Aao Roshni Ki Taraf,.

by Jaanasheen on March 09, 2010, 11:59:44 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 3147 times)
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
Reply with quote
Nafratein, Dushmani Ab Ye Gairon Tak Ya Sarhadon Tak Hi Nahi, Ab To Ghar mein Bhi Ye Haalat Dekhne Ko Milte Hain, Bhai Bhai Se Baat Nahi Karta, Padosi Padosi Se Ikhtilafaat Rakhte Hain, Aur Ek Mazhab ke Log Dusre Mazhabi Logon Se Bair Rakhte Hain, In Sab Ko Ek Tasweer Banaake, Kuch Likhne Ki Koshish Ki Hai, Umeed Hai, Aap Saath Denge,.




Ye Paighaam, Ye Kalaam, Aman Ka Kabool Karlo,.
Karke Ujaala, Andheron Ko Door Karlo,.

Kya Tumhe Kya Hume Milaa Hai In Nafraton Se,.
Aao Maslon Ko Hal Karein, Hum Mohabbaton Se,.
Ek Hojaao Paighaam Dosti Ka Manzoor Karlo,.
Karke Ujaala, Andheron KO Door Karlo,.

Niklega Suraj, Ab Ek Nayi Roshni Ke Saath,.
Guzar Jaayegi, Ye Kaali Khauf Zada Raat,.
Ungliyon Ki Khali Jagah Haath Milaake Bharpoor Karlo,.
Karke Ujaala, Andheron Ko Door Karlo,.

Aao "Azeem, Aman Ka Phool Khilaayein Phirse,.
Dushmani Bhulaake, Aao Haath Milaayein Phirse,.
Shikwe Gile, Bhool Jaane Ka Dastoor Karlo,.
Karke Ujaala, Andheron Ko Door Karlo,.

-Azeem-
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #1 on: March 09, 2010, 12:05:28 PM »
Reply with quote
Humesha Ki tarah Bahut Bahut Khoob Azeem!!! Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #2 on: March 09, 2010, 12:43:34 PM »
Reply with quote
Azeem bhai bahut pyari nazm likhi hai. Bahut achhi lagi. Hazaron daad qubool farmayen.
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #3 on: March 09, 2010, 03:13:29 PM »
Reply with quote
Dil ko chhu kar dil ki gehraayi mein utar gayi hai aapki ye nazm......gar har koi iss paighaam ko samajhe toh kya khoob jannat ka nzaara ho.......
bahut khoob Ajeem ji....... icon_salut icon_salut 
Logged
SURESH SANGWAN
Guest
«Reply #4 on: March 09, 2010, 04:27:49 PM »
Reply with quote
KAMAAL HAI ,BAHUT UMDA. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley icon_flower
Logged
dead heart
Guest
«Reply #5 on: March 09, 2010, 05:19:32 PM »
Reply with quote
Toooooo Goooood Azeem bhaijan Applause
Logged
cara
Guest
«Reply #6 on: March 10, 2010, 03:08:32 AM »
Reply with quote
WAH KYA BAAT HAI     AZEEM JI.....

NIKAL BAHAR KARO DIL SE YE KALA ANDHERA
NAFRATON SE JISNE HAM SABKO HAI GEHRA
MILJULKAR CHALE "AAO ROSHNI KI TARAF"
FIRSE DEKHE EKTA KA-BHAICHARE KA SAVERA..
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #7 on: March 10, 2010, 10:38:24 AM »
Reply with quote
Humesha Ki tarah Bahut Bahut Khoob Azeem!!! Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Shukriya Khwaaish Ji,.

Hausla Afzaai Ke Liye,.
Logged
Talat
Guest
«Reply #8 on: March 10, 2010, 12:29:46 PM »
Reply with quote
Bohot pyari Nazm hai Azeem....bohot bohot khoob...
Logged
spandana
Guest
«Reply #9 on: March 10, 2010, 12:37:07 PM »
Reply with quote
bahut khoob likha hai Azeem ji ....

Kabhi toh aayenga Aman aur Shaanti ka badal
Mujhe aaj bhi sawan ka lautne ki aas hai
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #10 on: March 11, 2010, 06:49:57 AM »
Reply with quote
Azeem bhai bahut pyari nazm likhi hai. Bahut achhi lagi. Hazaron daad qubool farmayen.
Shukriya Riyaz Bhai,.

Hausla Afzaai Aur Izzat ke Liye,.

Duaa Karein
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #11 on: March 11, 2010, 09:55:46 PM »
Reply with quote
Dil ko chhu kar dil ki gehraayi mein utar gayi hai aapki ye nazm......gar har koi iss paighaam ko samajhe toh kya khoob jannat ka nzaara ho.......
bahut khoob Ajeem ji....... icon_salut icon_salut 
Shukriya Nikhaar Ji Is Paighaam Pe Aap Pe Aap Bhi Mutahir Hain,.

Shukriya Hausla Afzaai Ka,.
Logged
sbechain
Guest
«Reply #12 on: March 11, 2010, 10:18:16 PM »
Reply with quote
bahut achcha likhaa hai........... Applause Applause Applause Applause Applause

               
        main bhi issi talluk se do line likhne ki jurrat kar rahi hoon

             

             kahaan ho mohabbat ki tumhain talaash karte hain,
             teri kami ka apne beech ek ehsaas rakhte hain,
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #13 on: March 12, 2010, 07:09:10 AM »
Reply with quote
Nafratein, Dushmani Ab Ye Gairon Tak Ya Sarhadon Tak Hi Nahi, Ab To Ghar mein Bhi Ye Haalat Dekhne Ko Milte Hain, Bhai Bhai Se Baat Nahi Karta, Padosi Padosi Se Ikhtilafaat Rakhte Hain, Aur Ek Mazhab ke Log Dusre Mazhabi Logon Se Bair Rakhte Hain, In Sab Ko Ek Tasweer Banaake, Kuch Likhne Ki Koshish Ki Hai, Umeed Hai, Aap Saath Denge,.




Ye Paighaam, Ye Kalaam, Aman Ka Kabool Karlo,.
Karke Ujaala, Andheron Ko Door Karlo,.

Kya Tumhe Kya Hume Milaa Hai In Nafraton Se,.
Aao Maslon Ko Hal Karein, Hum Mohabbaton Se,.
Ek Hojaao Paighaam Dosti Ka Manzoor Karlo,.
Karke Ujaala, Andheron KO Door Karlo,.

Niklega Suraj, Ab Ek Nayi Roshni Ke Saath,.
Guzar Jaayegi, Ye Kaali Khauf Zada Raat,.
Ungliyon Ki Khali Jagah Haath Milaake Bharpoor Karlo,.
Karke Ujaala, Andheron Ko Door Karlo,.

Aao "Azeem, Aman Ka Phool Khilaayein Phirse,.
Dushmani Bhulaake, Aao Haath Milaayein Phirse,.
Shikwe Gile, Bhool Jaane Ka Dastoor Karlo,.
Karke Ujaala, Andheron Ko Door Karlo,.

-Azeem-


Yeh bhi khoob rahi Chote Bhai
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #14 on: March 12, 2010, 12:46:11 PM »
Reply with quote
KAMAAL HAI ,BAHUT UMDA. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley icon_flower

Shukriya Suresh Ji.

Toooooo Goooood Azeem bhaijan Applause

Shukriya Rahim Bhai,.
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 28, 2025, 02:35:12 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.136 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer