Aadamee ho to.....................Mamta Bajpai

by mamta bajpai on March 11, 2011, 06:19:18 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1374 times)
mamta bajpai
Guest
Reply with quote
Do qadam chal ke mere yaar palat-te kyuN ho
mil hee jaayegaa mukaam aise thahrte kyuN ho

itnaa aasaan nahee paanaa kisi maNzil ko
utanaa mushkil bhee nahee yaar bigadte kyuN ho

yuN hee aataa nahee bahkaane me dil to dil hai
ye khilounaa to nahee aap machalte kyuN ho

waqt bewaqt ye barsaat chall aatee hai
bheegee zulfoN ko sar e aam jhatakte kyuN ho

khul ke aa jao meree baahoN me darnaa kaisaa
sharm se dohare hue khud me simat-te kyuN ho

aadmee ho to ahad apnaa nibhaanaa seekho
waqt ke saath har ek baar badalte kyuN ho

Mamta Bajpai

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
ek baar to................mamta bajpai by mamta bajpai in Miscellaneous Shayri « 1 2 3  All »
AaNkheN............................Mamta Bajpai by mamta bajpai in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
De ke aawaaz koi ...........Mamta Bajpai by mamta bajpai in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
Jaa b jaa Heer see .........Mamta Bajpai by mamta bajpai in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
Khaamoshee ne sun lee hai..........Mamta Bajpai by mamta bajpai in Miscellaneous Shayri « 1 2 3  All »
Matrix Guy
Guest
«Reply #1 on: March 11, 2011, 07:35:42 AM »
Reply with quote
pata nahi ji wo esa kyu karte he but aapne likha bht hi sweet and cute he.........behtareen poetry he mamta ji.........superb
Logged
mamta bajpai
Guest
«Reply #2 on: March 11, 2011, 09:08:29 AM »
Reply with quote
Thanks a lot Utkarsh! mujhe achaanak lagaakeh tum kiskee baat kar rahe ho?
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #3 on: March 11, 2011, 09:14:41 AM »
Reply with quote
Do qadam chal ke mere yaar palat-te kyuN ho
mil hee jaayegaa mukaam aise thahrte kyuN ho

itnaa aasaan nahee paanaa kisi maNzil ko
utanaa mushkil bhee nahee yaar bigadte kyuN ho

yuN hee aataa nahee bahkaane me dil to dil hai
ye khilounaa to nahee aap machalte kyuN ho

waqt bewaqt ye barsaat chall aatee hai
bheegee zulfoN ko sar e aam jhatakte kyuN ho

khul ke aa jao meree baahoN me darnaa kaisaa
sharm se dohare hue khud me simat-te kyuN ho

aadmee ho to ahad apnaa nibhaanaa seekho
waqt ke saath har ek baar badalte kyuN ho

Mamta Bajpai

"Aadmee Ho to Ahad Apna Nibhaana Seekho
Waqt Ke saath har Ek Baar badalte Kyon ho"

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Bahut Bahut Khoob Mamtaji.. icon_flower

Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010

View Profile
«Reply #4 on: March 11, 2011, 09:32:57 AM »
Reply with quote
laajawaab creation mamta ji....aapki poetry aur aapka andaaz e bayaan waakai perfect hota hai...beautiful 1 ji
Logged
kishan8888
Guest
«Reply #5 on: March 11, 2011, 12:17:51 PM »
Reply with quote
mamata ji aap ki sundar rachna aur uspe aap ke kalam ka jadu bus hume dikhayi deta hai
Logged
manzil-e-ishq
Guest
«Reply #6 on: March 11, 2011, 12:30:16 PM »
Reply with quote
bht bht khoob mamta ji...
Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #7 on: March 11, 2011, 02:49:40 PM »
Reply with quote
LAJAWAAB LIKHTI HO Mamta-di aap.... Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Lijiye aapki chatra-chhayaa me ek koshish hum bhi karte hain....pesh hain kuchh lines....aapke he rang mai....

Manzil ka pata nahi phir bhi tum chalte kyu ho
Raasta anjaana tum kisi se puchhte kyu nahi ho

Karte ho pyaar mujhse izhaar karte kyu nahi ho
Chahte ho par baahon me mujhe lete kyu nahi ho

Aashiq ho tum tou yu paas aane se darte kyu ho
In taraste labon ko tum chumne se darte kyu ho

Durr khade-khade roz tum mujh ko taakte kyu ho
Laal hui jaati hu dekh mujhe muskuraate kyu ho

Keh do naa aaj "I luv U" itna Sharmaate kyu ho
Aa gayee jo aagosh me tere itna itraate kyu ho

Pagal hu mein ishq me tere jankar anjan kyu ho
O-mere aashiq tum mujh ko itnaa sataate kyu ho

Do qadam chal ke mere yaar palat-te kyuN ho
mil hee jaayegaa mukaam aise thahrte kyuN ho

itnaa aasaan nahee paanaa kisi maNzil ko
utanaa mushkil bhee nahee yaar bigadte kyuN ho

yuN hee aataa nahee bahkaane me dil to dil hai
ye khilounaa to nahee aap machalte kyuN ho

waqt bewaqt ye barsaat chall aatee hai
bheegee zulfoN ko sar e aam jhatakte kyuN ho

khul ke aa jao meree baahoN me darnaa kaisaa
sharm se dohare hue khud me simat-te kyuN ho

aadmee ho to ahad apnaa nibhaanaa seekho
waqt ke saath har ek baar badalte kyuN ho

Mamta Bajpai

Logged
Radhika_2
Guest
«Reply #8 on: March 11, 2011, 06:15:51 PM »

Good One  ..... Mamta Ji !
Logged
mamta bajpai
Guest
«Reply #9 on: March 25, 2011, 10:16:30 AM »
Reply with quote
shukriyaa Khwaish jee!
Logged
Anshumali
Guest
«Reply #10 on: March 25, 2011, 12:41:53 PM »
Reply with quote
Do qadam chal ke mere yaar palat-te kyuN ho
mil hee jaayegaa mukaam aise thahrte kyuN ho

itnaa aasaan nahee paanaa kisi maNzil ko
utanaa mushkil bhee nahee yaar bigadte kyuN ho

yuN hee aataa nahee bahkaane me dil to dil hai
ye khilounaa to nahee aap machalte kyuN ho

waqt bewaqt ye barsaat chall aatee hai
bheegee zulfoN ko sar e aam jhatakte kyuN ho

khul ke aa jao meree baahoN me darnaa kaisaa
sharm se dohare hue khud me simat-te kyuN ho

aadmee ho to ahad apnaa nibhaanaa seekho
waqt ke saath har ek baar badalte kyuN ho

Mamta Bajpai

bahut umdaa likha hai aapne ... Mamta Ji !

saare ashaar ke ehsaas aur bayaani bahut khoob lagi hume ... !

tahe dil se daad hazir hai .... !
Logged
mamta bajpai
Guest
«Reply #11 on: March 25, 2011, 04:11:00 PM »
Reply with quote
Bahut bahut shukriya Kasak jee!
Logged
mamta bajpai
Guest
«Reply #12 on: March 25, 2011, 04:15:15 PM »
Reply with quote
Shukriyaa Kishan jee! is qadar taareef kisee ko bhee maghroor kar sakti hai........behad shukriyaa!
Logged
mamta bajpai
Guest
«Reply #13 on: March 25, 2011, 04:15:59 PM »
Reply with quote
Shukriyaa Priyaa!
Logged
SURESH SANGWAN
Guest
«Reply #14 on: March 25, 2011, 04:28:19 PM »
Reply with quote
Mamta ji as usual bahut khoob mujhe aapki tamaam rachana bahut pasand aati hain . Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 28, 2025, 02:15:16 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.125 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer