-Gadde Renkte Hai Mere Ghar Mein-

by HumTum on August 06, 2009, 12:31:20 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1855 times)
HumTum
Guest
Reply with quote
Aahhh ... kab se bazm mein sanntaa tha .. to socha ke chalo ik pataka hi chod dete hai .... to arz kiya hai ...



Mein Gata Hoon Jab Mood Apna Bna Ke
Gadde Renkte Hai Mere Ghar Mein Aa Ke

Jab Se Chutti Noukari Yeh Alam Hai
Nikalte Hai Sab Yaar Batwaa Chupa Ke

Mein Kadka Hi Sahi, Mere Ghar Tou Aao
Khilaungaa Mein Tumko Murga Chura Ke

Qisaa Meri Halat Ka Sunayaa Jo Usko
Chod Gayi Dilrubha Bhi Thenga Dhika ke

Kya Kabar Thi Humko Ke Jutte Padenge
Le Gaye Mujhe Apne Ghar Woh Pataa Ke

Mujhe Tere Papa Se Koi Shikwa Nai Hai
Ke Peeta Unhon Ne To Khana Khilaa Ke

Hui Band Baaniye Ki Udharii Bhi YarooN
Mein Mar Bhi Na Paunga Ab Zaher Kha Ke

Bacha Bazm Mein Koi Saame Na "HumTum"
Mein Faarigh Hua Jab Gazal Apni Gaa Ke!!


HumTum hello


Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
woh mere ghar ka kona by nikki in Shairi - E - Zindagi « 1 2 ... 6 7 »
MERE GHAR KE SAAMNE by manoj12021989 in Shayri for Khumar -e- Ishq
Mere dil mein yeh ghar tera hi rahega by Rajesh Harish in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
-Aaye They Mere Ghar Mein- by HumTum in Shayri-E-Dard
mera dushman mere apne ghar mein tha.--mazHur by mazHur in Ghazals
Rajbir
Guest
«Reply #1 on: August 06, 2009, 01:19:00 PM »
Reply with quote
Oye hoye bro,

kiddan?

Chaa gaye tussi taan Laughing hard Laughing hard Laughing hard

Gaaye jao bhai gaaye jao Winking Usual Smile
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #2 on: August 06, 2009, 01:22:20 PM »
Reply with quote
 Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard

Kya baat hai HUM TUM Ji.. Bhoot Bahoot Khoob!

Logged
cara
Guest
«Reply #3 on: August 06, 2009, 01:44:47 PM »
Reply with quote
kya baat hai    hum tum ji......

JAB BHI TUM GAATE HO APNA MOOD BANA KE,
GHADHE HI NAACHTE HAI TERE SAAMNE AAKE.

JAB SE CHUTTI NAUKRI HAI TERI,TERA YEH ALAM HAI,
KI LADKI BHI GUJARTI HAI TERE SAAMNE SE, MOO CHUPAKE.

MEIN KADKA HI SAHI,MERE GHAR TOH AAO,
KHILAUNGAA MEIN,TUMSE HI PAISA MAANG KE.

QISSA MERI HALAT KA ,SUNAYAA JO USKO,
KAHE GAYI,AISEY FAKIR SE MEIN PYAAR KARTI NAHIN,PAISA NAHIN HAI JISKO.

KYA KHABAR THI KE HUMKO JUTTE PADENGE,KYUN KE HUM THEY KADKE,
 HOTEL MEIN NAASTA KHA GAYI BINA PAISA DEKE.

MUJHE TERE PAPA SE KOI SHIKWA NAHIN,
KI MUJHE BAHAR FEK DIYA,MERI HALAT JAAN KE.

HUI BAND BANIYE KI UDAARI BHI YAARON,
KI BHIKH MAANG NE KI NOBAT AAYI HAI YAARON.

BACHA BAZM MEIN KOI SAAMNE NA HUM TUM,
KUD HI GAAYA GAZAL,KHUD HI SUNTA RAHA HUM TUM.


 


 BangHead Laughing hard BangHead Laughing hard BangHead Laughing hard
Logged
Talat
Guest
«Reply #4 on: August 06, 2009, 01:53:28 PM »
Reply with quote
Aahhh ... kab se bazm mein sanntaa tha .. to socha ke chalo ik pataka hi chod dete hai .... to arz kiya hai ...



Mein Gata Hoon Jab Mood Apna Bna Ke
Gadde Renkte Hai Mere Ghar Mein Aa Ke

Jab Se Chutti Noukari Yeh Alam Hai
Nikalte Hai Sab Yaar Batwaa Chupa Ke

Mein Kadka Hi Sahi, Mere Ghar Tou Aao
Khilaungaa Mein Tumko Murga Chura Ke

Qisaa Meri Halat Ka Sunayaa Jo Usko
Chod Gayi Dilrubha Bhi Thenga Dhika ke

Kya Kabar Thi Humko Ke Jutte Padenge
Le Gaye Mujhe Apne Ghar Woh Pataa Ke

Mujhe Tere Papa Se Koi Shikwa Nai Hai
Ke Peeta Unhon Ne To Khana Khilaa Ke

Hui Band Baaniye Ki Udharii Bhi YarooN
Mein Mar Bhi Na Paunga Ab Zaher Kha Ke

Bacha Bazm Mein Koi Saame Na "HumTum"
Mein Faarigh Hua Jab Gazal Apni Gaa Ke!!


HumTum hello




 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Laughing hard Laughing hard Laughing hard

LOlzzzz..... Hum Tum Funny main likhe aur murghe ka zikr na ho!  merror



Jab Bhi Janab "Hum Tum" Ne Gaana Hai Gaaya
Ton Bhar Rui Padosiyon Ne Kaanon Main Lagaya

Hai Maangi Udhaari Iss Qadar Doston Se
Doston Ne Bhi Kahin Ab Hai Thela Lagaya

Bulaaya Khane Ko Murgha Unhone,
Khud Bhi Pite, Maar Dsoton Ne Bhi Khaaya

Khaane Ko Daawat Wo Ghar Ghar Phire Hain,
Kabhi Isko Pataya, Kabhi Usko Pataya

Joote Sar Par Pade Bhi To Ghum Kya Hai Unko,
Muft Ki Biryaani Aur Halwa Bhi Hai Udaaya

Jaate Hain Hum Ab Chorh Kar Ye Mehfil,
Sher Pehla, Ghazal Ka Hai Unhone Sunaaya  BangHead

Logged
HumTum
Guest
«Reply #5 on: August 06, 2009, 01:54:56 PM »
Reply with quote
Hahaha Veer Ji - Shukriya .. Aap ke liye arz hai ...



Mera Fasana Sun-ne ke baad yaar sabhi
Haste Hai Mujh Par Khi-Khilaa Ke !!
hello


Shukriya Sophi n Cara Usual Smile


Regards,

HT

Logged
Rajbir
Guest
«Reply #6 on: August 06, 2009, 01:59:39 PM »
Reply with quote
Hehehehehehe Laughing hard Laughing hard Laughing hard

Cara and Tallu

Too good ! Lage raho !

HumTum ne thread ka title badal diya hai Laughing hard Laughing hard Laughing hard
Logged
HumTum
Guest
«Reply #7 on: August 06, 2009, 02:03:17 PM »
Reply with quote
Hahaha Talat Ji .. Khoob Rhi ...  Arz hai ...


Mein Bhar Ke laya hoon yaar MurgoN ki Bori
Kucch Kharaait mein mile kucch kiye chori
Pakoounga mein aaj Mazzedaar Khanaa
Meri Ghodi Mein Baith Kar Khayegii Gori!!

HumTum


Logged
Rajbir
Guest
«Reply #8 on: August 06, 2009, 02:07:03 PM »
Reply with quote
oye hoye !

Saanu wi invite kar lo bro Winking Laughing hard Laughing hard Laughing hard
Logged
HumTum
Guest
«Reply #9 on: August 06, 2009, 02:11:09 PM »
Reply with quote
Anytime Veer Jii...

Khane Ki Dawaat YaaroN ko Apne Ghar Dii Hai
Kucch Instrucstions Bhi Unko Magar Dii hai
Ke Aate aate sath mein daaruu le kar aana
Yaar, Hamare yahaN to kambkhat mehngi badi hai!!


HumTum  hello
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #10 on: August 06, 2009, 02:14:02 PM »
Reply with quote
 Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard

Ha ha Ha ha ha ha ha

Mast hai yaar.. Mera tho pet dhukh raha hai has has k

bahoot Khoob HT ,Cara Ji and Talat Ji..

Bahoot Khoob!
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #11 on: August 06, 2009, 02:15:50 PM »
Reply with quote
HumTum bro,

Mujhe maaloom tha ki tumhe cooking ke saath whisky zaroor chahiye Winking

Yeh lo on the rocks to start with Winking tongue3

Logged
HumTum
Guest
«Reply #12 on: August 06, 2009, 02:21:12 PM »
Reply with quote
Thanku Veer Jii ...


Veer Jii ne "On the Rock" Pilaa Dii
Aur Meiney Tandori Murgi pakaa dii
Sophi Le ke aayi hai Mash Patato
Aur Talat Ne usmein Cream Mila Dii!!

HumTum hello

BaatoN hi batooN mein dekho meieny
Kitni sundar Shayarii Bna Dii !!

Logged
cara
Guest
«Reply #13 on: August 06, 2009, 02:23:48 PM »
Reply with quote
KYA BAAT HAI    
Anytime Veer Jii...

Khane Ki Dawaat YaaroN ko Apne Ghar Dii Hai
Kucch Instrucstions Bhi Unko Magar Dii hai
Ke Aate aate sath mein daaruu le kar aana
Yaar, Hamare yahaN to kambkhat mehngi badi hai!!


HumTum  hello
HUM TUM JI......

DARU KI MAHENGAYI SEY DARTA HAI,
FIR DARU KUN PEETA HAI.
JITNA DARU MEHANGA HOTA JAATA HAI,
UTNA HI DARU MAIN NASHA AATA HAI.
 BangHead BangHead
Logged
HumTum
Guest
«Reply #14 on: August 06, 2009, 02:32:00 PM »
Reply with quote
Yeh Galat hai Cara Ji ...

Mehnge damo ki daru ka nasha nahin hota
Jab mein apni aaj kal ik takka nai hota!!

Regards,

HT
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 06:28:38 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.12 seconds with 20 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer