ik ajab soorat-e-haal hey aajkal
paas bhangi key bhi maal hey aajkal
jis ki aawaz sey kaan phatney lageiN
yehi maiyar-e-sur taal hey aajkal
aisi roshan khiali nahi chahiye
mehngi jis sey hui daal hey aajkal
yon to jeetey hein apne watan mein sabhi
sirf khushion ka kuch kaal hey aajkal
meri qismet ko kis ki nazar lag gayee
aaeeney mein para baal hey aajkal
chand isko kahoon ya sitara kahoon
khaal-e-laila tera khaal hey aajkal
aasman per samandar mein aur khushki per
bul-hawassi ka hi jaal hey aajkal !
KYA BAAT HAI MAZHUR JI...
IK AJAB SOORAT-E-HAAL HAI AAJ KAL,PAAS BHANGI KE BHI MAAL HAI AAJ KAL,
AFSOS KI BAAT HAI IS ZAMAANE MEIN BHI LOGON KE AESE KHAYALAT HAI AAJ KAL.
JISKI AAWAZ SE KAAN PHATNEY LAGEN,YEH MAIYAR-E-SUR TAAL HAI AAJ KAL,
BAHUT HI PURANE KABARD HO,KYUN KHULE RAKHE HAI KAAN AAJ KAL.
AESI ROSHAN KHIALI NAHIN CHAHIYE,MAHENGI JISEY HUI DAAL HAI AAJ KAL,
AESE BHI KHIALI PAKWAN KYUN SOCHTE HO,KI TAKE-AANE SER DAAL MILE AAJ KAL.
YUN TO JEETEY HAI APNE WATAN MEIN SABHI,SIRF KHUSHIYON KA KUCH KAAL HAI AAJKAL,
HAR HAAL MEIN JEEO AAJ KE LIYE,KAL KI KOUN SOCHTA HAI AAJKAL.
MERI QISMAT KO KISI KI NAZAR LAG GAYI,AAEENEY MEIN PARA BAAL HAI AAJKAL,
TERI HI NAZAR TUJHKO LAG GAYI,AAEENEY MEIN PARA HAI KISI BOOTNI KA BAAL AAJ KAL.
CHAND ISKO KAHUN YAAN SITARA KAHUN,KHAAL-E-LAILA TERA KHAAL HAI AAJ KAL,
KYA FARAK PARTA HAI BIWI KAHO YAAN BAJUWALI KAHO,JAB TUMHE DIKHTA HAI SAB LAILA KI KHAAL AAJ KAL.
AASMAN PER SAMUNDAR MEIN AUR KHUSHKI PAR,BUL HAWASSI KA HI JAAL HAI AAJ KAL,
TERA KASOOR NAHIN HAI,YEH TERI KHARAB NAZRON KA KHAYAL HAI AAJ KAL.