HAANSSS NA MANA HAI

by muneeb on September 12, 2004, 08:03:10 AM
Pages: 1 ... 9 10 11 12 [13] 14 15 16 17
ReplyPrint
Author  (Read 17883 times)
panks
Guest
«Reply #180 on: November 13, 2004, 06:51:38 AM »
Reply with quote
shukr hai bane tum barf ka gola aur usne kaha coca cola
agar ban jaate chatar patar to khol deti tumhaare saare shatar
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #181 on: November 13, 2004, 09:52:53 AM »
Reply with quote
:lol:
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #182 on: November 13, 2004, 10:22:52 AM »
Reply with quote
lollzzzzzzzzzz ...pank ji hheheheheh..:lol:

chatar patar khila k woh chloro mint bhi khilati,
khila k phir tumse bolege dubara mat poochne...
Logged
sufyan
Guest
«Reply #183 on: November 13, 2004, 10:27:18 AM »
Reply with quote
lolzzzzz salma n panks
Logged
patelbhai
Guest
«Reply #184 on: November 13, 2004, 10:57:11 AM »
Reply with quote
Jise samjha Leher Pepsi
Woh nikla Jeher Pepsi
Jise samjha Coca Cola
Woh nikla Dhoka Cola
Ab piyo Wine and Whisky
Life hoga No More Risky
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #185 on: November 13, 2004, 02:10:03 PM »
Reply with quote
kya salma chatar patar ...khatar patar kar rahi ho........and patel ji plz ..change your avatar........no advertisment here.......  :lol:
Logged
kcpandey
Guest
«Reply #186 on: November 13, 2004, 02:24:14 PM »
Reply with quote
Bhiya Patel Abhi Ho aap Naye
Welcome Karte hai aap ka KC  pandey

Kyo Nahi Rule Regualtion Ko padhte???

According to R&R u can not Advartise through Your Avtar..
And also your Avtar should not be more than 100*100 pixel...

For detils for Yoindia R&R's u Can Visit Following Hyperlink....
http://www.yoindia.com/forums/ftopic208.html

Ple follow Reules...
Logged
akela
Guest
«Reply #187 on: November 13, 2004, 08:16:54 PM »
Reply with quote
hmmmmm
Logged
Talat
Guest
«Reply #188 on: November 14, 2004, 08:06:03 PM »
Reply with quote
:letmethink:
Logged
muneeb
Guest
«Reply #189 on: November 17, 2004, 11:34:36 AM »
Reply with quote
Suna Hai Loug "Ussey" Aankh bhur ke dekhtey hain
So "Uss" ke Sheher mein kuch din theher ke dekhtey hain

Suna hai boley tou baaton se phool jhartey hain
yeh baat hai tou chalo baat kar ke dekhtey hain

Suna hai Raat ko ussey Titliyaan sataati hai
Suna hai Raat ko Jugnoo theher ke dekhtey hain

Suna hai uss ke badan ki taraash aisi hai
ke phool apni qabaaein katar ke dekhtey hain

Rukey tou gardishein uss ka tawaaf karti hain
chaley tou uss ko zamaaney theher ke dekhtey hain

Kissey naseeb ke be-pairahan ussey dekhey
kabhi kabhi dar-o-deewaar ghar ke dekhtey hain

kahaaniyaan hi sahi , sab mubaalghey hi sahi
agar "woh" khawaab hai , "Taabeer" kar ke dekhtey hain

Judaaiyaan tou muqadder hai phir bhi jaan-e-safar
kuch aur door zara saath chal ke dekhtey hain

"Toou" saamney hai tou phir kiyon yaqeen nahin aata
yeh baar baar jo aankhon ko mal ke dekhtey hain

yeh kaun loug hain maujood teri mehfil mein
jo Laalachon se Tujhey ....Mujh ko jal ke dekhtey hain

Na tujh ko maat hui hai na mujh ko maat hui
So Ab ke donon hi chaalein badal ke dekhtey hain

Buhut dinon se nahin hai kuch "Uss" ki khair khabar
chalo zamane walo, Aey Yaar chal ke dekhtey hain
Logged
Talat
Guest
«Reply #190 on: November 17, 2004, 11:39:49 AM »
Reply with quote
Wah! Muneeb!!!!!
Logged
muneeb
Guest
«Reply #191 on: November 17, 2004, 04:02:54 PM »
Reply with quote
Thank you talat

farz karo tum chat pe bhaithi dhop main baal sukhaty ho
farz karo k dhop ka uss din kuch kuch rang gulabi ho

farz karo yun baithay baithay gahri soch main kho jao
baal sukhanay bhol ker serr ghutno per rakh k so jao

farz karo iss neend main tum ne daikha aisa sapna ho
bekal ho k mann yeh chahay kaash yeh sapna apna ho

farz karo kamray main bhaithi tum afsana likhty ho
afsanay k hero ko shayar deewana likhty ho

afsanay ki heroin bhi afsanay hi likhty ho
farz karo wo daikhnay main bhi nirmal komal lagty ho

farz karo afsanay ka unwan tmhara Sapna ho
aur afsanay ka anjam na tay ker pao kaisa ho

farz karo tum khat likhnay ki khawahish mann main paty ho
likhnay se pehlay tum khat per khusbu khob lagaty ho

farz karo alqaab pe Aa ker haath tumhara rukk jay
Aankh tumhari dhak dhak kertay dil ki janib jhuk jay

farz karo ik naam likho likh ker kato aur phir likho
ferz karo wo naam tumharay apnay uss shayar ka ho

farz karo herr ik mafroza goya aik haqeeqat ho
farz karo Sapnay Afsanay Khat ka naam mohabbet ho

farz karo yeh saree batain farz na kerni perty hon
farz karo mann k aangan main Aashayain hi basti hon

farz karo hum dono ka dil bass aik saath dharakta ho
farz karo per kyun tum Aakhir farz karo
Logged
Talat
Guest
«Reply #192 on: November 17, 2004, 04:23:02 PM »
Reply with quote
Wah!! Muneeb ...bohot achche!!!!
Logged
nishita
Guest
«Reply #193 on: November 17, 2004, 05:34:02 PM »
Reply with quote
hehehe
Logged
patelbhai
Guest
«Reply #194 on: November 18, 2004, 02:53:51 AM »
Reply with quote
sorry for that picture. it was a dead link.
Logged
Pages: 1 ... 9 10 11 12 [13] 14 15 16 17
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 24, 2024, 10:12:29 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.147 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer