Ladkiyan................

by prempagla on December 03, 2004, 08:16:17 PM
Pages: [1] 2 3 4
ReplyPrint
Author  (Read 4234 times)
prempagla
Guest
Reply with quote
:::Yeh Larkiyan:::

Duniyan KO ajab rang dikhatee hain larkiyaan
Mardoon KO hathoon per nachatee hain larkiyaan

Kaproon ki ek dor see lagtee hai jaisay
Darziyoon ke karobaar chalatee hain larkiyaan

Makeup kay bagair yeh mukamil nahi ab to
Cehray per ek chera charatee hain larkiyaan

Kis se takreeb main pocho nah haal to in kaa
Barh charh kar numaish karwatee hain larkiyaan

Bhoole se gar kisee KO joh kuch keh dia Prem
Khandan ke tareeh batatee hain larkiyaan

Mill Jain gar toh yeh ban jatee hain tufaan
Larkoon KO bhi badnaam karwatee hain larkiyaan

Duniya kay har ek topic per latee hain batain
Boolnay main kabhi maar nahi khatee hain larkiyaan

Dekh dekh kar aik dosray KO hotee hain jealous
Tareef kisee ke nahi kar patee hain larkiyaan

Tamanah yehee rehtee hai kay ho jay in ke shadi
Ronay ka drama rachatee hain larkiyaan

Chotee chotee batoon per yeh hoo jatee hain naraz
Magar mach kay phir ansoo bahatee hain larkiyaan

Acting karnay main koi saani nahi in kaa
Actors KI bhi chutee karwatee hain larkiyaan

Aik dosray say bhi bana kar nahi rakhtee yeh to
Chugliyoon per chugliyaan lagatee hain larkiyaan

Din raat sunaa kar problems ki woh bharmar
Mardoon KO beh ganja banatee hain larkiyaan

Lag jay koi mazloom gar in kay haath
Jotoon say tawaza farmatee hain larkiyaan

Zar zan zamin ka jagrah hamesha se hai mojood
Mazloom KO beh zalim banatee hain larkiyaan

Rishtay dariyoon KO bhi khatam karwa daytee hain yeh to
Phir aagh kuch aisee lagati hain larkiyaan

Aay Prem bahut nadan hai abhi to
Nakoon chane chabwatee hain larkiyaan....
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Ladkiyan Ghar Ki Laxmi by Shayaries_King in Shairi - E - Zindagi
Dahej Hatya - Aakhir Kab Tak Ladkiyan Iski Aag Se Jhulasti Rahengi by @kaash in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan « 1 2  All »
**Ladkiyan** by Manreet B in Miscellaneous Shayri
ladkiyan ye ladkiyan akhir kya chahti hai by ParwaaZ in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2  All »
Ladkiyan by deepansh in SMS , mobile & JOKES
Beena Jain
Guest
«Reply #1 on: December 03, 2004, 10:30:29 PM »
Reply with quote
aaj kal kei ladkei
phhirthey hein maarey maarey
awaarey gawaanrey
samajhhthey hein baadshah
apney aap ko
aur dethey hein dosh
hum ladkiyon ko

Yei bhhi nahin samjhhthey
'taali ek haath sei nahin bajthi'
hum ladkiyon ka he mehez kasoor nahin
kahin na kahin tum ladkon nei bhhi
koi gusthaki zaroor ki thhi  :D
Logged
nishita
Guest
«Reply #2 on: December 04, 2004, 05:56:30 PM »
Reply with quote
tu har baar ajaata hai ladkiyo ki burai karne prem  :evil:  :evil:  :evil:
Logged
prempagla
Guest
«Reply #3 on: December 05, 2004, 07:33:16 PM »
Reply with quote
make up mein hain la jawaab larkiyaan

jawaan larko ki hain khwaab larkiyaan

kis kis ko chahe kis kis se pyar karen

iss shehar mein hain behisaab larkiyaan

kitne howe hain barbaad unn ke peeche

kehne ko tu hain ik azaab larkiyaan

thora jo muskura de ho jaate hain hum pagal

larkon ko kar deti hain betaab larkiyaan

dil machal sa jaata hai unne dekh ker Prem

jab ghar se nikhalti hain benaqab larkiyaan
Logged
NewYorker
Guest
«Reply #4 on: December 05, 2004, 10:11:30 PM »
Reply with quote
................................................. ..............
dil machal sa jaata hai unne dekh ker Prem
jab ghar se nikhalti hain benaqab larkiyaan  

................................................. ..............

Nice............ :D  :D
Logged
prempagla
Guest
«Reply #5 on: December 06, 2004, 09:24:52 AM »
Reply with quote
Quote from: "nishita"
tu har baar ajaata hai ladkiyo ki burai karne prem  :evil:  :evil:  :evil:


har aisi waisi cheez ki tareef mujhse nahin hoti......
na baba na bhagwan bachaye jhooti tareef se....
lol..........
Logged
NewYorker
Guest
«Reply #6 on: December 06, 2004, 04:07:01 PM »
Reply with quote
Tu har baar aa jaata hai  Usual Smile
Magar Bhadiyaan sunaa jaata hai.... :wink:
Logged
prempagla
Guest
«Reply #7 on: December 07, 2004, 10:13:45 AM »
Reply with quote
ata rahunga hamesha har baar aaonga......
sahi baat in ladkon ko hamesha samjhaoonga....

lol
Logged
Namkeen
Guest
«Reply #8 on: December 17, 2004, 01:31:05 AM »
Reply with quote
kyu chahta hai tu ladkiyon ka attention
lagta hai tujhe dena padega tention
pehle bhi samjhaya hai salma ne
ladkiyon se panga mat le
Ubh to mein bhi aa gayee hu
nikal sakta hai to nikal le
Logged
myheart_ursonly
Guest
«Reply #9 on: December 17, 2004, 04:59:26 AM »
Reply with quote
nice going prem
Logged
Meena
Guest
«Reply #10 on: December 17, 2004, 07:41:08 PM »
Reply with quote
pagla  Puzzled !
Logged
gauravji
Guest
«Reply #11 on: December 19, 2004, 04:17:46 PM »
Reply with quote
India Gate ke nazaare ne hote..
Chandni Chowk Ke chatkaare na hote...
Jo Dilli ki ladkiyan FASHION na kartin...
TO DILLI KE LADKE AAWAARE NA HOTE !!!  :D
Logged
gauravji
Guest
«Reply #12 on: December 19, 2004, 04:19:20 PM »
Reply with quote
India Gate ke nazaare ne hote..
Chandni Chowk Ke chatkaare na hote...
Jo Dilli ki ladkiyan FASHION na kartin...
TO DILLI KE LADKE AAWAARE NA HOTE !!!  :D
Logged
KaMaL
Guest
«Reply #13 on: December 19, 2004, 05:27:35 PM »
Reply with quote
Quote from: "prempagla"
:::Yeh Larkiyan:::

Duniyan KO ajab rang dikhatee hain larkiyaan
Mardoon KO hathoon per nachatee hain larkiyaan

Kaproon ki ek dor see lagtee hai jaisay
Darziyoon ke karobaar chalatee hain larkiyaan

Makeup kay bagair yeh mukamil nahi ab to
Cehray per ek chera charatee hain larkiyaan

Kis se takreeb main pocho nah haal to in kaa
Barh charh kar numaish karwatee hain larkiyaan

Bhoole se gar kisee KO joh kuch keh dia Prem
Khandan ke tareeh batatee hain larkiyaan

Mill Jain gar toh yeh ban jatee hain tufaan
Larkoon KO bhi badnaam karwatee hain larkiyaan

Duniya kay har ek topic per latee hain batain
Boolnay main kabhi maar nahi khatee hain larkiyaan

Dekh dekh kar aik dosray KO hotee hain jealous
Tareef kisee ke nahi kar patee hain larkiyaan

Tamanah yehee rehtee hai kay ho jay in ke shadi
Ronay ka drama rachatee hain larkiyaan

Chotee chotee batoon per yeh hoo jatee hain naraz
Magar mach kay phir ansoo bahatee hain larkiyaan

Acting karnay main koi saani nahi in kaa
Actors KI bhi chutee karwatee hain larkiyaan

Aik dosray say bhi bana kar nahi rakhtee yeh to
Chugliyoon per chugliyaan lagatee hain larkiyaan

Din raat sunaa kar problems ki woh bharmar
Mardoon KO beh ganja banatee hain larkiyaan

Lag jay koi mazloom gar in kay haath
Jotoon say tawaza farmatee hain larkiyaan

Zar zan zamin ka jagrah hamesha se hai mojood
Mazloom KO beh zalim banatee hain larkiyaan

Rishtay dariyoon KO bhi khatam karwa daytee hain yeh to
Phir aagh kuch aisee lagati hain larkiyaan

Aay Prem bahut nadan hai abhi to
Nakoon chane chabwatee hain larkiyaan....


Bilkul thik kaha hai prem ji...
Very good...
Logged
myheart_ursonly
Guest
«Reply #14 on: December 19, 2004, 05:56:19 PM »
Reply with quote
i agreee kamal ji
Logged
Pages: [1] 2 3 4
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 09:43:26 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.094 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer