1984 Ek Dard Ka Samundar Hai ...."Khwahish"

by khwaish on May 06, 2013, 08:54:24 PM
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Author  (Read 4168 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #15 on: May 07, 2013, 02:56:56 PM »
Reply with quote
Ye Hindustaan Hai Bhai, Yahaan Sikhon Ko Maarne Waale Bari Ho Jaate Hain,.
Musalmaano Ko Maarne Waale, Prime Minister Banne Ka Khwaab Dekhte Hain,.

Lekin Insaaf Hoga, Zaroor Hoga, Jo Sabse Bada Court Hai, Jahaan Jhooti Gawaahi Nahi Di Jaati,.

Allah Ke Ghar Dair Hai, Andher Nahi Hai,.


Yehi Umeed Mein To Sab Jeete Hain Ke Kabhi naa Kabhi Insaaf Hoga Azeem Bhai...Bahut Bahut Shukriya Jo Aapne Apna Waqt Diya
Logged
Shihab
Yoindian Shayar
******

Rau: 27
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
29 days, 4 hours and 51 minutes.

Maut To Ek Shuruaat Hai...

Posts: 2082
Member Since: Dec 2006


View Profile
«Reply #16 on: May 07, 2013, 04:37:02 PM »
Reply with quote
Ye Hindustaan Hai Bhai, Yahaan Sikhon Ko Maarne Waale Bari Ho Jaate Hain,.
Musalmaano Ko Maarne Waale, Prime Minister Banne Ka Khwaab Dekhte Hain,.

Lekin Insaaf Hoga, Zaroor Hoga, Jo Sabse Bada Court Hai, Jahaan Jhooti Gawaahi Nahi Di Jaati,.

Allah Ke Ghar Dair Hai, Andher Nahi Hai,.

Main Bhi Yahi Kehna Chahunga Jo Azeem Bhai Ne Kahaa. Hai...Aur
Bahut Khoobsurati Se Dil Ke Dard Ko Aapne Lafzon Mein Piroya Hai Khwaish Bhai

Shad o Aabaad Rahiye


Shihab
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #17 on: May 07, 2013, 07:13:47 PM »
Reply with quote
sikhon par huye ye atyachar ho..ya phir gujarat me maasumon  ka jo katl-e-aam hua...ye saaf zaahir karta hai..ye darinde koi aur nahi ye siyaasi log hain...badkismati hai hamare mulk ki ye..Gandhiji aur maulana Aazad jis desh me paida huye...us desh ko ye vahshi darinde chala rahe hain...par bade afsos ki baat to ye hai..sab kuch jaante huye b..aam aadmi ..in siyaasi logon k isharon par..aur inki baaton me aakar...ek doosre ko katne par utaaru hojaate hain...

khair....Khwahish ji aapne apni aur un sab logon ki taklif apne lafzon me bayaan ki hai....ummid karte hain un maasumon k gunahgaaron ko sazza zaroor mile...yahaan saza na bhi mile..tab b khuda in haiwaano ko nahi bakhshega...

Ji Bilkul Jis Desh Mein Veer Bhagat singh,Chandrashekhar Azaad, Subash Chandra Bose Jaise Veero Ne janam Liya Wahaan Par Aise Siyaasi Log ne Bhi janam Liya Hai Jo iss Desh Ko Unnati paate Hue Nahi Dekhna Chaahte...Khair sab Ek jaise To Nahi Hote...Umeed Hai Ab Bhi Ke Ke Badlaau Aaye iss Desh mein,Kisi Bhi roop mein..

Aapne Apna Waqt diya.Aapka bahut bahut shukriya Asif ji...
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #18 on: May 07, 2013, 07:33:36 PM »
Reply with quote
nyc passions , mpressive,......


Thankyou For Your Valuable Time
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #19 on: May 07, 2013, 07:57:49 PM »
Reply with quote
bhuttt umda likha hai api g apne

Thankyou Fare Ji
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #20 on: May 07, 2013, 08:23:14 PM »
Reply with quote
ek kaduwee sachhaai


Hmmm Thankyou Saheb
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #21 on: May 07, 2013, 08:25:01 PM »
Reply with quote
Bilkul sahi likha hai aapne Khwaish jee, 1984 atyaachaar aur darindagi ki misaal hai, Bhai bhai ka naaraa bhi lagaate haiN, aur phir jaan bhi lete haiN. Pata nahiN kya zaroorat padi thi inheiN begunaahoN ko maarne ki.

Aur agar ladne ka hi shauq hai to unse kyuN nahi ladte jo asli dushman haiN, Pakistan, China wagairah. Inse ladne ki to auqaat hi nahi hai. China ne aaj hamaare mulk meiN 18 kilometer andar tak qabza jama liya hai, wahaaN to kuch bol hi nahi rahe. Bas jo kamzor dikha uspe taaqat dikha li. Laa'nat hai aise logoN pe.


Ifthakar Ji...Aapki Har Baat Solah Aane Sach....

Ji Yeh Sab Ho Raha Hai Par Yahan Fikr Kisse hai...

Aapne Apna Waqt Diya Aapka Bahut Bahut Shukriya
Logged
khujli
Guest
«Reply #22 on: May 08, 2013, 01:41:46 PM »
Reply with quote
1984 Ek Aisa Saal Jab Insaniyat Ka Qatl-e-Aam Hua Tha
Jinke Haath Mein Satta Di gayi Thi Uss Waqt yeh Hukm Kiya Gaya Tha Ke SikhoN  Ko
Dhoond Dhoondh kar Maara jaaye...
Sarkaari Aakde 4000 Mein Aakar Rukh Gaye The Par 10,000 se
Zyaada SikhoN  Ko Zinda Jalaaya Gaya Tha Aur Alag-Alag Tareeko se
Maar Diya Gaya Tha....Shayad Main Iss Haqeeqat ka Zikr Kabhi Na Karta Par
30 Saal baad Jab Faisla Sunaane Ki Ghadi Aayi To Jo Insaan Iss  Qatl-E-Aam Mein Shaamil Tha
uss Shakhs Ko Baa-Izzat Riha  kar Diya Gaya Yeh Kehte Hue Ke
"There Is Lack Of Proof Against Him"

"Who have killed Roshan Singh and Bhaag singh, would get 1000 Rs. each &
whoever will kills A Sikhs would get 500 Rs. per killing"- Sajjan Kumar.
(Source-Nanavati Commission report, tabled in the parliament of India in 2005)

Main Sochta Hoon Unn Sab Par kya Nahi Beet Thi Hogi Jinhone Iss Haiwaaniyat mein
Kisi Apne Ko Kho Diya Hoga.... Iss Dard Ko Lafzon mein Likhna Chaahta Hoon...



Dard Seene meN Ashq Aankhon meN Jeene Ka Haal Nahi Hai
1984 Ek Dard Ka Samundar Hai,Mehaz Koi Saal Nahi Hai

Yuh Qatl-e-Aam Insaaniyat Ka,Main Puchta Hoon Aakhir Kyun
Hum Sab To  Ek The , Kya Humaara Khoon Laal Nahi Hai

Iss Desh ki Khaatir Shaheed Hone MeN Sabse Aage Rahe Hum
Hum "Sardar" Hain,Dil MeN Rakhte Kabhi Koi Malaal Nahi Hai

Aaj 30 Saal baad Faisla Sunaane Ke Baari Aayi To Sabut Gayab
Sab Jaante Hai Hum, Kya Yeh Sab Sarkaari Chaal Nahi Hai

Kabhi Unka Socho Jisne Apna Pariwaar Ko  Kho Diya Tha Uss Waqt
yeh Haqeeqat Hai Jisse Saaf Karlo Yeh Koi Ghar Ka Jaal Nahi Hai

Aaj bhi 'Sarabjeet' Pakistan Ki Jail meN Eento Se Maar Diya Gaya
Ab To Jaago, Kya Yeh Desh Ki Izzat-Aabroo  Ka Sawaal Nahi Hai

"Khwahish" Sach Ko LIkhne MeN Kabhi Koi Parhez Nahi Karta..!!!
Jo Sach Kehne Se Darre,Woh Guru Gobind Singh Ji Ka Laal Nahi Hai..


                ~~~~~Khwahish~~~~~








 Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP icon_salut icon_salut sad5 sad5 sad5 sad5 sad5 sad5

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley icon_flower icon_flower


Logged
aqsh
Guest
«Reply #23 on: May 08, 2013, 07:55:40 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP
really touching and very sad to hear it. kya kahoon is kalaam par. padhkar dil ro padha. dua karte hai ki jald insaaf mile un tamaam shaheedon ko.
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #24 on: May 10, 2013, 10:35:17 PM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause


Sudhir Ji Aapka Shukriya Par Gar Kuch Aap kehte To Aur behtar Hota..
Logged
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 11:04:28 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.139 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer