
shafqatullah
Guest
«Reply #2 on: November 12, 2008, 08:20:01 AM »
Reply with quote
ladkiyaan ladko ki band bajaati hain
khushaal se ladko ko khun ke aanso rulaati hain

seedhe chal rahe ho ladke toh seh nahi paati hain
jab tak na dekhe mudke
tab tak kapdo mein variety laati hain

pyaar kisi se aur dost hain koi
shadi kisi aur se kar ke nikal jaati hain

aati hain yeh paro banke
aur hame devdas banaa jaati hain

ladkiyaan ladko ki band bajaati hain
khushaal se ladko ko khun ke aanso rulaati hain

ladkiyaan hi dil lagana sikhati hain,
aur hame nikamma banaati hain
khud na jaane hoti hain kaise pass
aur hame fail kara jaati hain

kaho unke bare mein jo bhi magar
ladkiyaan hi jahan ko khoobsurat banati hain….
Aisa hona hain bhi lajmee
Kyunki fair n lovely 15 dino mein gora jo banaati hain
Logged
shafqatullah
Guest
«Reply #3 on: November 12, 2008, 08:24:58 AM »
Reply with quote
Ek tamanna yeh bhi ki hum bhi kabhi ladki pataye
Romance ka bulb jara hum bhi dil mein jagaaye

Baarish ke mausam mein bheege
Aur doctor ko aake dikhaye
Bhale hi khareeda ho naya chaata
par phir bi bheege jaaye

jaaye Betlab long drive pe
khub saara petrol jalaaye
hogi petrol ki kami desh ko
Hum dher sara phook ke aaye…

Thand ke mausam mein
Khaye hum ice-cream
Aur fir bistar pe pad jaaye..

Ek tamanna yeh bhi ki hum bhi kabhi ladki pataye


Na khareedi ho koi copy kabhi
Greetings har roz khareed ke aaye
Aaye na bhale ABC
Par “I LOVE U” bolna aaye

Suna hain aajtak bas AXE KA EFFECT
Kabhi jara hum bhi aajmaye…

Ek tamanna yeh bhi ki hum bhi kabhi ladki pataye

Batuaa huan hain bhari …kuch halka karke aaye
Logged
shafqatullah
Guest
«Reply #4 on: November 12, 2008, 08:27:22 AM »
Reply with quote
"RAAT KE PICHLE PEHR
YA JUB GHUR MEN KOI NA HO
GUR HON TO PERHNA NA JANEN
YA APNA KUMRA BUND KR KE
AARAM KERNE YA
PERHNE KE BUHANE
LARUZTI, KANPTI
OR SEHMI HOI LURKIYAN
TALEEM KE BUHANE
KHAREEDA HOWA COMPUTER
KHOLTI HEN
OR INTERNET SE CONNECT HOTE HI
PORI DUNIYA UNGLION KI
JUNBISH PE AA JATI HAI
OR PHIR CHATTING ROOMS
KHULTE HEN
KHULI AANKHON MEN BUSE KHAWAB
APNI TABEEREN DHONDTE HEN
OR KITNI MEHROOMIYAN
JHOOT KE SANCHON MEN DHULTI HEN
KISI KI BHI UMER BEES SE BERHTI NAHIN
OR HASEEN ITNI KE
GUR MOQA MILTA TO
KOI MODEL YA STAR HOTIN
MUGER KON JANE
KUB SE YE KISI
RISHTE KI MUNTAZIR HEN
APNE KHAWABON KE
SHEHZADE DHONDNE WALI
YE MAGHROOR SHEHZADIYAN
SIRF SHADI KE INTEZAR MEN
KITNI BE MOUL HOI JATI HEN
KOI HO JO INKO APNA LE
BUS APNA BUNA LE
APNI HI SHURTON PER
INTERNET KI YE MUGHROR SHEHZADIYAN
KITNI BE BUS HEN
INTERNET YE TO DIKHATA NAHIN
KE IN MEN SE KISI KE PAAS BHI
WEBCAM TO HOTA NAHIN.
Logged
shafqatullah
Guest
«Reply #5 on: November 12, 2008, 08:35:34 AM »
Reply with quote
PATTAY HILTE NAHI HAWAEN HILA DETI HAIN
LARKE BIGARTE NAHI LARKIAN BIGAR DETI HAIN
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 08:21:52 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.109 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer