Karne chale sher-o-shayari .....................................PWFS

by pankajwfs on March 26, 2012, 10:43:42 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1944 times)
pankajwfs
Guest
Reply with quote
Ye qalam kewal mere man ki upaz hai aur sirf mauz masti ke liye hai, Is se mera irada kisi bhi vyakti ko Aahat ya Anaadar karne ka nahi hai. Kripya ise aap fun ke saath hi padhen :

Karne chale sher o shayri lala ji.
Pehan ke khaddar odhke dushala ji.
Paan chaba ke kar ke honth lal lal.
ujali Safed  zulf ko karke kala ji

Karne chale sher o shayri lala ji.
Pehan ke khaddar ..

Bade Bade kadmoN se chal kar lala
Panhuche jab mehfil me pehni mala.
Hasin thi jo pehna rahi thi mala ji.
Us nigah-e-naaz pe fida hue lala ji.

Karne chale sher o shayri lala ji.
Pehan ke khaddar ..

Phir kya tha khumar-e-isq chane laga,
Ek se ek gazal ye sayar  sunane laga.
Ek tanz biwi pe jab inho ne uchala ji
Wahan baitha tha unka priya saala ji.

Karne chale sher o shayri lala ji.
Pehan ke khaddar ..

Mobile pe ghanti biwi ki bajne lagi
Shayeri-e-dard ki nazm nikalne lagi
Husn ki baatoN pe padgaya taala ji,
Bhuli Hasina  yaad ai tab khaala ji.

Karne chale sher o shayri lala ji.
Pehan ke khaddar ..

Ghar pahunch biwi ne kaha kama aye?
Izaat meri mehfil me tum gawaN aye,
Aaj se khud hi bana ke khao lala ji,
Shayari hi bana ke karlena niwala ji.

Karne chale sher o shayri lala ji.
Pehan ke khaddar ..

Bhoot tab sher-o-shayri ka utar gaya,
Biwi se khaha maaf karo sudhar gaya.
Japte hain ram naam ki ab wo mala ji,
Sang-e-jeest ne ek sayar kuchal dala ji.


Karne chale sher o shayri lala ji.
Pehan ke khaddar odhke dushala ji.

(PWFS - 26/03/2012)
BangHead  Usual Smile Usual Smile Usual Smile
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
SHER-O-SHAYARI by murali in SMS , mobile & JOKES
shayri karne chale by sanya310 in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2  All »
sher shayari by rayees abdullah in Shayari ki Batein- Sawaal Jawaab
Sher o shayari on Baadshah - e - Husn by R.M. Dixit in Other Languages
Funny Sher O Shayari : Dil bachne nikle hain....... by R.M. Dixit in Other Languages
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #1 on: March 26, 2012, 10:55:41 AM »
Reply with quote
waah waah lala ji bahut khoob
Logged
marhoom bahayaat
Guest
«Reply #2 on: March 26, 2012, 11:04:12 AM »
Reply with quote
Ye qalam kewal mere man ki upaz hai aur sirf mauz masti ke liye hai, Is se mera irada kisi bhi vyakti ko Aahat ya Anaadar karne ka nahi hai. Kripya ise aap fun ke saath hi padhen :

Karne chale sher o shayri lala ji.
Pehan ke khaddar odhke dushala ji.
Paan chaba ke kar ke honth lal lal.
ujali Safed  zulf ko karke kala ji

Karne chale sher o shayri lala ji.
Pehan ke khaddar ..

Bade Bade kadmoN se chal kar lala
Panhuche jab mehfil me pehni mala.
Hasin thi jo pehna rahi thi mala ji.
Us nigah-e-naaz pe fida hue lala ji.

Karne chale sher o shayri lala ji.
Pehan ke khaddar ..

Phir kya tha khumar-e-isq chane laga,
Ek se ek gazal ye sayar  sunane laga.
Ek tanz biwi pe jab inho ne uchala ji
Wahan baitha tha unka priya saala ji.

Karne chale sher o shayri lala ji.
Pehan ke khaddar ..

Mobile pe ghanti biwi ki bajne lagi
Shayeri-e-dard ki nazm nikalne lagi
Husn ki baatoN pe padgaya taala ji,
Bhuli Hasina  yaad ai tab khaala ji.

Karne chale sher o shayri lala ji.
Pehan ke khaddar ..

Ghar pahunch biwi ne kaha kama aye?
Izaat meri mehfil me tum gawaN aye,
Aaj se khud hi bana ke khao lala ji,
Shayari hi bana ke karlena niwala ji.

Karne chale sher o shayri lala ji.
Pehan ke khaddar ..

Bhoot tab sher-o-shayri ka utar gaya,
Biwi se khaha maaf karo sudhar gaya.
Japte hain ram naam ki ab wo mala ji,
Sang-e-jeest ne ek sayar kuchal dala ji.


Karne chale sher o shayri lala ji.
Pehan ke khaddar odhke dushala ji.

(PWFS - 26/03/2012)
BangHead  Usual Smile Usual Smile Usual Smile


kya baat hai khoob
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #3 on: March 26, 2012, 01:31:23 PM »
Reply with quote
Bahut bahut bahut khubsurat poem , dil khush hogaya.
Pankaj ji,dheron mubarakbaad.Hasan
Logged
mkv
Guest
«Reply #4 on: March 26, 2012, 05:08:58 PM »
Reply with quote
Bahut khoob Pankaj
Applause
Logged
mann.mann
Yoindian Shayar
******

Rau: 113
Offline Offline

Waqt Bitaya:
22 days, 12 hours and 36 minutes.
Posts: 3703
Member Since: Aug 2011


View Profile
«Reply #5 on: March 27, 2012, 03:35:59 AM »
Reply with quote
bahut khub....
Logged
~Aatish~
Guest
«Reply #6 on: March 27, 2012, 04:06:28 AM »
Reply with quote
Applause Applause
Laughing hard Laughing hard Laughing hard
icon_salut
Logged
dolly
Guest
«Reply #7 on: March 27, 2012, 06:08:58 AM »
Reply with quote
wah wah bahut khoob pankaj ji...
Logged
pankajwfs
Guest
«Reply #8 on: March 28, 2012, 12:10:49 AM »
Reply with quote
waah waah lala ji bahut khoob
bahut bahut sukriya saini sir
Logged
pankajwfs
Guest
«Reply #9 on: March 28, 2012, 09:58:34 AM »
Reply with quote

kya baat hai khoob

Bahut bahut sukriya Marhoom ji
Logged
pankajwfs
Guest
«Reply #10 on: March 29, 2012, 01:01:13 AM »
Reply with quote
Bahut bahut bahut khubsurat poem , dil khush hogaya.
Pankaj ji,dheron mubarakbaad.Hasan
Hasan sahaab is rachna ko padne aur pasand karne ke liye bahut bahut sukrya...
Logged
pankajwfs
Guest
«Reply #11 on: March 29, 2012, 09:18:11 AM »
Reply with quote
Bahut khoob Pankaj
Applause
Bahut bahut sukriya mukesh ji
Logged
pankajwfs
Guest
«Reply #12 on: April 13, 2012, 03:34:09 AM »
Reply with quote
bahut khub....
thanks mann ji
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 03:04:34 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.107 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer