ladko main dimagh nahi hota hai

by sabreena on May 11, 2005, 11:47:38 AM
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 56
ReplyPrint
Author  (Read 38593 times)
sabreena
Guest
Reply with quote
ladko main dimagh nahi hota hai
inka dimagh bin painde ka lota hota hai,
ladko ke bheje main sada hua bhoosa bhrara hota hai,
fir bhi jane inko kiss baat ka gumaan hota hai,

apney pajamey mein nada daal nahi saktey hain,
aur kaargil mein ladney ka dawa kertey hain,
gher mein biwi ke ghulaam banker rahty hain,
aur bahar aker khud ko shahanshah bantey hain,
gher mein khoob pitayee khaatey hain,
aur bahar aker doosron ko peetney ki baat kertey hain,
arey ladko abb toh sudher jao,
apney bheje mein thodi sii toh akal lao................
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #1 on: May 11, 2005, 11:53:57 AM »
Reply with quote
yeh aa  gayee  paagal  khane  se  sabreena
kitna  accha  hoga jab jaan  jayegi  jeena........
Logged
sabreena
Guest
«Reply #2 on: May 11, 2005, 11:59:44 AM »
Reply with quote
hi waheed...

aa gayi hai tumko theek kerney yeh sabreena,
ab waheed zara yahan per sambhel ker rahna,
tumsey toh hai purana hisaab chukana,
kahin jaker kisi bill mein na chup jana
Logged
boskey jaff
Guest
«Reply #3 on: May 11, 2005, 12:00:26 PM »
Reply with quote
wah wah!!!
kay baat hai sabreena tumne to sach likh diya isliye ladkoon ko kadwa lag raha hai

yeh ladke kabhi nahi sudharte kitna bhi samjhao
yeh ladke hote hain bewkoof kitna bhi apna bheja sadao
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #4 on: May 11, 2005, 12:05:47 PM »
Reply with quote
hi  sabreena,

tum  kya mujhse  hisaab  karogi  sabreeena
mujhse  panga logi  to ho jaayege muskil jeena..
Logged
sabreena
Guest
«Reply #5 on: May 11, 2005, 12:07:58 PM »
Reply with quote
bahot bahot shukriya boskey,,,,,,,,,,,,,,,,

or tumney sahi kaha apna bheja ham inko sudharney main kyun sadayein...

yeh toh pagal the pagal hi rahenge,
kal bhi gadhey the ajj bhi rahenge,
inko sudharney sey koi fayeda nahi,
yeh toh bigdey the bigdey hi rahenge.......
Logged
boskey jaff
Guest
«Reply #6 on: May 11, 2005, 12:08:28 PM »
Reply with quote
ladkoon mein dimag nahi hota hai
inke bheje mein kachra bhara hota hai

ladko ko ladkiyoon ke peeche bhagne ka sadma laga hota hai
jiska maksad ladkiyoon ke peeche bhagna unhe patana hota hai
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #7 on: May 11, 2005, 12:17:15 PM »
Reply with quote
yahan  do  ladkiyan  badboo  failayee hain
na jaane  kahan  se is  jungle se aaye hain
khuda  ne lagta  hai  galti se inko  bana diya
kya jaroorat  thi inki  duniya mein aane ki........
Logged
boskey jaff
Guest
«Reply #8 on: May 11, 2005, 01:07:39 PM »
Reply with quote
jangle se hum nahi jangle se tum aaye ho
asli jangli tum ki harkate to tumme hain

ladke to hote hain asli jangli
or ladkiyoon ko kehte hain jangli

sudhro nahi to jangli sherniyaan khaa jayeingi
Logged
sabreena
Guest
«Reply #9 on: May 11, 2005, 01:36:15 PM »
Reply with quote
arey boskey bass itni sii taareef tum dekho abb...

yeh jangli ladke kabhi nahi sudhrenge
yeh badbodaar kadke kabhi nahi manenge

inke pass jo bhio jaye,
woh badbodaar ho jaye

waheed tum toh bevakoof ho,
kisi sadey hue began ke phool ho.

in ladko se door hi rehna achha hai,
her bevakoof in sab ka bachha hai,

aur kya tareef kerun inke baarey mein,
inn sab ka nark mein jana hi achha hai....

ajj kal toh kuch pata nahi hai inko ,
inke bheje main rakhsas ka bachhha hai/////
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #10 on: May 11, 2005, 04:17:52 PM »
Reply with quote
duniya  mein  tum  kyon  aaye  sabreena aur boskey jaff
duniya  mein  tum  kyon  aaye  sabreena aur boskey jaff
kya  tumhein  narak  mein nahi aata  tha  chain
Logged
Ladke_hain_duffer
Guest
«Reply #11 on: May 11, 2005, 04:59:49 PM »
Reply with quote
Waheed tum aapne dimaag ka ilaaz karao
ladkiya devi hoti hai unka aashirwaad lekar jao
ladkiyo ke bare mein galat baatein bolke unko gussa na dilao
pittna nahi chahte ho toh aapne ghar chup chap chale jao
Logged
desikuri
Guest
«Reply #12 on: May 11, 2005, 06:10:37 PM »
Reply with quote
sahi kaha ladkiyon......

ladke hote hai bina kaam ke
yeh hote hai bina naam ke

inke paida hone ka nahin hai koi mahoorat
yeh pana chahte hai shauhrat

ya rab kab seekhenge yeh jeena
in jaisa nahin dekha hamne koi kameena

shakal hai inki jaise ho sada hua bandar
yeh hai ladkiyon ke under

marenge hum inko jooti
kismat hai inki footi

yeh hai ek number ke duffer
hum maante hai inko loffer

yeh kabhi nahin sudhrenge
inko hum zor zor se marenge

inko maar ke hum inki laash ko footpaath par faink denge
kutte bhi soongh kar chale jayenge
:twisted: :evil:
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #13 on: May 11, 2005, 11:06:50 PM »
Reply with quote
duniya mein tum kyon aaye sabreena aur boskey jaff
duniya mein tum kyon aaye sabreena aur boskey jaff

woh hain aye ladkoon ko ptane k liye
Logged
thelostworld
Guest
«Reply #14 on: May 12, 2005, 06:55:05 AM »
Reply with quote
Quote from: "sabreena"
ladko main dimagh nahi hota hai
inka dimagh bin painde ka lota hota hai,
ladko ke bheje main sada hua bhoosa bhrara hota hai,
fir bhi jane inko kiss baat ka gumaan hota hai,

apney pajamey mein nada daal nahi saktey hain,
aur kaargil mein ladney ka dawa kertey hain,
gher mein biwi ke ghulaam banker rahty hain,
aur bahar aker khud ko shahanshah bantey hain,
gher mein khoob pitayee khaatey hain,
aur bahar aker doosron ko peetney ki baat kertey hain,
arey ladko abb toh sudher jao,
apney bheje mein thodi sii toh akal lao................


sabreena  pajamey nada dalne ke liye dimaag ki jarurt nahin hai ........tum kis liyee ho!! tongue3
Logged
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 56
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 07:46:53 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.1 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer