-Kucch Kabaab Aaye-

by HumTum is back on April 05, 2008, 11:24:32 AM
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 3297 times)
HumTum
Guest
«Reply #15 on: January 13, 2009, 01:01:37 PM »
Reply with quote
Veer ji..

Sir kat jaye uska koi gum nahi
Jo sudhar jaye woh "HumTum" nahi laughing4

Mahiya ji ..Shukriya .... App bhi koi pataka chod jati mehfil mein.
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #16 on: January 14, 2009, 09:27:29 AM »
Reply with quote


Veer ji..

Sir kat jaye uska koi gum nahi
Jo sudhar jaye woh "HumTum" nahi laughing4

Mahiya ji ..Shukriya .... App bhi koi pataka chod jati mehfil mein.


Koshish...


Aaya jab kabhi murga, aur jab kabhi kabaab aaye,
Muft ke milte dekhte hi, HumTum ne behisaab khaaye..

Kanjoosi ki aadat ka inki, poochiye naa koi hisaab,
Kabaab pe baithi makhhi ke din hi thhe kharaab aaye..

Zaraa hi toh khaaya hai, Abhi toh aadha bhoj hi hua,
Kijiye sawaal 'kitna khaaoge?', toh yehi inka jawaab aaye..

Phoolgobhi sir pe tika lete hai, Mooncho ki jagah bhindi,
Zism mein inke jaise Bhookh ke maare mara koi nawaab aaye..

Kha kha ke thhake aur kuch kaam naa karte bana hoga,
Apni aapbeeti sunaane funny section mein phir janaab aaye..



Logged
HumTum
Guest
«Reply #17 on: January 14, 2009, 10:21:33 AM »
Reply with quote
Hahaha .....  too good Mahiya Ji....  kuch arz hai!

Dil-e-nadaan tujhe hua kya hai
Samne kabab hai sochta kya hai

Humne mana ke pet bhar gya lekin
Plate mein thoda sa abhi pda hai

Pet bhar gya par niyaat nai bhari
'O HumTum akhir yeh majra kya hai

Tere kabab ke charche hai har sau
Yeh bta tune ismein dala kya hai

Khakha ke tond nikal aayi hai teri
Aur chehra bhi fate dholak sa hai

thali mein pade rehne ke hum nai qahil
Jo muh mein na gya woh bakra kya hai

Mein bhi muuh mein jubaan rakhta hoon
koi to Batlao mujhe woh bakra kha hai

Bas kabab par hi attack karta hoon
Mein nai janta ke gobi allu kya hai

Dba ke kha liya hai ab yeh halat hai
jaldi bta, toilet ka darwaja kha hai !!


HumTum





Logged
Roja
Guest
«Reply #18 on: January 14, 2009, 10:27:37 AM »
Reply with quote
Thank you Veer ji, Pooja ji, Jasbir ji n Roja ji.

Jasbir Ji ...
Pooja, Roja ne lagayi jo veggi ki guhaar
Hum kabab fenk kar bartaan tak dho aaye!!

HumTum

Lagaye guhar magar ansuni kardiya tumne
Chalo Pooja, Hum Tum milkar isko Pure Veggy banade... tongue3
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #19 on: January 14, 2009, 11:26:11 AM »
Reply with quote
Hahaha .....  too good Mahiya Ji....  kuch arz hai!

Dil-e-nadaan tujhe hua kya hai
Samne kabab hai sochta kya hai

Humne mana ke pet bhar gya lekin
Plate mein thoda sa abhi pda hai

Pet bhar gya par niyaat nai bhari
'O HumTum akhir yeh majra kya hai

Tere kabab ke charche hai har sau
Yeh bta tune ismein dala kya hai

Khakha ke tond nikal aayi hai teri
Aur chehra bhi fate dholak sa hai

thali mein pade rehne ke hum nai qahil
Jo muh mein na gya woh bakra kya hai

Mein bhi muuh mein jubaan rakhta hoon
koi to Batlao mujhe woh bakra kha hai

Bas kabab par hi attack karta hoon
Mein nai janta ke gobi allu kya hai

Dba ke kha liya hai ab yeh halat hai
jaldi bta, toilet ka darwaja kha hai !!


HumTum


Lo kar Lo baat..  DOH  DOH  Laughing hard  Laughing hard


Dil-e-naadaan beemaar se ab kuch poochte kyon ho,
Lotaa haath mein hai, Kuch aur bhala sochte kyon ho..

Nikal gaya diwaaliya Mezbaan ka, itna khaaya tumne,
Lekar ab uska hi rumaal chehra apna pochhte kyon ho..

Baad mein hajmola ke liye machaate ho yun afratafri,
Kabaab apne bheeter besharmi se thooste kyon ho..

Bechain hai Mezbaan tumhe toilet mein band karne ko,
Usse hi baar baar jaa ke Toilet ka pata poochte kyon ho..
Logged
HumTum
Guest
«Reply #20 on: January 14, 2009, 12:04:14 PM »
Reply with quote
Hahaha .. yhi bhi sahi hai ...  lijiye ..yeh suniye!

Ankh band kar ke utha liya jo louta anjane mein
Khali louta dekh ke ro rha hoon guslkhane mein

Magar tera kamra zor-e-gand se bhar bhar jata
Gar ho jati zra  bhi der mujhko ander jane mein

Mila kyun diya tha tune kabab mein jamalgotta
Zalim kya maza aata tujhe, mujhko satane mein

Ja, ab na khayege hum tere hath ka bna bakra
Kya faida jab raat guzarni padegi ghuslkhane mein

Hath failaye ab yhi dua mang rha hai :HumTum:
Koi to le jao mujhko paas ke dawwakhane mein !!


Logged
Shikha12
Guest
«Reply #21 on: January 14, 2009, 12:38:13 PM »
Reply with quote
ha ha ha... Laughing hard Too Good...
Aapki haalat soch kar toh humein shayari hi bhool gayi.. Laughing hard


I will try to reply soon..
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #22 on: January 14, 2009, 12:41:10 PM »
Reply with quote
Laughing hard Laughing hard Laughing hard

Lage raho Winking tongue3 NaNaNa

HumTum bro,

Kabaab for you which Shikha prepared Winking tongue3 Laughing hard

Logged
Pooja
Guest
«Reply #23 on: January 14, 2009, 09:35:02 PM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

 Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard

Bahoot khoob HumTum and Mahiya... dil khush ho gaya dono ko parr kar... good work!!!
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #24 on: January 15, 2009, 06:49:38 AM »
Reply with quote
Thank you Veer ji, Pooja ji, Jasbir ji n Roja ji.

Jasbir Ji ...


Aap ne kyun hum par juthe ilzaam lagaye
Humne to kabab tajje tajje the pakaye

Kasoor hamare kababon ka nai hai janab
Shayaad aap khi aur se kucch kha aaye

Pooja, Roja ne lagayi jo veggi ki guhaar
Hum kabab fenk kar bartaan tak dho aaye!!


HumTum



haa haaa... kya khoob kaha HUMTUM


DOH DIN SEY NA HUMNEY KUCH KHAYA THA
PARTY MEH AAP NEY JOH APNI BULAYA THA

KABAAB KEY SAPNEY MEH HUM AAYE THEY
JEEB KOH BHI SWAAD WOH LAG PAYE THEY

TAJEY KABAAB NA JANEY AAP KEY KYA RANG LAYE
SUBAH UTHTEY HI KARNEY LAGEY HUM HAI HAI

KABAAB FAIK KAR AAP BARTAN BHI DOH AAYE
ILZAAM SEY BACHNEY KEY LIYE AAP YEH KAAM JALDI KAR AAYE



JASBIR SINGH
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #25 on: January 15, 2009, 06:53:53 AM »
Reply with quote


Koshish...


Aaya jab kabhi murga, aur jab kabhi kabaab aaye,
Muft ke milte dekhte hi, HumTum ne behisaab khaaye..

Kanjoosi ki aadat ka inki, poochiye naa koi hisaab,
Kabaab pe baithi makhhi ke din hi thhe kharaab aaye..

Zaraa hi toh khaaya hai, Abhi toh aadha bhoj hi hua,
Kijiye sawaal 'kitna khaaoge?', toh yehi inka jawaab aaye..

Phoolgobhi sir pe tika lete hai, Mooncho ki jagah bhindi,
Zism mein inke jaise Bhookh ke maare mara koi nawaab aaye..

Kha kha ke thhake aur kuch kaam naa karte bana hoga,
Apni aapbeeti sunaane funny section mein phir janaab aaye..






wah wah MAHIYA, kya jawaab dia hai aap neh

HUMTUM KEY KABAAB RANG DHAA RAHEY HAI
HAR KOI ISPEH ILJAAM LAGA RAHEY HAI

KOI KEHTA KANJOOS, KOI NAWAAB KEHTA HAI
HUMTUM BECHARA TABHI PARESHAN REHTA HAI


JASBIR SINGH
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #26 on: January 15, 2009, 06:57:19 AM »
Reply with quote
Hahaha .....  too good Mahiya Ji....  kuch arz hai!

Dil-e-nadaan tujhe hua kya hai
Samne kabab hai sochta kya hai

Humne mana ke pet bhar gya lekin
Plate mein thoda sa abhi pda hai

Pet bhar gya par niyaat nai bhari
'O HumTum akhir yeh majra kya hai

Tere kabab ke charche hai har sau
Yeh bta tune ismein dala kya hai

Khakha ke tond nikal aayi hai teri
Aur chehra bhi fate dholak sa hai

thali mein pade rehne ke hum nai qahil
Jo muh mein na gya woh bakra kya hai

Mein bhi muuh mein jubaan rakhta hoon
koi to Batlao mujhe woh bakra kha hai

Bas kabab par hi attack karta hoon
Mein nai janta ke gobi allu kya hai

Dba ke kha liya hai ab yeh halat hai
jaldi bta, toilet ka darwaja kha hai !!


HumTum







haa haaaa


jasbir singh
Logged
HumTum
Guest
«Reply #27 on: January 15, 2009, 10:10:59 AM »
Reply with quote
Veer Ji ....  kahi iss kabab mein jamalgota to nahin?

Pooja Ji... aap ka bahut bahut Shukriya

Mahiya Ji,

Aaj kal unse jald jawab nahin milte
Kalam rukh gyi ya alfaaz nahin milte?


Jasbir Ji... bahut khoob... lijiye .. yeh suniye.

Tu thali mein bhar ke kabab laya to kya hoga,
Aur meine who sara khaya to kya hoga

Dost to sare puchenge bta tu kitna khata hai,
Gar unko meieny yeh bataya to kya hoga

Mujhe tark-e-bhok manjor lekin yeh to batlado,
koi kudh hi liye hathon mein kabab aaya to kya hoga

Kabab ke liye tarka-e-masala hi zaruuri ho,
Aur uspe tune parantha bnagaya to kya hoga!!



HumTum   hello
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #28 on: January 15, 2009, 10:59:27 AM »
Reply with quote
Veer Ji ....  kahi iss kabab mein jamalgota to nahin?

Pooja Ji... aap ka bahut bahut Shukriya

Mahiya Ji,

Aaj kal unse jald jawab nahin milte
Kalam rukh gyi ya alfaaz nahin milte?


Jasbir Ji... bahut khoob... lijiye .. yeh suniye.

Tu thali mein bhar ke kabab laya to kya hoga,
Aur meine who sara khaya to kya hoga

Dost to sare puchenge bta tu kitna khata hai,
Gar unko meieny yeh bataya to kya hoga

Mujhe tark-e-bhok manjor lekin yeh to batlado,
koi kudh hi liye hathon mein kabab aaya to kya hoga

Kabab ke liye tarka-e-masala hi zaruuri ho,
Aur uspe tune parantha bnagaya to kya hoga!!



HumTum   hello



HAI NI ........... HUMTUM .... KYA BAAT KEH DI



TERI MEHFIL MEH MAIN KABAAB KHANEY AAYA
YEH TOH BATA, TUNEY FIR AUR KISS LIYE THA BULAYA

TERI MEHFIL SEY GAR MAIN BHOOKHEY PAIT AA JAYU
TOH KYA DUNIYA KOH TERE KANJOOSI KEY KISSEY SUNAYU

PARTY BHI DI TUNEY, PAR DIL SEY NAHI
YEH BAAT HAMEY PASAND AAYI, BILKUL NAHI

HAMAREY KHANEY PEH TU NAZAR LAGATA HAI
TABHI TOH HAMARI PLATE KEY TU KABAAB GINATA HAI

TERI NAZAR HI SHAYED LAG GAYI HAMEY
TERE KABAAB NA RAAS AAYE HAMEY



JASBIR SINGH
Logged
salma786
Guest
«Reply #29 on: January 15, 2009, 11:12:30 AM »
Reply with quote
Waah humtum ji
Jasbir ji
mahiya ji Bahoot khoob Applause Applause Applause
Logged
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 09:16:51 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.111 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer