Kaun hai woh aziz (see this to know my azeez)

by Ricky on May 01, 2006, 07:54:38 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1884 times)
Ricky
Yoindian Shayar
******

Rau: 8
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
4 days, 3 hours and 56 minutes.

Posts: 2455
Member Since: Dec 2003


View Profile
Reply with quote
Har waqt mere saath rehta hai,har waqt mera saath deta hai,
Hai saccha woh, iss baat ka ahsaas deta hai,

Har baar yaad dilata hai ke mein tera saathi hun,
Tera hun hissa, teri hee awaas sunta hun,
Har mehfil mein tera humrah, shaamil hamesha hun,
Teri pasand ka natija hun, shukriya tujhe deta hun,

Hun tere itna kareeb, kisi aur ko mauka nahin deta hun,
Itna azeez hun uska mein, mera woh,
..
...
....
.....
.......
........
..........
............
..............
...............
.................
..................
....................
......................
........................
.........................
..........................





Little more to scroll down..


..
...
....
.....
.......
........
..........
............
..............
...............
.................
..................
....................
......................
........................
.........................
..........................


Itna azeez hun uska mein, mera woh,
.............PHONE usse mein apna kehta hun !!!!

Well it may not be a funny shayari but I have placed it here , if any Monitor feel it to move at other place , then no problem.
Logged
indian_groom
Guest
«Reply #1 on: May 01, 2006, 08:10:40 PM »
Reply with quote
Teri dosti mein khud ko mehfooz maante hain,
hum doston mein tumhe sabse azeez maante hain.
 Teri dosti ke saaye mein zinda hain,
hum to tujhe khuda ka diya hua tabeez maante hain
Logged
Ricky
Yoindian Shayar
******

Rau: 8
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
4 days, 3 hours and 56 minutes.

Posts: 2455
Member Since: Dec 2003


View Profile
«Reply #2 on: May 01, 2006, 08:30:44 PM »
Reply with quote
Azeez toh hai woh, pocket mein bhi hai woh,
magar kambakht miss call jo aati hain, back call karwati hain...
Sahi mein keh raha hun, saari maza woh churati hain,

Sochte roz hain, sirf suna karenge, incoming free ka maza liya karenge,
Magar yaad nahin woh din jab humne woh maza liya, phone ka ek rupiya nahin kharch kiyA !!

Yahi meri azeez ki daastan, kabhi mein pareshaan, kabhi woh heeraan,
Khaaz nahin hota naya nazaraa, wohi purana raag, jab bill karta hai humey ishara !!
Logged
sweet_raabii
Guest
«Reply #3 on: May 01, 2006, 09:41:39 PM »
Reply with quote

good shairy Ricky,
good reply indian groom.....
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #4 on: May 02, 2006, 11:51:20 AM »
Reply with quote
mai aaur mera mobile
ek dusre ko bahut use kartein hain
logg iss baat pey hanstein hain
sath-hii-sath log iss baat pe hairaan hotey hain
mai aaur mera mobile
ek dusre ko bahut use kartein hain

kabhie wo mujhe apni ghanti bajaa kar
mujhe utha ta hai "Trin Trin"
fhir ek din kahin dopahar ke waqt
wo bill ataa hai mobile ka aaur
meri raaton kii neend udd jaati hai 2 -4 dinn

kuch Yoindians se hum 2 -4 ghantey
mobile se baatien kya kartein hain
abb to subb ne number badal daale
aaur naya number dene se bhii dartein hain :lol:

29th ko mai bill payment karta hoon
30th se koi call bhi call karne pe darta hoon
sms se karta hoon chating sasti waali
aaur inbox mein faltu ki bakwas bharta hoon :lol:

Jab jab mere mobile ka bill
ghar mein kisi ke hath lagg jaata
mummy se mahabharat
aaur papa se baat karne ka purnawiran (fullstop) ho jaata hai

payment lene waale bhi
mera payment dekh karr hanstein hain
boltein hain bhai, call charges nahi sastey
aaj kal to saare handset sastey hain
mohh maaya ke jaal mein hum kuch aaise fhanstey hain
call kartein hain dair takk, aaur bematlab hanstein hain

mai aaur mera mobile
ek duje ka bahut use kartein hain
logg iss baat pe hastein hain, log iss baat pe hairaan bhi Hotein hain!!!
Logged
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 10 hours and 44 minutes.

always smile

Posts: 15216
Member Since: Aug 2004


View Profile
«Reply #5 on: May 02, 2006, 11:56:23 AM »
Reply with quote
bahut ache ricky

wah neer cha gaye yaar
Logged
Ricky
Yoindian Shayar
******

Rau: 8
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
4 days, 3 hours and 56 minutes.

Posts: 2455
Member Since: Dec 2003


View Profile
«Reply #6 on: May 02, 2006, 05:56:22 PM »
Reply with quote
Shukriya everyone for their appreciation as well as for their efforts.
So Aage ...

Naa jane kya soojhi humko, socha azeez ka ek dost bhi ho, k ek CDMA ho aur ek GSM ho !
Loh ab doh azeez hai , pocket ke liye khatarnaak cheez hain,

Phir lage hum bahane banane, do do azeez hone ka kaaran batane, k lage logo.n ko samjhane,
Kayi fayde hain do azeez hone ke, ke do do nazdeeq hone sae,
ek agar pareshaan na kar paye, aapko hairaan naa kar paye, toh dooja haazir hai,
Ek bill halka per jaaye, aako kam hee daraye , toh dooja haazir hai,
ab toh her koi mobile hai, rikshachaalak ka bhi style hai, naye zamane ka sign hai,
ho doh doh azeez yeh toh kuch khaaz hai, har kisi kae bas ki nahin baat hai, sukun bhara ahsaas hai,
Azeez toh azeez hai, kai wajah hai nazdeeq hain, saaf hai ke woh mere kareeb hai,
Aur kya kahen iski shaan mein, iski pehchaan mein, shamil yeh meri her mehfil .. mere naam mein !!!
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #7 on: May 03, 2006, 08:24:00 AM »
Reply with quote
wah bahot  khoob..........    Ricky..........  Ig  .....  :lol:
Logged
Ricky
Yoindian Shayar
******

Rau: 8
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
4 days, 3 hours and 56 minutes.

Posts: 2455
Member Since: Dec 2003


View Profile
«Reply #8 on: May 03, 2006, 09:46:56 AM »
Reply with quote
Thankyou for your appreciation !
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #9 on: May 03, 2006, 10:03:25 AM »
Reply with quote
ur  always  welcome  :lol:
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #10 on: May 03, 2006, 01:53:14 PM »
Reply with quote
Bhaut Khoob Ricky jee....n Neer bhaiya...gr8 work...!!!
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #11 on: May 03, 2006, 07:50:09 PM »
Reply with quote
Quote from: "salma4u"
Bhaut Khoob Ricky jee....n Neer bhaiya...gr8 work...!!!


Thank you so very much salma behna!!
Logged
Ricky
Yoindian Shayar
******

Rau: 8
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
4 days, 3 hours and 56 minutes.

Posts: 2455
Member Since: Dec 2003


View Profile
«Reply #12 on: May 05, 2006, 05:52:11 PM »
Reply with quote
kuch aur lavz do azeezo.n ki shaan mein !

Kabhi kabhi kuch khaaz bhi ho jata hai,
Ghalati sae kisi ka phone aajata hai..

Aur woh humey batata hai!!!
Ke ..

Aapke dusre phone per incoming suvidha uplabdh nahin hain...
Usse recharge karao. ..


!!!
SO iss tarah  quickly and easily you can kno if your prepaid card is stilll in service or out of service.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #13 on: May 06, 2006, 06:00:33 AM »
Reply with quote
lolssss

Phone ka intzaar aor phone ayya
phir se permotion walo ne deemag khaya
Logged
Ricky
Yoindian Shayar
******

Rau: 8
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
4 days, 3 hours and 56 minutes.

Posts: 2455
Member Since: Dec 2003


View Profile
«Reply #14 on: May 07, 2006, 08:49:11 PM »
Reply with quote
Lolz
..

ya u r rite.. These promotional calls !!!

Aksar khaas calls aa jaya karte hain,
Kehke hum ko sir ullu banaya karte hain..

Magar hum bhi kam shareer nahin hain,
hum bhi khoob batein unse banaya kartein hain !!!
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 25, 2025, 12:21:21 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.104 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer