*****AANSU*****

by kaushikbhawna008 on July 09, 2008, 05:05:33 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1786 times)
kaushikbhawna008
Guest
Reply with quote
dil ka har haal bayaan karte hain "AANSU"
dil k har jazbaat bayaan karte hain "AANSU"

jinhe shabdon mei na keh paayei ham kisi se
wahi baat bayaan karte hain "AANSU"

ek kasak jo dil ko cheer kar chali jaati hai
us kasak ki tadap bayaan karte hain "AANSU"

kisi ki bebasi kisi ki laachari ko bayaan karte hain "AANSU"
kisi se bichadne k gam ko bayaan karte hain "AANSU"

kisi ko kho kar jab koi insaan use paata hai
to ek ujli si khushi chalkaate hain "AANSU"

prem,daya-bhaav ka prateek bhi hai "AANSU"
ankahi chupi dil mei har baat ko bayaan karte hain "AANSU"
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
aansu by sweet suh in Shayri-E-Dard
Aansu by just_asim in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Aansu by getwasimin in Shayri for Khumar -e- Ishq
Aansu by Bullet500 in Shayri-E-Dard
Aansu........ by md.ayad in Shayri for Dard -e- Judai
k.shael
Guest
«Reply #1 on: July 09, 2008, 06:27:01 AM »
Reply with quote
 tearyeyed
AANSOO KI PARIBHASHA BAHUT
KHOOB PESH KAR DI AAPNE  Applause
KAUSHIK JI....
EXCELLENT Applause Applause
Logged
Muhammed
Guest
«Reply #2 on: July 09, 2008, 06:27:55 AM »
Reply with quote
Aankho Me Kamaal Hai Ye Aansoo,
Waaqee Be Misaal Hai Ye Aansoo,
shyari Se Jo Bayaa'n Ho Na Sake Raza,
Kehta Hai Dil Ka Wo Haal Ye Aansoo...

                        -- Raza
"AANSU" Bhawna  Ji Bahot Hi Khoob.
Logged
k.shael
Guest
«Reply #3 on: July 09, 2008, 06:33:45 AM »
Reply with quote
NICE REPLY ASHRAF JI,
BY. K.SHAEL

YE AANSOO BAHUT AJEEB HAI,
TANHAI ME SAATH DETE HAI TO
MEHFIL ME AKELA KAR DETE HAI,
KISI PARAYE KO KARIB LATE HAI TO KISI
APNE KO DOOR KAR DETE HAI,KABHI KHUSHIYO
KI SUGAAT BAN KAR AATE HAI TO KABHI KHUSHIYO
KO GAMGEEN KAR DETE HAI,KABHI SAB KUCH BATA
DETE HAI YE AANSOO TO KABHI AANKHON ME THEHAR
KE LOOT LE JATE HAI YE AANSOO....
Logged
kaushikbhawna008
Guest
«Reply #4 on: July 09, 2008, 06:36:52 AM »
Reply with quote
Aankho Me Kamaal Hai Ye Aansoo,
Waaqee Be Misaal Hai Ye Aansoo,
shyari Se Jo Bayaa'n Ho Na Sake Raza,
Kehta Hai Dil Ka Wo Haal Ye Aansoo...

                        -- Raza
"AANSU" Bhawna  Ji Bahot Hi Khoob.



shukriya muhammed ji

dard jab dil mei had se badh jaata hai
aankhon ki raah beh jaata hai
log jise mehaz samajhte hain aasu
aansu har sailaab ko pee jaata hai

shukriya shally
Logged
kaushikbhawna008
Guest
«Reply #5 on: July 09, 2008, 06:41:47 AM »
Reply with quote
sach kaha shally

kuch aansu dil ki har baat keh jaate hain
kuch sirf dard ki ankahi jubaan ban jaate hain
kuch tanha raaton mei saath nibha jaate hain
to kuch apno mei ki akela kar jaate hain
kuch waqt aisa bhi aa jaata hai zindgi mei doston
jab chahe dil bahana aansu
tab aansu bhi  saath chod jaate hain
Logged
Muhammed
Guest
«Reply #6 on: July 09, 2008, 06:42:33 AM »
Reply with quote
YE AANSOO BAHUT AJEEB HAI,
TANHAI ME SAATH DETE HAI TO
MEHFIL ME AKELA KAR DETE HAI,


Shally Tumne such Kahaa Bilkool AJEEB HAI..AANSU
Logged
sagar_0777
Guest
«Reply #7 on: July 09, 2008, 06:45:41 AM »
Reply with quote
hi bhawna ji kya likha hai aapne such yaar aansu nikal pade
wah-wah kya baat hai.
Logged
kaushikbhawna008
Guest
«Reply #8 on: July 09, 2008, 06:50:16 AM »
Reply with quote
shukriya sagar

hamara dil dukhane ka irada na tha
dard hota hai bas yahi bataana tha
aansu bhi nahi hote saath dard-e-gam ki judaai mei
bas yahi raaz hamei sabko bataana tha
Logged
syednaami
Guest
«Reply #9 on: July 09, 2008, 06:51:24 AM »
Reply with quote
Aasuon ke dekhe rang hazaar,,
Kabhi Khushi se gire to,,
Kabhi gham se zaar-o-zaar..

Kuchh aansu bahe to mile sukoon,,
Kuchh aansu nikle ban ke khoon,,
Har aansu ka hai bas apna junoon..


|Syed Naami|
=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=

Buhat hi nirala likha hai Kaushik saahib aapne... wah...

Raza Bhai aap ka to jawab hi nahin,,, kamaal hai...


Logged
kaushikbhawna008
Guest
«Reply #10 on: July 09, 2008, 06:56:35 AM »
Reply with quote
shukriya syednaami ji

Logged
k.shael
Guest
«Reply #11 on: July 09, 2008, 07:03:16 AM »
Reply with quote
NICE REPLY KAUSHIK &
MUHAMMED JI....
BY. K.SHAEL

YE AANSOO BHI KYA KHOOB SAATH NIBHATE HAI,
JAB APNE CHOD DE BEECH RAAH ME TO YE SAATH
NIBHANE CHALE AATE,INKI WAFA KI MISAAL KYA
DE YE TO BAND AANKHON SE BHI NIKAL AATE HAI,
Logged
syednaami
Guest
«Reply #12 on: July 09, 2008, 07:42:26 AM »
Reply with quote
Aansu hain sahara haseen lamhon ka,,
Aansu hain kinara yaadon ke saahil ka,,
Niklaten hain khud-ba-khud be intaha,,
Aansu hain paimana dil halka karne ka..


|Syed Naami|

=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=

Buhat hi sundar kshael saahiba... wah
Logged
k.shael
Guest
«Reply #13 on: July 09, 2008, 08:29:32 AM »
Reply with quote
SHUKRIYA SYED JI,
AAPNE BHI KHOOB LIKHA HAI, Applause
BY. K.SHAEL


AANSOO NA HOTE TO SHAYAD HAM MAR GAYE HOTE,
INKE SIWA KOI RAJDAAR NAHI HAI MERE GAMO KA
HAR EK GAMM INKE SAHRO SE KATA HAI,HAR KHOFNAK
LAMHA ISKE SAATH GUZARA HAI,YE WAKIF HAI MERE
DIL SE KI INKE BINA KISI KA BHI NA ISS ZINDAGI
ME GUJARA HAI...
Logged
kaushikbhawna008
Guest
«Reply #14 on: July 09, 2008, 09:03:45 AM »
Reply with quote
SHUKRIYA SYED JI,
AAPNE BHI KHOOB LIKHA HAI, Applause
BY. K.SHAEL


AANSOO NA HOTE TO SHAYAD HAM MAR GAYE HOTE,
INKE SIWA KOI RAJDAAR NAHI HAI MERE GAMO KA
HAR EK GAMM INKE SAHRO SE KATA HAI,HAR KHOFNAK
LAMHA ISKE SAATH GUZARA HAI,YE WAKIF HAI MERE
DIL SE KI INKE BINA KISI KA BHI NA ISS ZINDAGI
ME GUJARA HAI...

jab dard  hamne apna hamdard bana lia
to dard bhi mera ek lamha muskura dia
keh dia jamaane se maine ki ham ab nahi hai tanha
apna har aansu ko maine apna sahara bana lia
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 24, 2024, 02:17:31 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.101 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer