yeh Kalaam Black Humour Ki Bhawanayon Par based Hai..
Roz-Aana Zindagi Mein Hum Kya Kya Dekhte Hai
Aur Aajkal Kya Chal raha Hai,
Uss Thought Ko Lekar Kuch Likh Raha Hoon..
darasal Main Aaj Jab Ghar Se Office Ke Liye Nikal Raha Tha,
To jis Road se Roz-aana Guzarta Hoon Wahaan Ek Morcha Chal raha Tha,
Haathon Mein Log Placards Pakde Hue The, Jisme Likha Tha
"We Want Justice, Humein Insaaf Chahiye.."
Logon Ki Bheed Mein Traffic Jam Se Guzarte Waqt Main Soch Raha Tha
Ke Kisi Se Puchu Ke Itni Bheed Kyon Jami Hai,
Uss Morche mein Shaamil Ek Bande Se Puch Baitha Ke
"Aakhir Aap LogoN Ki Maang Kya Hai??
uska jawaab Mujhe Bahut Hassa Gaya,usne Kaha..
"Pata Nahi Kya Hai Par Saab Ne Kahaa Hai ,
"Morche Mein Hissa Lo,Ek Plate Biryani Aur 100 Rupaye Milenge"
Hai Paiso Ka Zor, Zamana Rishwat Ka
Charcha Chaaro Ore, Zamana Rishwat Ka
Chilla Rahe Hai Log "Insaaf Chahiye" Par kisse??
Bin Baadal Ab Naache Mor, Zamana Rishwat Ka
Police Ko Thaane Mein Khud Aakar Daante Chor
Har Taraf Sirf Shor Hi Shor, Zamana Rishwat ka
School Mein Admission karana Hai,Hospital mein Ilaaj
Har Jagah Hai Paiso Ka Zor, Zamana Rishwat Ka
Mantri Ji De Baashan Pe Baashan,Naa Roti Na Raashan
Bechahra Gareeb Hai Kamzor, Zamana Rishwat Ka
Lakhpati Crorepati Banne, Crorepati Arabpati Banne.!!
Sab Mil Jaaye Par Abhi Dil Maange More,Zamana Rishwat Ka
Mehnat majdoor Ki Ghar Aalishaan Ameer Ka
Ho Varsha Bas Ghanghor, Zamaana Rishwat Ka
Uss Patang Ko Kaato Jo Auron Ko Humesha kaate
"Khwaish" Apne Haath Mein Bhi Dor,Zamana Rishwat Ka
~~~~~Khwaish~~~~~
VERIIIIIIIIIIIIIIIIIIIIII NAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAICE 1-RAU