~~~LADKIYAN~~~

by sachin_9810****** on April 09, 2005, 05:43:22 PM
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 2699 times)
sachin_9810******
Guest
Reply with quote
Duniya ko ajab rang dikhati hain yeh ladkiyaaan
Mardo ko hathon pe nachati hain ladkiyaan

Kapdo ki ek dor si lagti hai jaise
Darziyon ke karobar chalati hain yeh ladkiyaan

Make-up ke bagair yeh mukammal nahi abb tu
Chehre pe ek chehra chadati hain yeh ladkiyaan

Kisi takreeb main poocho na haal tu inka
Bar char kar numaiyeesh karati hain yeh ladkiyaan

Budhiyon ne bhi bana rakha hai ek ajab tamasha
Baal kata kar yeh bhi kehlati Hain ladkiyaan

Bhoole se agar kisi ko jo kehdiya AMMA
Khandan ki tarikh batati hain yeh ladkiyaan

Mill jaye agar yeh, To ban jati hain toofan
LADKO KO BHI BADNAAM KARATI HAIN YEH LADKIYAAN

Duniyaa ke har ek mozoon pe karleti hain batain
Bolne main kabhi maar na khati hain ladkiyaan

Dekh dekh kar ek doosre ko hoti hai JALAN
Tareef kisi ki na kar pati hain ladkiyaan

Tamanna yehi rehti hai ke ko jaye inki SHADI
Rone ka phir drama rachati hain ladkiyaan

Choti choti baton pe ho jati hain naraz
MAGARMACH ke phir ansoo bahati hain ladkiyaan

Acting karne main koi saani nahi inka
Actron ki bhi chutti karati hain ladkiyaan

Ek Duje se bhi bana kar rakhti nahi yeh
Chugli pe chugliyaan lagati hain ladkiyaan

Lag jaye koi mazloom agar inke hath
Juton se khatir farmati hain ladkiyaan

Zar, Joru, zameen ka jhagra asal se hai maujood
Mazloom ko bhi zalim banati hain ladkiyaan

Rishte dariyon ko bhi khatam karwa deti hain yeh
Pheer aag kuch aesi badkati hain ladkiyaan

Aey INSAN! bahut nadan hai abhi tu
NAKO CHANE BHI CHABWATI HAIN YEH LADKIYAAN

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Ladkiyan Ghar Ki Laxmi by Shayaries_King in Shairi - E - Zindagi
Dahej Hatya - Aakhir Kab Tak Ladkiyan Iski Aag Se Jhulasti Rahengi by @kaash in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan « 1 2  All »
**Ladkiyan** by Manreet B in Miscellaneous Shayri
ladkiyan ye ladkiyan akhir kya chahti hai by ParwaaZ in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2  All »
Ladkiyan by deepansh in SMS , mobile & JOKES
waheed_rose2004
Guest
«Reply #1 on: April 09, 2005, 06:18:29 PM »
Reply with quote
lolzzzzzzzzzzzzzz  sachin........................:lol:
Logged
HumTum
Guest
«Reply #2 on: April 09, 2005, 06:23:00 PM »
Reply with quote
Quote from: "sachin_9810******"
Duniya ko ajab rang dikhati hain yeh ladkiyaaan
Mardo ko hathon pe nachati hain ladkiyaan

Kapdo ki ek dor si lagti hai jaise
Darziyon ke karobar chalati hain yeh ladkiyaan

Make-up ke bagair yeh mukammal nahi abb tu
Chehre pe ek chehra chadati hain yeh ladkiyaan

Kisi takreeb main poocho na haal tu inka
Bar char kar numaiyeesh karati hain yeh ladkiyaan

Budhiyon ne bhi bana rakha hai ek ajab tamasha
Baal kata kar yeh bhi kehlati Hain ladkiyaan

Bhoole se agar kisi ko jo kehdiya AMMA
Khandan ki tarikh batati hain yeh ladkiyaan

Mill jaye agar yeh, To ban jati hain toofan
LADKO KO BHI BADNAAM KARATI HAIN YEH LADKIYAAN

Duniyaa ke har ek mozoon pe karleti hain batain
Bolne main kabhi maar na khati hain ladkiyaan

Dekh dekh kar ek doosre ko hoti hai JALAN
Tareef kisi ki na kar pati hain ladkiyaan

Tamanna yehi rehti hai ke ko jaye inki SHADI
Rone ka phir drama rachati hain ladkiyaan

Choti choti baton pe ho jati hain naraz
MAGARMACH ke phir ansoo bahati hain ladkiyaan

Acting karne main koi saani nahi inka
Actron ki bhi chutti karati hain ladkiyaan

Ek Duje se bhi bana kar rakhti nahi yeh
Chugli pe chugliyaan lagati hain ladkiyaan

Lag jaye koi mazloom agar inke hath
Juton se khatir farmati hain ladkiyaan

Zar, Joru, zameen ka jhagra asal se hai maujood
Mazloom ko bhi zalim banati hain ladkiyaan

Rishte dariyon ko bhi khatam karwa deti hain yeh
Pheer aag kuch aesi badkati hain ladkiyaan

Aey INSAN! bahut nadan hai abhi tu
NAKO CHANE BHI CHABWATI HAIN YEH LADKIYAAN




lolzzzzzz nice one....

janey kya kya halat dekhati hai yeh ladkiya
AnssoN ki har raat dikhati hai yeh ladkiya

jisney bhi shaadi ki ho gya woh shaeed
assey aasey rang dikhlati hai yeh ladkiya

khush hota hai bus shaadi ke din hi dulha
phir sari umr shohar ko rulati hai yeh ladkiya

"HumTum" tu na fasna iss chaker mein kabhi
na zinda rahega na jaan hi niklagi, assi suli pe chdwati hai yeh ladkiya
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #3 on: April 09, 2005, 06:33:38 PM »
Reply with quote
:evil:  :evil:  :evil:  :evil:  :evil:  :evil:  humtum Shocked  glasses2  glasses2  :?  :twisted:
Logged
Meena
Guest
«Reply #4 on: April 09, 2005, 06:39:00 PM »
Reply with quote
haye Rabba  Puzzled !  Puzzled !  Puzzled !  Puzzled !  Puzzled !  Puzzled !  Puzzled !  Puzzled !  Puzzled !  Puzzled !
Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #5 on: April 10, 2005, 06:32:01 AM »
Reply with quote
Deikh kar tumko yakeen hota hai,
koi itna bhee haseen hota hai....
deikh pate hain kahan hum tumko,
dil kaheen hosh kaheen hota hai...



Not Mine...

Ques...
Logged
Friend_4uall
Guest
«Reply #6 on: April 10, 2005, 07:49:32 AM »
Reply with quote
Mujhe maaloom nahi aisa hota hai ya nahi..........lekin sunne mein badaa accha lagaa....................................

Socho to sahi kya kya kar jaati hai ye
Sachin jaise ladke ko bhi shaayar banajaati hai ye ladkiyaan

Hum ko to aarzoo hi rah gayee ke humse koi aakar mile....
hamari shakal ko dekhkar door bhaag jaati hai ye ladkiyaan
Logged
dolly
Guest
«Reply #7 on: April 10, 2005, 09:40:38 AM »
Reply with quote
huh.. Puzzled !  Puzzled ! ...............okie.......agar itni bekaar lagti hain ladkiyan to jinne vi hain yahan ladke kunwaare rehna sab saari zindagi............... :twisted:  :twisted:

jab yeh budhe ho jaayenge khans khans kar reh jaayenge...
kandhe par koi haath naa hoga..humdum koi saath naa hoga ...
thokar khaayenge ..phir pachtaayenge...tab yaad inhe aayenge hum(ladkiyaan)............ glasses2  glasses2
Logged
Talat
Guest
«Reply #8 on: April 10, 2005, 11:02:05 AM »
Reply with quote
:lol: sachin..humtum n friend :lol:

kya taaref ki hai!!!!!! bilkul galat ;-)

tum ladko ki akal thikaane lagati hain ladkiyan
tum logon ko insaaan banati hain ye ladkiyan
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #9 on: April 10, 2005, 11:04:30 AM »
Reply with quote
hahahahaha..............   jo  kunwara  rahega  samjho duniya  ka  sabse  khush  rahega...  :lol:
Logged
Talat
Guest
«Reply #10 on: April 10, 2005, 11:10:24 AM »
Reply with quote
ab isne shaadi na karne ki kasam hai khaayi
kitna samajhdaar ise bana gayi hain ladkiyan ;-)
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #11 on: April 10, 2005, 11:28:23 AM »
Reply with quote
samjhdaar  to  ladke  bankar  hi  aate  hain
kyon  inti  bewakoof  hoti hain  kadkiyan........
Logged
Talat
Guest
«Reply #12 on: April 10, 2005, 11:41:21 AM »
Reply with quote
ladko ko akal kab se aane lagi hai
din me taare inhe dikhati hain ladkiyan
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #13 on: April 10, 2005, 11:45:00 AM »
Reply with quote
ladkon  ko  akal  tab  se  hai  jabse  duniya kayam hai
yeh  ladkiyan  kabse  gaana  gaane  lagi........
Logged
pandit
Guest
«Reply #14 on: April 10, 2005, 11:50:11 AM »
Reply with quote
Quote from: "waheed_rose2004"
ladkon  ko  akal  tab  se  hai  jabse  duniya kayam hai
yeh  ladkiyan  kabse  gaana  gaane  lagi........


are sahi kaha yaar.....
ladkion ko akal na to kabhi thi na kabhi hogi,
sirf bakar bakar karte hai...........................................
Logged
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 27, 2025, 05:20:08 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.165 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer