Qais
Guest
|
|
|
( in Continuation of Salaam - Namastay ) ........................................
Agle din .... Gali se guzar hua eik boodhi amma ka , shauq hua hamain Namastay kahne ka
Daur ke gaya aur bola , Amma ji Namastay , Khafa ho gayeen , boleen " chala ja apne rastay "
"Khoon na mera yoon khaula , Khabardaar jo aage se Amma bola"
"Do chaar baal safed hain to kya , .. abhi kunwaari hoon main Apne maan bap ko pyaari hoon main"
"Amma hogi teri Amma sunlay , Bhaag warna maaroongi gumma sunlay"
Ghar gaya , bataya Ammi se sara Qissa , Woh ho gayeen ulte mujh per ghussa
Boleen , "Gali gali mein phir rahi hain kya amma teri , Abbu ne shuru kar di kya phir Hera - pheri "
Daant khha ke aata hai , kya hua teri ghairat ko , Aage se Namastay na karna kisi aurat ko
Kuchh din baad mil gaye eik sajjan...
Kah diya unhein Pranaam Mama , Bus itne pe kar diya Hungama
Bole kaise tuu ne kaha mujhe Mama , Aadmi hai ya paijaama
Kis rishte se main tera mama lagta hoon , Kya tere baap ka saala lagta hoon
Phir agar kiya aise Pranaam , Bahut bura hoga tera Anjaam
Maar ke teri khaal mein bhuss bhar doonga, Saari shrarat phuss kar doonga
Abbu ko bataya to bole , Aajkal Uncle bola jata hai , Maama Chaacha dono mein chal jaata hai
Main socha abb izzat aur na kharaab karoonga , Agle ko Uncle kah kar hi Adaab karoonga
Agle din nikle Banwari uncle , Saath nein thha unnke Twinkle
Main bola Uncle Adaab , Bahut din baad nikle aap
Taali baja kar bole Haai - Haai , Main kidhar se tujhe uncle dikhta hai
Aunty kahte sharm aati hai kya , Bula ghar mein Bhabhi hai kya
Kub paida hua tu hameinn pata ich naee chala ' abhi tak tere paida hone ka inaam naee mila
Main daur kar abbu ko bula kar laaye , Woh baahar aaye , khoob samjhaaye
magar 500 ka note dena itch pade ' Baad mei hum per khoob joote pade
Soch liye hum abb Zindagi mein Aur na Ullu baneinge, Aage say , Hi , Hello hi kiya kareinge
|