AAJKAL AAP KE DEEDAAR KAHAAN MILTE HAIN .........HASAN

by F.H.SIDDIQUI on October 15, 2011, 05:22:18 AM
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 3147 times)
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #15 on: October 16, 2011, 08:30:35 AM »
Reply with quote
mkv ji,aapki tahreer ka shukriya.Sahi farmaaya aap ne.kuchh uncommon words ke aasaan meaning dene ka maqsad yahi hai ki sabhi ashaar ka matlab bhi parhne waale bakhoobi samajh lein.Aam taur par main khud bhi aasaan aur roz-marra ki zubaan mein likhna pasand karta hoon .Bahut persianised alfaaz se na to waqif hoon na unhein jaanne ki zyada koshish ki.Phir bhi shairi ki bahut sari istilaahaat ,symbolic alfaaz,phrases waghaira ka istemaal laazmi ho jaata hai.YO per aksar doston ki urdu shairy aur urdu alfaaz ke istemaal mein dilchaspi ko dekhte hue main ne munaasib samjha ki aasaan zubaan mein matlab bhi likh doon.Kisi dost ne kuch dinon pahle mujh se kai alfaaz ke matlab sidhe ya PM ke zariye maaloom bhi kiye thhe .tabhi se meaning dene ki zaroorat aur himmat padi.Aapne saraaha,bahut bahut shukriya.HASAN
Logged
Sadiq Rizvi
Guest
«Reply #16 on: October 16, 2011, 10:47:25 AM »
Reply with quote
poetry achchi  hai... lekin Maaf kijiyega deedar ka milna khatakta hai . DEEDAR Karna ya Hona samajh mein aata hai milna atpata sa lagta hai ...Maslan
Teri  Tasveer  ka  Deedar  Kiya  kartey  hain 
Usse  tanhai ka Izhaar  kiya karte hain
Tu  jo  pahloo  mein  nahin  hoti meri jane gazal
Teri Tasveer hi se  pyar kiya karte hain 
Sadiq Rizvi
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #17 on: October 16, 2011, 11:27:14 AM »
Reply with quote
Sadiq saheb,Bahut shukriya.Sahi tanqeed ke liye.Main ne  ghazal  nazar e saani kiye baghair post kar di.Lekin aaj log on karne ke baad se mujhe bhi yeh she'r khatak raha hai.Shukrguzar hoon, aur qadr karta hoon aapki baareekbeeni ki, ki aap ne ye atpataahat mahsoos kar lee -jo mujhe ummeed thhi ki nazar andaaz ho jaayegi- aur uska izhaar kiya...Lekin bhai teer to ab nikal chuka hai,agli baar mohtaat rahuunga.HASAN
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #18 on: October 16, 2011, 01:17:11 PM »
Reply with quote
Dr.saini saheb,aap ne ghazal pasand ki aur hausla afzai kee.bahut bahut shukriya.HASAN
Logged
mkv
Guest
«Reply #19 on: October 16, 2011, 02:24:29 PM »
Reply with quote
poetry achchi  hai... lekin Maaf kijiyega deedar ka milna khatakta hai . DEEDAR Karna ya Hona samajh mein aata hai milna atpata sa lagta hai ...Maslan
Teri  Tasveer  ka  Deedar  Kiya  kartey  hain 
Usse  tanhai ka Izhaar  kiya karte hain
Tu  jo  pahloo  mein  nahin  hoti meri jane gazal
Teri Tasveer hi se  pyar kiya karte hain 
Sadiq Rizvi

SADIQ SAHAB
SUBHAN ALLAH.
KITNE KHUBSURAT SHER SE APNE MASLE KA HAL DENE KI KOSHISH KI HAI. BAHUT KHOOB. AP JAISO KADRADANO KI IS MAHFIL ME KAMI HAI..


KYA KAHTE HAI. .HASAN SAHAB.
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #20 on: October 16, 2011, 02:43:48 PM »
Reply with quote
mkv saheb.Main to Sadiq saheb ki barikbeeni ka pehle hi aitraaf kar chuka hoon.Albatta,aap ne she'r ki tareef kar ke mera qarz ada kar diya.Shukriya.HASAN
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #21 on: October 17, 2011, 03:38:26 AM »
Reply with quote
Suresh Sangwan saheb,Bahut bahut shukriya.Khush rahiye.HASAN
Logged
mkv
Guest
«Reply #22 on: October 17, 2011, 06:19:28 AM »
Reply with quote
Hasan sahab
ab takalluf ki baate chodiye. dosti me ye theek nahi. ek dost ki tarah maine pahle hi apka choda adhoora kam kar diya.
Khuda Hafez
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #23 on: October 17, 2011, 09:07:07 AM »
Reply with quote
Satish ji,bahut bahut shukriya.Aap ne saraha aur Lko ki tahzeeb ke marsiye mein saath diya.
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #24 on: October 17, 2011, 09:23:17 AM »
Reply with quote
Faiz  o  Iqbal  ke   ash'aar  kahaaN  milte  haiN ,
Woh  khayalaat , wo  afkaar   kahaaN  milte  haiN

Hum  ghareeboN  se to mat kariye  na  milne  ka  gila,
Aajkal   aapke   deedaar   kahaaN   milte   haiN
   
Apne  matlab  ke  liye   tode  banaaye  rishtay ,
Aap  se 'saheb - e - kirdaar'  kahaan  milte  haiN

Dosti  ho  ki  adaawat ,  thha  saleeqa  sab  meiN,
Abb  wo  aamaal  ke   me'yaar  kahaan  milte  haiN
 
Tangdasti  meiN  bhi  phaila  na  kanbhi  dast - e - talab,
Paikar - e - sabr,  wo  khuddaar  kahaaN   milte  haiN

Lucknow , mere  watan , itna  bata  de   mujhko ,
Teri  tahzeeb  ke  aasaar   kahaan  milte  haiN

Qatl-o-ghaarat hai, ghutalay , kahiiN  dahshat - gardi ,
Abb  'Hasan'  achchhe  samachaar  kahaan  milte  haiN




Simple translation of uncommon Urdu words used in the Ghazal:       Afkaar =Thoughts/vichaar ; sahib-e-kirdaar= charitrawaan/man of character ;    Aamaal = behaviour ; Me'yaar = standards ; Tangdasti = tight hand / gharibi ;   Dast-e-talab = maangne ko haath phailaana ; Paikar-e-sabr=embodiment of patience ; khuddaar = self-respecting ; Aasaar = remains / awashesh/signs

Faiz  o  Iqbal  ke   ash'aar  kahaaN  milte  haiN ,
Woh  khayalaat , wo  afkaar   kahaaN  milte  haiN

Hum  ghareeboN  se to mat kariye  na  milne  ka  gila,
Aajkal   aapke   deedaar   kahaaN   milte   haiN
   
Apne  matlab  ke  liye   tode  banaaye  rishtay ,
Aap  se 'saheb - e - kirdaar'  kahaan  milte  haiN

Dosti  ho  ki  adaawat ,  thha  saleeqa  sab  meiN,
Abb  wo  aamaal  ke   me'yaar  kahaan  milte  haiN
 
Tangdasti  meiN  bhi  phaila  na  kanbhi  dast - e - talab,
Paikar - e - sabr,  wo  khuddaar  kahaaN   milte  haiN

Lucknow , mere  watan , itna  bata  de   mujhko ,
Teri  tahzeeb  ke  aasaar   kahaan  milte  haiN

Qatl-o-ghaarat hai, ghutalay , kahiiN  dahshat - gardi ,
Abb  'Hasan'  achchhe  samachaar  kahaan  milte  haiN




Simple translation of uncommon Urdu words used in the Ghazal:       Afkaar =Thoughts/vichaar ; sahib-e-kirdaar= charitrawaan/man of character ;    Aamaal = behaviour ; Me'yaar = standards ; Tangdasti = tight hand / gharibi ;   Dast-e-talab = maangne ko haath phailaana ; Paikar-e-sabr=embodiment of patience ; khuddaar = self-respecting ; Aasaar = remains / awashesh/signs



Waah Waah Waah Waah!!!!

Kya kehne Siddiqui Ji..Umda...Lajawaab...

Har Ek A'shaar par Sirf Waah Waah karte Reh gaye Hum..

bahut Bahut Khoob Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #25 on: October 17, 2011, 09:34:15 AM »
Reply with quote
Nahin,mkv saheb.Takalluf ki koi baat nahin.Lko waale Lko walon se hi takalluf karenge to baaher waalon ke liye kya bachega.Chaliye dosti ki baat hai to bataiye iss saal Jamghat mein kankaiya ke pench kahaan ladana hain.Gomti ground per ya Golaganj mein ?
Logged
mkv
Guest
«Reply #26 on: October 17, 2011, 10:02:29 AM »
Reply with quote
Jamana gujar gaya sahab. mai daliganj me rahta tha. pench, dheel, tikalla, kankaua, etc..etc.
daat padti thi lekin din bhar dhoop me patango par najar. manjha lootna, kati patango ko taar se phasana. apne to yaade taaja kar di..
kaha ab vo khushkismati...jindgi ke daav pench me aisa ulajh gaye hai ki ab to khwabo me hi uda sakte hai. is sal gami ki vajah se kisi cheej me hissa nahi lenge.
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #27 on: October 17, 2011, 10:44:20 AM »
Reply with quote
Parwaaz saheb Bahut mashkoor hoon aapke mukhlisaana tabsire ke liye.
Aap ka yeh waahid 'post-mortem' hai jo murda kalaam ko bhi zindagi bakhsh deta hai.Bahut shukriya.Inayat.HASAN
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #28 on: October 17, 2011, 11:29:43 AM »
Reply with quote
 Thankyou !


sanjeevkash ji.Hausla afzai ke liye tah e dil se shukriya.karam banaye rakhiye.Hasan
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #29 on: October 17, 2011, 12:43:49 PM »
Reply with quote
mkv ji,ghami ke  bare mein jaan kar dukh hua.khuda aap ko sabr de.
Logged
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 05:21:30 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.118 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer