aaj vb ka hua khatm zamana... (by vb)

by vb on November 15, 2013, 05:30:12 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 934 times)
vb
Guest
Reply with quote

Ishq ka naam zamaanay men raha na, jaanaan!
Log kehtay hen k vb hay divaanaa, jaanaan!

Main tera naam gunguna raha hoon yuN jaisay
Yaad aayaa ho koi geet puraanaa, jaanaan!

Haayay wo teri nigaahoN ki fasoon-kaari hansi
Haayay wo teri rafaaqat ka zamaanaa, jaanaan!

Main to likhta tha faqat teray liyay teray liyay
Main na kehta tha k mehfil main na laanaa, jaanan?

Meray ashkoN ka shabistaN men tapakna behter
Mera ehsaas na tasheer banaanaa, jaanaan!

Wo jisay khud say chhupaanay men hamen umr lagi
Aaj wo sub ki zubaaN par hay fasaanaa, janaan!

Theek kehti ho, kai raaz huay mujh say khataa
Mujhay aataa nahi ehsaas chhupaana, jaanaan!

Tu mujhay laa k yahaaN, chhor gai, bhool gai
Main hamesha raha mehfil main yagaana, jaanaan!

Log tu theek uraatay hen meray fan ka mazaaq
Meray likhay ka bura, tum na maanaana, jaanaan!

Aaj phir aa he gai meray qalam par ye nazam
Main ne chaaha tu tha lafzoN ko dabaana, jaanaan!

Kon parhta hay nazam, itni taveel, itni taveel
Har ake shakhs hay masroof-e-zamaanaa, jaanaan!

Ake jaaN hay, main abhi is say guzar jaaun ga
Ake iqraar tha, jo tujh say huva na, jaanaan!

“haan mujhay tum say mohabbat hay, mohabbat, vb!
Tu ne ik baar bhe vb say kaha na, jaanaan!

Dekh! Logon ka hajoom aa raha hay meri taraf
Khel jaari hay so parda na giraanaa, jaanaan!

Sochtay hen k kahun kuchh tu bajaain taali
Geet ik aakhri in ko hay sunaanaa, jaanaan!

Lafz tapkaauN ga qalam say lahoo ki soorat
Jin ki qismat hay faqat dil ko lubhaanaa, jaanaan!

.
.
.

Aaj vb ka hua khatm zamaanaa, logo!
Wo jo divaana tha, dunya main raha na, logo!

Ake bekaar say shaayar ki kahaani kya thi
Ake bhoola huva gum-gashta fasaana, logo!

Umr guzri thi isi dasht ki siyaahi main
Kon dunya main tha vb ka thikaanaa, logo?

Ye tu deevaana tha pather bhe sahay thay is ne
Phir kisi aur ko aisay na sataanaa, logo!

Shaayad aa jaayay koi poochhnay yaaN vb ka
Usay vb k baaray kuchh na bataana, logo!

Usay vb say nahi, shaayari say rughhbat hay
Koi mad-hoshe ghazal us ko sunaanaa, logo!

Phir bhe poochay tu ye kehna k yahin ho ga kahin
Kaam hay us ka faqat hansna-hansaana, logo!

Ake deevaana sa phirta tha yahan mehfil main
Kya hua haal usay, kuch na bataanaa, logo!

Wo bhe zidi hay buhat, zid pe agar aa jayay
Yehi kehna k musaafir ne tha jaanaa, logo!

Door manzil hay, buhat door, buhat door kahin
Raastaa chore do ab, tum say kaha na, logo!

Aray! Ye kya hua? lagta hay musaafir tu gaya
Maut ko chahiyay hota hay bahaanaa, logo!

Kahin aisa na ho k lar-khara k gir jaayay
Do sahaaraa koi bister pe litaanaa, logo!

Ye is ka haal tabeeboN ne kiya, rehnay do
Ab tabeeboN ko koi bhe na bulaana, logo!

Khushk hontoN say jis ka naam liya tha is ne
Naam us ka na kisi ko bhe bataanaa, logo!

Ye jo tasveer hay, jhooti hay jalaanaa is ko
Haan magar khat jo hen, Ganga men bahaana, logo!

Zard chehra tu jisim barf hua jaata hay
Saans rukti hay, koi paaani pilaanaa, logo!

Door hat jaao zara, is ko havaa aanay do
Khirkiyan khole do, diya bhe bujhaana, logo!

Ake muddat say ye soya he nahi hay jaisay
Neend aati hay isay, ab na jagaanaa, logo!
Neend aati hay isay, ab na jagaana...

Aaj vb ka hua khatm zamaanaa, jaanaan!
Wo jo divaana tha, dunya main raha na, jaanaan!
Neend aati hay isay, ab na jagaanaa...
.
.
.
Jaan...!

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Aansun bhi khatm ho gaye by Devdas_online in Shayri-E-Dard
Khatm Hua....... by Aman_rahi in Shayri-E-Dard
®® khatm kar ye kissa ®® by sarfira in Share: Poetry of Pain
Khatm Na Kar Paao Ge Duniya by surindarn in Miscellaneous Shayri
Zindagi Khatm Ho Jayegi by Rajigujral in Miscellaneous Shayri
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011

View Profile
«Reply #1 on: November 15, 2013, 05:53:58 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause
Logged
Yaash
Guest
«Reply #2 on: November 15, 2013, 06:35:38 PM »
Reply with quote
Ishq ka naam zamaanay men raha na, jaanaan!
Log kehtay hen k vb hay divaanaa, jaanaan!

Main tera naam gunguna raha hoon yuN jaisay
Yaad aayaa ho koi geet puraanaa, jaanaan!

Haayay wo teri nigaahoN ki fasoon-kaari hansi
Haayay wo teri rafaaqat ka zamaanaa, jaanaan!

Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
vb
Guest
«Reply #3 on: November 15, 2013, 07:05:23 PM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause

thanx...
Logged
vb
Guest
«Reply #4 on: November 15, 2013, 07:06:11 PM »
Reply with quote
Ishq ka naam zamaanay men raha na, jaanaan!
Log kehtay hen k vb hay divaanaa, jaanaan!

Main tera naam gunguna raha hoon yuN jaisay
Yaad aayaa ho koi geet puraanaa, jaanaan!

Haayay wo teri nigaahoN ki fasoon-kaari hansi
Haayay wo teri rafaaqat ka zamaanaa, jaanaan!

Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

shukriya...
Logged
Shihab
Yoindian Shayar
******

Rau: 27
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
29 days, 4 hours and 51 minutes.

Maut To Ek Shuruaat Hai...

Posts: 2082
Member Since: Dec 2006

View Profile
«Reply #5 on: November 16, 2013, 02:12:14 AM »
Reply with quote

Main tera naam gunguna raha hoon yuN jaisay
Yaad aayaa ho koi geet puraanaa, jaanaan!

Haayay wo teri nigaahoN ki fasoon-kaari hansi
Haayay wo teri rafaaqat ka zamaanaa, jaanaan!

Wah Sahab Kya Kehne Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Shad o Aabaad Rahiye

Shihab
Logged
mazHur
Guest
«Reply #6 on: November 16, 2013, 07:23:01 AM »
Reply with quote
wah jee wah!!
Logged
vb
Guest
«Reply #7 on: November 17, 2013, 12:40:29 PM »
Reply with quote
Main tera naam gunguna raha hoon yuN jaisay
Yaad aayaa ho koi geet puraanaa, jaanaan!

Haayay wo teri nigaahoN ki fasoon-kaari hansi
Haayay wo teri rafaaqat ka zamaanaa, jaanaan!

Wah Sahab Kya Kehne Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Shad o Aabaad Rahiye

Shihab

Shukriya
Logged
vb
Guest
«Reply #8 on: November 17, 2013, 12:41:15 PM »
Reply with quote
wah jee wah!!

Thanx....
Logged
mkv
Guest
«Reply #9 on: November 17, 2013, 02:57:38 PM »
Reply with quote
Main to likhta tha faqat teray liyay teray liyay
Main na kehta tha k mehfil main na laanaa, jaanan?

Meray ashkoN ka shabistaN men tapakna behter
Mera ehsaas na tasheer banaanaa, jaanaan!

Aaj phir aa he gai meray qalam par ye nazam
Main ne chaaha tu tha lafzoN ko dabaana, jaanaan!

Kon parhta hay nazam, itni taveel, itni taveel
Har ake shakhs hay masroof-e-zamaanaa, jaanaan!
Mai hun na

.
.
.
Ake bekaar say shaayar ki kahaani kya thi
Ake bhoola huva gum-gashta fasaana, logo!

Ye tu deevaana tha pather bhe sahay thay is ne
Phir kisi aur ko aisay na sataanaa, logo!

Usay vb say nahi, shaayari say rughhbat hay
Koi mad-hoshe ghazal us ko sunaanaa, logo!

Phir bhe poochay tu ye kehna k yahin ho ga kahin
Kaam hay us ka faqat hansna-hansaana, logo!

Ake deevaana sa phirta tha yahan mehfil main
Kya hua haal usay, kuch na bataanaa, logo!

Ye is ka haal tabeeboN ne kiya, rehnay do
Ab tabeeboN ko koi bhe na bulaana, logo!

Khushk hontoN say jis ka naam liya tha is ne
Naam us ka na kisi ko bhe bataanaa, logo!

Ye jo tasveer hay, jhooti hay jalaanaa is ko
Haan magar khat jo hen, Ganga men bahaana, logo!

Ake muddat say ye soya he nahi hay jaisay
Neend aati hay isay, ab na jagaanaa, logo!
Neend aati hay isay, ab na jagaana...

 tearyeyed tearyeyed

 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause

Logged
Risk
Guest
«Reply #10 on: November 17, 2013, 06:17:55 PM »
Reply with quote
badiya
Logged
vb
Guest
«Reply #11 on: November 18, 2013, 02:46:20 PM »

«Reply #12 on: November 18, 2013, 02:46:56 PM »
Reply with quote
badiya

shukriya....
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 28, 2025, 02:06:05 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.139 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer