Aah Ko Chahiye Ik Umr Asar Hone Tak

by BOZDARJAAN on November 19, 2011, 08:43:25 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 5102 times)
BOZDARJAAN
Guest
Reply with quote
Aah Ko Chahiye Ik Umr Asar Hone Tak
Kaun Jeeta Hai Teri Zulf Ke Sar Hone Tak

Daam Har Mauj Main Hai Halqa-E-Sadkaam-E-Nahang
Dekhe Kya Guzre Hai Qatre Pe Gauhar Hone Tak

Aashiqi Sabr-Talab Aur Tamanna Betaab
Dil Ka Kya Rang Karun Khoon-E-Jigar Hone Tak

Ham Ne Maana Ke Tagaaful Na Karoge Lekin
Khaak Ho Jaayenge Ham Tum Ko Khabar Hone Tak

Partav-E-Khoor Se Hai Shabnam Ko Fanaa Ki Taalim
Main Bhi Hoon Ek Inaayat Ki Nazar Hone Tak

Yak Nazar Besh Nahin Fursat-E-Hasti Gaafil
Garmi-E-Bazm Hai Ik Raqs-E-Sharar Hone Tak

Gam-E-Hasti Ka ‘Asad’ Kis Se Ho Juz Marg Ilaaj
Shamma Har Rang Main Jalti Hai Sahar Hone Tak
Logged
BOZDARJAAN
Guest
«Reply #1 on: November 19, 2011, 08:43:53 AM »
Reply with quote
Aaina Kyun Na Dun Ke Tamaasha Kahen Jise
Aisa Kahaan Se Laaun Ke Tujhsa Kahen Jise

Hasrat Ne Laa Rakha Teri Bazm-E-Khayaal Main
Guldastaa-E-Nigaah Suvedaa Kahen Jise

Phoonka Hai Kisne Goshe Mohabbat Main Ai Khuda
Afasun-E-Intazaar Tamanna Kahen Jise

Sar Par Hujoom-E-Dard-E-Gareebi Se Daliye
Wo Ek Musht-E-Khaak Ke Sahra Kahen Jise

Hai Chashm-E-Tar Main Hasrat-E-Deedar Se Nihaan
Shauq-E-Inaa Gusekhta Dariya Kahen Jise

Darkaar Hai Shiguftan-E-Gul Haaye Aish Ko
Subh-E-Bahaar Panbaa-E-Meena Kahen Jise

“Ghalib” Bura Na Maan Jo Vaaiz Bura Kahe
Aisa Bhi Koi Hai Ke Sab Achcha Kahen Jise
Logged
BOZDARJAAN
Guest
«Reply #2 on: November 19, 2011, 08:44:29 AM »
Reply with quote
Aamad-E-Khat Se Hua Hai Sard Jo Bazaar-E-Dost
Dud-E-Shama-E-Kushta Tha Shaayad Khat-E-Rukhsaar-E-Dost

Ai Dil Naa-Aaqabat Andesh Zabt-E-Shauq Kar
Kaun La Sakta Hai Taab-E-Jalwa-E-Deedar-E-Dost

Khana Viransaazi-E-Hairat Tamasha Kijiye
Surat-E-Naqsh-E-Qadam Hoon Rafta-E-Raftaar-E-Dost

Ishq Main Bedaad-E-Rashq-E-Gair Ne Maara Mujhe
Kushta-E-Dushman Hoon Aakhir Garche Tha Beemaar-E-Dost

Chashm-E-May Roshan Ke Us Bedard Ka Dil Shaad Hai
Deeda-E-Pur-Khoon Hamaara Saagar-E-Sar-Shaar-E-Dost
Logged
injured.warrior
Guest
«Reply #3 on: November 19, 2011, 11:27:04 AM »
Reply with quote
bahut acche bahut umda hai sabhi peshkash Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
mazHur
Guest
«Reply #4 on: November 20, 2011, 08:58:36 PM »
Reply with quote
beautiful!
Logged
ratinvirgo
Guest
«Reply #5 on: December 18, 2011, 05:09:09 PM »
Reply with quote
Ghalib ka khayal...subah-n-allah... notworthy
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 02:37:16 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.122 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer