sar say kam ho gaya balon ka wabaal acha hai

by shafqatullah on November 16, 2008, 02:54:58 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1201 times)
shafqatullah
Guest
Reply with quote
sar say kam ho gaya balon ka wabaal acha hai
runuma honay laga rukh pay jalaal acha hai

jo hamain bakhsha hai qudrat nay kamaal acha hai
raas ayengay mujhay topi roomaal acha hai

ek muddat say rahay hain ye meray sar pay sawar
sar charhi cheez pay aaya hai zawaal acha hai

ab kinaron pay nazer aatay hain sarhad ki tarah
or kuch rooz rahengay ye bahaal acha hai

iis say pehlay k ye aasaar-e-qadeema hojayen
iis ujarti hui kheti ko sambhaal acha hai

hamnawa kehtay hain ab sar ko meray chikna ghada
baat achi nahin andaaz-e-misaal acha hai

hai Ghanimat k salamat hai hamari darhhi
iis Khabar say meray hajjam ka haal acha hai

ye burhhapay ka aqeeqa hai faqat farq ye hai
iis main kartay nahin bakray ko halaal acha hai

aaina dekhoon to hoti hai tabiyaat bhari
rukhsat-e-baal pay thora sa malaal acha hai

jab koi poochhta hai baal k jhrhnay ka ilaaj
sar khuja kar main ye kehta hoon sawaal acha hai
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Acha tha by muneeb in Shayri-E-Dard
2004 , GUZAR GAYA ! KISI KA KIA GAYA , OR KISI KA KIA GAYA ? by SADIQA JAWED in Shairi - E - Zindagi
Acha Hoa.... by Qutubuddin in Ghazals
Banke Gajra Tere Balon May... by Iqtedar in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 3  All »
BaloN ko tu sanwar --- Kumaar by kumaar in Shayri for Khumar -e- Ishq
shafqatullah
Guest
«Reply #1 on: November 16, 2008, 03:01:40 PM »
Reply with quote
aashiq jo chahte they wohii kaam ho gaya
kil-kil se roz-roz ki, aaraam ho gaya
kahne lagii haiN jabse ghazal aourteiN janab
mardoN se guftagoo ka ghazal naam ho gaya


hamaari biiwii yah boliiN hamare bachchoN se
tumharey paapaa gham-e-alfiraq de deiN ge
woh jab bhi kahte haiN ghar ko banooNga jannat
maiN sochti hooN mujhe woh talaq de deiN ge


dhooNda bahot janab na wahdaaniyat milii
insaN mile hazaar, na insaniyat milii
har shaiy meiN ekhtelaaf mila aapki qasam
bas ''railway'' ki chaaye meiN yaksaniyat mili
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #2 on: November 17, 2008, 11:46:02 AM »
Reply with quote
Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard dono hi pesh kash bohat achchi thi shafqatullah jis tarah kudrat ne tumhare baal nikal ke rakh diye usi tarah tumne apna dil nikal ke rakh diya  Giggle waise muje yeh line bohat achchi lagi "Main sochti hu muje woh talak de dege"  DOH Laughing hard Laughing hard  Applause Applause khushi aur hasi dene ka bohat shukriya

itne diye khuda ne baal hame ke ab yeh aalam hain
biwi ki zulfo me hum nahi hamari zulfo me biwi ulajh jati hain
aur kabhi kabhi peeche se bina mera muh dekhe
meri beti muje abba ki jagah ammi kehke bulati hain

                                    -sg-
Logged
Pooja
Guest
«Reply #3 on: November 17, 2008, 06:03:47 PM »
Reply with quote
nice sharing shafqatullah
nice lines SG
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #4 on: November 18, 2008, 01:06:43 PM »
Reply with quote
thanks pooja
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #5 on: April 29, 2009, 10:25:31 AM »
Reply with quote
 Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard
bahoot hi shandaar likha hai shafq ....funny me itni behtreen rachna...aur koi response nahi.....mai to khud kaafi der se aaya mafi chahta hun......par aapki rachna ne itna gudgudaya mujhe ki ki laga dere aaye durust aaye...bahoot achche janab....maza aa gaya..
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 28, 2025, 02:32:59 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.098 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer