GHAR BANK K QAREEB HAI [Asghr]

by Asghr on February 19, 2009, 07:07:59 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 3603 times)
Asghr
Guest
Reply with quote
KEHNE KO MERA GHAR TAU BANK KAY QAREEB HAI
YEH BANDA KAL B GAREEB THA AAJ B GAREEB HAI
SOCHA THA KISI AMEER SE BAAT NA KAROOHN GAA
PHIR KHYAL AAYA YEH TAU APNA APNA NASEEB HAI
APNI MUFLASI KA KIS KIS SE GILA KARAIN
INSAN TAU KYA BAKHT B HAMARA RAQEEB HAI
HAFTA BHAR AIK DOOSRE SE MIL NAHI PAATE
AAJ K PATI PATNI KI ZINDGI B AJEEB HAI
SOCHA HAI AB HUM B KHAILAIN GAI LOTTRY
JALD AMEER HONE KI YEH ACHI TARKEEB HAI
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Money ::: State bank :: wrong ?? by hasan in Chit - Chat & General Discussion
bank loan by main_aisa_hi_hoon in SMS , mobile & JOKES
blood bank by tushar_4u_im in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
BANK BALANCE by md.ayad in SMS , mobile & JOKES
Alia bhat and Bank by Indyaspeak in SMS , mobile & JOKES
Pooja
Guest
«Reply #1 on: February 19, 2009, 07:18:05 PM »
Reply with quote
 Laughing hard Laughing hard Laughing hard  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

wah kaya baat hai, Funny, Deep meanings liye hue... Jis tarah se apne ajj kal ke pati-patni ka alag rahne ka likha hai Jobs ke karan ,, wah itani gahri baat kis asaani se do line main likh gaye app.... bahoot khoob!!! kuch he lines main ajj kal ki zindagio ka haal kah gaye app... Superb  Thumbs UP
Logged
Asghr
Guest
«Reply #2 on: February 19, 2009, 07:32:32 PM »
Reply with quote
Laughing hard Laughing hard Laughing hard  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

wah kaya baat hai, Funny, Deep meanings liye hue... Jis tarah se apne ajj kal ke pati-patni ka alag rahne ka likha hai Jobs ke karan ,, wah itani gahri baat kis asaani se do line main likh gaye app.... bahoot khoob!!! kuch he lines main ajj kal ki zindagio ka haal kah gaye app... Superb  Thumbs UP
THANKS POOJA JI SDAA KHUSH REHAIN.ASGHR
 
Logged
Talat
Guest
«Reply #3 on: February 19, 2009, 07:59:46 PM »
Reply with quote
KEHNE KO MERA GHAR TAU BANK KAY QAREEB HAI
YEH BANDA KAL B GAREEB THA AAJ B GAREEB HAI
SOCHA THA KISI AMEER SE BAAT NA KAROOHN GAA
PHIR KHYAL AAYA YEH TAU APNA APNA NASEEB HAI
APNI MUFLASI KA KIS KIS SE GILA KARAIN
INSAN TAU KYA BAKHT B HAMARA RAQEEB HAI
HAFTA BHAR AIK DOOSRE SE MIL NAHI PAATE
AAJ K PATI PATNI KI ZINDGI B AJEEB HAI
SOCHA HAI AB HUM B KHAILAIN GAI LOTTRY
JALD AMEER HONE KI YEH ACHI TARKEEB HAI

Waah....Asghr Ji bohot hi dilchasp hai aap ki ye ghazal...mazah bhi hai is main, aur tanz bhi....Bohot bohot khoob Applause Applause Applause Applause


Quote
HAFTA BHAR AIK DOOSRE SE MIL NAHI PAATE
AAJ K PATI PATNI KI ZINDGI B AJEEB HAI

Is sher pe to soch main pad gayi ki hans doon, ya ro doon !! Aap nahin jaante aapne ye kitni badi haqeeqat likh daali.....!!
Logged
Asghr
Guest
«Reply #4 on: February 19, 2009, 08:11:46 PM »
Reply with quote
Waah....Asghr Ji bohot hi dilchasp hai aap ki ye ghazal...mazah bhi hai is main, aur tanz bhi....Bohot bohot khoob Applause Applause Applause Applause


Is sher pe to soch main pad gayi ki hans doon, ya ro doon !! Aap nahin jaante aapne ye kitni badi haqeeqat likh daali.....!!
CELMIRA JI ISS MAIN KOI BADI BAAT NAHIN YEH UK MAIN HAR DOOSRE GHAR KI YEHI KAHANI HAI.ASGHR
Logged
Talat
Guest
«Reply #5 on: February 20, 2009, 07:12:47 AM »
Reply with quote
CELMIRA JI ISS MAIN KOI BADI BAAT NAHIN YEH UK MAIN HAR DOOSRE GHAR KI YEHI KAHANI HAI.ASGHR

Sach kaha Asghr Ji...shayad har doosre teesre ghar ki ye kahani ho..statistics dekhen to ye bohot aam baat hogi.......magar jin gharon, jin logon pe ye guzarti hai, sirf wohi bata sakte hain ki kis tarah se is aam si baat se unki zindagi bant ke reh gayi...sirf wohi jaante hain ki unki zindagi ki ye kitni badi haqeeqat hai....

Aapne bohot achcha likha hai Asghr Ji
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #6 on: February 20, 2009, 03:42:54 PM »
Reply with quote
Waah Waah Kya Khoob Ashgr Bhai,.
Mazaahiya Bhi Hai, Aur Isme Sachchaai Bhi,.

Aapka Andaaz Sabse Judaa,.
Tabhi To Azeem Aap pe Fidaa,.

Yunhi Likhte Rahiye,.

May Allah Bless You,.
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 03:39:28 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.094 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer