Mateen aur Manoj ke liye Khuda ke naam!!!

by Talat on October 07, 2004, 02:40:45 AM
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 17
ReplyPrint
Author  (Read 13455 times)
Talat
Guest
Reply with quote
Aa ke yahan jo baat jaani wo inki dosti hi to hai
dosti jo na dekhi hai maine na hi kahin suni hai

Wo hain naam ek dooje ke, ek dooje ki pehchaan hain
humraaz hain ek dooje ke, ek dooje ke ghamgusaar hain

College main guzaara hua waqt unka
canteen main baithna, bunk maarna

Shayari ki mehfilain sajaana
wo hansna unka wo gaana unka

Dosti unka tohfa hai dosti ke liye
wo is jahan main dosti ki misaal hain

Aaj waqt ki maar ne hai door unko kiya
wo mayoos ghamgeen aur lachaar hain

Par ho gaye hain jo wo alag to ye na samajh baithna
ki khatm ho gayi dosti unki ya ho gaye hain wo juda

Faasle na hon jab dilon main, koi faasla nahin hota
hain wo dilon main ek dooje ke nahin hain wo juda

Wo aaj apne ghar chala gaya par ek din laut aayega
laaye jaldi se wo din, Khuda se meri hai dua

Dekh sakti nahin kabhi main apne dost ko itna udaas
Khudaya milade in doston ko jald, yahi hai meri faryaad (Ameen)

.......Talat
Logged
nishita
Guest
«Reply #1 on: October 07, 2004, 08:21:46 AM »
Reply with quote
meri bhi yahi hai fariyaad @talat...

uff but y did he go? sad5

yakeen hai mujhe ek din woh ayega zaroor
jaa nahi sakta woh dosto se kabhi door
uski yaad me ye topic jo shuru kiya hai
isse hum band na hone denge uske laut aane tak huzoor
Logged
nishita
Guest
«Reply #2 on: October 07, 2004, 08:22:29 AM »
Reply with quote
yaad teri aati hai
humko bada satati hai
aaja mateen laut ke tu
ke dosti hum teeno ki tujhe bulati hai
Logged
nishita
Guest
«Reply #3 on: October 07, 2004, 08:25:48 AM »
Reply with quote
hum bhi dekhte hai kab tak nahi ayega
hum bhi dekhte hai kab tak hume satayega
intezaar rahega uska hume din raat
ke hui na thi nishita se uski akhri mulakat sad5 sad5
Logged
Talat
Guest
«Reply #4 on: October 07, 2004, 09:30:21 AM »
Reply with quote
mujhe bhi hai yaqeen ki aayega wo zaroor
par kaise samjhaaon use jo baitha hai mayoos
jaane se dost ke wo dosti se beaitabaar ho baitha
itna ghamzada hua ki ab hume hi hai chor baitha :-(
Logged
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 8 hours and 57 minutes.

always smile

Posts: 15216
Member Since: Aug 2004


View Profile
«Reply #5 on: October 07, 2004, 12:15:19 PM »
Reply with quote
dost bun kar bhi nahi saath nibhane wala
wahi andaaz hai zaalim ka zamaane wala
dost bun kar bhi nahi saath nibhane wala

kya kahe kitne mrasim the humaare usse
wo jo ek shaks hai muh fer kar jaane wala
dost bun kar bhi nahi saath nibhane wala

kya khabar thi jomeri jaan me ghula rahta hai
hai wahi mujh ko saredaar bhi laane waala
dost bun kar bhi nahi saath nibhane wala

main ne dekha hai baharo me chaman ko jalte
hai koi khawaab ki taabir batane waala ?
dost bunkar bhi nahi saath nibhane wala

tum takalluf ko bhi ekhlaas samajhte ho 'sam'
dost hota nahi har haath milane waala
dost bunkar bhi nahi saath nibhane wala
wahi andaz hai zaalim ka zamane waala
dost bunkar bhi nahi saath nibhaane waala
Logged
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 8 hours and 57 minutes.

always smile

Posts: 15216
Member Since: Aug 2004


View Profile
«Reply #6 on: October 07, 2004, 12:38:29 PM »
Reply with quote
humne khawaabo ka nasheman tha sawaara apna
dil ko ghar tha banaya, ghum-e-yaara apna
kabhi weeraane me wo, bun ke bahaar aaye the
phir se weeraan hua, ab jashn-e-bahara apna
Logged
Talat
Guest
«Reply #7 on: October 07, 2004, 02:17:46 PM »
Reply with quote
bewafa bewafa nahin hota
khatm ye faasla nahin hota
kuchh to majabuuriyaan rahi hongi
yoon koi bewafa nahin hota
Logged
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 8 hours and 57 minutes.

always smile

Posts: 15216
Member Since: Aug 2004


View Profile
«Reply #8 on: October 07, 2004, 02:27:02 PM »
Reply with quote
bewafa bewafa hi hota hai
par wo bewafa hai nahi
uski thi kuch majbooriyaan
saza hum ko hai mili
Logged
Talat
Guest
«Reply #9 on: October 07, 2004, 02:29:06 PM »
Reply with quote
hain majbooriyan uski jo wo chala gaya
yoon behausla na ho wo laut aayega ek din
Logged
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 8 hours and 57 minutes.

always smile

Posts: 15216
Member Since: Aug 2004


View Profile
«Reply #10 on: October 07, 2004, 02:32:48 PM »
Reply with quote
hosla kab toota tha jo ab toote ga
aap log kyu dil ko pareshaan hai kiye
Logged
Talat
Guest
«Reply #11 on: October 07, 2004, 02:35:39 PM »
Reply with quote
hum kyon na dil apna pareshaan karen
jab dikh raha hai koi itna ghamgeen hai
Logged
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 8 hours and 57 minutes.

always smile

Posts: 15216
Member Since: Aug 2004


View Profile
«Reply #12 on: October 07, 2004, 02:38:08 PM »
Reply with quote
ghum
kise hai ghum
ghumgen nahihai hum
ab aankhen na hogi num
yaad bhi aati hai ab kum
ab na hoge koi sitam
ghum, kise hai ghum
Logged
Talat
Guest
«Reply #13 on: October 07, 2004, 02:41:03 PM »
Reply with quote
jo nahin hai gham to ye tere dil se
 kyon sada ek aati hai mujhe
gham nahin hai to dil se bhi hata is gham ko
warna yoon na ban ke dikha mujh ko
Logged
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 8 hours and 57 minutes.

always smile

Posts: 15216
Member Since: Aug 2004


View Profile
«Reply #14 on: October 07, 2004, 02:48:04 PM »
Reply with quote
main koi dikhawa nahi karta
ab main kisi ki parwa nahi karta
jo kahna hai kah dala main ne
ab main khuda se nahi darta
Logged
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 17
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 07:48:31 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.096 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer