Shayari ka jawab Shayari

by panks on January 23, 2012, 09:31:20 AM
Pages: [1] 2 3 4 5
ReplyPrint
Author  (Read 20006 times)
panks
Guest
Reply with quote
Aaj shayari padhte padhte ye khayal aaya
koi jawab me tareef kare, koi padh ke bas muskuraya..

jisne pehle post likhi, uski shayari ko aapne sehraya,
par kissi ne apna jawab shayari mei nahi farmaya..

ye post meine issi liye likhi ki, jawab mei be shayari dalo
jaisi aaye vaisi likh dalo.. funny likho use or post kar dalo..

dekhe kitna aage hum ye fasaana le k jaate hai
aur dekhe kitne "SHAYAR" yahan aate hai..

maine kari ye shuruaat hai..
28 dec 2012, jumme ki raat hai..

 happy3 drunken_smilie happy3

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
shayari ( SMS ) by zindagi_kal_ho_na_ho in SMS , mobile & JOKES
shayari-e-wwe by nishita in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2 ... 5 6 »
Shayari (sms) by CreativeIllusion in SMS , mobile & JOKES
shayari by nishapoddar in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
New Shayari .... by saadusmani4u in SMS , mobile & JOKES
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #1 on: January 23, 2012, 09:34:15 AM »
Reply with quote
 Applause Applause
Logged
panks
Guest
«Reply #2 on: January 23, 2012, 09:37:15 AM »
Reply with quote
@ sksaini..

Aapne tali khoob bajai..
par lagta hai, hamari request samaj nahi aayi..

humne tareef nahi, jawab mei jawab manga hai
ye shayari hai miya, na ki koi tanga hai..
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #3 on: January 23, 2012, 09:42:57 AM »
Reply with quote
Waah Kya kehne Aap Ke Pank ji
Aap Bahoot Dino Baad Nazar Aaye

Aap ki Shayari Ke bina Yahan ke
Kuch Phool The Murjaaye Murjaaye

Aa Gai dekho Yahan Bahaar fir se
Hum hai tyaar, Jara aap b Farmaaye !!


Nysha[/b]
Logged
panks
Guest
«Reply #4 on: January 23, 2012, 09:48:53 AM »
Reply with quote
dhanyavad, shukriya aur thank you
nysha ji, ab laut aaye hai hum.. leke turn U

bahut rahe juda ho kar hum, YO se
phir aave hai milen sabse, is-se us-se aur tose..
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #5 on: January 23, 2012, 09:54:48 AM »
Reply with quote
Hahahha

Humne Kabhi Na Socha tha
Aap itne Mazakiyaan Honge

Dard Se hatkar aap Mazakiyan
Shayari ke Yuhn Shokiyan honge

Suna hai thode Nakrebaaz hai
Raaz aaple bhi Khufiyaan Honge !!  tongue3


Nysha



Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #6 on: January 23, 2012, 10:02:00 AM »
Reply with quote
Panks ji jab se yo india par aayaa hoon 150 se zyyaadaa muqammal ghazalen de chukaa hoon jo kee aapke taange ke laayaq to shaayad n hon par logon ne mujhe bahut pyaar diyaa hai aur haan chaahe jiskee jaisee rachnaa ho main response zaroor kartaa hoon.adab ke qaayde ko pooraa nibhaataa hoon ummeed hai ki kabhee apne qeemtee vaqt se chand pal khaaksaar ke liye bhee nikaale.aur haan saturday sundey yaa holiday chhod kar roz kam se kam ek ghazal post kartaa hoon.
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #7 on: January 23, 2012, 10:12:32 AM »
Reply with quote
SHER  KA  PHOTO  DIKHA  TUM  JO  DARAATE  HO  HAMEIN
APNI  HUM  JAAN  BACHAAYEIN  KI  KOI  SHER  KAHEIN
Logged
khujli
Guest
«Reply #8 on: January 23, 2012, 10:18:37 AM »
Reply with quote
SHER  KA  PHOTO  DIKHA  TUM  JO  DARAATE  HO  HAMEIN
APNI  HUM  JAAN  BACHAAYEIN  KI  KOI  SHER  KAHEIN



 Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard
Logged
khujli
Guest
«Reply #9 on: January 23, 2012, 10:22:59 AM »
Reply with quote
Panks ji jab se yo india par aayaa hoon 150 se zyyaadaa muqammal ghazalen de chukaa hoon jo kee aapke taange ke laayaq to shaayad n hon par logon ne mujhe bahut pyaar diyaa hai aur haan chaahe jiskee jaisee rachnaa ho main response zaroor kartaa hoon.adab ke qaayde ko pooraa nibhaataa hoon ummeed hai ki kabhee apne qeemtee vaqt se chand pal khaaksaar ke liye bhee nikaale.aur haan saturday sundey yaa holiday chhod kar roz kam se kam ek ghazal post kartaa hoon.


 Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP
Logged
khujli
Guest
«Reply #10 on: January 23, 2012, 10:33:08 AM »
Reply with quote
Aaj shayari padhte padhte ye khayal aaya
koi jawab me tareef kare, koi padh ke bas muskuraya..

jisne pehle post likhi, uski shayari ko aapne sehraya,
par kissi ne apna jawab shayari mei nahi farmaya..

ye post meine issi liye likhi ki, jawab mei be shayari dalo
jaisi aaye vaisi likh dalo.. funny likho use or post kar dalo..

dekhe kitna aage hum ye fasaana le k jaate hai
aur dekhe kitne "SHAYAR" yahan aate hai.
.

maine kari ye shuruaat hai..
28 dec 2012, jumme ki raat hai..

 happy3 drunken_smilie happy3


 

                        fasaana toh ta-qayaamat khatam na hoga.
                        hogee jab-jab tauheen mohabbat kee
                        yahaan ek shaayar paida hoga...........!!


                            

            
Logged
sarfira
Guest
«Reply #11 on: January 23, 2012, 10:44:46 AM »
Reply with quote
Panks sahab aapne aaj hume hai uksaaya
oosak jate hain hum--
jub kabbhi Yoindia Shayariadab par funnila mausam aaya

jawaabi shayri ki aap krte ho demaand yhan mgr
hume to har ek ne hai ik isi baat ke lie tadpaaya

lobhee hain yahan kuch log bhaya
ghis gaye joote paaon ke isi kosis me lekin--
mazaal hai kisi ki jo ek ne bhi muskaaya

udd gaye tote mere wajood ke chillar ban jaane kahan
dekhadekhi me janaab aajkal hume bhi hai sanzeedgi apnaaya!!!!
Logged
panks
Guest
«Reply #12 on: January 23, 2012, 10:49:09 AM »
Reply with quote
@ qalb
Shayar ka janam hua to he shayari bani hai
kuch nakal ki shakl mei to kuch mei di akal hai..

aap ki shayari bhi akl category mei aa k LAND (zameen) hui hai
kya kare talwaar wahan jahan kaam aaye sui hai..
Logged
Mohammad Touhid
Umda Shayar
*

Rau: 35
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
38 days, 12 hours and 35 minutes.

'I' 'Luv' d Way 'U' 'Forget' Me..!.!

Posts: 7160
Member Since: Aug 2009


View Profile
«Reply #13 on: January 23, 2012, 10:53:08 AM »
Reply with quote
 

                        fasaana toh ta-qayaamat khatam na hoga.
                        hogee jab-jab tauheen mohabbat kee
                        yahaan ek shaayar paida hoga...........!!


                            

            

kya baat hai qalb sahab wah, masha allah...
mohabbat ki hai sachi misal ye, subhan allah... Usual Smile
Logged
khujli
Guest
«Reply #14 on: January 23, 2012, 10:53:41 AM »
Reply with quote
@ qalb
Shayar ka janam hua to he shayari bani hai
kuch nakal ki shakl mei to kuch mei di akal hai..

aap ki shayari bhi akl category mei aa k LAND (zameen) hui hai
kya kare talwaar wahan jahan kaam aaye sui hai..

                     apni akal ka kisi ko imtehaan nahin dete.
                     sui aur talwaar ke liye jaan nahin dete.
Logged
Pages: [1] 2 3 4 5
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 09, 2024, 01:31:26 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.127 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer