yeh kha ke hai dosti ke bane hai dost hi naseeha
yeh kha ke hai dosti ke bane hai dost hi naseeha
waseey sashe tune bahut shi post hai kiya :thumb:
OHMYGOD! Humtum Ji I've been looking for this Kalaam since ages... its sung by Begum Akhtak isnt it? Do you hav the complete work? Or the title of this kalaam so I can look for it online... This is one of my very favorites!
Thanks
Sashe75
dis kalaam is wriiten by Mirza ghalib .. here is all the kalaam !!
ye na thee hamaaree qismat ke wisaal-e-yaar hota
agar aur jeete rehte yahee intezaar hota
tere waade par jiye ham to ye jaan jhooT jaanaa
ke KHushee se mar na jaate agar 'eitabaar hota
teree naazukee se jaana ki bandha tha 'ehed_booda
kabhee too na toD sakta agar oostuwaar hota
koee mere dil se pooche tere teer-e-neemkash ko
ye KHalish kahaaN se hotee jo jigar ke paar hota
ye kahaaN ki dostee hai ke bane haiN dost naaseh
koee chaarasaaz hota, koee GHamgusaar hota
rag-e-sang se Tapakta wo lahoo ki fir na thamta
jise GHam samajh rahe ho, ye agar sharaar hota
GHam agarche jaaN_gulis hai, pe kahaaN bachaiN ke dil hai
GHam-e-ishq gar na hota, GHam-e-rozgaar hota
kahooN kis se maiN ke kya hai, shab-e-GHam buree bala hai
mujhe kya bura tha marna ? agar ek baar hota
hue mar ke ham jo ruswa, hue kyoN na GHarq-e-dariya
na kabhee janaaza uThata, na kaheeN mazaar hota !!!
n yes it's sung by begum aktaar n u can find it at smashhits.com ( I guess )
:thumb:
use; kauN dekh sakta ki yagaana hai wo yaktaa
jo dooee ki boo bhee hotee to kaheeN do chaar hota
ye masaail-e-tasawwuf, ye tera bayaaN 'GHalib' !
tujhe ham walee samajhate, jo na baada_KHwaar hota