Ikhtelaaf...........:-) ....Quateel

by Quateel Ahmad on April 23, 2012, 09:28:11 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 792 times)
Quateel Ahmad
Guest
Reply with quote
Alag hain log judaa khayal unke
Padhiye to lekin aap alfaaz unke

Hum to loghat dhoondhte hi rah gaye
Jawaab ho gaye do se chaar unke

Uff ye zubaan ye takallufana ikhtelaaf
Seekh lein shayad rahe gar aitraaf unke

Pyaase reh gaye yahaan kitne aur vahaan
Bhare Urdu paani ghar hain jahaan unke

Rivayat ki tarjumani aur kya khayal e jadeed
Reh ke uth jaate rahe jirah ke jaam unke

Farmaish daleelon ki daleelon mein aa gayee
Par jo utthe to palatne ke na thhey gaam unke

Akhirash, ek haseen mod par purkhuloos salaam hue
Sabne suna waheen thhey khairkhaah unke

Hum na batayenge yahaan waise 'Quateel'
Lete rahenge hamesha naam unke

happy9
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Jo Zinda Ho........Quateel by Quateel Ahmad in Shairi - E - Zindagi
Jo tum humaare hote....Quateel by Quateel Ahmad in Shayri-E-Dard
Tum Aa Gaye....Quateel by Quateel Ahmad in Shayri-E-Dard
Aaj bhi hai.....Quateel by Quateel Ahmad in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2  All »
Kami Is Hai.....Quateel by Quateel Ahmad in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
sarfira
Guest
«Reply #1 on: April 24, 2012, 04:21:51 AM »
Reply with quote
waah Quateel sahab--
kamaal ki ghazal pesh kari aapne--
magar humari samajh ke hisaab me ye mazahiya post nhi h--
ya fir sarfire ki samjh bht adna si hai aapke alfaazon ko smjhne ke lie:)

aate rahie
likhte rahie
khus rahie
Logged
khujli
Guest
«Reply #2 on: April 24, 2012, 05:37:22 AM »
Reply with quote
Alag hain log judaa khayal unke
Padhiye to lekin aap alfaaz unke

Hum to loghat dhoondhte hi rah gaye
Jawaab ho gaye do se chaar unke

Uff ye zubaan ye takallufana ikhtelaaf
Seekh lein shayad rahe gar aitraaf unke

Pyaase reh gaye yahaan kitne aur vahaan
Bhare Urdu paani ghar hain jahaan unke

Rivayat ki tarjumani aur kya khayal e jadeed
Reh ke uth jaate rahe jirah ke jaam unke

Farmaish daleelon ki daleelon mein aa gayee
Par jo utthe to palatne ke na thhey gaam unke

Akhirash, ek haseen mod par purkhuloos salaam hue
Sabne suna waheen thhey khairkhaah unke

Hum na batayenge yahaan waise 'Quateel'
Lete rahenge hamesha naam unke

happy9


 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile icon_flower icon_flower icon_flower
Logged
Quateel Ahmad
Guest
«Reply #3 on: April 24, 2012, 05:53:14 AM »
Reply with quote
waah Quateel sahab--
kamaal ki ghazal pesh kari aapne--
magar humari samajh ke hisaab me ye mazahiya post nhi h--
ya fir sarfire ki samjh bht adna si hai aapke alfaazon ko smjhne ke lie:)

aate rahie
likhte rahie
khus rahie

Sarfira Sahab, Bahot Shukriya aapko peshkash pasand ayee! Dar asal, meri samajh mein nahin aa raha tha ki kis topic per post karun.
Logged
Quateel Ahmad
Guest
«Reply #4 on: April 24, 2012, 05:54:30 AM »
Reply with quote

 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile icon_flower icon_flower icon_flower

Qalb Sahab! Bahot bahot Shukriya! happy9
Logged
~Aatish~
Guest
«Reply #5 on: April 24, 2012, 05:59:09 AM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause
 icon_flower icon_flower icon_flower
 wave
Logged
Quateel Ahmad
Guest
«Reply #6 on: April 24, 2012, 06:52:16 AM »
Reply with quote
Bahot Shukriya Aatishji!
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #7 on: April 24, 2012, 12:52:04 PM »
Reply with quote
waah waah
Logged
sbechain
Guest
«Reply #8 on: April 24, 2012, 06:04:26 PM »
Reply with quote
Alag hain log judaa khayal unke
Padhiye to lekin aap alfaaz unke
alfaaz bhi juda hain quateel sahab Applause Applause
Hum to loghat dhoondhte hi rah gaye
Jawaab ho gaye do se chaar unke
jo sirf ghuftaar ke sher hain unke aage jungle ka bhi sher kuch nahin icon_flower icon_flower Applause Applause Applause Applause
Uff ye zubaan ye takallufana ikhtelaaf
Seekh lein shayad rahe gar aitraaf unke
namumkin hai janaab . ye hunar busss kisi kisi ko ataaa hui hai Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile
Pyaase reh gaye yahaan kitne aur vahaan
Bhare Urdu paani ghar hain jahaan unke
wah wah wah kya khoob kahaa Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Rivayat ki tarjumani aur kya khayal e jadeed
Reh ke uth jaate rahe jirah ke jaam unke
mindblowing. bilkul mere khyaal hain. aap ne to jaise iss ghazal mein meri soach ko narrate kar diya. iss se behter to main soch bhi nahin sakti. likhna to door Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Farmaish daleelon ki daleelon mein aa gayee
Par jo utthe to palatne ke na thhey gaam unke
quateel sahab kya ne aap mere khyaalo.n mein aa kar sab kuch padh liya kya. lag rahaa hain jaise maine likha hai buss andaaz judaa hai Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Akhirash, ek haseen mod par purkhuloos salaam hue
Sabne suna waheen thhey khairkhaah unke
 Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Applause Applause Applause Applause Applause
Hum na batayenge yahaan waise 'Quateel'
Lete rahenge hamesha naam unke
 mujhe pata hai wo main hi hoo.n icon_flower icon_flower

happy9

quateel sahab bahut khoob..........! aur is ghazal mein jo comments hain wo seriously kiye hue comments hain and i mean it. please aap iss comments ko otherwise mat lena aur na hi delete kara.iss ghazal mein main khud ko aur mujh se wabasta kuch haalaat ko dekhti hoon.
Logged
Quateel Ahmad
Guest
«Reply #9 on: April 25, 2012, 03:45:40 AM »
Reply with quote
waah waah

Shukriya Saini Bhai!
Logged
Quateel Ahmad
Guest
«Reply #10 on: April 25, 2012, 03:58:46 AM »
Reply with quote
quateel sahab bahut khoob..........! aur is ghazal mein jo comments hain wo seriously kiye hue comments hain and i mean it. please aap iss comments ko otherwise mat lena aur na hi delete kara.iss ghazal mein main khud ko aur mujh se wabasta kuch haalaat ko dekhti hoon.
Aap ka shukraguzar hoon ki aapne padha aur daad di. Tasalli bhi hai ki is ghazal mein apko bhi apne halaat ka juz bhi dikha. Shayad ikhtelaaf jaisa bhi. Ho shakal alag ho aur afraad alag lekin tanzeem milti julti ho. Dua hai ki saare halaat jald as jald behter. Aur pursukoon hon! Waise main aapke comments kabhi bhi 'lightly' nahin leta.
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #11 on: April 25, 2012, 08:09:54 AM »
Reply with quote
Kya kah diya janab aapne.
Aap to kya gajab kah gaye.
Daad kabool kare etne pyari post ke liye.
Logged
Quateel Ahmad
Guest
«Reply #12 on: April 26, 2012, 05:03:07 AM »
Reply with quote
Kya kah diya janab aapne.
Aap to kya gajab kah gaye.
Daad kabool kare etne pyari post ke liye.

Shukriya Masoomji!
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 06:02:01 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.149 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer