MUJHE TERI MOHABBAT KA SAHARA MIL GAYA HOTA

by Devdas_online on April 11, 2005, 07:51:51 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 4903 times)
Devdas_online
Guest
Reply with quote
Mujhe teri mohabbat ka sahara mil gaya hota…
Mujhe teri mohabbat ka sahara mil gaya hota…

To aaj mujhe America ka green card mil gaya hota :wink:

Mujhe teri mohabbat ka sahara mil gaya hota…
Mujhe teri mohabbat ka sahara mil gaya hota…

to aaj mein do bachhon ka baap ban gaya hota :wink:
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
yaar bichhar gaya mera, sahara keise doon by shama14 in Shayri for Dard -e- Judai
MUJHE DOST TERA SAHARA NA MILA by srikant in Shayri for Khumar -e- Ishq
pyar ko dosti ka sahara mil gaya by deepika_divya in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Teri Mohabbat Ne Mujhe Gham Bahut Diye..... by Kaushal Sharma in Shayri-E-Dard
Zindagi Bhar Ka To Koi Kisi Ka Sahara Nahi Hota... by Kaushal Sharma in Shayri-E-Dard
HumTum
Guest
«Reply #1 on: April 11, 2005, 08:42:18 AM »
Reply with quote
nhi nhi aaissa nhi hai........

mujhey teri muhhobat ka shara mil gya hota
mujhey teri muhhobat ka shara mil gya hota

to mere sare sapno ka styanaash ho gya hota

mujhey teri muhhobat ka shara mil gya hota
mujhey teri muhhobat ka shara mil gya hota

to kapdey dhotey dhotey mera bura hall ho gya hota

mujhey teri muhhobat ka shara mil gya hota
mujhey teri muhhobat ka shara mil gya hota

meri sari aazadi kho gyi hoti, sara enjoyment kho gya hota....
Logged
Meena
Guest
«Reply #2 on: April 11, 2005, 03:49:01 PM »
Reply with quote
:lol:  :lol:  :lol:  :lol:  :lol:  :lol:  :lol:  :lol:  :lol:  :lol:  pagal ho tum dono  :lol:  :lol:  :lol:  :lol:
Logged
sabreena
Guest
«Reply #3 on: April 11, 2005, 05:03:34 PM »
Reply with quote
tujhey meri muhhobat ka shara mil gya hota
tujhey meri muhhobat ka shara mil gya hota,

teri zindagi ke baad tujhe jannat ka rasta mil gaya hota,

tujhe meri mohabbat ka sahara mil gaya hota,
tujhe meri mohabbat ka sahara mil gaya hota,

toh tu iss tarhan paglon jaisi batein na kerto hota,

tujhe meri mohabbat ka sahar mil gaya hota,
tujhe meri mohabbat ka sahara mil gaya hota,

toh tu ajj ksis layak na bacha hota,
barbaad kerdeti tujhko peetpeetker,
or tujhe teri zindagi ka maksad mill gaya hota...
Logged
Devdas_online
Guest
«Reply #4 on: April 12, 2005, 06:25:15 AM »
Reply with quote
Quote from: "sabreena"

tu meri parchai ko bhi nahin chu sakti, mujhe peetne ki baat karti hai,
mere gale tak tera haath pahunch nahin sakta, aur sitaron ko chune ki baat karti hai

hamari parchai hai, kyonki roshni mein rehte hain,
tu andhere mein rehti hai, teri to parchai bhi nahin
Logged
desikuri
Guest
«Reply #5 on: April 12, 2005, 08:37:51 AM »
Reply with quote
oye devdaas aisa bol raha hai ladkiyon ko... sun meri baat...

tu to ek kala saya hai
tujhe kya sawera hoga
tu to ek sada hua kela hai
tujhe kya koi faall(fruit) dega

tu to hai ek langoor
tujhe kya khilayega koi angoor
tu to hai kebab mein haddi
tujhse kaun khelega kabaddi
tu to hai ek maha paagal
tujhe kya milegi koi gazal
Logged
Devdas_online
Guest
«Reply #6 on: April 13, 2005, 05:54:44 AM »
Reply with quote
Quote from: "desikuri"
oye devdaas aisa bol raha hai ladkiyon ko... sun meri baat...

tu to ek kala saya hai
tujhe kya sawera hoga
tu to ek sada hua kela hai
tujhe kya koi faall(fruit) dega

tu to hai ek langoor
tujhe kya khilayega koi angoor
tu to hai kebab mein haddi
tujhse kaun khelega kabaddi
tu to hai ek maha paagal
tujhe kya milegi koi gazal

kala saya kehti hai
badal kale…baal kale…kishan bhagwan kale…aur kala til ladki ke gore galon ko chamka deta hai…chand mein kala daag...mujhe kala saya kehkar, meri tareef kar rahin hai ki burai??

Sada hua kehti hai
Jab ek taza cheez ko kisi sadi hui cheez ke saath rakh do to woh taza cheez bhi sad jati hai…mein taza devdas teri jaisi sadi hui ke saath rehkar sad gaya hoon.

Aur langoor bhi..
Main to tujhe langoor bhi nahin keh sakta, Hamuman Ji ka kachra ho jayega.
Logged
desikuri
Guest
«Reply #7 on: April 13, 2005, 08:06:51 AM »
Reply with quote
aisa kya kale crow

tu hai kala crow
har wakt kaw kaw karta rehta hai

tu hai bheja khane wala
tu nahin ban payega kisi ka sala

bahut dekhe hai tere jaise
tujhe nahin milenge yahan se paise

tu hai dharti par bojh
police ko hai teri khoj

tu hai chai(tea) mein padi hui makhi
jail mein pisega ab tu chakki :evil: :evil:
Logged
Devdas_online
Guest
«Reply #8 on: April 13, 2005, 08:34:08 AM »
Reply with quote
Quote from: "desikuri"
aisa kya kale crow

tu hai kala crow
har wakt kaw kaw karta rehta hai

tu hai bheja khane wala
tu nahin ban payega kisi ka sala

bahut dekhe hai tere jaise
tujhe nahin milenge yahan se paise

tu hai dharti par bojh
police ko hai teri khoj

tu hai chai(tea) mein padi hui makhi
jail mein pisega ab tu chakki :evil: :evil:

kisi kale crow ne upar se shit kar di hai, isliye pagal hai,
ghar mein bahut maar padi, isliye kafi ghayal hai

mein tujhe apni saali banaunga,
tere saath teri behan ko bhi le jaunga

woh makhi wali chai[tea] tujhe hi pilaunga,
mein teri pyas zarur bhujaunga
Logged
desikuri
Guest
«Reply #9 on: April 13, 2005, 08:49:51 AM »
Reply with quote
kaale crow ko akkal nahin aati hai
jahan dekhta hai wahan shit kar deta hai

main nahin banoongi teri saaali
na hi banne doongi apni behan ko teri gharwaali

tujhe pilaaongi main zeher
tooot padega tujh par keher
Logged
Devdas_online
Guest
«Reply #10 on: April 13, 2005, 09:04:15 AM »
Reply with quote
Quote from: "desikuri"
kaale crow ko akkal nahin aati hai
jahan dekhta hai wahan shit kar deta hai

main nahin banoongi teri saaali
na hi banne doongi apni behan ko teri gharwaali

tujhe pilaaongi main zeher
tooot padega tujh par keher

jaise kutte choron pe bhaukte hain...kala crow bhi galat logon pe shit karta hai...isliye tujh pe ki thi...magar tujhpe shit karke, uski shit ki insult ho gayi...kyonki uski shit, tere se jada saaf thi...

sanp zehar se nahin marte,
hum kisise nahin darte
Logged
desikuri
Guest
«Reply #11 on: April 13, 2005, 10:11:15 AM »
Reply with quote
hehe devdaas

shit ko maroo goli
khilaongi tujhe zeher ki goli

khud ko kehta hai saanp
aur karta hai roz ek paap
Logged
Devdas_online
Guest
«Reply #12 on: April 13, 2005, 11:00:48 AM »
Reply with quote
Quote from: "desikuri"
hehe devdaas

shit ko maroo goli
khilaongi tujhe zeher ki goli

khud ko kehta hai saanp
aur karta hai roz ek paap

aapko apna banakar ek punya karna chaha tha,
magar woh mauka bhi aapne mujhse le liya tha

socha aapko apnakar sharab chhut jayegi,
kya pata tha yeh had se bhi jada badh jayegi
Logged
desikuri
Guest
«Reply #13 on: April 13, 2005, 11:05:44 AM »
Reply with quote
tu kya mujhe apnayega
tu ab jail jayega

main koi medicin nahin hon jo mujhe apna kar sharaab chuut jayegi
ja devdaas tujhe koi aur mil jayegi
Logged
sabreena
Guest
«Reply #14 on: April 13, 2005, 12:36:05 PM »
Reply with quote
Quote from: "Devdas_online"
Quote from: "sabreena"
tujhey meri muhhobat ka shara mil gya hota
tujhey meri muhhobat ka shara mil gya hota,

teri zindagi ke baad tujhe jannat ka rasta mil gaya hota,

tujhe meri mohabbat ka sahara mil gaya hota,
tujhe meri mohabbat ka sahara mil gaya hota,

toh tu iss tarhan paglon jaisi batein na kerto hota,

tujhe meri mohabbat ka sahar mil gaya hota,
tujhe meri mohabbat ka sahara mil gaya hota,

toh tu ajj ksis layak na bacha hota,
barbaad kerdeti tujhko peetpeetker,
or tujhe teri zindagi ka maksad mill gaya hota...

tu meri parchai ko bhi nahin chu sakti, mujhe peetne ki baat karti hai,
mere gale tak tera haath pahunch nahin sakta, aur sitaron ko chune ki baat karti hai

hamari parchai hai, kyonki roshni mein rehte hain,
tu andhere mein rehti hai, teri to parchai bhi nahin

TERI PARCHAI KO CHU NAHI SAKTI ,
TERE PASS SE BAAS BAHOT AATI HAI,

TERE GALEY TAK MERA HAATH NAHI PAHOCH SATKA
KYUN KII TU RAKSHAS KI JAATI HAI,

TU ROSHNI MEIN RAHKER PARCHAI HONEY KA DAWA KERTA HAI,
ABEY BEAKAL ANDHERE MEIN  PARCHAYEE KYA TU BANATA HAI,
TU TOH SIRF DIN KI ROSHNI MEIN PARCHAYEE WALA KEHLATA HAI,
MEIN TO DIN OR RAAT {BULB KI ROSHNI YAAR}DONO WAQT HI PARCHAYEE VALI KAHLATI HUN

 {bin paro ke devdaas ja kha ke aa tu nakli ghaas}
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 09:54:30 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.107 seconds with 20 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer