Patang meri kat ke mujhe ek sandesha mano koi de gayee

by prashad on January 17, 2013, 09:31:54 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1150 times)
prashad
Guest
Reply with quote
Humne jab makar ke din chhat par patang urayee
Anjane hi paros ki chhat pe haseena se najar takrayee

Vo kamsin bala bhi patang ura machal rahi thhi
Mujh bechare pe bijli mano giraye ja rahi thhi

Kabhi patang ko dheel deti toh kabhi dor kheenchti
Kabhi kissi ki patang kat ti to khushi se jhoom jati

Duniya se bekhabar aanchal hava mein lehra raha thha
Julphe mathe pe aise chha rahi thhi mano ban ke ghata

Aasman ko takti aur phir jor se ye kata chhillati
Suraj ke prakash mein galo ki lalima aur badh jati

Kabhi hasti aur kabhi gunguna ke khamosh si ho jati
Patang na kat jaye usski achanak dar ke simat si jati

Hum bhi patang ura rahe thhe aur kankhiyo se ussko takte
Aur phir achanak muskura ke patang urrane mein mast ho jate

Achanak usski patang ki dor meri patang se lipat gayee
Lekin ye kya meri patang bhi usski jaise deewani ho gayee

Lakh chahne par bhi meri patang usski dor se alag na hoti thhi
Lagta thha mano patang bhi usske sath ke ehsas se romanchit thhi

Tabhi meri patang usski dor se lipat mujh se alag ho gayee
Patang meri kat ke mujhe ek sandesha mano koi de gayee

Usski khushi chehre se usske iss terah jhalakti thhi yaro
Patang urrane ka anand hi kuchh aur thha aaj ke din yaro

Humari patang kat gayee phir bhi ab mayus na thhe hum
Harne ke baad bhi jeete huye se lag rahe thhe yaro hum  

Logged
prashad
Guest
«Reply #1 on: January 17, 2013, 09:33:08 AM »

sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011

View Profile
«Reply #2 on: January 17, 2013, 09:54:35 AM »
Reply with quote
waah waah bahut khoob patang udaai
Logged
azad mishra
Guest
«Reply #3 on: January 17, 2013, 11:00:30 AM »
Reply with quote
haha very nice prasadji
Logged
prashad
Guest
«Reply #4 on: January 18, 2013, 02:55:34 AM »
Reply with quote
haha very nice prasadji
thanx azad ji
Logged
prashad
Guest
«Reply #5 on: January 18, 2013, 03:09:54 AM »
Reply with quote
waah waah bahut khoob patang udaai
thanx saini ji
Logged
saahill
Mashhur Shayar
***

Rau: 86
Offline Offline

Waqt Bitaya:
147 days, 17 hours and 51 minutes.
Posts: 18610
Member Since: Jun 2009

View Profile
«Reply #6 on: January 18, 2013, 03:54:45 AM »
Reply with quote
WAH WAH WAH PRASHAD JI BOHUT KHUB PATANG URHAA RAHE THEY YAAN HASEENA SE PECH LARHA RAHE THEY
Logged
prashad
Guest
«Reply #7 on: January 18, 2013, 07:05:32 AM »
Reply with quote
WAH WAH WAH PRASHAD JI BOHUT KHUB PATANG URHAA RAHE THEY YAAN HASEENA SE PECH LARHA RAHE THEY
thanx saahill ji, ek panth do kaj kar rahe thhe
Logged
nandbahu
Mashhur Shayar
***

Rau: 122
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
20 days, 4 hours and 11 minutes.
Posts: 14553
Member Since: Sep 2011

View Profile
«Reply #8 on: January 19, 2013, 01:50:40 AM »
Reply with quote
wah wah, kya patang urayee aapne
Logged
prashad
Guest
«Reply #9 on: January 21, 2013, 05:11:57 AM »
Reply with quote
wah wah, kya patang urayee aapne
thanx nandbahu ji
Logged
suman59
Guest
«Reply #10 on: January 21, 2013, 06:33:08 AM »
Reply with quote
bahut khoob udaya patang aapne. bahut bahut khoob  Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Tuhina
Guest
«Reply #11 on: January 25, 2013, 03:58:29 AM »
Reply with quote
Bahut  khoob  prashad ji ,  bahut    khoob  likha  hai  apne ,  dheron    daad ....
Logged
prashad
Guest
«Reply #12 on: January 25, 2013, 12:28:09 PM »
Reply with quote
bahut khoob udaya patang aapne. bahut bahut khoob  Clapping Smiley Clapping Smiley
thanx suman ji
Logged
prashad
Guest
«Reply #13 on: January 25, 2013, 12:28:31 PM »
Reply with quote
Bahut  khoob  prashad ji ,  bahut    khoob  likha  hai  apne ,  dheron    daad ....
thanx tuhina ji
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 05:39:54 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.108 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer