Ulta pulta maal thok me baNt rahaa hai!

by shara63 on February 04, 2013, 06:57:45 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1992 times)
shara63
Guest
Reply with quote
Ye kalyug hai bhaiyaa, kya hum bataaeN
anginat sifaat haiN iski, kitni ginaaeN ?

Is yug me kyaa kuchh nahee ghat rahaa hai,
ultaa pultaa maal thok me butt rahaa hai
Is yug me achambe tamaam hote dekhaa hai,
pahle jo nahee hua, voh kaam hote dekha hai !

YahaaN bekaari ko parwaan chadhte dekha hai
bechaari mehnat ko nakaam  girte dekha hai
Chhote se kaam ko hairaan hote dekhaa hai
aur chutki me bade bade kaam hote dekha hai !

Yahaan bhaai-bhaai ki pehchaan khote dekha hai
baat baat par ghamaasaan hote dekha hai
GharoN ko shamshaan hote  dekha hai
basi basaayi basti ko veeran hote dekha hai !

Yahaan zarre ko aasmaan hote dekha hai
naacheez ko mahaan hote dekha hai
eemaan ko beimaan hote dekhaa hai
aur insaan ko haiwaan hote dekhaa hai !

Yahaan saadhoo ko  shaitaan hote dekhaa hai
achchhoN ko badnaam hote dekhaa hai
BewaqoofoN ka samman hote dekhaa hai
gadhe ko pahalwaan hote dekha hai!

aur ab yaheen khatm karti hooN, mujhe muaaf karen,varna
kai shaayaroN ko yaheeN par qurbaan hote dekhaa hai !!
........'ainy'

Note : kaafi dino se idhar mahaul kuchh bojhil sa tha isliye soch ke kuchh halka phulka ho jae...bus padhiye aur lutf lijiye !
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
ulta latka doonga by desikuri in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2  All »
ultta-pulta by aryan_mantri in Shayri-E-Dard
*~*Jo Pyar Bant.ta Hai*~* by Roja in Miscellaneous Shayri
kuch ulta pulta kartey hain by saahill in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2  All »
Yaadon se maal-maal ho gaye... .. . /annu/ by annu_genis in Shairy-e-Dost (Friendship Poetry)
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #1 on: February 04, 2013, 07:09:05 AM »
Reply with quote
waah waah bahut khoob dheron daad qubool karen
Logged
sarfira
Guest
«Reply #2 on: February 04, 2013, 08:30:24 AM »
Reply with quote
lo ji hum ho gaye halka fulka
coz
humne yahan dimaagwalon ko ullu ka damaad hote dekha hai
Deh par bina Ghaav ke Mavaad hote dekha hai
tongue3
mast wala aur ekdum sach likha h aapne

daad daad daad
khus rahe
muskurate rahen
Logged
Aarish
Guest
«Reply #3 on: February 04, 2013, 09:24:46 AM »
Reply with quote
bohut khoob shara jee umda peshkash rahi daad qubool karen
Logged
shara63
Guest
«Reply #4 on: February 04, 2013, 10:02:34 AM »
Reply with quote
bahut shukria saini sb!
Logged
shara63
Guest
«Reply #5 on: February 04, 2013, 10:07:56 AM »
Reply with quote
Sarfira ji, lagta hai aap to kaafi zyadah halka mehsoos kar rahe hain...saath me jo boom rang uchhal hai..voh kaafi damdaar hai..daad3 ke liye bahut3 shukria aapkaa!
Logged
shara63
Guest
«Reply #6 on: February 04, 2013, 10:11:07 AM »
Reply with quote
behad shukria Aarish sb !
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #7 on: February 04, 2013, 10:13:38 AM »
Reply with quote
Ainy Jee Aadaab..!


Kia baat hai jee behad sahiN farmaayaa aapne... achchi kalaam rahi hai..
Bade hi tez aur khoob khayaal rahe.. Usual Smile

Humari dheroN dili daad O mubbarakbad kabul kijiye...

Likhati rahiye... aati rahiye...
Shaad O aabaad rahiye..

Khuda Hafez.. Usual Smile
Logged
nandbahu
Mashhur Shayar
***

Rau: 122
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
20 days, 4 hours and 11 minutes.
Posts: 14553
Member Since: Sep 2011


View Profile
«Reply #8 on: February 04, 2013, 11:16:57 AM »
Reply with quote
bahut khoob
Logged
shara63
Guest
«Reply #9 on: February 04, 2013, 11:22:04 AM »
Reply with quote
adaab Parwaaz sb, halka phulka aapko pasand aaya iske liye apka bahut bahut shukria!
Logged
shara63
Guest
«Reply #10 on: February 04, 2013, 11:22:33 AM »
Reply with quote
Shukria nand ji!
Logged
sahal
Umda Shayar
*

Rau: 109
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
47 days, 3 hours and 51 minutes.

love is in the Air,but CuPiD is alone here.

Posts: 4410
Member Since: Sep 2012


View Profile WWW
«Reply #11 on: February 04, 2013, 12:38:17 PM »
Reply with quote
Ye kalyug hai bhaiyaa, kya hum bataaeN
anginat sifaat haiN iski, kitni ginaaeN ?

Is yug me kyaa kuchh nahee ghat rahaa hai,
ultaa pultaa maal thok me butt rahaa hai
Is yug me achambe tamaam hote dekhaa hai,
pahle jo nahee hua, voh kaam hote dekha hai !

YahaaN bekaari ko parwaan chadhte dekha hai
bechaari mehnat ko nakaam  girte dekha hai
Chhote se kaam ko hairaan hote dekhaa hai
aur chutki me bade bade kaam hote dekha hai !

Yahaan bhaai-bhaai ki pehchaan khote dekha hai
baat baat par ghamaasaan hote dekha hai
GharoN ko shamshaan hote  dekha hai
basi basaayi basti ko veeran hote dekha hai !

Yahaan zarre ko aasmaan hote dekha hai
naacheez ko mahaan hote dekha hai
eemaan ko beimaan hote dekhaa hai
aur insaan ko haiwaan hote dekhaa hai !

Yahaan saadhoo ko  shaitaan hote dekhaa hai
achchhoN ko badnaam hote dekhaa hai
BewaqoofoN ka samman hote dekhaa hai
gadhe ko pahalwaan hote dekha hai!

aur ab yaheen khatm karti hooN, mujhe muaaf karen,varna
kai shaayaroN ko yaheeN par qurbaan hote dekhaa hai !!
........'ainy'

Note : kaafi dino se idhar mahaul kuchh bojhil sa tha isliye soch ke kuchh halka phulka ho jae...bus padhiye aur lutf lijiye !
waah waah ...kitna kuch suna diya ,shara ji,,,
tanziya shayeri mazedaar rahi,,,mashallah..
ApplauseApplauseApplauseApplauseApplauseApplauseApplause
ApplauseApplauseApplauseApplauseApplauseApplauseApplause
Logged
aqsh
Guest
«Reply #12 on: February 04, 2013, 03:09:30 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Waaaaah! shara jee bahut khoob aapne likha hai. ek lajawab peshkash. dheron daad
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #13 on: February 04, 2013, 04:27:19 PM »
Reply with quote
Behtareen Shara Jee, qaabil-e-taa'reef. Bahut pasand aayi ye kalaam. Bahut bahut mubarakbaad aur ek Rau bhi meri taraf se qubool kareiN.
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #14 on: February 05, 2013, 02:30:42 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 12, 2024, 07:45:48 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.131 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer