Aaina-faroshe (by vb)

by vb on November 08, 2013, 11:24:13 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1148 times)
vb
Guest
Reply with quote


Ik waaqiya saa aa gaya yaadoN ki leher men
Ik aainaa-faroshe tha andhoN k sheher men

Allah kisi ko bhe bura din na dikhayay
Jaisay koi shayar kisi aisi jaga aayay
Koi na rabt janay jahaN, sher-o-beher men
Ik aainaa-faroshe tha andhoN k sheher men

Qismat na kisi shakhs ko deewana banayay
Jaisay koi deevaana mohabbat men ho jayay
Mehboob kya? Koi na milay us say deher men
Ik aainaa-faroshe tha andhoN k sheher men

Zaahir tha k us shakhs ka anjaam yehi tha
vb tu nahi tha wo magar, kaam yehi tha
Ik roze kahiN koodeta dekha tha neher men
Ik aainaa-faroshe tha andhoN k sheher men


*---------------------------*



Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Aaina by Roja in Miscellaneous Shayri
Aaina by drpandey in Miscellaneous Shayri
aaina ya to hum by zidd in Ghazals « 1 2  All »
Aaina by Iftakhar Ahmad in Shayri for Khumar -e- Ishq
Aaina by Pramod singh in Share:Love Poetry
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #1 on: November 08, 2013, 11:51:13 PM »
Reply with quote
 Applause
Logged
nashwani
Guest
«Reply #2 on: November 09, 2013, 01:46:00 AM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

bahut khoob kaha vb sahab..happy9
Logged
Ram Saraswat
Khususi Shayar
*****

Rau: 26
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
10 days, 7 hours and 12 minutes.

Posts: 999
Member Since: Apr 2008


View Profile
«Reply #3 on: November 09, 2013, 01:51:47 AM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause
Logged
Mohammad Touhid
Umda Shayar
*

Rau: 35
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
38 days, 12 hours and 35 minutes.

'I' 'Luv' d Way 'U' 'Forget' Me..!.!

Posts: 7160
Member Since: Aug 2009


View Profile
«Reply #4 on: November 09, 2013, 02:47:23 PM »
Reply with quote
great great great

bahut khoooooooob vb ji.. Usual Smile

Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
vb
Guest
«Reply #5 on: November 09, 2013, 07:50:20 PM »
Reply with quote
Shukriya aap sub ka...

Aainay banata tha Sikandar wo nahi tha
Wo sar bhe katata tu Qalander wo nahi tha
Koi tu kami ho ge kahin us k hunar men

Ik aaina faroshe tha...
Logged
aqsh
Guest
«Reply #6 on: November 09, 2013, 08:16:15 PM »
Reply with quote
Bahut khooooooooob VB ji....
Logged
vb
Guest
«Reply #7 on: November 11, 2013, 02:02:51 PM »
Reply with quote
aqsh jee! shukriya aap ka...
Logged
sidra04
Guest
«Reply #8 on: November 12, 2013, 09:57:02 PM »
Reply with quote
Allah kisi ko bhe bura din na dikhayay
Jaisay koi shayar kisi aisi jaga aayay
Koi na rabt janay jahaN, sher-o-beher men
Ik aainaa-faroshe tha andhoN k sheher men


yaqeen maaniye aapke in 4 misroNne mujhe reply karne ko majboor kar diyaa.... kitne saada se lafzon me aapne dil ke haal ki bayaani kar di hai.... bahot aalaa... jitni tareefen ki jaaeN kamhain,, bas daad ka nazraana peshkar sakti hoon, ummeed hai qubool kijiyega... likhte raheN.. is tehreer ki kashish me koi baat zaroor hai..... Allaah majeed nawaaze.

Sidra....
Logged
Saman Firdaus
Guest
«Reply #9 on: November 12, 2013, 10:10:54 PM »
Reply with quote
Applause Applause

Bahot khoob likha hai aapne...
Logged
vb
Guest
«Reply #10 on: November 12, 2013, 10:27:59 PM »
Reply with quote
sidra04 jee!
buhat shukriya aap ka...

az-raah-e-mazaah ... aap k is iqtabas say k "reply karne ko majboor kar diyaa", hum yehi kahen gay k aisa ghalati say hua ho ga... ku k aap ki haaliya mazaahiya ghazal ki roo say aap ko majboor karnay ki koshish kisi ko bhe mehngi par sakti hay...

hamaari is nazm k havaalay say bhe hamaray dost janab Rao Abdul Qudoos sahab ne hamen kaha k

"shukar kejay k andhon k sheher main aainay bechtay hen, agar ganjon k sheher main, kanghiyan bechtay tu pata chalta... aaina-faroshe ko khud neher main koodna na parta, balkay sheher k ganjay usay khud utha kar neher main phenk aatay..."

khair mazaah bar-taraf
hamaari is nazm ka javab bhe yahin comments main hum ne likh rakha hay...


Aainay banata tha Sikandar wo nahi tha
Wo sar bhe katata tu Qalander wo nahi tha
Koi tu kami ho ge kahin us k hunar men

Ik aaina faroshe tha...


dar-asal ye us sher ki copy hay jo kisi buzurg faarsi shaayar ne likha hay.. may be Hafiz ka kalaam ho, ku k hamaaray dost Sheikh Saadi mian ki kitaabon men hamen ye nahi mila...

na har soorat bar afrokht dilbari daanad
na har k aaina saazad Sikandari daanad
hazaar nuqta-e-baareek tar zmoo een jaa hast
na har k sar-ba-taraashad, Qalandari daanad

aap khud bhe beher main likhnay ki koshish karti hen, yaqeenan is tooti-phooti nazm ko behtar samajh paai hon ge...



Logged
sidra04
Guest
«Reply #11 on: November 12, 2013, 10:47:35 PM »
Reply with quote
"ku k aap ki haaliya mazaahiya ghazal ki roo say aap ko majboor karnay ki koshish kisi ko bhe mehngi par sakti hay..."

taana kashi me bhi maahir lagte hain aap......

"shukar kejay k andhon k sheher main aainay bechtay hen, agar ganjon k sheher main, kanghiyan bechtay tu pata chalta... aaina-faroshe ko khud neher main koodna na parta, balkay sheher k ganjay usay khud utha kar neher main phenk aatay..."


hahaahahha cant stop laughing... quite funny.


Aainay banata tha Sikandar wo nahi tha
Wo sar bhe katata tu Qalander wo nahi tha
Koi tu kami ho ge kahin us k hunar men

Ik aaina faroshe tha...


waahhhhh...andaaz to qatilaana hai as usual..

na har soorat bar afrokht dilbari daanad
na har k aaina saazad Sikandari daanad
hazaar nuqta-e-baareek tar zmoo een jaa hast
na har k sar-ba-taraashad, Qalandari daanad

faaris me thodi kacchi hoon... maaf kijiyega.. magar taseer bahot hi afzal hai........ subhan allah....

and thanks jo aapne itne itminaan se reply kiya... accha ikhte hain aap.. aapki ghazlon ki muntazir rahungee...

Allah hafiz

Sidra
Logged
vb
Guest
«Reply #12 on: November 12, 2013, 11:01:39 PM »
Reply with quote
sidra04 jee! buhat shukriya zara nawazi ka...

hum nazm-go shaayar hen.. ya yun kahiyay k nazmen likhen ki koshish kartay hen... lekin jub hamari nazmen sarkash ho jaati hen ya hum likhnay say bachna chahtay hen, tu ghazal par utar aatay hen, taakay wahan paabandiyon main zyada likh na saken.... faqat qalam ko roknay ki koshish samajh lejay...

pehlay misray ko chhor kar baaki k 3 farsi k misron ka tarjuma kar detay hen go k buhat asaan farsi hay yeh..

na har k aaina saazad Sikandari daanad
(har aainaa banaanay wala Sikandar nahi hota)
hazaar nuqta-e-baareek tar zmoo een jaa hast
(haazar baareek nuktay yahan maujood hen)
na har k sar-ba-taraashad, Qalandari daanad
(har sar kaat lenay wala Qalandar nahi hota)

isi ko apni nazm main daala hum ne k.... koi kami likhnay walay main he hay... wagarna geet ho aur dil par asar na karay... tu wo geet/sangeet he kya....

ake baar phir, aap ki aamad-e-mukarar aur, taareefi kalemaat, waqt denay, aur zara nawazi ka shukriya...
Logged
vb
Guest
«Reply #13 on: November 12, 2013, 11:03:19 PM »
Reply with quote
Saman Firdaus jee! buhat shukriya aap ka...
Logged
mkv
Guest
«Reply #14 on: November 12, 2013, 11:52:35 PM »
Reply with quote
bahut mubarakbaad VB jee
ham to aapke pahle se mureed hain.
nazm ikhne me aapka koi javaab naheen..
aur ye to kamaal ki hai..
dil khush ho gaya..

Qismat na kisi shakhs ko deewana banayay
Jaisay koi deevaana mohabbat men ho jayay
Mehboob kya? Koi na milay us say deher men
Ik aainaa-faroshe tha andhoN k sheher men

pahle bhi bahut tafseel se charcha ho chuki hai..isliye bas itna kahunga..bas ye guftagu chalti rahe..aur seekhne vaale baareekiyon ko samajh saken..

Ik aainaa-faroshe tha andhoN k sheher men

iske do words...der tak sochta rahunga main.
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 05:19:32 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.094 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer