....~~Haye yeh Kaam....~~

by HumTum on April 30, 2005, 10:57:26 PM
Pages: [1] 2 3 4
ReplyPrint
Author  (Read 3540 times)
HumTum
Guest
Reply with quote
Jaane Kyon Log Kaam Karte Hai
Jaane Kyon Woh Office Mein Marte Hai
Jaane Kyon Jaane Kyon
Jaane Kyon Jaane Kyon Jaane Kyon

Kaam Mein sochiye to bas gum hai
Kaam Mein Jo zulam Ho Woh Kam Hai
Kaam par Sar Jhukana Padta Hai
Dukh hoke muskurana padta hai
Zehar kyon zindagi mein bharte hai
Jaane Kyon Log Kaam Karte Hai
Jaane Kyon Jaane Kyon
Jaane Kyon Jaane Kyon Jaane Kyon


Kaam bin jeene mein rakha kya hai
Kaam jisko nahin woh kadka hai
Kaam sau ki note laata hai
Kaam hi pet bhar khilata hai
Log mar mar ke kaam karte hai
Jaane kyon khush rehte darte hai
Jaane Kyon Jaane Kyon
Jaane Kyon Jaane Kyon Jaane Kyon


Kaam ek badi musibat hai
Kaam har kisi ki zaroorat hai
Hoooo kaam pe yeh jhooth hai sachche
Arre kaam pe sab jhooth hai achche
Hoooo aage kya khak log badhte hai
Ek hi post par woh sadte hai
Jaane Kyooon..

Kaam toh aise hi sab karte hai
Jaane kyon aap hi bigadte hai
Jaaane Kyooooon Jaane Kyon
Jaane Kyon Jaane Kyon Jaane Kyon

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
door khade ho kar haye vo muskurana aapka by pankaj_pups in Shayri for Khumar -e- Ishq
haye allah by Shikhar Insa in Share:Love Poetry
haye yeh ishq by saahill in Shayri for Khumar -e- Ishq
Haye re yeh mehngai by soudagar in Miscellaneous Shayri
Haye Mohabbat… by Iqtedar in Shayri for Khumar -e- Ishq
Talat
Guest
«Reply #1 on: May 01, 2005, 07:16:34 AM »
Reply with quote
jaane kyun log kaam nahin karte hain
kaam ke time pe bas post badhate hain ;-)
Logged
HumTum
Guest
«Reply #2 on: May 01, 2005, 11:49:39 AM »
Reply with quote
kaam ke time pe bas post badhate hain
kaam ke time pe bas post badhate hain

ker ke funny shayri duniya ko hasatey hai
Logged
Talat
Guest
«Reply #3 on: May 01, 2005, 01:47:27 PM »
Reply with quote
ker ke funny shayri duniya ko hasatey hai
khud kahan gayab phir ho jaate hain
Logged
thycreator
Guest
«Reply #4 on: May 01, 2005, 01:52:50 PM »
Reply with quote
Wah Humtum.....n nice talat ji..........
Dunia mein aaye ho toh kam karo pyare,
Hath jod sapko salam karo pyare,
Dunia ussi ko poocha kiya hai,
Jisne kiya hai kuch bahi naya...........
samjha kya bheedu.......
Logged
Talat
Guest
«Reply #5 on: May 01, 2005, 02:14:17 PM »
Reply with quote
Thanks ji ................................................
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #6 on: May 01, 2005, 02:18:18 PM »
Reply with quote
lol humtum n talat

lo jee kar lo baath humtum aur kaam...
 ye baath kuch hazam nahin hui bhai ...
koi mujhe hajmola la ke do zara bhai...

=======================
thy duffer kya bak bak ki hai tum...
bheja to shai hai na rey sadele ... :p
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #7 on: May 01, 2005, 02:41:05 PM »
Reply with quote
Quote from: "salma4u"
lol humtum n talat

lo jee kar lo baath humtum aur kaam...
 ye baath kuch hazam nahin hui bhai ...
koi mujhe hajmola la ke do zara bhai...

=======================
thy duffer kya bak bak ki hai tum...
bheja to shai hai na rey sadele ... :p



hajmola  tumhare liye  nahin  insaan ke liye bana hai
tere  liye  zahar  hain  bana
raat  ko  12  baje  tum  jahar  peeti  ho
tabhi  tum  is  tarah  se  jeeto  ho..................... tongue3
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #8 on: May 02, 2005, 01:02:21 AM »
Reply with quote
kaam ke time pe bas post badhate hain
kaam ke time pe bas post badhate hain

bheg ko yeh apni shyari
yoindia ko bore bnate hain
Logged
HumTum
Guest
«Reply #9 on: May 02, 2005, 10:42:16 AM »
Reply with quote
Quote from: "salma4u"
lol humtum n talat

lo jee kar lo baath humtum aur kaam...
 ye baath kuch hazam nahin hui bhai ...
koi mujhe hajmola la ke do zara bhai...

=======================
thy duffer kya bak bak ki hai tum...
bheja to shai hai na rey sadele ... :p



:shame:

kaam aur HumTum ka to sadiyooon ka naata hai
kaam aur HumTum ka to sadiyooon ka naata hai

sach to yeh hai ke tukhey kuch nhi aata hai  :lol:
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #10 on: May 02, 2005, 10:47:16 AM »
Reply with quote
:p humtum

ye kaam kare aisa woh sapna he hoga
ye kaam kare aise woh sapna he hoga
din baar sota hai aur masti karne yahan aata hoga :p
Logged
HumTum
Guest
«Reply #11 on: May 02, 2005, 10:49:46 AM »
Reply with quote
Quote from: "salma4u"
:p humtum

ye kaam kare aisa woh sapna he hoga
ye kaam kare aise woh sapna he hoga
din baar sota hai aur masti karne yahan aata hoga :p



 :wink:

din baar sota hai aur masti karne yahan aata hoga
din baar sota hai aur masti karne yahan aata hoga

lekin manager bhi to mera beja kahta hoga  :pirate:
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #12 on: May 02, 2005, 10:56:55 AM »
Reply with quote
lol

manger uss ka bheja kaye aur khoob maza aata hoga
manger uss ka bheja kaye aur khoob maza aata hoga
manger akela he kaam karta hoga iss liye woh behja kata hoga :p :wink:
Logged
HumTum
Guest
«Reply #13 on: May 02, 2005, 10:58:26 AM »
Reply with quote
manger uss ka bheja kaye aur khoob maza aata hoga
manger uss ka bheja kaye aur khoob maza aata hoga

salary deney ke time pe katrata hoga  :wink:
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #14 on: May 02, 2005, 11:15:45 AM »
Reply with quote
bina kaam ke iss ko mili hai salary
bina kaam ke iss ko mili hai salary
chal tera boss ka no bata shikayat karni hai mujhe ussko teri :p
Logged
Pages: [1] 2 3 4
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 09:53:02 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.103 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer